Zinda Bachche Jalte Dekhe Aik Budhe Baap Ne By Rekhta Pataulvi

by ziaulhaq on February 14, 2012, 06:09:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1075 times)
ziaulhaq
Guest
Reply with quote
Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya
Hum Ghareebon Ki Duwaon  Ka Asar Tak Le Gaya

Unche Mahalon Ke Tale Hai Muflison Ki Bheed Kyon
Kaun Sa Jazba Unhe In Ahle Nazar Tak Le Gaya

Zinda Bachche Jalte Dekhe Aik Budhe Baap Ne
Kis Qadar Jaan Sauz Manzar Tha Nazar Tak Le Gaya

Khushnaseebi Le Gayi Ik Behunar Ko Arsh Par
Badnaseebon Ka Hunar To Unka Sar Tak Le Gaya

Matlabi Aik Baap Bete Se Dagha Karta Raha
Ye Rawayya Achchhe Bete Ko Bhi Shar Tak Le Gaya

Rekhta Kar Liya Haqgoee Mein Sar Bhi Safed
Uska Har Ik Sach Magar Jhoote Nagar Tak Le Gaya
Logged
ziaulhaq
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2012, 06:11:11 PM »

deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2012, 06:15:08 PM »
Reply with quote
Ur creation brings tear into my eyes.. Its really really expressed and written fantastic.

Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #3 on: February 14, 2012, 06:42:56 PM »
Reply with quote
Wah wah kya khoob likha hai tareef k liye mere pass alfaaz nahi hai.
Dil chhoo liya aapne..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #4 on: February 15, 2012, 03:50:30 AM »
Reply with quote
Ziaulhaq saheb achhee ghazal pesh kee hai aapne mubarak ho dheron daad haazir hain
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #5 on: February 15, 2012, 10:27:32 AM »
Reply with quote
Yeh to naadaan  hain yeh samjheiN kya jehaad-e-deen ko
Kaun in masoomoN ko baniye shar tak le gaya
Logged
ziaulhaq
Guest
«Reply #6 on: February 15, 2012, 07:35:52 PM »
Reply with quote
hosla afzaee ke liye sabhi ka bahut bahut shukria
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:21:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer