Yehi haqeekhat yehi kahaani hai ... By : ParwaaZ

by Anshumali on April 02, 2011, 08:12:49 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1678 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
Yoindia ke jaane maane shaayer ParwaaZ Sahab Ki Yeh Umdaa Peshkash "Ishk" Ji Ki Post Se Lee Gai Hai ... JahaaN reply Ke waqt Parwaaz Ji ne dilkash andaaz meN pesh ki thii .. waha tak sab members aur paathak shaayad naa pahuch paayeN aur aise hi chhupi reh jaaye .. isliye main iss umdaa ghazal ko new post ke zariye .. aapke sammukh rakh raha hoon ...  

http://www.yoindia.com/shayariadab/ghazals/ishk-ne-kab-haar-maani-hai-ishk-ek-ibadat-t62959.0.html

Yehi haqeekhat yehi kahaani hai
Rasm e duniya tumhe bhi nibhaani hai

Jaane kaise nind aayeNgi mujhe
Teri yaadoN meiN raat bitaani hai

Umar bhar ko lamhoN meiN yaad kiya
Kitni chhoti si yeH zindagaani hai

Hum khakh ke putle khak ho jayeN
Humko duniyaa wahaaN basaani hai

Kisi ke jaane ka kiaa gham karnaa
Key Ulfat hai toH phir nibhaani hai

KyuN socheN ParwaaZ dhalte suraj ko
YeH raateN toH aksar aani jaani hai

By : ParwaaZ
Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: April 02, 2011, 08:33:31 AM »
Reply with quote
thanx anshuji…
ek khubsurat ghazal ko samne laane ke lie
bht jada sukriya.
parwaaz sahab …hum yaha aapke post ka wait karte he aor aap chup chup ke waar kar rhe he
chahnewalo ko darkinaar kar rhe hai…
bhot umda ghazal sahab…
baaki baate baad me
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: April 02, 2011, 08:38:08 AM »
Reply with quote
anshuji.... aapko bahut bahut dhanyawan hai ki aapne esa socha aur kiya..... hamne is ghazal ko pada tha abhi bahut hi khub surat hai... aur aapne samne lakar bahut hi acha kiya hai.....  Applause Applause Applause Clapping Smiley

parwazji ne bahut hi khubsurat likha hai.... unke lie dheron daad...

 Applause Applause Applause Applause
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2011, 10:19:54 AM »
Reply with quote
bht bht khoob parwaaz ji...
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2011, 02:49:24 PM »
Reply with quote
Haan ji badi sunder kavita hai aapki Parvaaz ji.... Clapping Smiley Clapping Smiley Applause

Aapki ye rachna hume tou padhni hai
Dilne khaa tou ab taali bajaani hai
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: April 02, 2011, 04:00:35 PM »
Reply with quote
Naresh Jee AdaaB!

Aur is kalaam ke tamaam padhnewaloN ko humara aadaab O salaam.... Usual Smile

Naresh jee Hum aapka kin lafzoN meiN shukriyaa adaa kareN samjh nahi aa raha hai humare... Aapki is muhobbat aur izzat ke liye hum tahe dil se shukra guzar haiN Usual Smile Ke aapne humare is adna se reply ko time dekar post kiya... darasal Ishq sahab kalam padhkar humare zheN meiN yeH sher instantly ban gaye so hum wahaaN hi post kar diye... Usual Smile aur aapne is aik azaad post ka darja dekar hume bahut khushi di hai ..

Hum aapki mohobbat aur inayatoN ke behad shukra guzar hai ....
Aur tamaam padhne waloN ke bhi jinhone is post par apna kimti waqt diya.. Usual Smile

Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Milte rahiye..
Khuda Hafez.... Usual Smile

         

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: April 02, 2011, 08:14:46 PM »
Reply with quote
Bahut hi umda likha apne parwaaz ji aur naresh ji apke dwara parwaaz ji k liye bakshi izzat ko main dil se salaam karti hu..yoindia mein aap jaise shayaro ki badualat hi apnepan ka ehsas barkrar rehta hai..
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: April 02, 2011, 08:54:13 PM »
Reply with quote
Naresh Jee AdaaB!

Aur is kalaam ke tamaam padhnewaloN ko humara aadaab O salaam.... Usual Smile

Naresh jee Hum aapka kin lafzoN meiN shukriyaa adaa kareN samjh nahi aa raha hai humare... Aapki is muhobbat aur izzat ke liye hum tahe dil se shukra guzar haiN Usual Smile Ke aapne humare is adna se reply ko time dekar post kiya... darasal Ishq sahab kalam padhkar humare zheN meiN yeH sher instantly ban gaye so hum wahaaN hi post kar diye... Usual Smile aur aapne is aik azaad post ka darja dekar hume bahut khushi di hai ..

Hum aapki mohobbat aur inayatoN ke behad shukra guzar hai ....
Aur tamaam padhne waloN ke bhi jinhone is post par apna kimti waqt diya.. Usual Smile

Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Milte rahiye..
Khuda Hafez.... Usual Smile

          



ParwaaZ JI !! Aadaab !!! mujhe aapki itni umdaa ghazal padhkar aise laga ki ... kahi yeh reply waali post me kho kar naa reh jaaye ... aur main apne aapko rok nahi paayaa ... sabke saamne le aayaa .. ! Jo itni khoobsurat ghazal kaa huqe bhi thaa ... !

Parwaaz Sahab ! aapki nawaazish kaa bahut bahut shukrguzaar hoon ... ! main toh aapki ghazal aur aapki mohabbat kaa shuru se kaayal hoon ... !

Saath Hi apne unn tamaam dostoN ko shukriya adaa karta hoon .. jinohne apna kimti waqt deke Parwaaz Sahab ki behtreen ghazal ko padhaa aur reply kiyaa  .. khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !


 
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #8 on: April 02, 2011, 09:28:44 PM »
Reply with quote
Parwaaz Ji ... aapne toh kamaal ke ashaar likhe hai ... bahut badhiyaa sahab .. ! dilee mubaraqbaad aur daad hi daad ...... Applause Applause Applause

aapki ghazal ke aage meri ghazal 19 lag rahi hai ab ... ! naresh ji aapka bhi bahut bahut shukriya ... yahaa sabke liye aise ghazal post karne kaa ... !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 03, 2011, 09:35:35 AM »
Reply with quote
Naresh jee,
bhai bahaut acha kam kiya hai apne..

Parwaaz jee,
main do dinn pehle hi soch raha tha kay apka
likha kuch parrne mile toh dil khush hojaega..
aur dekho aj yeh khwaish puri hui..
bahaut bahaut acha likha hai apne..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
khush rahiye..!
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #10 on: April 03, 2011, 11:05:41 AM »
Reply with quote
Yehi haqeekhat yehi kahaani hai
Rasm e duniya tumhe bhi nibhaani hai

Jaane kaise nind aayeNgi mujhe
Teri yaadoN meiN raat bitaani hai

Umar bhar ko lamhoN meiN yaad kiya
Kitni chhoti si yeH zindagaani hai

Hum khakh ke putle khak ho jayeN
Humko duniyaa wahaaN basaani hai

Kisi ke jaane ka kiaa gham karnaa
Key Ulfat hai toH phir nibhaani hai

KyuN socheN ParwaaZ dhalte suraj ko
YeH raateN toH aksar aani jaani hai

By : ParwaaZ
Ji .. Nice One .... ParwaaZ Ji !

Thanks For Sharing ... Naresh Ji !
Logged
Parimal Jain
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2011, 11:22:18 AM »
Reply with quote
Nice One .. Parwaaz Ji ..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:52:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer