Yeh raah-e-a’am hai gulfaam, ishaarah na karo!

by abdbundeli on May 07, 2009, 04:12:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1065 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Baam par dol gul-andaam, nazaarah na karo!
Yeh raah-e-a’am hai gulfaam, ishaarah na karo!!

Lamhoun ki baat aur hai; dahar sey ho matmah!
Waqt itnaa bhi sarey baam guzaarah na karo!!

Deed key waasitey, haalaanki, kharhey hain laakhoun:  
Aur takleef-e-eihitraam gawaarah na karo!

Raat taareek hai, nazar mein maahtaab naheen;
Noor ko rokaney kaa kaam dobaarah na karo!

Chahchahaaney ko, khoob chahchahaaou, dil-aaraa!
Aashiq-e-husn hain tamaam, kinaarah na karo!

Bharhak uthey na kaheen aag aashiyaaney mein:
Khol honthhoun ko khushkalaam, sharaarah na karo!

Jalwah aaraayee key deykhun mein namooney saarey;
'Abd' ko chain miley, door sitaarah na karo!

                            - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Lolzzzzzz ka koi hal karo ya halal karo :) by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
ha.Ns ke bolaa karo bulaayaa karo by DJ Goher in Shayari -e- Husn
Nazar sey door hai gulfaam aashiyaan teyraa!! by abdbundeli in Ghazals
JAB GUL PE SITAM GULFAAM NE DHAYA HAI..MUSAAHIB by Bishwajeet 'Musaahib' in Ghazals
Ghar Ki Begum Se Parey, Apni Bhi Ek Gulfaam Ho - R. Rangila by Rustum Rangila in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2009, 06:40:38 AM »
Reply with quote
Baam par dol gul-andaam, nazaarah na karo!
Yeh raah-e-a’am hai gulfaam, ishaarah na karo!!

Lamhoun ki baat aur hai; dahar sey ho matmah!
Waqt itnaa bhi sarey baam guzaarah na karo!!

Deed key waasitey, haalaanki, kharhey hain laakhoun:  
Aur takleef-e-eihitraam gawaarah na karo!

Raat taareek hai, nazar mein maahtaab naheen;
Noor ko rokaney kaa kaam dobaarah na karo!

Chahchahaaney ko, khoob chahchahaaou, dil-aaraa!
Aashiq-e-husn hain tamaam, kinaarah na karo!

Bharhak uthey na kaheen aag aashiyaaney mein:
Khol honthhoun ko khushkalaam, sharaarah na karo!

Jalwah aaraayee key deykhun mein namooney saarey;
'Abd' ko chain miley, door sitaarah na karo!

                            - abd bundeli




Abd Ji baaki sab rachnao ki tarah aapki ye rachna bhi bahut hi pyari aur Umda hai, bahut hi dil ko choo rahi hai... Clapping Smiley  Clapping Smiley

Ek iltaza jahir kar rahi hoo.n umeed hai, aap bura na manege..

plz aap apne urdu words ko hindi ya english me bhi batayaa kijiye, hame seekhne ka mouka milega...

Shally.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 07, 2009, 08:14:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob abd ji,bahut din baad.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: May 07, 2009, 09:02:13 AM »
Reply with quote

Abd Ji baaki sab rachnao ki tarah aapki ye rachna bhi bahut hi pyari aur Umda hai, bahut hi dil ko choo rahi hai... Clapping Smiley  Clapping Smiley

Ek iltaza jahir kar rahi hoo.n umeed hai, aap bura na manege..

plz aap apne urdu words ko hindi ya english me bhi batayaa kijiye, hame seekhne ka mouka milega...

Shally.


Thanks! Koshish karoongaa!
                  - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2009, 09:05:35 AM »
Reply with quote
bahut khoob abd ji,bahut din baad.

Madhu ji!
Thanks! Lagtaa hai bahut 'busy' hain aajkal!
                            - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 07, 2009, 05:19:17 PM »
Reply with quote
Baam par dol gul-andaam, nazaarah na karo!
Yeh raah-e-a’am hai gulfaam, ishaarah na karo!!

Lamhoun ki baat aur hai; dahar sey ho matmah!
Waqt itnaa bhi sarey baam guzaarah na karo!!

Deed key waasitey, haalaanki, kharhey hain laakhoun:  
Aur takleef-e-eihitraam gawaarah na karo!

Raat taareek hai, nazar mein maahtaab naheen;
Noor ko rokaney kaa kaam dobaarah na karo!

Chahchahaaney ko, khoob chahchahaaou, dil-aaraa!
Aashiq-e-husn hain tamaam, kinaarah na karo!

Bharhak uthey na kaheen aag aashiyaaney mein:
Khol honthhoun ko khushkalaam, sharaarah na karo!

Jalwah aaraayee key deykhun mein namooney saarey;
'Abd' ko chain miley, door sitaarah na karo!

                            - abd bundeli




Bohot haseen aur bohot khoobsurat.....Bohot hi pyaari ghazal, Babu Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: May 08, 2009, 04:40:57 AM »
Reply with quote
Bohot haseen aur bohot khoobsurat.....Bohot hi pyaari ghazal, Babu Ji
Thanks Celmira bitia!
             - abd bundeli
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: May 08, 2009, 04:56:13 AM »
Reply with quote
bhaoot bahoot khubusrat Gazal hai ABD Ji. bahoot khoob!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: May 08, 2009, 08:28:43 AM »
Reply with quote
bhaoot bahoot khubusrat Gazal hai ABD Ji. bahoot khoob!

Thanks a lot Sophi ji!
           - abd bundeli
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: May 08, 2009, 08:37:30 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Sir ji....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: May 08, 2009, 01:25:55 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Sir ji....
Thanks salma786 ji!
           - abd bundeli
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: May 09, 2009, 05:18:47 AM »
Reply with quote
Baam par dol gul-andaam, nazaarah na karo!
Yeh raah-e-a’am hai gulfaam, ishaarah na karo!!

Lamhoun ki baat aur hai; dahar sey ho matmah!
Waqt itnaa bhi sarey baam guzaarah na karo!!

Deed key waasitey, haalaanki, kharhey hain laakhoun:  
Aur takleef-e-eihitraam gawaarah na karo!

Raat taareek hai, nazar mein maahtaab naheen;
Noor ko rokaney kaa kaam dobaarah na karo!

Chahchahaaney ko, khoob chahchahaaou, dil-aaraa!
Aashiq-e-husn hain tamaam, kinaarah na karo!

Bharhak uthey na kaheen aag aashiyaaney mein:
Khol honthhoun ko khushkalaam, sharaarah na karo!

Jalwah aaraayee key deykhun mein namooney saarey;
'Abd' ko chain miley, door sitaarah na karo!

                            - abd bundeli



waah waah abd sahab jawaab nhi hai sahab bhut hi khoob ek ek shair subhaanallah.................
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: May 09, 2009, 05:37:15 AM »
Reply with quote
waah waah abd sahab jawaab nhi hai sahab bhut hi khoob ek ek shair subhaanallah.................
Bahut-bahut shukriyah, aaina ji!
                        - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:11:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer