Yaad aate ho..........................................Aqsh

by aqsh on January 09, 2013, 05:01:18 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 6448 times)
aqsh
Guest
«Reply #120 on: January 20, 2013, 08:38:05 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
fantastic


Jaante ho phir kyun bante tum anjaan ho
Mere dil mein basne waale tum mehmaan ho

Neendh se jagkar hame tum gale laga lo
Kaho na ki meri dhadkan tum meri jaan ho

Mehsoos karte ho mere sparsh ko neendh mein
Chookar ehsaas kara do ki tum meri shaan ho

Zindagi mein mujhe tum samajhte khaas ho
De do har khushi, door tak na gam ka koi nishaan ho



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum yaad aate ho!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4  All »
Yaad aate hai by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
yaad aate ho by saahill in Share:Love Poetry
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad aata hai..........................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #121 on: January 20, 2013, 08:48:46 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

simply superb ji...!!!


dhadkano kaa shhor, mere dil ke geet ho tum
jo bajti hai mere kaano me, wo sangeet ho tum

tumhi ko chaahta hoon, tumhi ko maangtaa hoon
tum ko paake jaanaa, mere mann ke meet ho tum

ye khel mohabbat kaa, aasaan to nahi thaa
tum ko paake jaanaa, ki mere har jeet ho tum

tumpe hi jaan lutaaun, tumpe hi qurbaan hoon main
tumse meri har ghazal hai, mere hi preet ho tum

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #122 on: January 20, 2013, 09:56:39 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
ya yeh tumhari sangat hai ki ab hum bhi thoda bahut hazir jawabi seekh gaye hai


Meri zindagi mein tumhara mukaam bahut khaas hai
Har dhadkan mein basta tumhara hi koi ehsaas hai

Tumhi ko chaha tumhi ko maanga tumko paaya hai
Doori bhi tumhari ab mujhko lagti kitni paas hai

Banakar mujhe apni jeet zindagi mein tum jaana
Chupalo hame apni dhadkano mein yehi aas hai

Wabasta ho jaao meri zindagi se tum is tarah
Tumhe paane ke liye jag gai koi pyaas hai
Logged
saanj
Guest
«Reply #123 on: January 20, 2013, 10:06:52 AM »
Reply with quote
Wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh very nice...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #124 on: January 20, 2013, 10:18:42 AM »
Reply with quote
Wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh very nice...

thank you saanj jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #125 on: January 21, 2013, 11:05:59 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause
waah kyaa baat hai Usual Smile


main tumhaari aankhon me hoon, mujhe dhundte tum kahaan ho
main tumhe wahin milungaa, meri jaan-e-janaa tum jahaan ho

tum chalo dhoop mein, main pedon ki ghani chaaon ban jaaun
kabhi chuu ke dekhun apne dhadkano ko, maano tum yahaan ho

chaltaa hoon bheed me, tanhaa akele, magar dekhlun gaur se
log sab anjaane, band kar lun aankhen jahaan tum wahaan ho
Logged
aqsh
Guest
«Reply #126 on: January 21, 2013, 11:13:59 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoob


Chupakar tumhe apni aankhon mein duniya se kinaara kar loon
Paas baito tum mere ke koi haseen galthi dobaara kar loon

Ban jaao mere liye dhoop tum ya ban jaao mere liye chaaon
bhool jaaon raat aur din,tumhari aankhon mein guzaara kar loon

Bheed mein anjaane logon ke beech tum ko jaane na doon
Raaton ko meri roshan kar do aisa koi ek sitaara kar loon

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #127 on: January 22, 2013, 05:56:30 AM »
Reply with quote
aapne bhi masssttt likhaa hai...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause



main thodaa pee loon, tum aakhon se pilaao mujhe
main thodaa jee loon, tum seene se lagaao mujhe

tumse hi meri har khushi hai, tumse hi saanse hain
main kho jaaun, tum apne zulfon me chhipaao mujhe

main pyaasaa hoon mohabbat kaa jaane kab se
bujh jaaye pyaas, tum hothon se chhuu jaao mujhe

pyaar bhi ajeeb cheez hai jo hasaati hai rulaati hai
naa rahun main hosh me, tum is tarhaa chhed jao mujhe

paake tumhe lagtaa hai ab kuch paane ki khwaaish nahi
dil me basaa ke, tum duniyaa se duur kahin lejaao mujhe
Logged
aqsh
Guest
«Reply #128 on: January 22, 2013, 11:45:45 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut bahut hi khoob likha hai tumne ek dam romantic


Paas zara mere baitho hum aankhon se pilaate hai
Peete hi behak jaao,aisa hi kuch kar jaate hai

Mujh mein tumhe jo apni khushi nazar aati hai
Tum kho na jaao is liye tumhe palkhon mein chupaate hai

Nazaron ko jhukaaye tum jo mere intezar mein rehte ho
Choomkar in aankhon ko chalo aaj apni pyaas bhujaate hai

Mera pyaar tumhare saath rehkar tumhe rone na dega
Na tadpon ki dekho hum tumhe seene se lagaate hai


Logged
suman59
Guest
«Reply #129 on: January 22, 2013, 11:55:42 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut bahut hi khoob likha hai tumne ek dam romantic


Paas zara mere baitho hum aankhon se pilaate hai
Peete hi behak jaao,aisa hi kuch kar jaate hai

Mujh mein tumhe jo apni khushi nazar aati hai
Tum kho na jaao is liye tumhe palkhon mein chupaate hai

Nazaron ko jhukaaye tum jo mere intezar mein rehte ho
Choomkar in aankhon ko chalo aaj apni pyaas bhujaate hai

Mera pyaar tumhare saath rehkar tumhe rone na dega
Na tadpon ki dekho hum tumhe seene se lagaate hai


lovely  Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #130 on: January 22, 2013, 11:58:31 AM »
Reply with quote
lovely  Applause Applause
thank you sooooooo  much suman jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #131 on: January 22, 2013, 12:38:15 PM »
Reply with quote
aapne bhi bahut khoob jawaab likha hai Aqsh ji... bahut bahut khoob.....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

kitnaa aaraam miltaa hai tumhaare seene se lag ke kyaa bataaye tumhe hum
kaise dhadkano ki tezi badhti hai tumhe yaad kar, kyaa bataaye tumhe hum

baarish ki boonden bhi aag jaisaa kuch lagaa ke jalaati hain humein abto
un boondon me aag kahaan se aati hai, tum hi kaho kyaa bataaye tumhe hum

tumhaare honth, jinki taazgi kisi gulaab ke phool se kam nahi hain kabhi
kisi gulaab ko tumhaare paas laake, use chhoo ke kyaa dikhaaye tumhe hum

saawan ki jhadi ho tum, suraj ki mujhe chhooti, wo pehli kiran hi ho tum
magar, ye baat kabhi aake kareeeb tumhaare bhalaa kyaa bataaye tumhe hum

hum to bas isi baat se khush hain ki tumhe hamaari mohabbat pe yakeen hai
tumpe humein kitnaa yakeen hai, tum hi kaho, yeh kaise bataaye tumhe hum

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #132 on: January 22, 2013, 12:49:54 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
beautiful hriday jee


Karte ho hum par yakeen kya hi khoob aitbaar hai
Jaante hai hum, na kaho ke tumhe humse pyaar hai

Seene mein tumhe bhar kar kaisa nasha chaa jata hai
Ishq par mere har waqt chaa jaata naya khumaar hai

Labon ko mere chookar jo tum ise gulaab kehte ho
Sunkar ise mere husn par phir chadta nikhaar hai

Mat karo tareef itni ke sunkar kaise bataye tumhe
pukaar uth thi hai meri wafa ke humko bhi tumse pyaar hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #133 on: January 22, 2013, 02:28:04 PM »
Reply with quote
shukriyaaa Aqsh ji.... aapne bhi bahut khoob likha hai....!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


ek lamhaa guzartaa nahi tum bin meraa
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai
naa dekhun tumhe to chain miltaa nahi
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

kaho to chaand laa dun tumhaare liye
par jaante ho tum ye mumkin nahi hai
kaho to main ye zameen hi hilaa duun
par jaante ho tum ye mumkin nahi hai

hai bas ek maasoom si mohabbat tumse
tum kaho to main baar baar bataa dun
par kuch achcha nahi lagtaa tum bin
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

tum kaho to bijliyaan main giraa dun
kaho to dil me aag hi main lagaa dun
par ye to maaloom tumko bhi hai naa
ki aisaa karnaa mumkin to nahi hai

magar ye baat sach hai meri jaanaa
ki mujhe sirf  tum se mohabbat hai
chaahungaa umra bhar tumhe is tarhaa
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #134 on: January 22, 2013, 02:48:33 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob



Na mumkin kaam tum se karana nahi chahte
Dil ko tumhare dard dekar muskuraana nahi chahte

Woh hi karo hamesha jo mere dil ko lubha sake
Kiya hai jo wada na kahna ke nibhaana nahi chahte

Hai tumse mohabbat itni ke tum yakeen na kar sakoge
Tum se bichad kar ab door jaana nahi chahte

Mohabbat mein tumhari basar kar loon yeh zindagi
Tumhare saath guzaare lamhon ko bhulaana nahi chahte
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:03:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer