Woh meri tanha hai shaam sahib......( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on February 02, 2012, 03:08:36 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1133 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
(Is ghazal ko aap Kishore and Lata ki mash_hoor ghazal ki tune me padein....Hazaar raaheiN jo mudh ke dekhi, kahi se koi sada na aayee. )


Sabhi se kehdo, na chheDe un ko , huye jo un ke, ghulaam saahib
Magar ye poocheN, zaroor poocheN, woh kaun haiN kya hai naam sahib

Bichhad gaye haiN jo aap mujh se, to lag raha hai, mai mar raha huN
Jo jaa rahe the, to kar hi dete , ye zindagi bhi tamaam sahib

Kabhi na socha tha aisa hoga, safar me woh bhi mukaam aaya
Chalo chale ab, khatam safar hai, kare na mujhko salaam sahib

Tumhe khabar bhi hai kya ganwaaya, hamaare daaman me kya hai baaqi
Lutayee humne, yeh zindagi hai, khushi hai hum pe haraam sahib

Mile jo mujhse to phir woh keh du, kaha tha pehle kabhi jo unse
Rahey wafa phir, meri zaroorat, kare na mujhse kalaam sahib

Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib

Sajid Ghayel

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanha na koi ho ye dua hai meri by *kashish* in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek shaam chahiye........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Tum Ghazal meri........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal hai meri.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
tanha tanha shaam hai by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
mkv
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2012, 06:20:37 PM »
Reply with quote
Vaah sajid bhai
bahut khoob Applause
Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2012, 02:43:06 AM »
Reply with quote
(Is ghazal ko aap Kishore and Lata ki mash_hoor ghazal ki tune me padein....Hazaar raaheiN jo mudh ke dekhi, kahi se koi sada na aayee. )



Sabhi se kehdo, na chheDe un ko , huye jo un ke, ghulaam saahib
Magar ye poocheN, zaroor poocheN, woh kaun haiN kya hai naam sahib

Bichhad gaye haiN jo aap mujh se, to lag raha hai, mai mar raha huN
Jo jaa rahe the, to kar hi dete , ye zindagi bhi tamaam sahib

Kabhi na socha tha aisa hoga, safar me woh bhi mukaam aaya
Chalo chale ab, khatam safar hai, kare na mujhko salaam sahib

Tumhe khabar bhi hai kya ganwaaya, hamaare daaman me kya hai baaqi
Lutayee humne, yeh zindagi hai, khushi hai hum pe haraam sahib

Mile jo mujhse to phir woh keh du, kaha tha pehle kabhi jo unse
Rahey wafa phir, meri zaroorat, kare na mujhse kalaam sahib

Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib

Sajid Ghayel


Bahut  khoob! Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: February 03, 2012, 04:34:48 AM »
Reply with quote
ghayal saheb bahut umdaa peshkash aur haan vahee tune kyon mujhe to aur kai tune men ye pasand aayee khai dheron daad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 03, 2012, 08:36:51 AM »
Reply with quote
(Is ghazal ko aap Kishore and Lata ki mash_hoor ghazal ki tune me padein....Hazaar raaheiN jo mudh ke dekhi, kahi se koi sada na aayee. )


Sabhi se kehdo, na chheDe un ko , huye jo un ke, ghulaam saahib
Magar ye poocheN, zaroor poocheN, woh kaun haiN kya hai naam sahib

Bichhad gaye haiN jo aap mujh se, to lag raha hai, mai mar raha huN
Jo jaa rahe the, to kar hi dete , ye zindagi bhi tamaam sahib

Kabhi na socha tha aisa hoga, safar me woh bhi mukaam aaya
Chalo chale ab, khatam safar hai, kare na mujhko salaam sahib

Tumhe khabar bhi hai kya ganwaaya, hamaare daaman me kya hai baaqi
Lutayee humne, yeh zindagi hai, khushi hai hum pe haraam sahib

Mile jo mujhse to phir woh keh du, kaha tha pehle kabhi jo unse
Rahey wafa phir, meri zaroorat, kare na mujhse kalaam sahib

Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib

Sajid Ghayel




Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai...

Aapne Jis Ghazal Ka Zikr Woh To Maine Kabhi Suuna Nahi par Isse Uss Tune Se hataakar Bhi padha jaaye To bahuttttttt Khoobsurat Ghazal Hai yeh..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: February 03, 2012, 10:47:54 AM »
Reply with quote
lajawaab Ghazal sirji--

mene vo ghazal pehle suni jo aapne kaha--
fir ussi tune par padhi--

aisa laga jaise aapne ussi ghazal ko continue kar dia
behad umda

thanx for dis superbb ghazal
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: February 03, 2012, 03:44:33 PM »
Reply with quote
bahut khoob... sajid ji.. Usual Smile

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 06, 2012, 08:38:21 AM »
Reply with quote
Sajid Bhaijaan Aadaab!


Janab kia kahuN samjh nahi paa raha huN... Usual Smile
Aapki kalaam meiN aayi yeH gazab ki dhaar dekhkar
yakeen maniye mujhe behad khushi mehsus ho rahi
hai... Usual Smile


Aur bhi jyadaa khusi isliye bhi mehsus ho rahi hai
ke aapne apni yeH umdaa kalaam hum sab ke saath share
kii.. Usual Smile

Kalaam ki tareef karuN aise to lafz nahi mil rahe haiN... Usual Smile
Par behad khoob kalaam kahi hai janab.. sabhi ashaar behad
khoobsurat kahe hai.. Usual Smile

Meri dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye... aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #8 on: February 06, 2012, 08:47:24 AM »
Reply with quote
(Is ghazal ko aap Kishore and Lata ki mash_hoor ghazal ki tune me padein....Hazaar raaheiN jo mudh ke dekhi, kahi se koi sada na aayee. )


Sabhi se kehdo, na chheDe un ko , huye jo un ke, ghulaam saahib
Magar ye poocheN, zaroor poocheN, woh kaun haiN kya hai naam sahib

Bichhad gaye haiN jo aap mujh se, to lag raha hai, mai mar raha huN
Jo jaa rahe the, to kar hi dete , ye zindagi bhi tamaam sahib

Kabhi na socha tha aisa hoga, safar me woh bhi mukaam aaya
Chalo chale ab, khatam safar hai, kare na mujhko salaam sahib

Tumhe khabar bhi hai kya ganwaaya, hamaare daaman me kya hai baaqi
Lutayee humne, yeh zindagi hai, khushi hai hum pe haraam sahib

Mile jo mujhse to phir woh keh du, kaha tha pehle kabhi jo unse
Rahey wafa phir, meri zaroorat, kare na mujhse kalaam sahib

Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib

Sajid Ghayel




waaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

              khud ko haqeer na samajhna kabhi ke karte sabhi tumhein yaad aksar,
              ho kar udaas youn na choado mehfil, hai tera yahaan ek moqaam sahib,
Logged
malli
Guest
«Reply #9 on: February 12, 2012, 02:21:16 AM »
Reply with quote
Bahut khooob. nice lines. sabse kehdo na ched unko.. wah wah kya baat hai.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:18:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer