Yaad aate ho..........................................Aqsh

by aqsh on January 09, 2013, 05:01:18 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 6336 times)
suman59
Guest
«Reply #45 on: January 10, 2013, 12:02:58 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

again bnoth of you very very good going. keep up. nice reading you both hriday and aqsh
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum yaad aate ho!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4  All »
Yaad aate hai by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
yaad aate ho by saahill in Share:Love Poetry
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad aata hai..........................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #46 on: January 10, 2013, 12:16:46 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Suman ji....!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

again bnoth of you very very good going. keep up. nice reading you both hriday and aqsh
Logged
aqsh
Guest
«Reply #47 on: January 10, 2013, 12:20:32 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

again bnoth of you very very good going. keep up. nice reading you both hriday and aqsh
shukriya suman jee
Logged
aqsh
Guest
«Reply #48 on: January 10, 2013, 12:23:54 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
wooooooooooow! so beautiful hriday jee itni tareef

Sunkar tareef unse muskuraane lage hai hum
Khud se hi ab toh sharmaane lage hai hum

Aaina kya kahega jab us mein aks tumhara hai
Sochkar tumhe khud ko sajaane lage hai hum

Kaise milaye nazar tumse ab toh jaanaa
Khud mein simatkar ghabraane lage hai hum

Jahan dekhoon tum hi tum nazar aate ho
Haya se ab toh nazrein jhukaane lage hai hum
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #49 on: January 10, 2013, 02:12:57 PM »
Reply with quote
hmmmmm aaj thodaa late ho jaa rahe hain hum jawaab dene me ...kaam kuch zyaadaa hai office me... aur aapke jawaab ke kyaa kehne... bahut khoob sarkaar....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


tumhaari isi adaa pe to jaanaa hum marte hain
yahi wajah hai ki mohabbat bepanaah karte hain

tumhaare dil se awaaz aati hai jab hamaare liye
tadap uth_te hain hum, aur bas aahen bharte hain

sharmaate ho jab bhi kabhi tum humein soch kar
jaise kai teer hamaare dil se hoke guzarte hain

saanson ki tezi aur tez hone lagti hai us pal
dhadkan  jaane kaisi kaisi baatein karte hain

lagaa lete hain tumhaari tasveer apne seene se
kuch is tarhaa se hum jalan ko shaant karte hain

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #50 on: January 10, 2013, 03:24:57 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah hazir jawabi ke toh master ho aap kya kehne aap ke

Pyaar toh hum bhi tumhe beshumaar karte hai
Dil kya cheez hai jaan bhi tumpe nisaar karte hai

Tum jab tadapte ho aanhein bharte ho hamare liye
Hum bhi tadapkar apne dil ko beemar karte hai

Khud hi apne dil ko behlakar samjha lete hai
Khud hi dil ko pyaar mein bekarar karte hai

Sharmate hai tasveer mein tumhe dekhkar aksar
Phir chup chupkar dobara deedaar karte hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #51 on: January 10, 2013, 03:40:44 PM »
Reply with quote
aap bhi kisi angle se kam nahi hain ek percent bhi.. kyaa khoob jawaab de rahe hain.. waah ji waah... maan gaye.... bahut bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


ye aadat achchi nahi tumhaari yun dil lagaane ki
aate aate kareeb, fir bahut duur chale jaane ki

saansen meri jo chalti hain bas tumhaare naam se
tumhaari aadat hai meri saanson ko hi jalaane ki

sab ko chain miltaa hai mohabbat me doobkar, aur
tumhaari aadat hai mohabbat me hi aag lagaane ki

kyun karte ho aisaa, kaho naa, kyun tadpaate ho
tum anjaan ho yaa ye koshish hai mujhe sataane ki

kehte ho mohabbat hai mujhse jaan se bhi zyaadaa
aur, karte ho kaam meri jaan ko mujhse dur lejaane ki

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #52 on: January 10, 2013, 04:30:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah ji waaaaah ab iljam bhi hamare sar

Pyaar mein hadd se guzar jaana
Kabhi rootna toh kabhi manana

Yeh to hasinao ki adayein hai
Paas bulakar phir door jaana

Tumhari tadap se anjaan nahi
Tumhi se hai mujhe pyaar jaana

Tadap tadap ke jo pyaar paata hai
Woh hi kehlata hai aashique deewana
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #53 on: January 10, 2013, 04:45:41 PM »
Reply with quote
hmm thodaa twist laa diya bas... tongue3
aapne jawaab fir ek baar bahut achcha likha hai

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


haseeno ki aadat hai ye hum jaante hain
tum jo keh rahe ho use sach maante hain

par kab tak yunhi tadpaati rahogi mujhe
tumhaari aadat buri hai, ye jaante hain

pyaar to karte ho tum bhi humse jaanaa
par tumhaari sharaaraton ko jaante hain

khush hoti ho tum humein tadaptaa dekh
tumhaari har badmaashi pehchaante hain

karlo sitam jitnaa chaaho karnaa mujhpe
par tum meri ho, ye baat bhi jaante hain

*****HRIDAY*****
Logged
armanje
Guest
«Reply #54 on: January 11, 2013, 02:35:22 AM »
Reply with quote
 icon_scratch icon_scratch ye to ishq ka dariya hai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #55 on: January 11, 2013, 04:27:18 AM »
Reply with quote
icon_scratch icon_scratch ye to ishq ka dariya hai
sorry armanje jee its not like that but just a game
Logged
aqsh
Guest
«Reply #56 on: January 11, 2013, 04:44:32 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kahani mein twist to aate jaate rahenge

Jaante ho gar tum ke hame tumse pyaar hai
Phir na jaane kyun dil tumhara bekarar hai

Mohabbat mein tumhare apne dil ko jalakar
Aaj mujhpar chaya kaisa yeh khumaar hai

Ab na rahe dooriyaan do dilon ke beech
Aa jao ke aaj giraani har deewaar hai

Bhoola do har gile shikwe aaj tum ke
zindagi meri tumse hi mere dildar hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #57 on: January 11, 2013, 07:40:16 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

waah waah bahut khoob... lijiye ek aur twish ki taraf fir turn letaa hoon....!!! Usual Smile


aaj bhi mujhe jaane kyun mohabbat se dar lagtaa hai
hai tumpe, magar fir bhi aetbaar se dar lagtaa hai

dekhaa hai bahuton ko pyaar karke aansu bahate huye
shaayad yahi wajah hai mujhe aansuon se dar lagtaa hai

dekhta hoon kai khwaab main tumhaare saath, magar
kyaa ye sach hai, tut_te huye khwaab se dar lagtaa hai

kadam badhaanaa hai magar tab thi ruk jaataa hoon main
ye kadam galat naa ho, bas is baat se dar lagtaa hai

tumhi kaho, apne is bandhte tut_te khwaab kaa kyaa karun
dartaa nahi thaa main, magar najaane kyun ab dar lagtaa hai

*****HRIDAY*****
Logged
suman59
Guest
«Reply #58 on: January 11, 2013, 07:58:32 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah hazir jawabi ke toh master ho aap kya kehne aap ke

Pyaar toh hum bhi tumhe beshumaar karte hai
Dil kya cheez hai jaan bhi tumpe nisaar karte hai

Tum jab tadapte ho aanhein bharte ho hamare liye
Hum bhi tadapkar apne dil ko beemar karte hai

Khud hi apne dil ko behlakar samjha lete hai
Khud hi dil ko pyaar mein bekarar karte hai

Sharmate hai tasveer mein tumhe dekhkar aksar
Phir chup chupkar dobara deedaar karte hai


sabhash aqsh jee... lovely lines
Logged
suman59
Guest
«Reply #59 on: January 11, 2013, 07:59:57 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

waah waah bahut khoob... lijiye ek aur twish ki taraf fir turn letaa hoon....!!! Usual Smile


aaj bhi mujhe jaane kyun mohabbat se dar lagtaa hai
hai tumpe, magar fir bhi aetbaar se dar lagtaa hai

dekhaa hai bahuton ko pyaar karke aansu bahate huye
shaayad yahi wajah hai mujhe aansuon se dar lagtaa hai

dekhta hoon kai khwaab main tumhaare saath, magar
kyaa ye sach hai, tut_te huye khwaab se dar lagtaa hai

kadam badhaanaa hai magar tab thi ruk jaataa hoon main
ye kadam galat naa ho, bas is baat se dar lagtaa hai

tumhi kaho, apne is bandhte tut_te khwaab kaa kyaa karun
dartaa nahi thaa main, magar najaane kyun ab dar lagtaa hai

*****HRIDAY*****

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

One of the hottest jugalbandi ...wonderful keep up hriday
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:10:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer