Yeh Raah Kabhi Asaan Nahi Hote "Khwaish"

by khwaish on June 10, 2010, 11:52:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3400 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Dil mein Rehne wale juda nahi hote
kuch ehsaas lafzon mein
kabhi bayaan nahi hote..

Mohabbat ke Dum par Zinda Hai Abhi kayi Deewane!!!!
Dil ki kitaab Mein Qaid Hue
 lamhe Kabhi Dastaan Nahi hote...

Agar Mohabbat Sache Dil Se Ho to
Woh Mohabbat jeene Ki Wajeh Ban Jaati hai
Phir Mohabbat mein Mar-Mitne walo ke
 Koi naam-o-nishaan nahi hote..

Hijr ke Mausam mein Aankhon se Barsaatein Hoti hai
Mohabbat mein Mile Zakhmo Ke,
 Kabhi Koi nishaan Nahi hote...

Mohabbat Mein Insaan Dard mein Rehkar Bhi Muskurata Hai!!!
Yeh ek Duje ke liye Woh jazba hai,
jo kabhi Ek Duje Par Ehsaan nahi hote

Laila-majnu, Heer-Ranjha,Romeo-Juliet..
yeh Kisse Suunte Hai Hum sabhi!!
Mohabbat Ki Raah Par Chalna Ho to Sochlo,
Yeh Raah Kabhi Asaan Nahi Hote

"Khwaish" ki bas Itni si guzaarish Hai unn Aashiqo se!!!
"Apne Mehboob Ko Mehboob ka Hi darja Do,
Insaan Kabhi Khuda Ke Mukaam pe Nahi Hote.."

                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2010, 02:57:43 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut ache as usual...Akhri teen shaer toh bas dil ki deewaron main likh diye humne...behad khubsoorat! Applause Applause
Logged
fatima anam
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2010, 03:47:57 PM »
Reply with quote
very beautifully writtn.... Clapping Smiley hello2 i loved it... Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2010, 03:49:13 PM »
Reply with quote
ye wo jajba hai jo ek duje par aehsaan nahi hota.....bahut khoob khwaish ji......kya khoob kha aapne..chand alfaaz pesh karna chahugi....

Sach hai k insaan khuda nahi hote, par dilbar dil se juda nahi hote
Keh gaye Galib,Mirza bhi ishq ko rab ki ibaadat
Khud khuda bhi hai qaid ishq mein apne bande k
Toh kaise keh de k sanam khuda nahi hote......
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 11, 2010, 07:33:36 AM »
Reply with quote
Bahaut bahaut ache as usual...Akhri teen shaer toh bas dil ki deewaron main likh diye humne...behad khubsoorat! Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Bhai Rahim!!!

Bas Yuhi Hausla Afzaai karte Rahiyega..Teh Dil Se Shukriya Aapka.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 11, 2010, 07:34:35 AM »
Reply with quote
very beautifully writtn.... Clapping Smiley hello2 i loved it... Usual Smile

Thankyou Sooooooooooo Much For Giving Your Precious Time Fatima Ji.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 11, 2010, 07:46:21 AM »
Reply with quote
ye wo jajba hai jo ek duje par aehsaan nahi hota.....bahut khoob khwaish ji......kya khoob kha aapne..chand alfaaz pesh karna chahugi....

Sach hai k insaan khuda nahi hote, par dilbar dil se juda nahi hote
Keh gaye Galib,Mirza bhi ishq ko rab ki ibaadat
Khud khuda bhi hai qaid ishq mein apne bande k
Toh kaise keh de k sanam khuda nahi hote......


Teh Dilllllllllllll Se Shukriya Dear Pooja..

Aap Humare Thread Par,Humari Khus-Kismati.. icon_flower

Aur waaah Kya Khoob Likha Hai Aapne..Bahut Khoob Par..


Khuda Ki Ibaadat Aur Sanam Se Mohabbat,
Yeh Do Alag-Alag Baat Hai

Ek Taraf Dil mein Khuda Se Humesha Judde Rehne Ki Talab!!!
To Dusri Taraf Sirf sanam Se Jude Rehne Ke Jazbaat Hai....

Khuda Se Ishq Ho To Maut ke Baad Bhi Woh Ishq Zinda Rehta Hai!!!
Sanam Se ishq Ho To Saanson Pe Khatam Woh ishq Ki Kitaab Hai...

Khuda To Khuda Hai!!! Apne Bande Se Ishq Karte Hi Hai...
Par Ek Insaan Insaan Ko Khuda Kehde,Itni Naa Kisi Insaan Ki Aukaad Hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 12, 2010, 11:11:13 AM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Kehne Bahut Khub Khwaish Bhai
Yeh Line To Aapne Badi Hi Achchi Aur Sachchi Likhi Hain


Khwaish" Bs Itni Si Guzarish Hai Un Aashiqon Se,
Apne Mehboob Ko Mehboob Ka Hi Darja Do
Insan Kabhi Khuda Ke Muqaam Pe Nahi Hote


Mujhey Bahut Hi Pasand Aayi...Dad Hazir Hai Kabul Karen.


Khush Rahiye...


~Shihab~


Bahut bahut Aur bahut Shukriya Majid Bhai...

Aapne Waqt Diya..teh Dil Se Shukriya icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #8 on: June 13, 2010, 07:09:14 AM »
Reply with quote
Teh Dilllllllllllll Se Shukriya Dear Pooja..

Aap Humare Thread Par,Humari Khus-Kismati.. icon_flower

Aur waaah Kya Khoob Likha Hai Aapne..Bahut Khoob Par..


Khuda Ki Ibaadat Aur Sanam Se Mohabbat,
Yeh Do Alag-Alag Baat Hai

Ek Taraf Dil mein Khuda Se Humesha Judde Rehne Ki Talab!!!
To Dusri Taraf Sirf sanam Se Jude Rehne Ke Jazbaat Hai....

Khuda Se Ishq Ho To Maut ke Baad Bhi Woh Ishq Zinda Rehta Hai!!!
Sanam Se ishq Ho To Saanson Pe Khatam Woh ishq Ki Kitaab Hai...

Khuda To Khuda Hai!!! Apne Bande Se Ishq Karte Hi Hai...
Par Ek Insaan Insaan Ko Khuda Kehde,Itni Naa Kisi Insaan Ki Aukaad Hai...

Waah bahut khoob kha khwaish ji....dono alag alag baatei hai isme koi do raayein nahi hai....bas dil ki baat hai

Hai ye bas deewano k dil ki baatein
Kisi ne mehboob ko khuda toh kisi ne khuda ko mehboob keh diya

Khud khuda bhi pahucha insaan k roop mein dharti par
Har kan-kan mein ishq ko basa diya

Khuda ko jab duba dekha ishq mein
Toh inhi deewanon ne apne sanam ko khuda bta diya
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: June 14, 2010, 05:18:26 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaishji bahut umda aur tarz mein likha hai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
laila majnu ,heer ranjha kahan chal paaye mohabbat ki rahon mein
doonia ke dar se mar mitne wale kisi ke liye misal nahin hote.

 kuch karna hai gar mohabbat mein to shahjahan sa karo.
shehnshah to kai hue par ,shahjahan se sab nahin hote.

 
Dil mein Rehne wale juda nahi hote
kuch ehsaas lafzon mein kabhi bayaan nahi hote..

Mohabbat ke Dum par Zinda Hai Abhi kayi Deewane!!!!
Dil ki kitaab Mein Qaid Hue lamhe Kabhi Dastaan Nahi hote...

Agar Mohabbat Sache Dil Se Ho to To Woh Mohabbat jeene Ki Wajeh Ban Jaati hai
Phir Mohabbat mein Mar-Mitne walo ke Koi naam-o-nishaan nahi hote..

Hijr ke Mausam mein Aankhon se Barsaatein Hoti hai
Mohabbat mein Mile Zakhmo Ke, Kabhi Koi nishaan Nahi hote...

Mohabbat Mein Insaan Dard mein Rehkar Bhi Muskurata Hai!!!
Yeh ek Duje ke liye Woh jazba hai,jo kabhi Ek Duje Par Ehsaan nahi hote

Laila-majnu, Heer-Ranjha,Romeo-Juliet..yeh Kisse Suunte Hai Hum sabhi!!
Mohabbat Ki Raah Par Chalna Ho to Sochlo,Yeh Raah Kabhi Asaan Nahi Hote

"Khwaish" ki bas Itni si guzaarish Hai unn Aashiqo se!!!
"Apne Mehboob Ko Mehboob ka Hi darja Do,
Insaan Kabhi Khuda Ke Mukaam pe Nahi Hote.."

                ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: June 16, 2010, 09:40:34 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob likha hai aapne Khwaish ji... bahut sundar rachna hai aapki ye... bahut khoob...!!!

Dil mein Rehne wale juda nahi hote
kuch ehsaas lafzon mein kabhi bayaan nahi hote..

Mohabbat ke Dum par Zinda Hai Abhi kayi Deewane!!!!
Dil ki kitaab Mein Qaid Hue lamhe Kabhi Dastaan Nahi hote...

Agar Mohabbat Sache Dil Se Ho to To Woh Mohabbat jeene Ki Wajeh Ban Jaati hai
Phir Mohabbat mein Mar-Mitne walo ke Koi naam-o-nishaan nahi hote..

Hijr ke Mausam mein Aankhon se Barsaatein Hoti hai
Mohabbat mein Mile Zakhmo Ke, Kabhi Koi nishaan Nahi hote...

Mohabbat Mein Insaan Dard mein Rehkar Bhi Muskurata Hai!!!
Yeh ek Duje ke liye Woh jazba hai,jo kabhi Ek Duje Par Ehsaan nahi hote

Laila-majnu, Heer-Ranjha,Romeo-Juliet..yeh Kisse Suunte Hai Hum sabhi!!
Mohabbat Ki Raah Par Chalna Ho to Sochlo,Yeh Raah Kabhi Asaan Nahi Hote

"Khwaish" ki bas Itni si guzaarish Hai unn Aashiqo se!!!
"Apne Mehboob Ko Mehboob ka Hi darja Do,
Insaan Kabhi Khuda Ke Mukaam pe Nahi Hote.."

                ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: June 16, 2010, 09:45:44 PM »
Reply with quote
aapke jawaab ka bhi jawaab nahi Khwaish ji... bahut khoob...!!!


Apni Soch ko Lafzon Ka Jaama Deta Hoon
Insaan Hoon Insaan Ki Tarah Rehta Hoon

Jahan Sheetal Hoon Ek Nadiya Ki Tarah!!
Waha Samundar Ki Lehron Ki Tarah Bhi Behta Hoon

Insaan Hoon Insaan Ki Tarah Rehta Hoon...

Khamosh Rehna Kabhi Mere Haq Mein Naa Tha!!!
Sheeshe Ki Tarah Hoon,Tootke Bhi Kuch Kehta Hoon

Insaan Hoon Insaan Ki Tarah Rehta Hoon...

Hunar Ho gar Kisi Insaan mein To Woh Nazar Aa Hi jaati hai
Kahin Shamsheer Hoon to Kahin Khamosh Rehkar Bhi Sab Sehta Hoon

Insaan Hoon Insaan Ki Tarah Rehta Hoon..

Apni Pehchaan Ko Chupaakar Kuch Kehna Ek "Bhagode"  Ki Nishaani hai
Aaj Yeh kehne Ko Majboor Tha, Isliye Yeh Kehta Hoon

Insaan Hoon Insaan Ki Tarah Rehta Hoon...


Logged
Sadiq02
Guest
«Reply #12 on: May 25, 2011, 09:41:53 AM »
Reply with quote
superb gazals.. I also make it a point to share them with my frnds who have always appreciated them... and invariably asked for the link to access your kalaam...

subhanallah...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2011, 10:02:02 AM »
Reply with quote
Bahut wadiya khwaish ji bus ae line hai na {Yeh Raah Kabhi Asaan Nahi Hote} ede wish raah de badle raste hona chahida si ae menu lageya baaki bahut wadiya ghazal likhi hai tusi..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:26:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer