ZER -E- LAB JAB WOH MUKURAANE LAGE ...... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on April 20, 2012, 08:15:29 AM
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3750 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #45 on: April 28, 2012, 01:56:39 PM »
Reply with quote
Mahutram FH Siddiuee Sahab , Janab , HAQ sahab , Qauteel Sahab ,, salam ,,


Mai Apna Aitraz Wapas leta hun Aur FH Siddiquee Sahab se maufi Maanga ta hun ,, Chunke Bahut dhoondne per Ek sher mil giya jo mere aitraz ko kaat sakta hai ,, Sher mujhe thik se yaad nahi ,,Jigar Muradabi kahete hain ke Ilm Bhi ek zariya hai maaush ke liye ,, Aur ye muyassar nahi to Muflisi o faqa kashi ki imkanat ziyada hain ,,

Aur ek Hadis me aata hai ke Allah ke rasool SAW ne Farmaya ke taleem hasil karne ke liye chinu arab jaana parhe to gurez na kare.N ,, Apne Yahan Mard o aurat nahi kaha ..Tu isse bhi ye baat zahir hoti hai ke Ilm Ek ba waqar zindagi ke liye bahut zarori hai ,,

Meri kam ilmi o muqtasar mutaala ke wajh se ye galti mujh se sarzad ho gaai ,, Mahutram hasan sahab se adban guzarish hai dar guzar kar den ,,,,,Mai Apni galti is liye bhi qubool kar raha hun chunke shairi mazhab ki tarhan hain jisme maslihat nahi chalti na meri na kissi aur ki ,, Mahutram Hassan Sahab sare kham tasleem ,, Apka sher khabile khubool hai ,,

Mahutram Haq Sahab ,, Ap agar char saal se Yoindia ke member hain to huzoor Apka ID bhi zaroor hoga ,, To guest ban ke comments karne ki koi khas wajh ,, Apse adban guzarish hai ke Laheja humwaar kar le.N ,, Chunke ye adbi bhs hai Yahan laheje kis turshi munasib nahi ,, Umid hai Ap meri kissi baat ko otheriwse nahi lenge ,,

Shukriyah ,,

Dua go

Qadeertoopchi

Qadeer  saheb , Bahut   shukriya  ki  aap  ne  khalish  door  kar  dee .  Aap  ne  jis  aala - zarfi  ka  muzaahira  kiya  hai  woh  qabil e qadr hai . Ummeed  karta  hoon  ki  khush - gawaar  mahaul  mein  adbi  bahas  ka  silsila  chalta  rahega . Khair andesh ,  HASAN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Asaa lage by Anushka in Shayri for Dard -e- Judai
**lage hai** by dead heart in Miscellaneous Shayri
^^lage hai^^ by dead heart in Miscellaneous Shayri
DAAGH DIKHNE LAGE MUJHKO MAHTAAB MEIN ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MANAANE MEIN JINKO ZAMAANE LAGE HAIN.......HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
javedarshad
Guest
«Reply #46 on: April 28, 2012, 02:18:22 PM »
Reply with quote
Qadeer sb
maine aap se kaha tha ke yeh bahas ka mudda nahin hai,na ilmi hasiyat se ,na adbi aur na hi islami dastoor se. mager aap ne na suna, sune pe suhaga Haqq sb ne haqqe qadrdani nibha di,Main Hasan ki baat ko padh ker khush hua ke yeh platform,in kadoorat bhari batoon aur nafs parasti ka nahin hai,aur isi liye main bahut kam hi shamil ho pata hun, kuinke her aik ki qadrain juda hooti hain , yahan her tabqay, meyaar aur  rujhaanat ke likhne aur padhne wale  hain.

achichi baat hai aaj ke baad yahan is qism ki karro fer aur khud sataish se parahaiz kiya jaye ga .


dair aiad durust aiad


javed
 
Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:21:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer