WOH MUSKURA KE JHALAK ............................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on March 05, 2013, 03:32:03 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 3190 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #45 on: April 21, 2013, 06:26:14 PM »
Reply with quote
bahut hi behtareen pesh kash, bhai waah, too good
Bahut  shukriya , Deepak ji. duaaein.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek jhalak by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jhalak by shyam4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
jhalak by shyam4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ek Jhalak by maxxmize in Share:Love Poetry
MUSKURA DETE KABHI ................................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3 4 »
mazHur
Guest
«Reply #46 on: April 30, 2013, 02:38:30 AM »
Reply with quote
good!     bhula k mujh ko woh kehte hein bhool ja mujh ko/////////bicharte waqt woh fatwa  suna gaye humko .
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #47 on: April 30, 2013, 09:44:13 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in this months Yoindia Shayariadab Newsletter, you may read more about it April 2013 Newsletter - Beautiful Shayariadab. Hopefully, we will see even more impressive work from you to the world of Poetry.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #48 on: April 30, 2013, 10:15:58 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
bahut bahut umda ghazal likha hai aapne Hasan sb. bahut c daad
Bahut bahut khoob  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Suman ji , bahut bahut shukriya
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #49 on: May 06, 2013, 12:15:41 PM »
Reply with quote
good!     bhula k mujh ko woh kehte hein bhool ja mujh ko/////////bicharte waqt woh fatwa  suna gaye humko .
bahut shukriya , mazHur sahib.duaaein.
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #50 on: May 06, 2013, 01:24:50 PM »
Reply with quote
hasan ji,
   aapko bahut bahut bahut dili mubaraqbad dena chahoonga is kalaam par bahut hi umda, bar bar padna bahut hi achha laga dhero shubhkaamnaye, aise hi  bajm mein aate rahen aur humen achhe achhe kalam sunate rahen I mean padate rahen, aameen.
ghanshamdaas ahuja
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #51 on: May 06, 2013, 04:44:41 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in this months Yoindia Shayariadab Newsletter, you may read more about it April 2013 Newsletter - Beautiful Shayariadab. Hopefully, we will see even more impressive work from you to the world of Poetry.
Thanks, Admin ji, for including my humble creation in the Newsletter....Yoindia and its beautiful people inspire Writers to come out with their inner best , And Insha allah I will also keep up to their expectations. With kind regards, HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #52 on: May 06, 2013, 08:55:51 PM »
Reply with quote
hasan ji,
   aapko bahut bahut bahut dili mubaraqbad dena chahoonga is kalaam par bahut hi umda, bar bar padna bahut hi achha laga dhero shubhkaamnaye, aise hi  bajm mein aate rahen aur humen achhe achhe kalam sunate rahen I mean padate rahen, aameen.
ghanshamdaas ahuja
Janab ahuja sahib. aapke khuloos bhare tabsire ke liye bahut shukrguzar hoon.Ye aap jaise doston ki qadrdaani hi hai ki kuchh blikhne aur use aap se share karne ka housla milta hai. Ummeed karta hoo ki aap ki mohabbat isi tarah aage bhi milti rahegi. Bahut bahut duaaon ke sath,HASAN
Logged
mazHur
Guest
«Reply #53 on: May 06, 2013, 09:51:04 PM »
Reply with quote
bahut shukriya , mazHur sahib.duaaein.

Siddiqui sahib, aap se guazarish he ke dostoan ko shaiyree ke ramooz se behra war karein taake nazmiyaat parhne ka lutf dobala ho jaye...
bahut se dost shaiyree ke asraar o ramooz aur qawayed surf o nehv se qatun waqif nahi hein, agar woh thori se mashq karein tu achi nazmiyaat likh sakte hein...un mein jazba tu he laikin woh behar o zameen aur wazan se na waqif nazar aatay hein...aap aise ustad ke hote huay ziyadati he k dost istafada na karein/
baharhaal jo bhi ho aapki poetry ko parh kar poesy ka sahih maza aata he ...zor e qalam aur ziada!!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #54 on: May 09, 2013, 02:43:02 PM »
Reply with quote
Siddiqui sahib, aap se guazarish he ke dostoan ko shaiyree ke ramooz se behra war karein taake nazmiyaat parhne ka lutf dobala ho jaye...
bahut se dost shaiyree ke asraar o ramooz aur qawayed surf o nehv se qatun waqif nahi hein, agar woh thori se mashq karein tu achi nazmiyaat likh sakte hein...un mein jazba tu he laikin woh behar o zameen aur wazan se na waqif nazar aatay hein...aap aise ustad ke hote huay ziyadati he k dost istafada na karein/
baharhaal jo bhi ho aapki poetry ko parh kar poesy ka sahih maza aata he ...zor e qalam aur ziada!!
Mazhur sahib, zarranawazi ke liye bahut mamnoon hoon.Aapne Yoindia Shayariadab ke aur iske ahbaab ke bare mein jo observation kiya hai wo sahi hai aur main isse kaafi had tak muttafiq hoon.
Jahan tak ramooz o qawayed ki baat hai , main khud laa-ilm hoon ; sirf kaam chalaane bhar ka ilm hai.Basics lagbhag samajhta hoon  aur mere jo dost openly ya PM ke zariye koi query karte hain main uska jawab dene ki koshish karta hoon.Is site par majority Urdu zubaan aur shairy ki dildaada hai lekin Urdu alfaaz ke pronunciation , meaning aur use se nawaquif.Urdu script to aur bhi kam log jante hain.Aisi soorat mein ramooz o qawaid ki tafseel  shayed feasible nahin. Haan main apni jaanib se ye koshish zaroor karta hoon ki : sahi talaffuz  istemal ho ; alfaaz ka sahi ,na ki bigda roop (eg Mukhalifat=khilafat)aur meaning istemaal ho , aur hamaare naujawaan dost jinmein ghazab ka talent hai Bahr mein shairy ki taraf rujoo hon.Ghalat istemal ko bhi main unki poems ki reply mein isharatan ,kabhi capital letters se kabhi " " etc ke zariye wazeh karne ki koshish karta hoon taaki apparently kisi ki ghalti doosron par na waazeh ho , ego na hurt ho aur phir bhi ghalti ka ehsaas ho jaaye. Yahi meri apni mahdood khowledge ke sath is Bazm mein adna si koshish hai - aur Allah ka shukr hai ki bahut se naujawaanon ne is se istafada bhi kiya hai. Bahr mein shairy par bhi mazaameen ke zariye kuchh tips diye hain jise doston ne saraaha aur support kiya hai.Kai doston ne Bahr mein likna bhi shuru kiya hai aur masha allah bahut achha likh rahe hain .
  Aap ki raai aur mufeed mashwire ke liye tah e dil se mamnoon hoon.Duaaon ke sath ,Hasan
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:08:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.176 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer