YaaN se guzar raha tha tu socha k dekh luN (by vb jee)

by vb on January 24, 2020, 05:48:39 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 537 times)
vb
Guest
Reply with quote

Suraj utar raha tha tu socha k dekh lun
Kuhra theher raha tha tu socha k dekh lun

Yadon men kya kisi ki men zinda hun ya nahi
YaaN se guzar raha tha tu socha k dekh luN

Is bazm mein har aik tammanna ko haar kar
Dil ab mukar raha tha tu socha k dekh luN

Mein bhi kabhi is anjuman-e-ehl-e-dil k beech
Ehl-e-hunar raha tha tu socha k dekh luN

Kuch roz se ye dil meray vehm-o-gumaan ko
Betaab kr raha tha tu socha k dekh luN

Ik shab guzeeda shaam k maathay pe ik diya
Chupkay se mar raha tha tu socha k dekh luN

YadoN men doobi shaam ki chilman ki ote se
Aariz ubhar raha tha tu socha k dekh luN

Ik shakhs k fareb-e-tabbassum se chand sal
Mein bay-khabar raha tha tu socha k dekh luN

Is gulsitaaN se door kahin shehr-e-karb mein
VB bikhar raha tha tu socha k dekh luN

........

سورج اتر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں
کُہرا ٹھہر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

یادوں میں کیا کسی کی میں زندہ ہوں یا نہیں
یاں سے گزر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

اس بزم میں ہر ایک تمنا کو ہار کر
دل اب مُکر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

میں بھی کبھی اس انجمنِ اہلِ دل کے بیچ
اہلِ ہُنر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

کُچھ روز سے یہ دِل، مِرے وہم و گمان کو
بیتاب کر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

اک شب گزیدہ شام کے ماتھے پہ اک دیا
چُپکے سے مر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

یادوں میں ڈوبی شام کی چلمن کی اوٹ سے
عارض اُبھر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

اک شخص کے فریب تبسم سے چند سال
میں بے خبر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

اس گلستاں سے دُور کہیں شہرِ کرب میں
وی بیؔ بِکھر رہا تھا تو سوچا کہ دیکھ لوں

------

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #1 on: January 24, 2020, 07:48:26 PM »
Reply with quote

Suraj utar raha tha tu socha k dekh lun,  correct this to thru out.

waah waah hee waah bahut khoob. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #2 on: January 26, 2020, 06:33:50 AM »
Reply with quote
Mahutram VB saahab aadab ,,

Aapki ghazal aankhon ke raaste dil ki zameen per apne wajood ki tukhm rezi kar rahi hai ,, Aabdaar kahon ke taabdaar , shandaar kahon ke jaandaar , kaatdhaar kahon ke dhardaar ,, Allah Allah kya murassa ghazal kahi hai janab ,, Ghazal agarche ik taweel musafat ke baad naaye imkanaat aur nai jehaton se aashna ho gai hai taaham iska asl rang yahi hai jo aapki ghazal me numaya hai,, aise nayab o nader kalam ab kahan parhne ko milte hain saahab bahut bahut shukriyah ... office me masroof hun magar aapki ghazal ne aisa hisaar bandha ke iski qaid se nikalne ka yahi eak tareeqa tha ke daad de kar iska haq ada kiya jaaye afsoos ke haq ada na ho saka ...kahan se laaye.n aise sitaaishi kalimaat jo is ghazal ke shayan e shaan hon ....dad o tahseen ke saare kahe unkahe jumle aapki is ghazal ke huzoor ...Allah aapko khoob se khoob nawaze ...

Dua go
Qadeer toopchi
Logged
vb
Guest
«Reply #3 on: January 27, 2020, 02:24:30 PM »
Reply with quote
waah waah hee waah bahut khoob. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Muhtaram surindarn sahab!

Pazeerai aur aap mashwara pr aap k shukr-guzaar hen..

dua go
Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2020, 02:28:00 PM »
Reply with quote
Mahutram VB saahab aadab ,,

Aapki ghazal aankhon ke raaste dil ki zameen per apne wajood ki tukhm rezi kar rahi hai ,, Aabdaar kahon ke taabdaar , shandaar kahon ke jaandaar , kaatdhaar kahon ke dhardaar ,, Allah Allah kya murassa ghazal kahi hai janab ,, Ghazal agarche ik taweel musafat ke baad naaye imkanaat aur nai jehaton se aashna ho gai hai taaham iska asl rang yahi hai jo aapki ghazal me numaya hai,, aise nayab o nader kalam ab kahan parhne ko milte hain saahab bahut bahut shukriyah ... office me masroof hun magar aapki ghazal ne aisa hisaar bandha ke iski qaid se nikalne ka yahi eak tareeqa tha ke daad de kar iska haq ada kiya jaaye afsoos ke haq ada na ho saka ...kahan se laaye.n aise sitaaishi kalimaat jo is ghazal ke shayan e shaan hon ....dad o tahseen ke saare kahe unkahe jumle aapki is ghazal ke huzoor ...Allah aapko khoob se khoob nawaze ...

Dua go
Qadeer toopchi

Mohtaram Qadeer toopchi sahab !

Sahab, is qadar bhi taareef sun kr dil tu yehi chahta hay k aap ki baat pr yaqeen he kr len... magar kya keejay k apni auqaat se ye naa-cheez waqif he hay...

Aap ka shukrya k apnay qeemti waqt men se waqt diya aur hausla afzai farmaai ..

dua go

VB Jee
Logged
Nahid Ayaz
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
16 hours and 0 minutes.
Posts: 85
Member Since: Aug 2019

View Profile
«Reply #5 on: January 29, 2020, 08:14:52 AM »
Reply with quote
 Applause
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2020, 05:38:47 PM »
Reply with quote
Applause
Muhtaram surindarn sahab!

Pazeerai aur aap mashwara pr aap k shukr-guzaar hen..

dua go
You are welcome.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 12:00:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer