Wahi Kesar hai...( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on May 24, 2011, 11:34:28 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1489 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Yeh bhi to ek kamaal_e_sitamgar hai
Zara nahi usey khuda ka dar hai

Jis ek baat pe rootha hai woh humse
Ek usi baat ki humko nahi khabar hai

Meri masjid bhi yahi mera mandir bhi
Bechkar khoon paseena jo banaya ghar hai

Wada_e_khuld ne humko yeh yaqee.N baksha hai
Muflisi meri ameeri se kaiee behtar hai

Sharm tehzeeb aur paibandh lagi ek chader
Pass beti ke mere bas yahi zevar hai

Jiski manzil na koi na koi manzil ka pata
Caarvaa.N paar lagata wahi rehbar hai

Zayka iske hi dum se raha jeene me
Thoda thoda jo mila samjho wahi kesar hai

De wahi daad mujhe aaj ghazal par meri
Samjhe Ghayel ko bada khud se bada shayer hai

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Wahi merre khuda wahi merri ibadat...Geet... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
Tauba karta wahi.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Ik wahi shaks to paraya hai..............( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 24, 2011, 11:46:00 AM »
Reply with quote

Sajid Sahab,

Bahut khoob..achchhee ghazal kahi hai..

Sabse bade to naheen, haan mujh jaise
bahuton se bade shayar zaroor hain aap.

Satish Shukla 'Raqeeb'

   
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 24, 2011, 11:48:04 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aur Bahut Khoooob Mere Dost!!!!!

Har Ek A'shaar Par Sirf Waah Waah Hi karta Gaya..

Aur rahi Baat Aapko daad dene Ki hum Khud Ko Shayar Hi nahi Samjhte Dost!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
manjum
Guest
«Reply #3 on: May 24, 2011, 11:50:07 AM »
Reply with quote
wah wah wah..... har sher kamaal hai bahut bahut khub ghayalji....

 Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: May 24, 2011, 01:31:19 PM »
Reply with quote
Yeh bhi to ek kamaal_e_sitamgar hai
Zara nahi usey khuda ka dar hai

Jis ek baat pe rootha hai woh humse
Ek usi baat ki humko nahi khabar hai

Meri masjid bhi yahi mera mandir bhi
Bechkar khoon paseena jo banaya ghar hai

Wada_e_khuld ne humko yeh yaqee.N baksha hai
Muflisi meri ameeri se kaiee behtar hai

Sharm tehzeeb aur paibandh lagi ek chader
Pass beti ke mere bas yahi zevar hai

Jiski manzil na koi na koi manzil ka pata
Caarvaa.N paar lagata wahi rehbar hai

Zayka iske hi dum se raha jeene me
Thoda thoda jo mila samjho wahi kesar hai

De wahi daad mujhe aaj ghazal par meri
Samjhe Ghayel ko bada khud se bada shayer hai

Sajid Ghayel

bahut khoob
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: May 24, 2011, 01:47:43 PM »
Reply with quote
aapko daad de sake itni to haisiyat nai hai humari………
bas aapko padhne ki khuahish me ek umra gujaar di humne…

kya kahen ab iske siwa aapko janaab
kai dino ki bekaraari ko kuch lagaam di hai aapki ghajal ne…

thank u so much sir ji
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: May 24, 2011, 01:48:54 PM »
Reply with quote
Janab Sajid sahaaB aadaab!

Kia haal chaal hai janab Usual Smile
Ummid hai khairiyat se hoNge..Usual Smile

  Chaliye janab der se aaye par aaye to sahiN yeH to humari aapse humesha ki bahas rahi hai Usual Smile

  Janab ab aapki kalaam par kia kaheN aapke ahsaas o khayaal
to pahle se hi Masha Allah hai aur ab to khayaaloN meiN aur bhi sanjidgi aur gehrai dekhne mil rahi hai .... Usual Smile

Behad achche ahsaas O khayaal pesh kiye hai janab daad daad daad...

yeh kuch ashaar hume behad khub lage ...
In par alag se dil se daad Usual Smile          





Sharm tehzeeb aur paibandh lagi ek chader
Pass beti ke mere bas yahi zevar hai

Zayka iske hi dum se raha jeene me
Thoda thoda jo mila samjho wahi kesar hai

De wahi daad mujhe aaj ghazal par meri
Samjhe Ghayel ko bada khud se bada shayer hai

Sajid Ghayel

Janab ki ijazat mile to kuch khamiyoN ko ujagar karne ka dil kar raha hai tongue3

Waise hum aapko achche se jante hai phir bhi Bhaijaan kahiN khafaa ho gaye to ?

Ijazat milne par phir aayeNge tabtak ke liye ..
Ijazat dijiye...

Aate rahiye... Likhate rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile          

Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2011, 01:57:22 PM »
Reply with quote
bht bht khkoob sajid ji...
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #8 on: May 24, 2011, 02:16:13 PM »
Reply with quote
bahut umdaa soch ........ghayel ji
daad
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2011, 03:46:47 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Ghayel ji.dard bhari ghazal,excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2011, 05:38:59 PM »
Reply with quote
Janab Sajid Ji Dil To Kiya Ki Aapkey
Kuch Ashaaron Pe Dad Den Magar Maktey
Ne Humey Rok Liya Kyon Ki Abhi Hum Talib e Ilm Hai
Aur Kya Kahe Janaab Is Sher Mein To Aapne Apne Ghar Ko
Masjid Aur Mandir Se Behtar Hi Bana Diya.Kuch Jami Nahi Baat

Meri Masjid Bhi Yahi Mera Mandir Bhi
Bechkar Khoon Paseena Jo Banaya Ghar Hai



Aur Isme Hume Sach Kahen To Takabbur Ke Alawa
Aur Kuch Bhi Na Dikha Na Samajh Aaya Khair
Apni Apni Soch Aur Nazar Hai

De Wahi Daad Mujhe Aaj Ghazal Par Meri
Samjhe Ghayel Ko Bada Khud Se Bada Shayer Hai
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: May 30, 2011, 04:01:01 PM »
Reply with quote
Mahutram Ghayel sahab tasleemat,,

Dil ki tamamtar gaheriyun se mai apko dad pesh karta hon ,, alfaz ko ahesas dard ko zubaan banjare ko makaa.N deti howi apki ye kalam eak nahi balke hazrah dad ki mustahiq hai .. mubarak baad khubool karen...allah apko shad o aabad rakhe ...


khadim

qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:14:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer