Woh kabhi saamney aaye naheen zamaaney key!

by abdbundeli on June 07, 2008, 04:37:43 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1652 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

 Tamaam tour tareeqey they aazmaaney key!
 Woh, kabhi saamney aaye naheen zamaaney key!!

 Tamaam umra, usee qaid mein rahee bulbul:
 Jiskey peechhey they saranjaam aashiyaaney key!

 Rind hoon mein woh, jo dhandhey sey paarsaayee hai;
 Gulzamin meyree hai, rashtey mein dair jaaney key!

 Na jaaney kitnaa kamaayaa hai; ganmaayaa hai kyaa?
 Kaheen, nishaan naheen bachey hain, par, kamaaney key!

 Paak hai kuchh bhi naheen; ab bhi maiyl hai baaqee:
 Hazaar baar, tamaashey kiye nahaaney key!

 Jaa key saaqee ko bataa; deir na kar ab, Qaasid!
 Wuzoo karaaye mujhey, peishtar pilaaney key!!
 
 Raah mein ab bhi,'abd', reyg-e-rawaan hai moujood;
 Bahut qareeb hoon, akheer sey fasaaney key!
      
                            - abd bundeli
 
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #1 on: June 08, 2008, 04:26:51 AM »
Reply with quote
Na jaaney kitnaa kamaayaa hai; gunmaayaa hai kyaa?
 Kaheen, nishan naheen buchey hain, pur, kamaaney key!

 Paak hai kuchh bhi naheen; ab bhi maiyl hai baaqee:
 Hazaar baar, tamaashey kiye nahaaney key!
bahoot hi achcha likh hai.....abd ji aur in lines ne to dil ko choo liya......
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2008, 07:46:08 AM »
Reply with quote
bekarar ji,

Aapkey zeyhn mein insaaniyat ki hai khushboo;
Mein khush naseeb hun, nazar-e-karam mein aayaa hoon!
Dhakosloun sey jindagee bahut alahdaa hai;
Jo, mujh ko dil ney diyaa hai, mein wahee laayaa hoon!!

               Shukraguzar : abd bundel
i

Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2010, 03:30:59 PM »
Reply with quote
Haseen raat nayi aahat ko ghar layee
Likhi hai shehar ke maate pe fir bi tanhayi

Bahut dino se vo surat nazar nahi aayi
Batak rahi hai khayal-o-nazer ki binayi (drishti)

Mai itni der samandar ko aaj takti rahi,
Ki uske rang mein aankhon mein apni ber laayi

Ye kaise soch le andar se ghar na bigenge
Ghata ne khul ke barasne ki shart tehrayi

Vo sirf reshmi lehje mujhe utada tha
Mere liye yahi chahat ki rasm kehlayi

Saji huyi hai dhanak (Indra-dhanush)aasma.n pe kis muh se
Jo oodni ke meri rang sab chura laayi

Ajab hai chand se rishta udas logon ka
Grahen laga jab usse inki aankh ber aayi

Ab aise paaniyon ko kyu kahu samandar mai?
Ki Jal-tal pe likhki ho jinki gehrayi..!!

Roja

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2010, 11:42:15 AM »

Baarhaa saamney aatey hain samundar teyrey!
Dil-o-dimaag mein ahsaas hain sundar teyrey!
Roz lahroun kee rawaanee-saa bhataktaa hai man;
Chhupey hain koun sey jalwey abhee andar teyrey!!

         - abd bundeli
Logged
roja_malar
Guest
«Reply #5 on: January 28, 2010, 02:42:10 AM »
Reply with quote
Baarhaa saamney aatey hain samundar teyrey!
Dil-o-dimaag mein ahsaas hain sundar teyrey!
Roz lahroun kee rawaanee-saa bhataktaa hai man;
Chhupey hain koun sey jalwey abhee andar teyrey!!

         - abd bundeli

Neeli aankhon se umadti thi ghataye kitni
Chedti jaati thi zulfon ko hawaye kitni

Soj-e-dil, girya-e-shab, sange-malaamat, banvaas
Usse milne ki mili mujhko sajaye kitni

Fir usee shokh ne cheena meri aankhon ka sukoon
Jisse milne ke liye ki thi duwayein kitni

Mujhe pe azad fajao ka na dar khul paya
De raha tha pase-diwar sadaye kitni

Bete pardesh gaye, pet ka peeda lekar
Raah chaukat se lagi takti Maayein kitni

Tera dar choota, dimak ki soch choota, ye mehfil choota
Teri ye "Roja" ne nibayi hai wafayein kitni?

Soj-e-dil = dil ki jalan

Girya-e-shab = Raaton ko rona

Sange-malaamat = Ninda ka pattar

Pase-diwar = Diwar ke peeche

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: January 28, 2010, 05:47:34 AM »
Reply with quote
Wah very beautiful gazal Abd ji and Roja ji.great creation.excellent Hats off to you! Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Bored
Guest
«Reply #7 on: January 28, 2010, 08:46:51 AM »
Reply with quote
Paak hai kuchh bhi naheen; ab bhi maiyl hai baaqee:
 Hazaar baar, tamaashey kiye nahaaney key

Well Said Great Creation Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2010, 02:10:25 PM »
Reply with quote

Neeli aankhon se umadti thi ghataye kitni
Chedti jaati thi zulfon ko hawaye kitni

Soj-e-dil, girya-e-shab, sange-malaamat, banvaas
Usse milne ki mili mujhko sajaye kitni

Fir usee shokh ne cheena meri aankhon ka sukoon
Jisse milne ke liye ki thi duwayein kitni

Mujhe pe azad fajao ka na dar khul paya
De raha tha pase-diwar sadaye kitni

Bete pardesh gaye, pet ka peeda lekar
Raah chaukat se lagi takti Maayein kitni

Tera dar choota, dimak ki soch choota, ye mehfil choota
Teri ye "Roja" ne nibayi hai wafayein kitni?

Soj-e-dil = dil ki jalan

Girya-e-shab = Raaton ko rona

Sange-malaamat = Ninda ka pattar

Pase-diwar = Diwar ke peeche

Bahut hi khoob, Roja!

'Neeli aankhon se umadtin thin ghataye kitni
 Chedtin jaatin thin zulfon ko hawayen kitni'

Deykheyngey ham bhee unhain,
Bhar aankhoun mein pyaas!
Meyrey antas, dhairya kho,
Honaa naheen hataash!!

         - 'Ramwatiya'

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 02:31:46 PM »
Reply with quote
Wah very beautiful gazal Abd ji and Roja ji.great creation.excellent Hats off to you! Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause
Thanks a lot, Madhu ji!
       
           - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2010, 02:33:52 PM »
Reply with quote
Paak hai kuchh bhi naheen; ab bhi maiyl hai baaqee:
 Hazaar baar, tamaashey kiye nahaaney key

Well Said Great Creation Applause Applause

Thanks a lot, dear Bored ji!

              - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2010, 05:27:55 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoob, Roja!

'Neeli aankhon se umadtin thin ghataye kitni
 Chedtin jaatin thin zulfon ko hawayen kitni'

Deykheyngey ham bhee unhain,
Bhar aankhoun mein pyaas!
Meyrey antas, dhairya kho,
Honaa naheen hataash!!

         - 'Ramwatiya'

Thank you ji

Mohabbat ne kiya is kadar badnaam dekho Abd

Ki her mehfil mein meri daastan dohrayi jaati hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: January 30, 2010, 04:48:23 PM »
Reply with quote
Thank you ji

Mohabbat ne kiya is kadar badnaam dekho Abd

Ki her mehfil mein meri daastan dohrayi jaati hai

Riwaayat naam deytee hai 'kisee' maasoom ko 'uska';
Mohabbat laakh ho badnaam, badnaamee na ho 'uskee'!
Khiley 'wah', arsh mein jyoun chaand khiltaa hai andheyrey mein;
Sarey baazaar, jis sey, muft neelaamee na ho 'uskee'!!

                     - abd bundeli

Logged
malli
Guest
«Reply #13 on: January 31, 2010, 03:22:55 AM »
Reply with quote
Riwaayat naam deytee hai 'kisee' maasoom ko 'uska';
Mohabbat laakh ho badnaam, badnaamee na ho 'uskee'!
Khiley 'wah', arsh mein jyoun chaand khiltaa hai andheyrey mein;
Sarey baazaar, jis sey, muft neelaamee na ho 'uskee'!!

                     - abd bundeli

 Thumbs UP Thumbs UP

Jahan mein hum faqiron ke kahi dere nahi hote
Kahi bhi ghar nahi hote, kahi ghere nahi hote

Sukhad saiyog hum fir se mehfil mein aa gaye tere ABD
Nahi barson guzer jaye edhar fere nahi hote

Hamari vriddhi yayaver, hamari niyathi hai yatra
Kinhi bhi manzilon ke hum kabhi dere nahi hote

Na kheencho rekhayein, manuj ke geet tukdon mein
Kabhi tere nahi hote, kabhi mere nahi hote

Hridaiy mrugchal per reenjhe, bhikari bhavnawon ke
Kinhi sinhasanon ke hum magar chere nahi hote

Na ho hairan sankhya se, yahan her ek yug mein hum
Sada ginti ke hote hai ki bahutere nahi hote...

 Usual Smile Usual Smile

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: January 31, 2010, 07:00:07 AM »
Reply with quote
Thumbs UP Thumbs UP

Jahan mein hum faqiron ke kahin dere nahin hote
Kahin bhi ghar nahin hote, kahin ghere nahin hote

Sukhad saiyog hum fir se mehfil mein aa gaye tere ABD
Nahin barson guzar jayen idhar fere nahin hote

Hamari vritti yayavar, hamari niyati hai yatra
Kinhin bhi manzilon ke hum kabhi dere nahin hote

Na kheencho rekhayein, manuj ke geet tukdon mein
Kabhi tere nahin hote, kabhi mere nahin hote

Hridaiy mrugchal per reenjhe, bhikari bhavnawon ke
Kinhi sinhasanon ke hum magar chere nahin hote

Na ho hairan sankhya se, yahan her eik yug mein hum
Sada ginti ke hote hain ki bahutere nahin hote...

 Usual Smile Usual Smile

Saaraa jag hee geyh hai,
Saaraa jag pariwaar!
Shatru naheen koyee kaheen,
Par, mitra hain apaar!

         - 'Ramwatiya'
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:44:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer