{{WaQt-e-RuKHsat}}

by angel4u on February 04, 2009, 05:23:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1660 times)
angel4u
Guest
Reply with quote

Waqt-E-Rukhsat Kahin Taare Kahin Jugnoo Aaye,
Haar Pehnaane Mujhe Phool Se Baazoo Aaye,

Bas Gayi Hai Mere Ehsaas Mein Ye Kaisi Mehek,
Koi Khushbu Main Lagaun Teri Khushboo Aaye,

Maine Din Raat Khuda Se Ye Dua Maangi Thi,
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye,

Uski Baatein Ke Gul-O-Laala Pe Shabnam Barse,
Sabko Apnaane Ka Us Shokh Ko Jaadu Aaye,

Un Dino Aap Ka Aalam Bhi Ajab Aalam Hai,
Shokh Khaaya Hua Jaise Koi Aahuu Aaye,

Usne Chhu Kar Mujhe Patthar Se Phir Insaan Kiya,
Muddaton Baad Meri Aankh Mein tearyeyed Aansu tearyeyed Aaye...

NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jahan se rukhsat by jempawan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
-rukhsat hua by salil2002 in Shayri-E-Dard
waqt e rukhsat bhi tum na aaoge.... by manjum in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Waqt-e-Rukhsat....Mann by mann.mann in Shayri-E-Dard
Waqt-e-rukhsat by Bashir Badr sb by suman59 in Bashir Badr Poetry
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 04, 2009, 06:12:29 PM »
Reply with quote
Very Beautiful Sharing Angel Ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2009, 02:54:32 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Celmira...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 05, 2009, 03:07:19 AM »
Reply with quote
Wow.... Very touching lines...Thanks for sharing dear hasina  Usual Smile
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: February 05, 2009, 03:23:11 AM »
Reply with quote

Waqt-E-Rukhsat Kahin Taare Kahin Jugnoo Aaye,
Haar Pehnaane Mujhe Phool Se Baazoo Aaye,

Bas Gayi Hai Mere Ehsaas Mein Ye Kaisi Mehek,
Koi Khushbu Main Lagaun Teri Khushboo Aaye,

Maine Din Raat Khuda Se Ye Dua Maangi Thi,
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye,

Uski Baatein Ke Gul-O-Laala Pe Shabnam Barse,
Sabko Apnaane Ka Us Shokh Ko Jaadu Aaye,

Un Dino Aap Ka Aalam Bhi Ajab Aalam Hai,
Shokh Khaaya Hua Jaise Koi Aahuu Aaye,

Usne Chhu Kar Mujhe Patthar Se Phir Insaan Kiya,
Muddaton Baad Meri Aankh Mein tearyeyed Aansu tearyeyed Aaye...

NM

Bahoth qoob janab !! Abhoth sharing ki bahen apne !! waise ye kalam Manzar bhopali sahab lagta !! Allah tumhe khush rakhe bahen !!

Qadeer Toopchi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: February 05, 2009, 10:51:38 AM »
Reply with quote
Thanks roja and qadeer Bhai. mujhe naam nai pata hia kinka hia...
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: February 14, 2009, 10:31:17 PM »
Reply with quote
very nice ghazal angle...........i think ke wo baseer badar sahab ki ghazal hai not very sure,

you.n hii besabab na phiraa karo, ko_ii shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake pada karo

koi haath bhii na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo

abhii raah mein kaii mod hai.n, koii aayegaa koii jaayegaa
tumhe.n jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo

mujhe ishtahaar sii lagatii hai.n, ye mohabbato.n kii kahaaniyaa.N
jo kahaa nahii.n vo sunaa karo, jo sunaa nahii.n vo kahaa karo

kabhii husn-e-pardaanashii.n bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas mein
jo mai.n ban-sanwar ke kahii.n chaluu.N, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khizaa kii zard-sii shaam me.n, jo udaas pe.D ke paas hai
ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aansuo.n se haraa karo

nahii.n behijaab vo chaand saa ki nazar kaa ko_ii asar na ho
use tanii garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo(dr.basheer badar)

Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2009, 08:28:18 AM »

Thanks dear...
Wasie mujhe bhi nahi pata hia exactly ke kin ne likhi hia...
sharing by you is awesome...

thanks for sharing here...
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: February 16, 2009, 01:01:07 PM »
Reply with quote
thnxxxx angel...........

kabhi kabhi to mere pehrahan se aati hai
wahi khushboo jo tumhare badan se aati hai
hamare dil se to acha hai aaina tera
jo tootta hai to aawaaz chunn se aati hai(NM)
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: February 16, 2009, 04:22:07 PM »
Reply with quote
thnxxxx angel...........

kabhi kabhi to mere pehrahan se aati hai
wahi khushboo jo tumhare badan se aati hai
hamare dil se to acha hai aaina tera
jo tootta hai to aawaaz chunn se aati hai(NM)

awesomeeeeeeeeeeeee
keep sharing...
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: February 18, 2009, 07:08:38 AM »
Reply with quote
awesomeeeeeeeeeeeee
keep sharing...

thnxxxxx angel ji...........

Muhabbat Ky Safar Main Koi Bhi Rasta Nahi Daita
Zameen Wakif Nahi Banti Falak Saya Nahi Daita

Khushi or Dukh Ky Mousaam Sab Ky Apny Apny Hotye Hain
Kisi Ko Apny Hissaye Ka Koi Lamha Nahi Daita

Udaasi Jis Ky Dil Main Ho Ussi Ki Neend Urrti Hai
Kisi Ko Aapni Ankhoon Sy Koi Sapna Nahi Daita

Uthanaa Khud he Parta Hai Thaka Tota Badan Apna
Ky Jab Tak Sans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Daita.....!!(NM)
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: February 18, 2009, 07:18:25 AM »
Reply with quote

thnxxxxx angel ji...........

Muhabbat Ky Safar Main Koi Bhi Rasta Nahi Daita
Zameen Wakif Nahi Banti Falak Saya Nahi Daita

Khushi or Dukh Ky Mousaam Sab Ky Apny Apny Hotye Hain
Kisi Ko Apny Hissaye Ka Koi Lamha Nahi Daita

Udaasi Jis Ky Dil Main Ho Ussi Ki Neend Urrti Hai
Kisi Ko Aapni Ankhoon Sy Koi Sapna Nahi Daita

Uthanaa Khud he Parta Hai Thaka Tota Badan Apna
Ky Jab Tak Sans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Daita.....!!(NM)

Wah wah aaina bahut khoob. Applause
Thanks for sharing....
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: February 18, 2009, 07:29:35 AM »
Reply with quote
Wah wah aaina bahut khoob. Applause
Thanks for sharing....

thnx roja ji...........

khulta kisi pe kiyn mere dil ka mumaamla
shairo ke intekhaab ne ruswa kia mujhay(mirza ghalib)
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:52:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer