Wo Budhi Maa'n hai jo Faako'n me Muskurati hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on June 11, 2013, 03:40:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1927 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Eak filbadeeh Ghazal

Ghareeb-e-Shahr ke ghar se sada ye aati hai
shikam ki aag ana ka shajar jalati hai

Jawaan beto'n ko ahesas muflisi ka na ho
wo budhi maa'n hai jo faako'n me muskurati hai

zara ye nannhi si chirya ka hausla dekho
jo jhoolti huee taheni pe ghar banati hai

hasan Sateesh-o-Waqif ke hi nahi pyaare
ye duniya sher hamare bhi gungunati hai

qadeer gham se taaluq hua hai ab aisa
khushi bhi ghar se mere aake laut jaati hai

Qadeertoopchi


Meannings ---
Gareeb-e-shahr ( Poor person of the city ( Shahr Ka gareeb Insaan )
Sada  ( Voice - Awaz )
Shikam ( Stomach , Pet )
Ana    ( Ego, )
Shajar ( Tree - Paidh )
Faako'n ( Hungriness - Bhukhe Rahena )
Ta'aluq ( Relation , Rishta , Naata )
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
budhi or budha by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Ajj kal muskurati bahut hoo... by anjaandaruwala in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Zindgi doore muskurati hai by sushilbansal in Shairi - E - Zindagi
HO tum muskurati hasin pari by jyuthika in Shayari -e- Husn
khushiyabhi muskurati...jyuthika... by jyuthika in Shayari -e- Husn
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #1 on: June 11, 2013, 03:48:12 PM »
Reply with quote
Behad khoobsurat aur umda ashaar ..

Ek ghuzarish hai, koshish kariye ki mushkil alfazon ke maiyne bhi share karne.

eg.

Filbadeeh =  Something done quickly / in one attempt.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 11, 2013, 03:53:15 PM »
Reply with quote
Eak filbadeeh Ghazal

Ghareeb-e-Shahr ke ghar se sada ye aati hai
shikam ki aag ana ka shajar jalati hai

Jawaan beto'n ko ahesas muflisi ka na ho
wo budhi maa'n hai jo faako'n me muskurati hai

zara ye nannhi si chirya ka hausla dekho
jo jhoolti huee taheni pe ghar banati hai

hasan Sateesh-o-Waqif ke hi nahi pyaare
ye duniya sher hamare bhi gungunati hai

qadeer gham se taaluq hua hai ab aisaa
khushi bhi ghar se mere aake laut jaati hai

Qadeertoopchi



Waah Waah Waah Waah Waah.......

Kya kehne Qadeer Bhai..Bahut Bahut Khoooooob..

Matla, Dusra, Teesra Aur Maqta....Lajawaaaaaaaaaaaaaaaaab..

Har Ek Lafz Zindagi Ki Talk Haqeeqat Bayaan Kar Raha Hai...


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2013, 04:26:14 PM »
Reply with quote
dilferab ghazal rahee ,............bohat c daad,...........
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2013, 04:34:54 PM »
Reply with quote
Khubsurat aur dilchasp ghazal hai , qadeer junaid sahib.
Filbadeeh  mein bhi bharpoor  rang e ghazal  hai . bahut
bahut mubarakbad. HASAN
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 11, 2013, 05:48:21 PM »
Reply with quote
Eak filbadeeh Ghazal

Ghareeb-e-Shahr ke ghar se sada ye aati hai
shikam ki aag ana ka shajar jalati hai

Jawaan beto'n ko ahesas muflisi ka na ho
wo budhi maa'n hai jo faako'n me muskurati hai

zara ye nannhi si chirya ka hausla dekho
jo jhoolti huee taheni pe ghar banati hai

hasan Sateesh-o-Waqif ke hi nahi pyaare
ye duniya sher hamare bhi gungunati hai

qadeer gham se taaluq hua hai ab aisa
khushi bhi ghar se mere aake laut jaati hai

Qadeertoopchi

ZABARDAST GHAZAL KAHI HAI AAPNE ,,UMDAA,
EK RAU KE SAATH ,
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: June 11, 2013, 06:17:20 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #7 on: June 11, 2013, 06:22:51 PM »
Reply with quote
Behad khoobsurat aur umda ashaar ..

Ek ghuzarish hai, koshish kariye ki mushkil alfazon ke maiyne bhi share karne.

eg.

Filbadeeh =  Something done quickly / in one attempt.

Azeezam Ricky Sahib , Aadab

Zamane Baad aap nazar aaye , Mauzrat mai us taraf khayal na kar saka jis jaanib aapne ishara kiya hai .. Aage se khayal rakhonga is baar darguzar kar den ,, Maine hukm baja laya hai ...edit kar diya hai dekh len ..ghazal apko pasand aaee jaankar acha laga dad ke liye azhd mashkoor o mumnoo hun ...khush rahe'n ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: June 11, 2013, 06:24:38 PM »
Reply with quote

Waah Waah Waah Waah Waah.......

Kya kehne Qadeer Bhai..Bahut Bahut Khoooooob..

Matla, Dusra, Teesra Aur Maqta....Lajawaaaaaaaaaaaaaaaaab..

Har Ek Lafz Zindagi Ki Talk Haqeeqat Bayaan Kar Raha Hai...


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




Bhai Khawish Sahab ,, Apki is haqeer ki kaavish pasand aaee aur kya chahiye is faqeer ko ..Apki mahubbaten mera sarmaya hain ....Allah ke huzoor dua go hun ke ye hamesha issi tarhan qayam o dayam rahe'n .....shukriyah ...dost

Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 11, 2013, 06:26:29 PM »
Reply with quote
dilferab ghazal rahee ,............bohat c daad,...........

Mahutrama Laiba Sahibah ...Apse munkasirul mizaj adab shinaas, shukhan shinaas  wa adab nawaz hazraat ki dad tabaruk se kam nahi ...Allah apko umre hawwa ata kare ....Shukriyah

Khadim

Qadeertoopchi
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2013, 06:27:21 PM »
Reply with quote
Eak filbadeeh Ghazal

Ghareeb-e-Shahr ke ghar se sada ye aati hai
shikam ki aag ana ka shajar jalati hai

Jawaan beto'n ko ahesas muflisi ka na ho
wo budhi maa'n hai jo faako'n me muskurati hai
for this sher one rau is compulsary, today's quota is finished
zara ye nannhi si chirya ka hausla dekho
jo jhoolti huee taheni pe ghar banati hai
gr888888888888888888,sir
hasan Sateesh-o-Waqif ke hi nahi pyaare
ye duniya sher hamare bhi gungunati hai
ha ha ha ,sir you r gr888888888 2
qadeer gham se taaluq hua hai ab aisa
khushi bhi ghar se mere aake laut jaati hai

Qadeertoopchi


Meannings ---
Gareeb-e-shahr ( Poor person of the city ( Shahr Ka gareeb Insaan )
Sada  ( Voice - Awaz )
Shikam ( Stomach , Pet )
Ana    ( Ego, )
Shajar ( Tree - Paidh )
Faako'n ( Hungriness - Bhukhe Rahena )
Ta'aluq ( Relation , Rishta , Naata )


mindblowing ,sir
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: June 11, 2013, 06:29:43 PM »
Reply with quote
Khubsurat aur dilchasp ghazal hai , qadeer junaid sahib.
Filbadeeh  mein bhi bharpoor  rang e ghazal  hai . bahut
bahut mubarakbad. HASAN

Mahutram F.H.Siddiuee Sahab, Apse Ahle fun jub mujh se mubtadi wa talib-e-ilm ke kalam yun kahete hain to yaqeen jaaniye hauslo'n ko pankh lag jaate hain .....Apke kalamo'n se istefadah karta raha hun sikhta raha hun ....bus yun samajh lijiye ke aapko parh ke sher kahena seekh rahe hain .....Apka tabsera Baais-e-faqr bhi aur baais-e-massarat.........Allah apko eak taweel umr se nawaze ..Shukriyah Mahutram

Talib-e-ilm

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: June 11, 2013, 06:30:45 PM »
Reply with quote
ZABARDAST GHAZAL KAHI HAI AAPNE ,,UMDAA,
EK RAU KE SAATH ,
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley

Sahal Sahab ....Apki dad ne hausla Ata kiya Shukriyah ...Allah apko khush rakhe ..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: June 11, 2013, 06:31:46 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob

Dr.Saini Sahab ,, Apse Qalamkaar ki dad mere nazdeek ziyada Ahemiyat rakhti hai ....Shukriyah
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #14 on: June 11, 2013, 06:38:18 PM »
Reply with quote

mindblowing ,sir

Mahutram Marhoom Bahayat Sahab ,,Ghazal pe apka tabsera Mahubbat ka pata deta hai ....Aapki taherir se ye baat saaf ho jaati hai ke aap eak khushmizaj insaan hi nahi balke seene me bada hi hassas dil rakhte hain ....Apse adab nawaz hazraat hi hain jo shairi ko zindah rakhe hue hain warna to shairi daure hazir me dam tood deti ....Apne meri ghazal ko na balke dad o tahesin se nawaza hai balke isko javedan kar diya ....Apse ameeq fikr o daqeeq nazar rakhne wale hazraat ki dad sanad hai ...tamgha hai ..tabaruk hai , sarmaya hai ...Apne ghazal ko jila baksha uske liye mai apke huzoor sarapa sipaas hun ....jawaban shukriyah ada karne ke liye mere paas alfaaz nahi .......Allah aapko umre nuh ata kare...

Khadim ul Khaddam

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:22:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer