yeh nahin rasm-e-jahaan mein har tarah bekaar hoon

by zarra on October 31, 2010, 10:20:01 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1012 times)
zarra
Guest
Reply with quote
yeh nahin rasm-e-jahaan mein har tarah bekaar hoon
baat bas yun hai ki rehta baarahaa bezaar hoon

gham bayaan karke chale to sun liye kuchh kehkahe
aajkal apne ghamon ka aap hi ghamkhwaar hoon

mujhko karna tha agar badnaam to kehte mujhe
apni badnaami ka khud sabse bada auzaar hoon

fikr-e-duniya mujh pe to tum rok paaoge nahin
par kaho ki sang-e-duniya ka bhi kya haqdaar hoon

haath phailaane pade mujhko kafan ke vaaste
jaan gayi jab muddaye par ke bahaut khuddaar hoon

jab talak sohbat hai khwab-e-husn-o-khaali jaam ki
nainaayat hi sahi lekin nahin nachaar hoon

girne waali hai labon pe aakhiri baadaa ki boond
bas abhi is paar hoon lo ab chalaa us paar hoon

thaa junoon jiska na paaya jo na chaahaa mil gayaa
dab gayee awaaz hoon jo chal gayaa vyapaar hoon
Logged
zarra
Guest
«Reply #1 on: November 08, 2010, 08:53:13 AM »
Reply with quote
kucchh taazaa sher kahe hain is ghazal mein ... nazar karta hoon ....


bak diya ghar kucchh junoon mein maaf kar de sochkar
chaah mein muztar teree gham mein tere beemaar hoon
muztar = restless

bedilee aur bewafaaee ka nahin ilzaam do
maantaa hoon benawaaee ka main gunaahgaar hoon
benawaaee = not speaking / tongue tied

hoon bahaut aasaan khone mein sabhi ne kho diya
soch lo par dhoondh paane mein bahaut dushwaar hoon
Logged
R.M. Dixit
Guest
«Reply #2 on: November 09, 2010, 02:37:30 PM »
Reply with quote

         Wah Janab Zarra, kya kamaal ka
         kalaam pesh kiya. Such MAIN  tabiyet
         khush hogayi. Lagta hai bahut dinon
         baad koi nayab gazal  ka deedar hua.
         Bahut shukriya bari meharbani.

         Tha janoon jiska, wo na paaya
         per jo na chaha milgaya." Bemisal ~!
         Is per bhi gaur phermayen:

          "UMRE DARAJ MAAG KE LAAYE THE CHAAR DIN
          DO AARZO MAIN KAT GAYE DO INTEZAAR MAIN."    
Logged
zarra
Guest
«Reply #3 on: November 09, 2010, 04:17:32 PM »
Reply with quote
shukriya janab dixit sahab ... aapkii zarranawazi ka aur gaur farmaane ka. tahe dil se shukriya.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:21:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer