what a thinking

by muneeb on August 26, 2004, 04:05:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1171 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
yeh ishq nahin aasaan,
ek aag ka darya hai,
aur doob ke jaana hai......

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye....

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Aaj Tu Kali Hai,
Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le,
Tujhko Sawaab Hoga

In Hi Patharon Pe Chal Ke,
Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi

Kafas Udas Hai yaaro,
Subah Se Kuch To Kaho

Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-YaarChale

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha..
Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki..

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Jo Saaz Se Nikli Hai,
Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai,
Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
Tu Teer Aaazmaaa,
Hum Jigar Aaazmayain

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon
Se
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar
Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka
shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski
sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi
Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi
Koi

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi
To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay ---

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na
karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte
hain
Apne jhakam kisi ko dikhaaya na karo

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon
ki tarah

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane
ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil
lagane ki

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid
ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa
gaya

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Teri aur meri nazar ka na kabhi baer ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain
hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum
Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main
Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon
Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wishful Thinking.......! by sharmaarunkumar in SMS , mobile & JOKES
Last night thinking of you by captainyr in Miscellaneous Shayri
Thinking About You by Delicate_Doll in Shayri for Dard -e- Judai
Thinking Positively.................. by natural in Inspirational Stories and real life Incidences.
Our THINKING by MISFIT in Quotable Phrase and Quotes
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:36:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer