Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha......

by khwaish on August 08, 2009, 04:16:51 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 6516 times)
abdbundeli
Guest
«Reply #15 on: August 09, 2009, 07:20:06 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Abdsahebji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Eh Dil,Ab Himmat Naa Haar,
Woh Dekh Manzil Hai Uss Paar!!
Jo Chal Sake Yeh Kadam To phir Darr Kis Baat Ka,
Aane De Saamne Ab Har Mushkil Ko,
Ab Hum Bhi Hai Taiyaar..

Shukriyah khwaish ji!

Jaanaa hai us paar bhi;
Honaa hai taiyaar!
Har lamahaa hai qeemtee;
Har din hai tyohaar!!

           - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: August 09, 2009, 07:22:21 AM »
Reply with quote
bahut khoob abd ji...
Thanks punam ji!
         - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #17 on: August 09, 2009, 07:22:53 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd ji,very beautiful lines. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: August 09, 2009, 07:23:25 AM »
Reply with quote
bahut Khooob..

Jaana Hai Uss Paar Bhi,
Hona Hai Taiyaar!!!
Mere Paas Kuch Bhi To Nahi,
Bas Ek Meri Himmat Hi Hai Mera Auzaar...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: August 09, 2009, 07:25:36 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd ji,very beautiful lines. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Thanks Madhu!
        - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: August 09, 2009, 07:35:45 AM »
Reply with quote
bahut Khooob..

Jaana Hai Uss Paar Bhi,
Hona Hai Taiyaar!!!
Mere Paas Kuch Bhi To Nahi,
Bas Ek Meri Himmat Hi Hai Mera Auzaar...


Bahut khuub!

Himmat bhee darkaar hai;
Sidqat bhee darkaar!
Ulfat ho beyintihaa,
Us sey, jo us paar!!
 
         - abd bundeli

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: August 09, 2009, 07:45:27 AM »
Reply with quote
Bahut khuub!

Himmat bhee darkaar hai;
Sidqat bhee darkaar!
Ulfat ho beyintihaa,
Us sey, jo us paar!!
 
         - abd bundeli



Bahut Khooob Abdsahebji..

Uss Paar Bhi Kuch Imtehaan Hai,
Iss Paar Bhi To Hai Ek Deewar!!!
Uss Paar Meri Zindagi Hai!!!
Jis Par Hai mujhe Khud Se Zyaada Aitbaar

 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: August 09, 2009, 07:53:04 AM »
Reply with quote
Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Khwaisho Ne Dil Mein Ek jagah Si bana Li!!
Umeed Ka Diya Dil mein Uske Jalta Raha....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

   ~~~~~Khwaish~~~~~


Bahut khoobsurat likha hai khwaish ji as usual...

Kuch Lines....


Raahein jodte gaye zindagi ke har mod par hum,
manzilon ka kaafla jaise raahon mein bikharta gaya,

na jaane kis mod par chhod aaye the hum samundaron ke kinaare,
lehron ki panaahon mein zindagi ka safar yunhi chalta gaya...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: August 09, 2009, 08:01:04 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat likha hai khwaish ji as usual...

Kuch Lines....


Raahein jodte gaye zindagi ke har mod par hum,
manzilon ka kaafla jaise raahon mein bikharta gaya,

na jaane kis mod par chhod aaye the hum samundaron ke kinaare,
lehron ki panaahon mein zindagi ka safar yunhi chalta gaya...

Bahut Bahut Shukriya Angel!!! Aapka Intezaar Sa Tha..Shukar hai Aap aaye to..

Aur Bahut Khooob Kahan Aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yuh Himmat Haar Jaaoge To kabhi Kuch Naa Kar Paaoge!!!
Hausle Buland Ho to Har Mushkil raah Par bhi Muskuraaoge...

Maana Humnein Bhi Ke Yeh Safar Asaan Nahi!!!!
Par Musafir Ho tum Bhi!! Inn Raahon se Bachkar Aakhir Phir kahan Jaa Paaoge...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: August 09, 2009, 08:04:15 AM »
Reply with quote
wah wah khwaish ji... wah wah ... yeh huyi naa koi baat ...

isi tarah aap likhtey jayieh.... wah


jasbir singh

Bahut bahut Shukriya Jasbir Ji.. Usual Smile
Logged
shayara
Guest
«Reply #25 on: August 09, 2009, 08:12:56 AM »
Reply with quote
Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Khwaisho Ne Dil Mein Ek jagah Si bana Li!!
Umeed Ka Diya Dil mein Uske Jalta Raha....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

   ~~~~~Khwaish~~~~~


Zindgi ki sachchai ko ayaan karti hai aapkii ye ghazal.

Bohot Khoob Khwaish Ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: August 09, 2009, 08:13:35 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Angel!!! Aapka Intezaar Sa Tha..Shukar hai Aap aaye to..

Aur Bahut Khooob Kahan Aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yuh Himmat Haar Jaaoge To kabhi Kuch Naa Kar Paaoge!!!
Hausle Buland Ho to Har Mushkil raah Par bhi Muskuraaoge...

Maana Humnein Bhi Ke Yeh Safar Asaan Nahi!!!!
Par Musafir Ho tum Bhi!! Inn Raahon se Bachkar Aakhir Phir kahan Jaa Paaoge...


Thanks Khwaish ji, aapki poem na padhe ye ho hi nahi sakta hia Usual Smile




Musafiron ki tarah chalte hi rahe par pata na chala yun bhatak jayenge,
zindagi ke raaston mein kuch andekhi thokaron se yun bikhar jayenge,

phir bhi na raaston se gila hia na thokaron se na is zindagi se,
ummeed phir bhi ek sehmi si hia ke ek din manzil ko aagosh mein payenge...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: August 09, 2009, 08:24:45 AM »
Reply with quote
Thanks Khwaish ji, aapki poem na padhe ye ho hi nahi sakta hia Usual Smile




Musafiron ki tarah chalte hi rahe par pata na chala yun bhatak jayenge,
zindagi ke raaston mein kuch andekhi thokaron se yun bikhar jayenge,

phir bhi na raaston se gila hia na thokaron se na is zindagi se,
ummeed phir bhi ek sehmi si hia ke ek din manzil ko aagosh mein payenge...

Bahut Khooob Angel!! Clapping Smiley Clapping Smiley

Aaj Bikhre Bhi Hai To Kya Pata Kal Phir Sawar Jaayenge,
Aage Chalna Hi Gar Zindagi hai to Chalte Jaayenge..

Jo Ashk Tere Aankhon Mein Aakar Rukh jaate Hai,Unhe Beh Jaane De,
Yeh Bhi ek Karz Hai Ek dost!! Yehi Yuhi Utar Jaayenge...

Manzil To paana Hi Hai Humko,Manzil Se Hum Hatkar Kahan Jaayenge..
Apna Khuda Apne Saath Ho to Har Mushkil Raah se Guzar Jaayenge
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #28 on: August 09, 2009, 08:34:08 AM »
Reply with quote
Buland hosla or pukhta irade ki baat hai, bohot khoob khwaish ji, or digar ahbaab ne bhi achhe kalaam pesh kiye..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #29 on: August 09, 2009, 08:44:42 AM »
Reply with quote
Bahut Khooob Abdsahebji..

Uss Paar Bhi Kuch Imtehaan Hai,
Iss Paar Bhi To Hai Ek Deewar!!!
Uss Paar Meri Zindagi Hai!!!
Jis Par Hai mujhe Khud Se Zyaada Aitbaar


Thanks khwaish ji!

Bulaauun unhain: jigar-o-dil mein bithaauun!
Bhaley hee subah raat-see beet jaauun!!
Mujhey hai yaqeen, aayengey lout ghar woh;
Wahaan, un key ghar, mein bhaley hi na jaauun!!

(Pooree gazal, Gazaloun key forum mein post kar dee gayee hai.) 

                                - abd bundeli

Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:56:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer