Yaad aate ho..........................................Aqsh

by aqsh on January 09, 2013, 05:01:18 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 6553 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #135 on: January 22, 2013, 06:41:57 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

tumhaare aankhon se thodaa saa sharaab piungaa
hothon ko chhuu ke main thodaa saa gulaab piungaa

pyaasi hain meri aankhen tumhaare deedaar ke liye
dekh ke tumhe aankhon se cheez laajawaab piungaa

aake baithnaa kuch pal saamne, do baatein karnaa
main tumhaare husn ko nazron se behisaab piungaa

mil jaanaa aake ragon mein behte khoon ki tarhaa
main aaj jee bhar ke tumhaaraa shabaab piungaa

chaahe kehlo nasheri, yaa mujhe sharaabi kehlo
aaj tumhaare aankhon se thodaa sharaab piungaa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum yaad aate ho!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4  All »
Yaad aate hai by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
yaad aate ho by saahill in Share:Love Poetry
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad aata hai..........................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
aqsh
Guest
«Reply #136 on: January 23, 2013, 05:48:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Pee ke meri aankhon se tum behak jaate ho
kushboo meri saanson ki paake mehek jaate ho

Yeh hamare pyaar ka hi rang chada hai tum par
Chaand ki tarah phir tum bhi chamak jaate ho

Saamne toh bait jaye tumhare kuch pal ke liye
Tum meri ankhon se moti ban kar tapak jaate ho

Humse doori ka ehsaas tumhe maare jaa raha hai
Mujhe paas paakar phir tum chehak jaate ho



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #137 on: January 23, 2013, 10:13:30 AM »
Reply with quote
bahut sundar, bahut bahut khoob Aqsh ji.....!!!

tumhaari baatein soch soch ke hum kho jaate hain
tum aaoge khwaab me yeh soch ke hum so jaate hain

kabhi kabhi dekhte hain apni khidke se jhaank ke
naa paake tumhe kahin, hum chup se ho jaate hain

tadapte rehte hain tumse milne ko subah se shaam
yaadein aansoo banke aankhon ko bhigo jaate hain

jaante hain ki tum aaoge, kuch pal ki deri  hogi
jaan ke bhi hum un palon me paagal ho jaate hain
Logged
aqsh
Guest
«Reply #138 on: January 23, 2013, 10:51:38 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya khoob likha hai aapne hriday jee


Hum chale aate bas ek baar pukaara hota
Khwaab jaroor poora woh tumhaara hota

Khidki par nazrein kyun jamaye baite rehte ho
Ek baar keh kar to dekhte mera dil tumhaara hota

Tadap kar hamari yaad mein kyun tum rote ho
Gaur se suno meri dhadkanon mein zikr tumhaara hota

Chalti hai hawayein jab tumhara naam lekar
Meri har saans par bas naam tumhaara hota


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #139 on: January 23, 2013, 11:08:36 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut sundar, bahut bahut khoob Aqsh ji.....!!!



naa karo yun baatein bas dil behlaane ke liye
karo tum dil se ek koshish, paas aane ke liye

hum to tum se jeete hain, tumpe hi marte hain
uthaao koi kadam meraa saath nibhaane ke liye

kab tak yunhi duur duur se baatein karoge tum
dedo ek maukaa tumhe seene se lagaane ke liye

ye ghum, ye aansun, ye dard judaai kaa kab tak
karo naa faislaa aakhri tum muskuraane ke liye

yaa to aajaao paas mere, aake ban jaao tum mere
yaa fir de do mujhe koi duwaa mar jaane ke liye

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #140 on: January 24, 2013, 12:37:31 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 so beautiful and romantic lines


Karte nahi hum dillagi tumhe manane ke liye
Baite hai intezar mein tumhare paas jaane ke liye

Chal padhe hai hum tumhare kareeb hone ke liye
Rooh tadap uthi hai tumse dil lagaane ke liye

Door door rehkar baatein karna ab hame nahi bhaata
Karo koi jatan tum hame apne saath le jaane ke liye


Zindagi mein ab koi gam koi gile shikwe na ho
Kitne betaab hai hum tumhe gale lagaane ke liye

Aa jaao ke ab yeh judaai ka gam nahi utha sakte
Dil betaab hai zid karta hai tumhe paane ke liye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #141 on: January 24, 2013, 03:51:29 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Aqsh ji ... aur aapne bhi bahut khoobsurat jawaab likha hai....!!! bahut bahut khoob.....!!!


dekho naa ye bagichein aaj fir khilne lage hain ki tum aaoge
ye panchhi pankh failaaye fir se udne lage hain ki tum aaoge

banjar thi, sukhi thi kabse yeh zameen tumhaare nahi hone se
aaj isme phool khile hain, taazi khushboo si hai ki tum aaoge

intezaar jo barson se thaa aaj wo khatam saa lagne lagaa hai
dil me khushi ki leher si hai aaj, khush hain hum ki tum aaoge

firse hothon pe muskaan saji hai, wajah hogi fir nayi jeene ki
naa dilme koi dard hogaa, muskuraa rahe hain hum, ki tum aaoge

baahen kabhi sooni naa hongi, haathon me tumhaaraa haath hogaa
saath hogaa tumhaaraa umra bhar kaa, jaan gaye hain ki tum aaoge

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #142 on: January 25, 2013, 07:45:27 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut bahut khoob hriday jee


Na karo ab aur intezaar hum aa rahe hai
Phool bhi dekho dekhkar muskuraa rahe hai

Tumse milne ki chahat dil mein liye hue
Phoolon ki tarah hum bhi mehke jaa rahe hai

Judaai ke yeh pal ab khatm hone ko hai
Dil mein khushi bhare umang lehraa rahe hai

Jab se pakda hai tumhare haath meri jaan
Geet naya koi har pal gungunaa rahe hai




Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #143 on: January 25, 2013, 10:57:29 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah wah bahut bahut khoob ji.... masssttt jawaab hai aapkaa....!!!


aajaao, ki ab bhi hum me thodi si jaan baaki hai
tumhaaraa diya huwaa abhi 'hriday' naam baaki hai

ab aajaao, aake khatam karo, ye lamhaa judaai kaa
zindagi chhoti hai, aur bahut se kaam baaki hain

tumko saath leke ab taye karnaa hai safar baaki
zindagi ke, ab bhi bahut se imtehaan baaki hain

baaki hain thodi dhadkanein, thodi si saans hai
lene ko tumhe baahon me ye dil pareshaan baaki hai

abhi to din niklaa hai, yakeen hai ki tum aaoge
chaand to niklaa nahi, abhi poori shaam baaki hai

tumse main duur hoon, magar dil tumhaare paas hai
aashiq kehlaataa hoon, meri yeh pehchaan baaki hai

kab tak tadpaaoge, kab tak mujhe tum yun sataaoge
ye aashiq tumpe karne ko ye jaan qurbaan baaki hai

aake mujhe chhu lo tum aur baahon me bhar lo mujhe
humpe tumhaaraa karne ko abhi ye ehsaan baaki hai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #144 on: January 25, 2013, 03:03:00 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Hriday jee lagta hai hum anjaam tak pahoonch gaye. Bahut bahut khoob.


Chalo aaj milkar apna aashiyaana basaate hai
Bhool kar sab baatein apna waada nibhaate hai

Na tum humse door jaana na mai tumse door rahoon
Milkar ek doosre ke khwaabon ko hum sajaate hai

Aaj muddathon baad aayi hai yeh shaam suhaani
Chalo milkar is shaam mein hum gungunaate hai

Bahut ho chuka ab yeh luka chupi ka khel
Kho kar ek doosre ki aankhon me doob jaate hai

Kitne arso se dil bekarar tha hamara is pal ke liye
Chalo milkar is pal ko aaj hum apna banaate hai

Ab na tum kuch kehna na mai hi kuch kahoongi
Bas nazron se ek doosre ko apna haale dil sunaate hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #145 on: January 30, 2013, 11:29:35 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Aqsh ji.. bahut pyaaraa jawaab....!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause


kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge....

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #146 on: January 31, 2013, 04:21:47 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waah waah kalam phir chalne lag gayi


Tumhara yun hame dekhna aur hamara ghabraana
Hame ghabraate dekh tumhara yun muskuraana

Kitne pyaari hai mohabbat ki yeh ghadiyaan
Ishaaron se woh tumhara hame yun chidaana

Pal bhar mein badal jaati hai yeh shaam
Karke naye naye ishaare tumhara woh sataana

Haan aise pehe to kabhi hua hi nahi tha
Hamara woh akele mein tumhe hi bulaana

Yeh junoon yeh pagalpan hai tumhari mohabbat ka
Akele mein tum ho jaankar hamara sharmaana

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #147 on: January 31, 2013, 10:05:03 PM »
Reply with quote
khoobsurat jawaab....!!!  Applause Applause Applause Applause Applause

dekhaa tumhaari aankhon ko, main apne ghar kaa thikaanaa bhool gayaa
doobaa kuch is qadar aankhon me ki main saaraa zamaanaa bhool gayaa

tumhaare kareeb aayaa thaa main kisi bahaane se yeh yaad hai, magar
tumne pyaar se chehre pe haath feraa, main woh bahaanaa bhool gayaa

apni zulfon ko khol ke jab mere chehre ko chhipaayaa thaa tumne kal
main bas tumhaaraa ban gayaa aur sab kuch main puraanaa bhool gayaa

mujhe seene se apne lagaa ke jab tumne ye kahaa main tumhaaraa hoon
haaye, kyaa kahun kaise, khud ko tumhaaraa ye deewaanaa bhool gayaa

tumhaare shabnami honth, tumhaari sharbati aankhen, kyaa kahun main
jab se tum ko dekhaa hai maine, yeh aashiq aashiqaanaa bhool gayaa

subah se shaam, shaam se raat, aur fir subah tak khoyaa rehtaa hoon
madhosh huwaa is tarhaa mohabbat me ki hosh me aanaa bhool gayaa


*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #148 on: February 01, 2013, 07:38:47 AM »
Reply with quote
Waah! hriday jee bahut romantic tha. ispar thoda mai bhi thadka laga deti hoon.


Dekhkar meri aankhon mein, tum saara zamaana bhool gaye
Chookar tumhare honton ko, hum sharmaana bhool gaye

Lekar chaand sa roshan chehra, tumhara apne haathon mein
Chiraagon se apne ghar ko, phir chamkaana bhool gaye

Tumhari saanson ki khushboo se, mehekne lagi thi mai
Phool bhi phir apni, khusboo ko mehkaana bhool gaye

Kaisi kashish thi, tumhare baanhon ke ghere mein ki
Madhosh hi rahe hum, aur hosh mein aana bhool gaye

Ek pal ke liye bhi, tum se door na ho sake hum
Kaise juda hote, jabke door hone ka bahaana bhool gaye


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #149 on: February 01, 2013, 11:49:10 AM »
Reply with quote
waa waah waah waah kyaa kehne Aqsh ji.. bahut bahut khoob likha hai aapne....!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


kaise aaj kal hawaayein chhed jaati hain humein, kyaa bataayein tumhe
chuute hi hawaaon ke hum kaise mehek jaate hain, kyaa bataayein tumhe

kabhi tanhaayi me, apne kamre me, aankh band kar len to tum dikhti ho
baatein karte hain tumse kyaa kyaa us waqt hum, kyaa bataayein tumhe

sab kuch tumhaaraa kiyaa huwaa hai, tum hi ho hamaare haalat ke kaaran
ab hamaare haalaat kaise badle hain tumse milke, kyaa bataayein tumhe

pehle dar lagtaa thaa humein tanhaayi se, ab lagtaa hai ki tanhaa rahe
tum milti ho humse hamaari tanhaayi mein, ye baat kyaa bataayein tumhe
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer