Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha......

by khwaish on August 08, 2009, 04:16:51 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 6514 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: August 09, 2009, 01:09:56 PM »
Reply with quote
Bahut Khooob Angel!! Clapping Smiley Clapping Smiley

Aaj Bikhre Bhi Hai To Kya Pata Kal Phir Sawar Jaayenge,
Aage Chalna Hi Gar Zindagi hai to Chalte Jaayenge..

Jo Ashk Tere Aankhon Mein Aakar Rukh jaate Hai,Unhe Beh Jaane De,
Yeh Bhi ek Karz Hai Ek dost!! Yehi Yuhi Utar Jaayenge...

Manzil To paana Hi Hai Humko,Manzil Se Hum Hatkar Kahan Jaayenge..
Apna Khuda Apne Saath Ho to Har Mushkil Raah se Guzar Jaayenge


Ashqon ko khaak ke raaste dikhane ki zaroorat nahi hoti,
hum yunhi ro dete hai jab charagon mein roshni nahi hoti,

bikhar ke sanwre aur sanwar ke toot ke gire kayi baar mere wajood ke shishe,
tootte hue taaron ko aasmaan mein chamakne ki kab khwahish nahi hoti,

manzil to paake rahenge kabhi na kabhi jaante hai hum bhi aye dost,
par na ho unke qadamon ka saath to raaston par chalne ki gunjaish nahi hoti...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: August 10, 2009, 05:48:45 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish maza aa gaya janaab kya kehne hain

zindagi bhar wo safar karta raha

Bahut Bahut Shukriya Aslamji..

Aapne Iss Kalaam Ko Apna Waqt Diya,Teh Dil se Shukriya Aapka..
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: August 10, 2009, 11:04:50 AM »
Reply with quote
Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Khwaisho Ne Dil Mein Ek jagah Si bana Li!!
Umeed Ka Diya Dil mein Uske Jalta Raha....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

   ~~~~~Khwaish~~~~~



Waah waah bohot hi khoob Khwaish Dost  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley

Humesha ki tarah kuch sochne ko majboor kar dene waali shayari....Bohot bohot khoob Dost.
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: August 10, 2009, 11:37:48 AM »
Reply with quote

Jo Aankhon Main Apni, Khwaab Basa Ke Chalte Hain,
Raah Ki Dushwariyon Se Na Qadam Unke Thakte Hain

Hauslon Ka Sahara Hota Hain Jin Ke Paas, Ae Dost,
Raah Ke Pathar Bhi Unke Raaste Se Hat Te Hain

Aadmi Aur Insaan Ka Farq Jin Ko Mil Jaaye,
Wahi Insaaniyat Kar Parcham Buland Karte Hain

Zindagi Ki Unchh Neech Se Ho Jaate Hain Jo Wakhif,
Wo Kahan Phir Kisi Gehraayi Se Dara Karte Hain !!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #34 on: August 10, 2009, 12:05:49 PM »
Reply with quote
Ashqon ko khaak ke raaste dikhane ki zaroorat nahi hoti,
hum yunhi ro dete hai jab charagon mein roshni nahi hoti,

bikhar ke sanwre aur sanwar ke toot ke gire kayi baar mere wajood ke shishe,
tootte hue taaron ko aasmaan mein chamakne ki kab khwahish nahi hoti,

manzil to paake rahenge kabhi na kabhi jaante hai hum bhi aye dost,
par na ho unke qadamon ka saath to raaston par chalne ki gunjaish nahi hoti...

Bohot achhe Angel ji..  Applause Applause Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #35 on: August 10, 2009, 12:07:37 PM »
Reply with quote

Jo Aankhon Main Apni, Khwaab Basa Ke Chalte Hain,
Raah Ki Dushwariyon Se Na Qadam Unke Thakte Hain

Hauslon Ka Sahara Hota Hain Jin Ke Paas, Ae Dost,
Raah Ke Pathar Bhi Unke Raaste Se Hat Te Hain

Aadmi Aur Insaan Ka Farq Jin Ko Mil Jaaye,
Wahi Insaaniyat Kar Parcham Buland Karte Hain

Zindagi Ki Unchh Neech Se Ho Jaate Hain Jo Wakhif,
Wo Kahan Phir Kisi Gehraayi Se Dara Karte Hain !!

Waah.. Kya kehne Celmira ji...  Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: August 10, 2009, 12:46:58 PM »
Reply with quote
Bohot shukriya Sayyid
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: August 12, 2009, 07:09:13 AM »
Reply with quote
Bahut khoob khwaish ji... zindagi me aage badhne ke liye kabhi kabhi kuch na kuch samjhauta to karna hi hai...tab hi insaan khush khud rah sakta dusron ko bhi khush rakh sakta hai...bahut hi acha likha aap ne...



Bahut Bahut Shukriya Punam...

Yehi Zindagi Ki Haqeeqat Hai,Zindagi Mein Bhaut se Samjhaute Karne Hote Hai..

Aapka Teh Dil Se Shukriya Dost!! Usual Smile
Logged
k.shael
Guest
«Reply #38 on: August 12, 2009, 07:16:15 AM »
Reply with quote
Wah Bahut Khoob, Har baar ki tarah ek aalag hi topic, aur insaan ko aage bhadne ka kitna pyaara kalam diya hai..really a gud work u done..

Shally.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #39 on: August 13, 2009, 03:57:41 PM »
Reply with quote
Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Khwaisho Ne Dil Mein Ek jagah Si bana Li!!
Umeed Ka Diya Dil mein Uske Jalta Raha....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

   ~~~~~Khwaish~~~~~

bahut khub likha hai aapne khwaish ji......zindagi k safar ko bahut khoob byaan kiya hai aapne.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Seedhi raah use munaasib nahi thi
Tedhi raah par hi chalna tha use...
Chal k giraa,gir-gir k sambhla....
Khuch iss tarah se wo har pag bharta rha..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #40 on: August 13, 2009, 04:15:24 PM »
Reply with quote
very beautiful gazal Khwaish ji,bahut khoob mindblwing creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent

Thankyou Soooooooo Much Madhu.. icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #41 on: August 13, 2009, 04:18:08 PM »
Reply with quote
Ashqon ko khaak ke raaste dikhane ki zaroorat nahi hoti,
hum yunhi ro dete hai jab charagon mein roshni nahi hoti,

bikhar ke sanwre aur sanwar ke toot ke gire kayi baar mere wajood ke shishe,
tootte hue taaron ko aasmaan mein chamakne ki kab khwahish nahi hoti,

manzil to paake rahenge kabhi na kabhi jaante hai hum bhi aye dost,
par na ho unke qadamon ka saath to raaston par chalne ki gunjaish nahi hoti...
bahut khub Angel ji...aankhiri do lines bahut hi pyaari hai Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: August 13, 2009, 04:39:09 PM »
Reply with quote
is thread per ajj najar parri... wah ek se bad kar ek sabhi ne kamaal ka likha hua hai... Good work yo-team..

Khwaish ji apki yah lines behad pasand aai:

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: August 13, 2009, 04:42:28 PM »
Reply with quote
is thread per ajj najar parri... wah ek se bad kar ek sabhi ne kamaal ka likha hua hai... Good work yo-team..

Khwaish ji apki yah lines behad pasand aai:

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....


Mujhe Umeed Bhi Hai Aur Yakeen Bhi Hai Ke Iss Topic Par Aap Bhi bahut Acha Likh sakte ho..Aapke Kalaam Ka intezaar Hoga..

Aur Teh Dil se Shukriya Aapka.. Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #44 on: August 13, 2009, 04:45:52 PM »
Reply with quote

Jo Aankhon Main Apni, Khwaab Basa Ke Chalte Hain,
Raah Ki Dushwariyon Se Na Qadam Unke Thakte Hain

Hauslon Ka Sahara Hota Hain Jin Ke Paas, Ae Dost,
Raah Ke Pathar Bhi Unke Raaste Se Hat Te Hain

Aadmi Aur Insaan Ka Farq Jin Ko Mil Jaaye,
Wahi Insaaniyat Kar Parcham Buland Karte Hain

Zindagi Ki Unchh Neech Se Ho Jaate Hain Jo Wakhif,
Wo Kahan Phir Kisi Gehraayi Se Dara Karte Hain !!
lajwaab celmira ji......bahut khub likha aapne Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:15:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer