Yaad aate ho..........................................Aqsh

by aqsh on January 09, 2013, 05:01:18 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12
ReplyPrint
Author  (Read 6328 times)
aqsh
Guest
«Reply #150 on: February 01, 2013, 02:11:01 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Baaton ko poetry mein convert karne ka aapka skill bahut achcha hai hriday jee. daad deti hoon aapko.


Band aankhon se tum mera deedaar karte ho
jaana kyun humse tum itna pyaar karte ho

Karke aisi pyaari pyaari baatein mujhse
Aksar mere dil ko phir bekarar karte ho

Dhalti hui shaam ke saath kya tum bhi
Meri hi tarah mera intezaar karte ho

Sochkar tumhe khayalon mein batein karti hoon
Kya aisa hi kuch tum bhi mere yaar karte ho

Tanhaa hai yeh meri raatein ab tum bin
Aakar keh jaao tum mujhe bahut pyaar karte ho


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum yaad aate ho!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4  All »
Yaad aate hai by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
yaad aate ho by saahill in Share:Love Poetry
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad aata hai..........................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #151 on: February 05, 2013, 02:15:27 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Aqsh ji... aur aapne bhi bahut shaandaar jawaab likha hai.. bahut achche ji....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


pyaar kitnaa karte hain tumse, iskaa koi hisaab nahi
aur pyaar kyun karte hain tumse, iskaa koi jawaab nahi

yun to duniyaa saji hai khoobsurat phoolon se, magar
tumsaa khoobsurat aaj tak dekhaa maine koi gulaab nahi

chadtaa hai nashaa peene ke baad har kisi ko, magar
jo nashaa tumhaari aankhon me hai, aisi koi sharaab nahi

kyun aaj tak kisi ne pehchaanaa nahi mujhe tum se pehle
main bhi to ek insaan hoon, main cheez koi kharaab nahi

ab baaki kyaa rahaa kehne ko, meri baaton se samajh jaao
aankhon me saje hain bahut, magar tumse hasi koi khwaab nahi

Logged
aqsh
Guest
«Reply #152 on: February 06, 2013, 06:08:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Woooooooow! hriday jee itni tareef karoge toh mere paaon zameen mein nahi rahenge.
But really beautiful. Kuch waqfa ho gaya hai toh kalam ko chalne mein waqt lagega phir bhi choti si koshish kar rahi hoon.

Pyaar mujhse karte tum behisaab ho
Tareef meri karne mein tum lajawab ho

Choom loon un hathon ko jinse likhe ho
meri zindagi, meri mohabbat, mere khwaab ho

Mera har sher meri har ghazal tumhare liye hai
Mere dil mein basne wale heera nayaab ho

Mujhe apna bana lo zindagi bhar ke liye
Mere har ek sawaal ka tum hi toh jawaab ho
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #153 on: February 07, 2013, 09:00:23 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoooob likha hai aapne...!!!



aao milke hum apne zindagi ki nayi kahaani likh den
hum ek dusre ke naam apni apni yeh jawaani likh den

do shabd tum likho, do shabd main likhun aaj yahaan
is tarhaa se hum apne mohabbat ki nishaani likh den

chaar din ki zindagi hai fir to maut aani hai sabko
kyun naa hum zindagi ko behtaa huwaa paani likh den

band kar ke aankhen doob jayen ek duje me is tarhaa
khud ko deewaanaa aur tum ko apni deewaani likh den
Logged
aqsh
Guest
«Reply #154 on: February 08, 2013, 04:19:22 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
it was a beautiful reply

Chalo hum bhi tumse milkar kahani likhte hai
Tumhe mere pyaar ki chadti jawaani likhte hai

Do shabd mein kaise likhoon mere un ehsaas ko
jazbat e mohabbat ki hum woh rawani likhte hai

Maut se kyun daroon, ban gaye meri jaan ho tum
Kaho jo tum, khud ko tumhari deewani likhte hai

Sukoon tumhari baanhon mein jo milta hai hame
Aaj wohi lafz ko hum be zubaani likhte hai

Tumhari chahat pe marte hai hum raat aur din
Tumhare saath ko hum apni zindagaani likhte hai



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #155 on: February 09, 2013, 06:35:39 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

hawaaon me yeh kaisi mehek hai aaj kuch alag si
shayaad mere mehboob ke aane ki yeh gawaahi hai

phoolon me bhi taazgi kuch nayi nayi si hai aaj
shaayad tumse milke aaye honge, yeh gawaahi hai

gagan ke aaj baadal dekho, shaayad baarish hogi
tumhaari aankhon me doobne ki to yeh gawaahi hai

har cheez is duniyaa ki tumhe chhuu ke sajti hai
unki khoobsurti itni badhti hui, yeh gawaahi hai

saboot maango agar mere mohabbat ki, kahun main
tumhe dekhke muskuraanaa meraa, yeh gawaahi hai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #156 on: February 09, 2013, 01:06:45 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waah waah hriday jee. bahut khoob. ab mai is mahol ko aur jyaada romantic karti hoon.


Meri adhoori mohabbat ko aaj, tum mukammal kar do
Bhar lo apni baahon mein aur, mujhe paagal kar do

Apni jism ke kushboo se, meri rooh ko mehkado
Meri aankhon mein apne naam ka, kaajal kar do

Tum hum me kho jao aur, hum tum mein kho jayenge
Na rahe faasle ab koi, mujhe duniya se ojhal kar do

Meri mohabbat ko, apne ehsaas se mehsoos kar lo
Zindagi ke dhoop ko, khushiyon bhara badal kar do

Andaz behek jaaye, baatein bhi shararat bhari ho
Apni mohabbat mein rang kar, roshan mera kal kar do
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #157 on: February 09, 2013, 09:47:05 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
sahi me aapne to jaadu chalaa diyaa hai... chahiye hum bhi thodaa ras daalne ki koshish karte hain....!!!


nashaa saa chhaane lagaa hai mohabbat kaa
zaraa waqt ko aaj yahaan thahar jaane do

dooriyaan itni kam ho jaayen darmiyaan aaj
saanson ko saanson se hoke guzar jaane do

bheege lab tumhaare mere labon ko chhuulen
usi meethe zeher se aaj mujhe mar jaane do

haathon ki ungliyaan kare sharaarat thodi
pyaar ke sparsh se khudko nikhar jaane do

na rahe koi baat baaki dil me humhaare ab
dil ki hasratein saari poori kar jaane do

khuli baahen meri, tumhe bulaa rahi hain
aake inme khud ko tut ke bikhar jaane do
Logged
aqsh
Guest
«Reply #158 on: February 10, 2013, 04:01:22 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
How romantic! bahut khoob aapne likha hai. baar baar padhne ko dil karta raha.

Baanhon mein tumhari aakar, bikhar gayi hoon mai
Choo liya tumne labon se, aur nikhar gayi hoon mai

Yeh kaisa jadoo hai, tumhari aagosh mein aakar ab toh
Madhosh ho gaye is tarah ke, bas tehar gayi hoon mai

Is tarah toh na dekhon tum, apni katil nigahon se ki
Bhool gayi hon sab kuch, hadd se guzar gayi hoon main

Ab toh subah bhi kahne lagi hai hamare pyaar ki kahani
Dekh kar tumhari aankhon mein phir sanwar gayi hoon main




Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #159 on: February 10, 2013, 05:58:08 AM »
Reply with quote
justt beautiful Aqsh ji... !!!

dil ki dhadkano me ho, meri saanson me ho naa
mere dil ki sab hasratein, unn hasraton me ho naa

mere saanson ki garmi, tere hothon ki woh narmi
mehsoos kar rahaa hoon, tum meri baahon me ho naa

tumko hi chaahtaa hoon, tumko hi maangtaa hoon
banke haseen khwaab koi, meri aankhon me ho naa

dhundne ko jaaun kahaan, tum abhi mere paas ho
chaltaa hoon main jahaan, unn raahon me ho naa

udd rahi hai titliyaan, phoolon me nayaa rang hai
mehek jo ye aa rahi hai tum in hawaaon me ho naa

baarish jo aaj ho rahi hai, tum ho ye bataa rahi hai
tum aasmaan me faile huye ghani ghataaon me ho naa

ragon me behte ho tum, mere dil me to rehte ho tum
dekhun jis taraf bhi main, sab dishaaon me ho naa

chaahtaa hoon main jise wo shaqs mere saath hai
har lamhaa har ghadi tum meri mohabbaton me ho naa
Logged
aqsh
Guest
«Reply #160 on: February 10, 2013, 03:08:44 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Mehsoos karo hame ki ab, paas aane lage hai
Tumhare dil ke armaan ko, aur jagaane lage hai

Tumhari har hasrathon mein, sirf hum hi hum hai
Bikher kar apni khushboo, tumhe mehkaane lage hai

Tumhare aankhon mein basne wala, koi khwaab bankar
Behek na jaana kahin, hum tumhe churaane lage hai

De do apna haath mere haathon mein, thaam lo hame
Mita do dooriyan ki ab pyaas jagaane lage hai

Na daro har lamha har ghadi hum tumhare hi saath hai
Machal kar ab tum mein hum bas samaane lage hai




Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #161 on: February 11, 2013, 09:11:01 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

main tumhaaraa hoon, khud ko bhi mere ho jaane do
doob jaao meri aankhon me, khud ko tum kho jaane do

ho baarish mohabbat ki kuch is tarhaa dono taraf
barse boonden nashili, tum khud ko bheego jaane do

aate ho mere khwaabon me tum har ghadi, isliye
mujhe kuch palon ke liye fir se so jaane do...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #162 on: February 12, 2013, 04:47:57 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Dekho maine ise aur romantic bana diya hai  happy3


Bana lo hame apna hum aur kareeb aate hai
Chalo aaj hum ek doosre mein samaate hai

Baarish mein bhi chalke pasina hi pasina
Mohabbat ki kuch aisi aag jalaate hai

Khwaab na samjho hum haqeeqat mein hai tumhare
Aaj baanhon ki sakhti mein hum toot jaate hai

Baarish ki boondhon mein hum tum bheeg kar
beege badan ke shararon ko pee jaate hai

Barasne do phoolon ko aaj hum par meri jaan
Chalo hum milkar koi naya raas rachate hai


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #163 on: February 12, 2013, 04:49:57 PM »
Reply with quote
Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
kyaa baat kyaa baat kyaa baat... bahut hi dhamaakedaar jawaab.. maine bhi ek chhoti si koshish ki hai...!!!


mehek jaaun main tumhaari khusboo mein
tumhaare itne kareeb aa jaaun main aaj

khol do tum apne zulfon ke bandhan ko
tumhaari zulfon me kho jaaun main aaj

rang churaa lun tumhaare hothon kaa aur
apne hothon ko unse rang jaaun main aaj

jism ki dooriyaan itni kam ho jaayen ki
tumhaare jism kaa hisaa ho jaaun main aaj

kuch is tarhaa haddon ko paar karte hain
mohabbat kaa koi kissa ho jaaun main aaj

chum loon tumhaari aankhon ko hothon se
haseen saa koi khwaab ban jaaun main aaj

tum poochho sawaal mujhse mohabbat ke aur
har sawaal kaa jawaab ban jaaun main aaj

betaabi ko tumhaari itni badhaa dun main
tum se tum hi ko duur le jaaun main aaj

rok naa paao khud ko kuch aisaa kar dun
nashe ki poori botal ban jaun main aaj

tumhaari mohabbat aur badh jaaye mere liye
jaadugari se kuch aisaa kar jaaun main aaj

lelun jaan tumhaari apni mohabbat me yaa fir
tumhaari mohabbat me khud mar jaaun main aaj
Logged
janumanu
Guest
«Reply #164 on: February 12, 2013, 05:37:26 PM »
Reply with quote
Kaise dilaye yakeeN ke, tum bahut yaad aate ho
Mujhi meiN meri rooh ki tarah,  samaate ho

Jab sard hawaoN ke jhokhoN meiN, shaam guzarti hai
Tum khwaboN meiN aakar, meri raatoN ko sajaate ho

Bekhabar ho tum, ya meri mohabbat se anjaan ho
Mere dil ke is aashiyane ko, bas tum hi basaate ho

Aaine meiN doondhte ho, tum mere aks ko hardam
Mere deedar ke liye, apna sir kyuN nahi jhukate ho

Jo nazreiN meri aksar, bayaan karti hai tumse
"Aqsh" ki un jazbat ko, kyuN nahi samajh paate ho


bahut khoob sahab
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:51:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer