Zindagi Mein Sabse Mushkil Hai Kisi Ka Kisi Par Aitbaar Karna..

by khwaish on July 16, 2009, 03:49:51 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 11196 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Zindagi Apni Has Kar Basar Karte Hai!!
Nafraton Ke Raaston par Naa Safar Karte Hai...

Woh Log Aur Honge Jinhe Apne Humsaaya Par Bhi Yakeen Nahi!!!
Tu Saath Hai mere!! Hum To Bas issi baat Pe Khud Par Fakr Karte Hai....

Toot Jaate Hai Woh Ghar Jinki Deewarein Mazboot Naa Ho!!
Zindagi Ke Har Kadam Par Khud Se Zyaada Yakeen Hum Tujh Par karte Hai...

Mohabbat Gehri Tab Hoti Hai Jab Hum kisi Ke Gham ko Apnana Seekhle!!
Sirf Teri Muskaan Ka Khaayal Nahi Hoon Main!!!
Teri Aankh Se Gire Hue Ashko Ki Bhi Hum Kadar Karte Hai....

Tujhse Door Rehte Hai par Tujhse Juda Kabhi Ho Nahi Sakte!!
Har Pehar, Har Lamha  Hum teri Fikar Karte Hai....

Tere Har Dard-0-Gham Ka Ilaaj hai Paas Mere!!!
Suna Hai, Dawaon Se Zyaada Duawein Asar Karte Hai....

"Khwaish" Kehta Hai ke Zindagi Mein sabse Mushkil Hai,
Kisi Ka Kisi Par "Aitbaar" Karna!!!
Jo Naa Samaj Sake Iss Jazbaat Ko,
Woh Naa Jaane,Apne Mohabbat Ka Kya Hashar Karte Hai....

             ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009


View Profile
«Reply #1 on: July 16, 2009, 06:13:03 PM »
Reply with quote
Mujhko bachayga qatil mera

Is wahem par bhi aitbaar karte hain...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2009, 06:35:26 PM »
Reply with quote
Har lafj khub,bahut pyare jajbaat....bahut bahut behtrin likha hai aapne khwaish ji....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

       Fakr use bhi hoga,jiske saath har raah par chalta hai tu
       Khushnasib hai wo,jo uski itni kadar karta hai tu

       Khuda kare yu hi chalte rahe kadam aitbaar ki raahon par
       Khushiyan rahe sada uske daaman me,Jiske liye har pal dua karta hai tu
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2009, 06:50:20 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahot khoob likha hai aapne Khwaish ji

apni ghazal me aapne dard mohabbat aur zindagi
sabhi se mutallik ashaar rahke hain
aur bahot umda likha hai

kuch koshish kar rahe hain likhne ki
ummeed hai pasand aaye

zindagi me zindagi jeene ko zindagi kahte hain
manzilon ke safar hi raahon me asar rakhte hain


dard ko dard samajh len hum to alag baat hai
varna to dard haqeeqat me nahi zahar rakhte hain

zindagi me mushkil hai yun to dost aitbaar karna
par zindagi ke tasalsul bharose se hi peher karte hain

mohabbat to khamoshi aur uski raanayiyun me gum rahti
Khumaari ke mausam to shab ko bhi sahar kahte hain





bahut achha likha hai Kaash ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: July 17, 2009, 01:18:23 AM »
Reply with quote
Wow Khwaish ji,kitni bhi tareef karu kam hogi, icon_scratch
mindblwing,excellent,very beautiful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
very beautiful lines by Kaash ji,Popp ji,Dbd ji. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: July 17, 2009, 04:08:49 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahot khoob likha hai aapne Khwaish ji

apni ghazal me aapne dard mohabbat aur zindagi
sabhi se mutallik ashaar rahke hain
aur bahot umda likha hai

kuch koshish kar rahe hain likhne ki
ummeed hai pasand aaye

zindagi me zindagi jeene ko zindagi kahte hain
manzilon ke safar hi raahon me asar rakhte hain


dard ko dard samajh len hum to alag baat hai
varna to dard haqeeqat me nahi zahar rakhte hain

zindagi me mushkil hai yun to dost aitbaar karna
par zindagi ke tasalsul bharose se hi peher karte hain

mohabbat to khamoshi aur uski raanayiyun me gum rahti
Khumaari ke mausam to shab ko bhi sahar kahte hain






Bahut Bahut Shukriya Kaashji,

Jis Ehsaas Ko Zehan mein Rakh kar Yeh ghazal Likhi Gayi hai..

Aapne Uss Ehsaas Ko Bakhoobi Samjha,Bahut Bahut Shukriya Aapke Izzat-Afsai Ka..

Aur Bahut Bahut Khoob..Aapne Bhi har Ek As'haar Lajawaab Likha Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2009, 07:46:56 AM »
Reply with quote
wah wah Khwaish Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: July 17, 2009, 12:15:08 PM »
Reply with quote
Khwaish Dost, Bohot bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot achcha likha hai.......aur usse zyada khoobsurat wo jazba hai jo is shayari main nazar aata hai.......!

Khaas kar ye lines bohot pasand aayi hume"

"Khwaish" Kehta Hai ke Zindagi Mein sabse Mushkil Hai,
Kisi Ka Kisi Par "Aitbaar" Karna!!!
Jo Naa Samaj Sake Iss Jazbaat Ko,
Woh Naa Jaane,Apne Mohabbat Ka Kya Hashar Karte Hai....


Bohot khoob Dost.
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: July 17, 2009, 12:16:40 PM »
Reply with quote
Very nice ones from you as well Kaash Ji & Pops dear  icon_thumleft
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: July 17, 2009, 12:17:45 PM »
Reply with quote
BOhat Khoob KHwaish Bhai,.
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: July 17, 2009, 03:08:37 PM »
Reply with quote
Zindagi Apni Has Kar Basar Karte Hai!!
Nafraton Ke Raaston par Naa Safar Karte Hai...

Woh Log Aur Honge Jinhe Apne Humsaaya Par Bhi Yakeen Nahi!!!
Tu Saath Hai mere!! Hum To Bas issi baat Pe Khud Par Fakr Karte Hai....

Toot Jaate Hai Woh Ghar Jinki Deewarein Mazboot Naa Ho!!
Zindagi Ke Har Kadam Par Khud Se Zyaada Yakeen Hum Tujh Par karte Hai...

Mohabbat Gehri Tab Hoti Hai Jab Hum kisi Ke Gham ko Apnana Seekhle!!
Sirf Teri Muskaan Ka Khaayal Nahi Hoon Main!!!
Teri Aankh Se Gire Hue Ashko Ki Bhi Hum Kadar Karte Hai....

Tujhse Door Rehte Hai par Tujhse Juda Kabhi Ho Nahi Sakte!!
Har Pehar, Har Lamha  Hum teri Fikar Karte Hai....

Tere Har Dard-0-Gham Ka Ilaaj hai Paas Mere!!!
Suna Hai, Dawaon Se Zyaada Duawein Asar Karte Hai....

"Khwaish" Kehta Hai ke Zindagi Mein sabse Mushkil Hai,
Kisi Ka Kisi Par "Aitbaar" Karna!!!
Jo Naa Samaj Sake Iss Jazbaat Ko,
Woh Naa Jaane,Apne Mohabbat Ka Kya Hashar Karte Hai....

             ~~~~~Khwaish~~~~~


khoob kaha khwaish sahab bhut khoob
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: July 17, 2009, 03:47:01 PM »
Reply with quote


Tere Labon Par Muskaan Rahe,
Zindagi Tujh Par Asaan Rahe

Khushian Hon Saath Tere Har Pal,
Har Ghum Tujh Se Anjaan Rahe

Har Chaah Teri Yoon Poori Ho,
Na Dil Main Koi Armaan Rahe

Tere Hathon Main Rahe Hath UsKa,
Ghar Tera Haseen Gulistaan Rahe



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #12 on: July 17, 2009, 07:19:37 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut badhiya khwaish ji..bahut khoob...
Logged
cara
Guest
«Reply #13 on: July 18, 2009, 03:08:37 PM »
Reply with quote
bahut badiya   khwaish ji....

IJHAAR KIYA,IKRAAR KIYA AUR PYAAR KIYA,
WOH PYAAR HI KYA KIYA, AGAR NA AITBAAR KIYA.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 21, 2009, 06:09:13 AM »
Reply with quote
Mujhko bachayga qatil mera

Is wahem par bhi aitbaar karte hain...

Bahut Khoob!! Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:28:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer