ZIKR JAB AAPKAA HUAA HOGAA...............................SAINI

by sksaini4 on February 04, 2013, 07:06:54 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 2405 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
Zikr   jab  aapkaa   huaa    hogaa.
Chaar  soo  jashn  saa  huaa hogaa.

Jab   ye  dil  aapkaa  huaa  hogaa.
Phir  bataao  n  kyaa  huaa   hogaa.

Chaand  tare  the uskee mahfil meN.
Raqs   phir  zor  kaa  huaa   hogaa.

Chaand ke chaand jab muqaabil thaa.
Kuchh n kuchh shor  saa huaa hogaa.

Uskee  palkeN haiN neend se bojhal.
Raat  bhar  kaa  jagaa  huaa hogaa.

Uskee chaukhat pe  sijdaa karne se.
Aap  hee  kaa  bhalaa   huaa hogaa.

Khaas  pahchaan  hai mere ghar kee.
Har  taraf  se  khulaa  huaa hogaa.

Phir padosan  kee cheenkh aayee hai.
Phir  se  jhagdaa  nayaa huaa hogaa.

Ajnabee  to  yahaaN naheeN ‘saini’.
Naam   sabne   sunaa   huaa  hogaa.

Dr.Surendra Saini


ज़िक्र  जब आपका  हुआ होगा ।
चार  सू  जश्न  सा हुआ होगा ।।

जब ये दिल आपका  हुआ होगा |
फिर बताओ न क्या  हुआ होगा ।।

चाँद तारे थे उसकी  महफ़िल में ।
रक़्स  फिर ज़ोर  का हुआ होगा ।।

चाँद  के चाँद जब  मुक़ाबिल था ।
कुछ न कुछ शोर सा हुआ होगा ।।

उसकी  पलकें हैं नींद से बोझल ।
रात   भर का जगा हुआ होगा ।।

उसकी चौखट पे सिजदा करने से ।
आप  ही  का  भला हुआ होगा ।।

ख़ास   पहचान  है मेरे घर की ।
हर  तरफ़ से खुला  हुआ होगा ।।

फिर  पड़ोसन की चींख आयी है ।
फिर  से झगडा नया हुआ होगा ।।

अजनबी तो  नहीं यहाँ  'सैनी '।
नाम   सबने सुना  हुआ होगा ।।


डाo सुरेन्द्र सैनी
Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: February 04, 2013, 07:27:54 AM »
Reply with quote
Ziqr   jab  aapkaa   huaa    hogaa.
Chaar  soo  jashn  saa  huaa hogaa.

Jab   ye  dil  aapkaa  huaa  hogaa.
Fir  bataao  n  kyaa  huaa   hogaa.

Chaand  tare  the uskee mahfil meN.
Raqs   fir  zor  kaa  huaa   hogaa.

Chaand ke chaand jab muqaabil thaa.
Kuchh n kuchh shor  saa huaa hogaa.

Uskee  palkeN haiN neend se bojhal.
Raat  bhar  kaa  jagaa  huaa hogaa.

Uskee chaukhat pe  sijdaa karne se.
Aap  hee  kaa  bhalaa   huaa hogaa.

Khaas  pahchaan  hai mere ghar kee.
Har  taraf  se  khulaa  huaa hogaa.

Fir padosan  kee cheenkh aayee hai.
Fir  se  jhagdaa  nayaa huaa hogaa.

Ajnabee  to  yahaaN naheeN ‘saini’.
Naam   sabne   sunaa   huaa  hogaa.

Dr.Surendra Saini


ज़िक्र  जब आपका  हुआ होगा ।
चार  सू  जश्न  सा हुआ होगा ।।

जब ये दिल आपका  हुआ होगा |
फिर बताओ न क्या  हुआ होगा ।।

चाँद तारे थे उसकी  महफ़िल में ।
रक़्स  फिर ज़ोर  का हुआ होगा ।।

चाँद  के चाँद जब  मुक़ाबिल था ।
कुछ न कुछ शोर सा हुआ होगा ।।

उसकी  पलकें हैं नींद से बोझल ।
रात   भर का जगा हुआ होगा ।।

उसकी चौखट पे सिजदा करने से ।
आप  ही  का  भला हुआ होगा ।।

ख़ास   पहचान  है मेरे घर की ।
हर  तरफ़ से खुला  हुआ होगा ।।

फिर  पड़ोसन की चींख आयी है ।
फिर  से झगडा नया हुआ होगा ।।

अजनबी तो  नहीं यहाँ  'सैनी '।
नाम   सबने सुना  हुआ होगा ।।


डाo सुरेन्द्र सैनी

waah waah bohat khoobsurat ghazal sir ,bohat oomda khyalat ,..........bohat bohat bohat c daad rau ke sath Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2013, 07:30:34 AM »
Reply with quote
Ziqr   jab  aapkaa   huaa    hogaa.
Chaar  soo  jashn  saa  huaa hogaa.

Jab   ye  dil  aapkaa  huaa  hogaa.
Fir  bataao  n  kyaa  huaa   hogaa.

Chaand  tare  the uskee mahfil meN.
Raqs   fir  zor  kaa  huaa   hogaa.

Chaand ke chaand jab muqaabil thaa.
Kuchh n kuchh shor  saa huaa hogaa.

Uskee  palkeN haiN neend se bojhal.
Raat  bhar  kaa  jagaa  huaa hogaa.

Uskee chaukhat pe  sijdaa karne se.
Aap  hee  kaa  bhalaa   huaa hogaa.

Khaas  pahchaan  hai mere ghar kee.
Har  taraf  se  khulaa  huaa hogaa.

Fir padosan  kee cheenkh aayee hai.
Fir  se  jhagdaa  nayaa huaa hogaa.

Ajnabee  to  yahaaN naheeN ‘saini’.
Naam   sabne   sunaa   huaa  hogaa.

Dr.Surendra Saini


ज़िक्र  जब आपका  हुआ होगा ।
चार  सू  जश्न  सा हुआ होगा ।।

जब ये दिल आपका  हुआ होगा |
फिर बताओ न क्या  हुआ होगा ।।

चाँद तारे थे उसकी  महफ़िल में ।
रक़्स  फिर ज़ोर  का हुआ होगा ।।

चाँद  के चाँद जब  मुक़ाबिल था ।
कुछ न कुछ शोर सा हुआ होगा ।।

उसकी  पलकें हैं नींद से बोझल ।
रात   भर का जगा हुआ होगा ।।

उसकी चौखट पे सिजदा करने से ।
आप  ही  का  भला हुआ होगा ।।

ख़ास   पहचान  है मेरे घर की ।
हर  तरफ़ से खुला  हुआ होगा ।।

फिर  पड़ोसन की चींख आयी है ।
फिर  से झगडा नया हुआ होगा ।।

अजनबी तो  नहीं यहाँ  'सैनी '।
नाम   सबने सुना  हुआ होगा ।।


डाo सुरेन्द्र सैनी


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2013, 09:09:02 AM »
Reply with quote
Ziqr   jab  aapkaa   huaa    hogaa.
Chaar  soo  jashn  saa  huaa hogaa.

Jab   ye  dil  aapkaa  huaa  hogaa.
Fir  bataao  n  kyaa  huaa   hogaa.

Chaand  tare  the uskee mahfil meN.
Raqs   fir  zor  kaa  huaa   hogaa.

Chaand ke chaand jab muqaabil thaa.
Kuchh n kuchh shor  saa huaa hogaa.

Uskee  palkeN haiN neend se bojhal.
Raat  bhar  kaa  jagaa  huaa hogaa.

Uskee chaukhat pe  sijdaa karne se.
Aap  hee  kaa  bhalaa   huaa hogaa.

Khaas  pahchaan  hai mere ghar kee.
Har  taraf  se  khulaa  huaa hogaa.

Fir padosan  kee cheenkh aayee hai.
Fir  se  jhagdaa  nayaa huaa hogaa.

Ajnabee  to  yahaaN naheeN ‘saini’.
Naam   sabne   sunaa   huaa  hogaa.

Dr.Surendra Saini


ज़िक्र  जब आपका  हुआ होगा ।
चार  सू  जश्न  सा हुआ होगा ।।

जब ये दिल आपका  हुआ होगा |
फिर बताओ न क्या  हुआ होगा ।।

चाँद तारे थे उसकी  महफ़िल में ।
रक़्स  फिर ज़ोर  का हुआ होगा ।।

चाँद  के चाँद जब  मुक़ाबिल था ।
कुछ न कुछ शोर सा हुआ होगा ।।

उसकी  पलकें हैं नींद से बोझल ।
रात   भर का जगा हुआ होगा ।।

उसकी चौखट पे सिजदा करने से ।
आप  ही  का  भला हुआ होगा ।।

ख़ास   पहचान  है मेरे घर की ।
हर  तरफ़ से खुला  हुआ होगा ।।

फिर  पड़ोसन की चींख आयी है ।
फिर  से झगडा नया हुआ होगा ।।

अजनबी तो  नहीं यहाँ  'सैनी '।
नाम   सबने सुना  हुआ होगा ।।


डाo सुरेन्द्र सैनी


kya baat hai sir umda ghazal se mehzuz kiya hai aapne daad qubool kareN.aur ek rau bhi
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2013, 09:15:22 AM »
Reply with quote
Saini Sahaab Aadaab!


Kia baat hai janab, bade hi khoob aur umdaa khayaaloN ko
khoobsurat ashaaroN meiN dhala hai janab... Usual Smile

Sabhi Ashaar behad khoob rahe janab.. chhoti bher meiN umdaa
gazal huyi hai.... Usual Smile
Meri dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...


Bazm meiN aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...
Khudaa Hafez... Usual Smile

Logged
shara63
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2013, 10:15:54 AM »
Reply with quote
 :clap:waah waah!...kya khoobsoorat peshkash hai...sare ashaar lajawaab...khoob daad-o-mubaarakbaad qubool kijiye!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: February 04, 2013, 10:20:12 AM »
Reply with quote
boht khub saini sir kamaal kar diya
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: February 04, 2013, 10:24:29 AM »
Reply with quote
waah waah Saini Sahab
bahot bahot khoob Ghazal
dili daad aur mubarakbaad kubul karen
Usual Smile
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: February 04, 2013, 11:16:15 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
prashad
Guest
«Reply #9 on: February 04, 2013, 11:29:03 AM »
Reply with quote
wah wah
Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: February 04, 2013, 11:53:19 AM »
Reply with quote
Wonderful ghazal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #11 on: February 04, 2013, 12:28:09 PM »
Reply with quote
Khaas  pahchaan  hai mere ghar kee.
Har  taraf  se  khulaa  huaa hogaa.

waah waah sir kya zabardast likha hai,,
 icon_flower  icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: February 04, 2013, 12:51:18 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Saini Jee, khaastaur pe ye she'r kaafi pasand aaya:

Uski Chaukhat pe sajda karne se
Aap  hi  ka   bhala   hua   hoga
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: February 04, 2013, 01:29:00 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob saini sir. ek se badhkar ek sher. bahut pyaari ghazal rahi. dheron daad qubool kare
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: February 04, 2013, 01:34:47 PM »
Reply with quote
 ghazal ke liye mubarakbad, saini saheb.
 ....2 words talaffuz ke lihaz se ghalat spelled hain : Ziqr ke q ka pronunciation Raqs ke q ke pronunciation se different hai . 'ziQr'   ko ' Zikr ' ki tarah spell karein to behtar hai. 'Fir' ko bhi 'phir' likhein to behtar hai.
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:14:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer