Ye alag baat ke kaha hi nahi

by aaina on September 27, 2010, 11:38:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1194 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Ehle bazm ki nazar ek adna si khoshish, apni qeemti aara se nawaaziyega


ye alag baat ke kaha hi nahi
bin tere meiN kabhi jiya hi nahi

bawafaaii ka dars yaad rahe
zakhm yuN, jaan kar siya hi nahi

roothne par koii manaata hai
humko is baat ka pata hi nahi

dard duniya ke baan_ta hi raha
apne zakhmoN ka kuch kia hi nahi

mujhko lai jaaye jo nagar tere
aayi aisii koii saba hi nahi

wo mujhay choR kar chala bhi gaya
aur ashqoN ka kuch pata hi nahi

uske qadmoN ki bas mile jannat
yaad iske siwa dua hi nahi

raat aankhoN mai kaise na kat_ti
chaand, badal mai tu chipa hi nahi

itna gum tha meiN teri baatoN mai
shor ruswaii ka suna hi nahi

tum hi aslam na rakh sake qaaboo
isme ashqoN ki kuch khata hi nahi






aslam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye alag baat hai humein... by daljeet_faqeer in Shayri for Dard -e- Judai
alag-alag...........(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Ye alag baat hain ke taqdeer.... by kudhama in Shayri-E-Dard
ye alag baat hai.... by Dineshkumarjonty in Shairi - E - Zindagi
sabse alag nahi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,jeet by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: September 28, 2010, 01:15:27 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Aslam ji...!!!

 Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: September 28, 2010, 01:21:54 PM »
Reply with quote
superbbbbbb creation aslam ji......dil ko chhed gaye aapke alfaaz.....sply ye kuch sher,

ye alag baat ke kaha hi nahi
bin tere meiN kabhi jiya hi nahi

dard duniya ke baan_ta hi raha
apne zakhmoN ka kuch kia hi nahi

wo mujhay choR kar chala bhi gaya
aur ashqoN ka kuch pata hi nahi

uske qadmoN ki bas mile jannat
yaad iske siwa dua hi nahi

itna gum tha meiN teri baatoN mai
shor ruswaii ka suna hi nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 28, 2010, 01:22:50 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah waah waah!!!!! Kya kehne Aslam Bhai..

Bahut bahut Khoob
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: September 28, 2010, 04:58:45 PM »
Reply with quote
Ehle bazm ki nazar ek adna si khoshish, apni qeemti aara se nawaaziyega


ye alag baat ke kaha hi nahi
bin tere meiN kabhi jiya hi nahi

bawafaaii ka dars yaad rahe
zakhm yuN, jaan kar siya hi nahi

roothne par koii manaata hai
humko is baat ka pata hi nahi

dard duniya ke baan_ta hi raha
apne zakhmoN ka kuch kia hi nahi

mujhko lai jaaye jo nagar tere
aayi aisii koii saba hi nahi

wo mujhay choR kar chala bhi gaya
aur ashqoN ka kuch pata hi nahi

uske qadmoN ki bas mile jannat
yaad iske siwa dua hi nahi

raat aankhoN mai kaise na kat_ti
chaand, badal mai tu chipa hi nahi

itna gum tha meiN teri baatoN mai
shor ruswaii ka suna hi nahi

tum hi aslam na rakh sake qaaboo
isme ashqoN ki kuch khata hi nahi






aslam


  BAHUT KHOOB ASLAM SB...!


              DARD AISA DIYA TUNE ISS GHAREEB KO,
              JAHAAN MEIN ISKI KOI DAWA HI NAHIN..!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: October 10, 2012, 05:19:43 PM »
Reply with quote
Aslam Sahaab Aadaab!


Masha Allaah janab kia kahne waaH bhai waaH kia gazab ki kalaam
kahi hai ... Bhai dil shaad ho gaya humara.. itni pur asar pur
noor dilfareb dilkash kalaam padhkar....  icon_flower icon_flower icon_flower

Janab kia umdaa khayaalaat piroye haiN aapne waaH... bahut khoob..
Har ashaar meiN gazab ki gehrai hai janab... Usual Smile

Meri dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Likhate rahiye...
Bazm meiN aate rahiye..

Allaah aapko humesha shaad O aabaad rakhe... aameen
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: October 11, 2012, 03:26:34 AM »
Reply with quote
KHUB KAHA AAINA JI AAPNE BOHUT KHUB
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:49:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer