Zamee'n se aasmaa'n hona

by AnjAAn!!! on December 28, 2012, 03:44:17 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1434 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: December 29, 2012, 10:24:50 AM »
Reply with quote
Bhai Parwaaz sahab. Sabse pehle to aapka behad shukrguzaar hu'n jo aapne mujhe itni izzat bakhshi aur mere kalaam par is hadd tak ghaur kiya. Mujhe Yo par kaam karne me'n behad dikkat pesh aa rahi hai.

Short me'n kehta hu'n isiliye. Bhai yoo'n to kalaam koi khaas nahi'n. Lekin aapko jahaa'n jahaa'n bhi khaamiyaa'n nazar aayi'n wo meri nazdeek sab sahi hai'n.

Andhero'n ke ist'amaal me'n bhi koi pareshaani nahi'n dikhi. Aur aapka koi wala jo sawaal hai wo mujh par khula hi nahi'n.

Ek baar fir se bazm me'n tashreef laane ke liye shukriya

Anjaan Sahaab Aadaab!


Shayaad hum ghalat hoN kyuN ke humara bher ka ilm behad kam hai.... Usual Smile
Khair aapka phir se aik baar is mehfil meiN khairo maqdam hai... Usual Smile

Aage bhi apni kalaamoN se bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zamee par gira diya by aftab alam in Shayri for Dard -e- Judai
ZAR HAMARA , ZAMEE.N HAMARI HAI by F.H.SIDDIQUI in Miscellaneous Shayri
aasmaa se zamee pe !!! by sarfira in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
woh jo hona tha wo to hona tha---Adeem Hashmi saahab by ghayal_shayar in Urdu Poets
ta-le pairon ke zamee rahne do,,,,,,sunil by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AnjAAn!!!
Guest
«Reply #16 on: December 29, 2012, 10:54:57 AM »
Reply with quote
sabse pehle to aapka khairmaqdam hai yoindia par, aur rahi baat aapki ghazal ki to kehna chahunga anjaan jee. behad umda ghazal hai aur sabse khoobsurat baat ye hai ki behr me Likhi gayee hai . behr me likha kalaam padhkar dilkhush ho jata hai.sabhi ashaar lajwab rahe. khas taur se ye


Mere dil ki tamanna hai,

Ghazal ka jism-o-jaa'n hona,

Wah wah wah wah .

DherrooN daad aur ek rau qubool kareN. aur likhte rahiye...


 Welcome Banner

Aarish sahab, aapne bande ke kalaam ko pasand kiya bahut khushi hui. Rahi baat behr ki, to sahab banda khud bhi behr aur arooz ke ilm ko waqt dar waqt badhawa deta rehta hai.

Shayri mera shauq nahi'n, zauq hai. Meri zarurat hai.

Jaldi hi apne naye kalaam ke sath aapse dobara wabasta ho jaunga. Tab tak ke liye izaazat deejiye.
Logged
AnjAAn!!!
Guest
«Reply #17 on: December 29, 2012, 10:58:11 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut bahut khoob likha hai aapne Anjaan ji...!!!


Hriday bhai,

Rachna aapke mann ko bhaii aur aapke shabdo'n ke liye kotish dhanyawaad. Aage bhi sehyog ki aasha karta hu'n.
Logged
AnjAAn!!!
Guest
«Reply #18 on: December 29, 2012, 11:06:28 AM »
Reply with quote
Anjaan Sahaab Aadaab!


Shayaad hum ghalat hoN kyuN ke humara bher ka ilm behad kam hai.... Usual Smile
Khair aapka phir se aik baar is mehfil meiN khairo maqdam hai... Usual Smile

Aage bhi apni kalaamoN se bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile


Aadaab Parwaaz sahab,

Aap beshak mujhe pehle se hi jaante hai'n. Aur bhai mera ye keh dena ke ghazal behr me'n hai, yakeen janiye iska koi ghalat maksad nahi'n hai.

Aapko behr ka ilm kam hai lekin ye koi badii baat nahi'n. Aap agar chahe'n to mere kalaam par poori shiddat se behr aur arooz se jude sawaal le kar aaiye. Aur mai'n koshish karunga ki jaldi hi aap behr par command haasil kar le'n.

Filhaal izaazat deejiye
Allaah haafiz
Logged
prashad
Guest
«Reply #19 on: December 30, 2012, 02:26:38 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
AnjAAn!!!
Guest
«Reply #20 on: December 30, 2012, 06:07:23 AM »
Reply with quote
very nice

Behad shukriya Prashad sahab.
Logged
AnjAAn!!!
Guest
«Reply #21 on: December 30, 2012, 07:00:56 PM »
Reply with quote
Anjaan Sahaab Aadaab!


Janab Yo ki Bazm meiN aapka swagat hai... Badi hi umdaa kalaam ke saath
aapne bazm meiN aaghaaz kiya hai... is khoob kalaam par humari hazaaroN
daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Sabhi ashaar khoob rahe janab... kafi achchi aur rawaaN kalaam kahi hai
aapne... Usual Smile


Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez.. Usual Smile/color]




Aapki kalaam khoob rahi aik baar phir se daad hazir hai...
haaN waise toH hume bher ka ilm nahi aur nahi hum bher par dhyaan dete
haiN.. par aap jahaaN se aaye haiN wahaaN se hi humne sikha hai isliye
aapke kalaam ki islaaH ki .. ummid hai aapko bura nahi lageNga...


Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile




Parwaaz sahab,

Andhero'n lafz ko maine 122 ya'ani ke fa-uu-lun par baandha hai. Aur ye poori tarah jaayaz hai.

haa'n ise 121 ya 221 par bhi baandha ja sakta hai. Lekin 212 par andhero'n lafz ko baandhana ghalat hoga.

Aapne hai aise she'r ki farmaaish ki thi jahaa'n 'hai' lafz ko 1 par liya gaya ho. Leejiye pesh-e-khidmat hai Daagh Dehelawii sahab ka ek she'r-

Urdu hai jis ka naam, hami'n jaante hai'n 'Daagh'
Saare jahaa'n me'n dhoom hamaari zubaa'n ki hai

Misra-e-awwal me'n 'hai' ke lafz ko 1 par baandha gaya hai, jab ke misra-e-saani me'n bhi 'hai' ka ist'amaal hua hai. Wahaa'n ise 2 par hi liya gaya hai.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer