ZER -E- LAB JAB WOH MUKURAANE LAGE ...... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on April 20, 2012, 08:15:29 AM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3666 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #15 on: April 21, 2012, 02:12:37 PM »
Reply with quote
bahut bahut Khoob Saheb!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Asaa lage by Anushka in Shayri for Dard -e- Judai
**lage hai** by dead heart in Miscellaneous Shayri
^^lage hai^^ by dead heart in Miscellaneous Shayri
DAAGH DIKHNE LAGE MUJHKO MAHTAAB MEIN ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MANAANE MEIN JINKO ZAMAANE LAGE HAIN.......HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: April 21, 2012, 04:28:58 PM »
Reply with quote
Wah Wah Mahutram Hassan Siddiui Sahab ,, Kya qayamt khez ghazal nazar nawaz howi ..Ek ek Sher ne teer ba hadaf ka kaam kiya hai ,, Dad Hazir hai Aisi murassa o mi^yaari ghazal ke huzoor khubool kare.N ,,Apki ghazal Apki ilmi o funni Salahiyaton ka pata deti hai .. Wah Wah ,, Ek jurrat...Umid hai ap khiyal nahi karenge ...

Ilm    phaila   to   phaili   Khush - haali ,
Bete  -  Beti    sabhi    kamaane    lage

Is sher me Lafz Beti ke saat Lafz Kamaane Ki tarkeeb Khuch gair manoos si lag rahi hai ...Misra yun bhi ho sakta hai

Dekho bache sabhi kamaane lage ,,

Ya phir

Mere bache sabhi kamaane lage "

Ye bus meri apni zaati rai hai ,, Apka muttafiq hona zaroori nahi ,, Ek baar phir dad o mubarak baad khubool kare.N ,, Allah apko umre khizr Ata kare ..

Khair Andesh

Qadeertoopchi
Qadeer saheb , zarranawazi  ke liye behad  mashkoor  hoon . Aap  ne  eik  aham sawaal  uthhaya  hai  jiski wajah  se  main  deegar  comments  ka  biltarteeb  shukriya  ada  karne  ke  bajai  aap  ki tashweesh  pahle duur karna zuroori  samajhta hoon. Aam bolchaal mein agar aap ghour karein to ye jumle istemaal hote hain :'Mian biwi aa rahe hain'  ,  bhai  bahen  jaa  rahe  hain ' , (Falaan  ke)'bete beti aarahe hain' , Isi tarah 'bete beti kamaa rahe hain 'istemaal ho sakta hai. Jahaan tak main samajhta hoon , tarkeeb ghalat nahin hai kyuunki 'Beta' 'beti' dono ki baat hai aur yeh dono lafz 'sabhi' ke saath milkar kamaane lage ke istemaal per koi shak ki gunjaaish nahi chorte...... doosri baat - aap ke tajweez kiya huay alternative misray  mere sher ke maqsad -  yaani Women Empowerment ( esp. women education and gender equality ) per emphasis  - ko fout kar dete hain.Bahar haal ye mera zaati khayaal hai.Ho sakta hai main ghalat bhi hoon ...Aur kisi bhi convincing tajweez ka hamesha  khair maqdam hai.Bahut shukriye ke saath, aapka.Hasan  
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #17 on: April 21, 2012, 06:58:33 PM »

Mahutram Badi nawazish ke apne kissi Qabil samjha aur Tafseeli jawab se nawaza .. Huzoor Mera tajweez karda misra ek taraf ,, lafz Beti ke saat kamane ki tarkeeb agar kissi azateza ke sher me ho to Yahan chaspa kar den taake mere ilm me bhi izafa ho ,, Aur huzoor Zamane ki barq raftaari apni jaga aur tahezib ka tagaza apni jaga ,, Beti ko ilm dene ka maqsad uski kamaaee se qatai bhi nahi hai albatta bete se umid ki jaa sakti hai ,,, Ap koi aisi misaal pesh karen ke Jahan aisi tarkeeb istemaal howi ho ...Shukriyah ,, Baaqi ap jo munasib samjhe.N ,,,

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: April 21, 2012, 07:01:25 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Bahot Khoob, Siddiqui Sahab!!
Bahot Khoob Siddiqui Sahab, aap ki baatein kitni asaani se dil mein utar jaatin hai!!!
Qateel  saheb , Purkhuloos   hausla  afzai  ke  liye
bahut  mashkoor  hoon  . Khush  rahiye . Duago , Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: April 21, 2012, 08:51:01 PM »
Reply with quote
Mahutram Badi nawazish ke apne kissi Qabil samjha aur Tafseeli jawab se nawaza .. Huzoor Mera tajweez karda misra ek taraf ,, lafz Beti ke saat kamane ki tarkeeb agar kissi azateza ke sher me ho to Yahan chaspa kar den taake mere ilm me bhi izafa ho ,, Aur huzoor Zamane ki barq raftaari apni jaga aur tahezib ka tagaza apni jaga ,, Beti ko ilm dene ka maqsad uski kamaaee se qatai bhi nahi hai albatta bete se umid ki jaa sakti hai ,,, Ap koi aisi misaal pesh karen ke Jahan aisi tarkeeb istemaal howi ho ...Shukriyah ,, Baaqi ap jo munasib samjhe.N ,,,

Dua go
Qadeertoopchi
Mohtaram , Main dar haqeeqat nahi samajh paa raha hoon ki aap ko grammar ke nazaariye se ikhtilaaf hai ya 'beti' ke saath lafz 'kamaane' ke istemaal per.Ho sakta hai ye lafz puraane aqdaar ke mutabiq kuchh ghalat matlab rakhta ho aur yeh bhi sahi hai ki ilm ka maqsad kamaana nahi ;lekin badle daur aur aqdaar mein hamaare bete betiyaan baraabar se khade hain jiski wajah ilm aur ilm ke saath uski earning power hai.Kamaane ka matlab daqyanoosi nazar se nahi dekha jaana chaahiye.Jahaan tak kisi asataza ka koi sher chaspaan karne ki baat hai main is muaamle mein bilkul jaahil hoon kyuunki na to main zindagi mein Urdu ka koi imtehaan pass kiya na Urdu literature parha .Mera field Social Siences ka hai. Shairy mahaz shouq hai jismein main kisi qism ki authority hone ka dawa nahi kar sakta ;lekin baghair kisi convincing wajah ke har aitraaz qubool karna bhi main munaasib nahi samajhta.Aap se darkhwast hai ki agar aapki nazar mein aisa koi dastawezi suboot ya reference ho to meri islaah ke liye zaroor inayat farmaiye ga.Ummeed hai ki aap mere jawaab ka bura nahin maaneinge aur rahnumai kar mere ilm mmein izafa kareinge.Duago,Hasan
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #20 on: April 22, 2012, 02:07:54 AM »
Reply with quote
\
Zer - e - Lab  jab  woh  Muskuraane  lage ,
Yuun   laga    Hum   qareeb   aane   lage

Jab   AdaaoN   se   Woh   manaa  na  sakay ,
Aa  ke   peechhe   se   Gudgudaane   lage

Seekhe   Gur   hameeN   se   aazmaane  kay ,
Phir   HameeN   per   Woh    aazmaane  lage

Ilm    phaila   to   phaili   Khush - haali ,
Bete  -  Beti    sabhi    kamaane    lage

Uss ne   Rasmann   hi   Haal  poochha  thha ,
Apni  -  apnee    sabhi    sunaane    lage
 
Daali   Hum   per   bhi   Ghaairaana  nazar ,
Mil  ke   ghairoN   se  jub  Woh  jaane  lage

DooriyaaN   duur  ho   rahee   haiN , 'Hasan' ,
Abb  to  woh  Ghar  bhi  Aane - Jaane  lage
{/color]
Bahut khub Hasan sahab bahut behtrien Gazal Apki. dheroN mubaarak baad qabool kareiN meri taraf se. Aur haan Qadeer sahab ke saath ki hui taqreer bhi khub intresting rahi hai. Is baat pe maiN bhi aapke saath hun. Jahan tak ilm aur tehzeeb ki baat hai wo ek taraf hai ye cheejeN to waqt ke saath badal jati haiN. Par Sukhan ya koi creation wahi hoti hai jo samaj aur samay ki bandishon se upar ho ke likhi kahoi aur sochi jaati hai.
Ek baar phir apki is peskash par meri dheroN daad o mubarakbad
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: April 22, 2012, 05:08:24 AM »
Reply with quote
bahut bahut hasanji....

 Applause Applause Applause
MANN  SAHEB , BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA .
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #22 on: April 22, 2012, 05:24:14 AM »
Reply with quote
Qabile Ahetram Janab Hassan Sahab ,, salam ,,

Apka khat masool howa go ke massarat ka baais bana ,, Huzoor Azateza ka qaul hai ke '"Lafz MaaN , Bahen ,, Beti , Biwi ,, Iska Istemaal Is tarhan ho ke Uske asar afreeni se koi bhi dil be niyaz na rah sake ,, Beti ki kamaee Walden pe garan guzarti hai ,, Kam az kam Quddar Walden pe ,, Agarche kissi Majboori ke Tahat Beti Kama bhi kar rahi ho to wo qatai Massarat ka baais nahi ,, Apne to khushaali Phaila Di hai ,,Aur ilm ko kamaee ke had tak hi mahedood kar diya hai ,, Mane apse dalil maangi thi chunke Apne aisi Tarkeeb istemaal ki hai ,, Aur apke sher ko galat sabit karne ke liye ek nahi balke hazaro hawale diye jaa sakte hain ,, Taham Apko apna shandaar sher mubarak ho ,,

Agar Ap Kissi Surat Lafz Aurat ka sahara leke Mard ke bilmuqabil khada karte to koi baat thi ,, Lafz beti ka sahara leke Apne ye jo kaarnama anjaam diya hai Mai iski muqalifat karta hun aur koi zarori nahi ke Saat koi khada ho ,, Ap dalil dene se qaasir rahe chunke Lafz beti ke saat Lafz Kaamane ki tarkeeb na khabile bardasht hai ,, Apko kahin aisi dalil nahi milegi Mustanad shaura ke yahan .. Dhoondke laaye.N to khadim Apke taabe ho jayega ...Shukriyah ,, Meri  kissi baat se Apka muttafiq hona koi zarori nahi ,, Meri koi baat apke zahne nazuk pe garan guzre to mazrat ...Allah Apko do jahan ki barkaton se nawaze .. Shukriyah ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #23 on: April 22, 2012, 05:53:48 AM »
Reply with quote

Hasan Sahab,

Waah waah bahut khoob...

Dili mubaarakbaad kubool farmaayen.

Mujhe Aqeel Nomani Sahab ka ek she'r
yaad aa raha hai

"lahza badal na paao to kaamosh ho raho
 jab jab gumaan guzre ke jaahil/qabil hai saamne"
 
Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: April 22, 2012, 09:29:57 AM »
Reply with quote
Qabile Ahetram Janab Hassan Sahab ,, salam ,,

Apka khat masool howa go ke massarat ka baais bana ,, Huzoor Azateza ka qaul hai ke '"Lafz MaaN , Bahen ,, Beti , Biwi ,, Iska Istemaal Is tarhan ho ke Uske asar afreeni se koi bhi dil be niyaz na rah sake ,, Beti ki kamaee Walden pe garan guzarti hai ,, Kam az kam Quddar Walden pe ,, Agarche kissi Majboori ke Tahat Beti Kama bhi kar rahi ho to wo qatai Massarat ka baais nahi ,, Apne to khushaali Phaila Di hai ,,Aur ilm ko kamaee ke had tak hi mahedood kar diya hai ,, Mane apse dalil maangi thi chunke Apne aisi Tarkeeb istemaal ki hai ,, Aur apke sher ko galat sabit karne ke liye ek nahi balke hazaro hawale diye jaa sakte hain ,, Taham Apko apna shandaar sher mubarak ho ,,

Agar Ap Kissi Surat Lafz Aurat ka sahara leke Mard ke bilmuqabil khada karte to koi baat thi ,, Lafz beti ka sahara leke Apne ye jo kaarnama anjaam diya hai Mai iski muqalifat karta hun aur koi zarori nahi ke Saat koi khada ho ,, Ap dalil dene se qaasir rahe chunke Lafz beti ke saat Lafz Kaamane ki tarkeeb na khabile bardasht hai ,, Apko kahin aisi dalil nahi milegi Mustanad shaura ke yahan .. Dhoondke laaye.N to khadim Apke taabe ho jayega ...Shukriyah ,, Meri  kissi baat se Apka muttafiq hona koi zarori nahi ,, Meri koi baat apke zahne nazuk pe garan guzre to mazrat ...Allah Apko do jahan ki barkaton se nawaze .. Shukriyah ..

Dua go

Qadeertoopchi
Mohtaram, Main  ne  aap  ke  aitraazaat  ke  bahut  khanda - peshaani  aur  inkisaari  ke  saath  jawaab  dene  ki  koshish  ki  hai . Lekin aap  ki  moujuda  tahreer  meri  inkisaari  aur  anaa  ko  majrooh  kar  rahi  hai . Main  Taalib - e - ilm zaroor hoon Tifl-e-Maktab nahin . Aur Taaleem  ki aala  tareen  satah  per  tadrees -o- tahqeeq  neez  tarbiat-e-balighaan  ke faraaiz  anjaam  dene  ke  baad  apne  mein  itni  ahliyat  zuroor  paata  hoon ki  aapko  thread-bare  jawaab  de  sakoon . Magar  shart  hai  kushada-zahni  se bahas  ki . Agar  aap  'Beti' , 'Kamaai' , aur 'Taaleem'  ka  mahez  literal meaning  lena  aur  unke  roles  ko  rawayati  aur  tang - nazri  ke  saath dekhne  per  musir  hon  aur  apni  soch  ko  patthar  ki  lakeer  samjhein  to shayad  bahas  ka  adabi  maqsad  khatm  ho  jaata  hai . Issliye  ,  aur  apni aaqibat  ke  pesh-e nazar ,  yeh  behtar  samajhta  hoon  ki  bahas  ko  isi 'khubsurat mod'  per  aur  apne  bad-naseeb   sher  ko  aap  ke  rahm -o -karam per  chhor  diya  jaaye  - iss  sher  ke  saath :

     Yaa  Rabb wo na samjhe hain, na samjheinge meri baat ,
     De  aur  unhein  Dil , jo  na de  mujh ko zubaan aur

Ummeed  karta  hoon  ki  aap  ki  mohabbat  baghair  kisi  badgumaani  ke  milti rahe  gi . Duago , Hasan
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #25 on: April 22, 2012, 10:37:03 AM »
Reply with quote
Mahutram Aadab ,,

Kamal hai Sahab ,, Apko mera kaunsa jumla garan guzra mahutram ,, Azateza ka hawala deke maine jo kaha hai wo mai nahi kahe raha hun mahutram Wo kitaaben kahe rahi hain ,, Ajeeb si baat hai mai dalil mang raha hon aur ap  kahe rahe hain ke mai apki inkesari o ana ko majroh kar raha hon ,, Apko shayad pata ho ke bina dalil ke koi bhi baat be matlab o be maaine hoti hai ,, Khair Apka sher apko mubarak mai hi halaq me neza gaadh leta hun ,, Maine apke sher pe aitraz iss kiye ke apki shaqsiyat se bahut si umiden wabasta hain ,,,, Warna to hazaar log sher me hazaar baten kahete hain ,, Apna khiyal rakhen ,, Aur meri taraf se apna dil saaf rakhen chunke maine aitraz zaati taur pe bilkul bhi nahi kiya hai ,, Khush rahe.N ,, Aur jab kabhi dalil haat lage do mujhe Atleast message kar den ..

Dua go

Qadeertoopchi

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: April 22, 2012, 10:41:25 AM »
Reply with quote
bahut hiiii badiyaaaaa hasanjiiiii....bahut khoob.......Usual Smile
DOLLY  JI ,  BAHUT  SHUKRIYA .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #27 on: April 22, 2012, 12:08:43 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
QALB JI . BAHUT  SHUKRIYA .

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #28 on: April 22, 2012, 12:23:31 PM »
Reply with quote
Hasan Sb Aur Qadeer Sb  
Adaab

main waise hasan  sb se isi ghazal (kah sakte hain) ke tawasut se aashna hun aur Qadeer sb.se  kuch arse se alik salaik hai. Haqqiqatan mudda kuch nahin hai. qadeer sb . apni purani rawayaat ,rawish aur islami dasture wa nukaat ko leker maindani vigha mein shamsheer zani ferma rahje hain . aur aziz hasan sb waqt ke taqazoon ke tahat apna parcham ooncha kiye huye hain . jo khalisan durust hai aur waqt ke taqazoon wa ahmiyat ka alamberdaar hai . achcha raha aap logon ne is bahas ko yahan hi dafn ker diya , werna mujh jaise jahil aur kutah nazr insaan ko iske anjaam ki qatayee koi ummed na thee aur is waqt main ne yeh soch ker hi site kholi thee ke aap dono ko hi is masale per wazeh taur per gosh guzaar ker don anjaam tain tain fish hai , woh apna aalaap gate rahaingay aur doosra apni dhapli , nazariyat mukhtalif mager sahi. aap dono ko meri janib se dili mubarak bad
hasan sb aap apni kawish jari rakhain aur qadeer sb aap mujh se moorcha lete rahain usmein koi muzaiqa nahin hai
khair andesh
khadim

javed
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: April 22, 2012, 01:14:49 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Hasan ji....!!!
Hriday  ji ,  Hausla  afzai  ke  liye  bahut  mamnoon  hoon. Hasan
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:30:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.169 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer