Zara Us Pathar Ko bhi Pighal ne do !!

by abdulqadeer on January 08, 2009, 04:38:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1437 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Us pathar ko bhi  zara pighalne do !!
Na do pani mujhe tishnagi se  tadapne do !!

Mere angan me charag na jalao doosto !!
zara Mujhe bhi meri tanha-e-yon se ladne do !!

Na milega pyasa koi is duniya me tumhe !!
Zara is dariya ko bhi samandar  banne do !!

Raath bhar meri mazi ke viraniyon me ghumate rahe mujhe !!
Ab  zara thairo “waqath –a- saher" hai mujhe sajda karne do !!

Hoga insaaf har wo zulam ka jo howa hai hum per Qadeer !!
Karo sabar zara sa uski rahemat ko machalne do !!

Qadeer Toopchi

From Dubai
Logged
cara
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2009, 07:18:11 AM »
Reply with quote
bahut badiye qadeerji.....

chahe jitna zulum kare pathar dil ,mujhe pyaar mein pyaasa tarpaneko,
insaaf zaroor karega maalik,us pathar dil ko pighalaneko.
jab pighalkar, use  hoga mera ehasaas,
usi ke aasuno se, bujaa hunga apni pyaas.
Logged
salma786
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 07:38:52 AM »
Reply with quote
Bahut acha hai abdul ji!
Khoob bandish ki hai cara ji!


Mujhe pathar dil na samjho,
Thi meri v kuch majburi,
Chahte to the khudse zada,
Phir v banayi thi tujhse duri!!

Badnasibi k is alam me,
Karte yahi Guzarish hai,
Khoon k ansu rote hai hum,
Teri khushiyoki khwahish hai!!

Kash khudase na laye hote,
Zindegi adhi adhuri,
Na samajh mujhe tu pathar dil,
Thi meri v kuch majburi!!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 07:42:45 AM »
Reply with quote
bahut badiye qadeerji.....

chahe jitna zulum kare pathar dil ,mujhe pyaar mein pyaasa tarpaneko,
insaaf zaroor karega maalik,us pathar dil ko pighalaneko.
jab pighalkar, use  hoga mera ehasaas,
usi ke aasuno se, bujaa hunga apni pyaas.

thanks a lot Cara ji !!Aur Acha likha hai Apne !1

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2009, 07:43:48 AM »
Reply with quote
Bahut acha hai abdul ji!
Khoob bandish ki hai cara ji!


Mujhe pathar dil na samjho,
Thi meri v kuch majburi,
Chahte to the khudse zada,
Phir v banayi thi tujhse duri!!

Badnasibi k is alam me,
Karte yahi Guzarish hai,
Khoon k ansu rote hai hum,
Teri khushiyoki khwahish hai!!

Kash khudase na laye hote,
Zindegi adhi adhuri,
Na samajh mujhe tu pathar dil,
Thi meri v kuch majburi!!


bahoth bahoth shukriya Salma ji APne meri ghazalko waqth diya !! aur apne mashallah acha likha hai !!

Qadeer Toopchi
Logged
salma786
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2009, 08:00:30 AM »
Reply with quote
Aap bahoot khoob likhte hai,
To hum jaise naye logoko sikhne ko milta hai!
Shukriya!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2009, 08:19:21 AM »
Reply with quote
Aap bahoot khoob likhte hai,
To hum jaise naye logoko sikhne ko milta hai!
Shukriya!

Shukriya Janab Is izzath Afza-e- ka

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2009, 08:45:00 AM »
Reply with quote
Haye haye zalim kya ghazal likhi hain 2009 ki shuruaat to ab hui hain kasam khuda ki. Ek ek sher pe karodo dad mere dost samne hote to gale se laga leta.

Main muntazir tha jis gadi ke liye umr bhar
Woh jab mile kehte hain ruko GHAYEL, shaam to hone do


                      -SG-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: January 08, 2009, 08:52:10 AM »
Reply with quote
Haye haye zalim kya ghazal likhi hain 2009 ki shuruaat to ab hui hain kasam khuda ki. Ek ek sher pe karodo dad mere dost samne hote to gale se laga leta.

Main muntazir tha jis gadi ke liye umr bhar
Woh jab mile kehte hain ruko GHAYEL, shaam to hone do


                      -SG-


Shukriya Sajid Bhai Apne Itni Bakshi Mere kalaam ko ke kasam se likhne ko dil karta hai !! aur apki is izath affza-e- ka shukriya ada karne ke liye shabad shayad kamm pad jayen isiliye khuch nahi likhonga !! ap agar samne hote to mai bhi apko gale laga ke apka shukar ada karta !!

Qadeer toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #9 on: January 08, 2009, 08:54:47 AM »
Reply with quote


Main muntazir tha jis gadi ke liye umr bhar
Woh jab mile kehte hain ruko GHAYEL, shaam to hone do


                      -SG-[/b]
[/quote]

Wah Wah Sajid Bhai Kya shikayath Ki hai yaar !! mashallah jawab nahi !! is shikwe ka !! khuch aise alfaaz likh diye apne jo khud me hazaroon sawal simte howe hai !! allah apko buland darja de !

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:31:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer