zindagi ki daastan

by abdulqadeer on November 23, 2008, 12:13:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1058 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Meri zindagi mera hum qayal koi bhi nahi hosakta kyoon ke mere jine ka andaaz ajeeb o gareeb hai mujhe hamesha se hi qamushi aur tanha-e- ki talash rahi hai.

Tanha-e- me qamush rahena jaise ab mera mashgul bangaya hai! qamushi hi meri bachpan me mili firasath hai aur tanha-e- meri wo jaizaad hai aur is jaizaad ko mai mere gham bhare lamhoon me masroof karta hon !!

Virane mere wo mahel hai aur qaub un maheloon ki diwaren hain ! waqath to us mahel ki wo chath hai jo kabhi dhoop to kabhi chawan deti hai !! zarorath zindagi me dukh hi mere jine ka saaz-o-samaan hai hai !! raath aur raath ka andhera auraaq banta hai aur chand apni chandini ki siha-e- se meri badkismati ki daastan likhta hai aur subha ka suraj isper raushni bikher deta hai !!

Fiza meri badkismati ki daastaan logoon ko sunati firti hai !! khushiyoon ka to mai tassavor bhi nahi karsakta bus umer guzaarne ke liye taqdeer ke saath bassar kar raha hon aur muqaddar ke qaar se ulajhta raheta hon !!

Kahin nahi likha gaya pyaar likhna to malik ne bhi chaha tha lekin wahan bhi meri badkismati ne likh diya qaar ! mai wahan bhi qamush raha kyoon ke mere naseeb sirf juda-e- aur juda rahena likha !!

Hamesha saath dena to dukh aur tanha-e- ko ata hai isiliye tanha raheta hon ! kaun dega eak tute howe ka saath ‘kaun dega’ , kaun dega , koi bhi saath nahi deta Qadeer duniya me sub sung dil hote hain !!

Isiliye kaheta hon qadeer tanha to aya tha !! tanha hai !! Tanha rahega !! Aur qamushi iqteyaar kar tanha laut ja !!

Bus yahi teri zindagi ki daastan hai !!

Qadeer Toopchi

From Dubai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Daastan-e-ishq by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
daastan e ghum by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Daastan-e-Net by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Meri Daastan by Devdas_online in Shayri-E-Dard
daastan e dil by ankit20 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
sjid hadayat
Guest
«Reply #1 on: November 23, 2008, 02:00:23 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Qadeer Ji,  hum say khuch ho sakay tu zaroor bata diena....

Sajid Hadayat
+92 333 4123 685
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #2 on: November 24, 2008, 04:31:21 AM »
Reply with quote
bahut acha likha hain
aaj ka jamana mian har ek ko tanhayi  or sukun ki talash ha
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:23:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer