Zindagi Muqammal Kardo

by majid on April 12, 2010, 11:33:10 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2765 times)
majid
Guest
Reply with quote
               Aabad  Mere  Dil  Ka , Aey  Sanam  Jungel Kardo
               Aao Ki  Aakar  Meri  Zindagi ,  Muqammal Kardo.

               Is Qadar  Jhal  Raha  Hoon ,  Hijr Ki Tapish Mein
               Ki Khol Ke  Apni  Zulfon  Ko Tum , Baadal Kardo.

               Maar Hi Na Daale Kahin Mujhko, Hasratein Teri
               Kaash  Ki  Torh  Kar Har  Deewaar , Safal Kardo.

               Dekh Lunga  Main Bhi , Kuch  Khwaab To Hasin
               Gar Is Aur Tum  Apna , Rangeen Aanchal Kardo.

               Pal Pal  Mehka  Karun , Bas  Tere Hi Ehsason Se
               Bharke Mujhe Baahon Mein Apni, Sandal Kardo.

               Ik Muddat Se Bas, Bikhre Parhe Hain Lafz Mere
               Karke Inpe Ik Nazar, Khoobsurat Ghazal Kardo.


                                ~Shihab~
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: April 12, 2010, 11:40:37 AM »
Reply with quote
Wah Wah Shihab Bhai Bahut purkashish Andaaz mein aapne likha hai.
Bahut Hi Khoobsurat Peshkash Lagi Aapki. Marhaba. Khush Rahiye

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 12, 2010, 11:49:10 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah....

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Majid Bhai..

Dil ko Lubhaa Jaane Wali ghazal pesh Ki Hai Aapne..

Bahut Khoobsurat!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: April 12, 2010, 11:53:08 AM »
Reply with quote
Wah shihab ji,bahut hi khoob,har baar ki tarah khoobsurti se likha aapne.very beautiful gazal.mindblowing creation.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 12, 2010, 10:22:47 PM »
Reply with quote
OMG ...
SHaib Ji this is so Beautiful........
Jst mynd blowing!!!!!!!!!!!!!!!!!

Jaida muze kehna nahi aata but bhut hi acha likha hai

Keep smiling!!!!!!!!!!!!!!
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2010, 10:54:03 PM »
Reply with quote
wah bahot khoob shihab sahab ..umda likha ..padhkar achha laga..khush rahiye janaab.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: April 12, 2010, 11:24:14 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoobsurat ghazal likhi hai aapne. Bahut hi pyaar bhara hai.Lajawaab. Kaash aap jais hum bhi likh paate.Sach me dil ko chhoo gayi aaapki ye ghazal. Bahut bahut khoob. Sac kahun to mujhe taarif k liye shabd nahi mil rahen hain. Shihab ji aapki ye ghazal mere dil me ghar kar gayi...!!!
Logged
cara
Guest
«Reply #7 on: April 13, 2010, 05:35:28 AM »
Reply with quote
Wah kya baat hai            Shihab ji........


Tumse hi khushiyan milti hai is dil ko aey sanam
ki aajaao hamari zindagi mein khushiyan bhardo

tumhare dampar hi chal paayengi hamari zindagi aey sanam
ki aajaao hamari zindagi ko safal kardo.....








Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 13, 2010, 06:18:05 PM »
Reply with quote
wah shihab sahab bahoth qoob ..dad hazir hai qubool karen .. deri ke liye mazrath khaw hon .. khush rahe hamesha ..

duwa go

qadeertoopchi
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2010, 06:38:47 PM »
Reply with quote
Aabad Mere Dil Ka Aey Sanam  Jungel Kardo
Aao Ki Aakar Meri Zindagi, Muqammal Kardo.

Is Qadar Jhal Raha Hoon Hijr Ki Tapish Mein
Ki Khol Ke Apni Zulfon Ko Tum Badal Kardo.

Maar Hi Na Dale Kahin Humko Hasraten Teri
Kaash Ki Torh Kar Har Deewaar Safal Kardo.

Dekh Lunga Main Bhi Kuch Khwaab To Hasin
Gar Is Aur Tum Apna Rangin Aanchal Kardo.

Pal Pal Mehka Karun Bas Tere Hi Ehsason Se
Bharke Mujhe Baahon Men Apni Sandal Kardo.

Ik Muddat Se Bas Bikhre Parhe Hain Lafz Mere
Karke Inpe Ik Nazar Khoobsurat Ghazal Kardo.


                ~Shihab~


Wah Shihab bhai bahoot khub!!! aapki ghazal padhkar Dr Basir Badr sahab ka ye sher yaad aa gaya...

Chaand sa misra adhura hai mere kagaz par,
Chhat pe aa jao mera sher muqummal kardo..!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 13, 2010, 08:00:18 PM »
Reply with quote
aap ab humein sharminda kar rahe hain Shihab ji apne likhe pe hamari taarif karke. intzaar rahega aapki agli ghazal ka. hum to fida ho gaye hain aapki kalam pe. yunhi likhte rahiye jisse humein bhi kuch sikhne ko miley.

Janab Klaskar Ji
Aapne To Meri Auqaat Se Jyada Tareef Kardi...
Khair Zahe Naseeb Ki Aapko Is Qadar Pasand Aaya...
Aur Rahi Baat Likhne Ki To Mein Aap Sabhi Hazraat Ko
Dekh Dekh Kar Thoda Bahut Nakaam Si Koshish Kar Leta Hoon
Yeh To Aap Sab Ki Muhabbat Aur Saf Dili Hai Ki Kabul Farma Lete Hain...
Bahut Bahut Shukariya Klaskar Ji Izzat Afzaai Aur Waqt Dene K Liye
Aapka Tahe Dil Se Mashkur Hoon Is Qadar Pamard Aur Khoobsurat Tahsin Ke Liye...Shukariya...

Umeed Karta Hun Aage Bhi Yun Hi Saath Banaye Rakhenge Aap...!


Khush Rahiye...


~Shihab~



Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: April 13, 2010, 09:17:58 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
barson baras samandar me rait ke bhatka kiya mai
ban ke abra tapan tan mann ki sheetal kar do
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #12 on: April 14, 2010, 09:37:30 AM »
Reply with quote
wah wah shihabji bahut khoob.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Aabad Mere Dil Ka Aey Sanam  Jungel Kardo
Aao Ki Aakar Meri Zindagi, Muqammal Kardo.

Is Qadar Jhal Raha Hoon Hijr Ki Tapish Mein
Ki Khol Ke Apni Zulfon Ko Tum Badal Kardo.

Maar Hi Na Dale Kahin Humko Hasraten Teri
Kaash Ki Torh Kar Har Deewaar Safal Kardo.

Dekh Lunga Main Bhi Kuch Khwaab To Hasin
Gar Is Aur Tum Apna Rangin Aanchal Kardo.

Pal Pal Mehka Karun Bas Tere Hi Ehsason Se
Bharke Mujhe Baahon Men Apni Sandal Kardo.

Ik Muddat Se Bas Bikhre Parhe Hain Lafz Mere
Karke Inpe Ik Nazar Khoobsurat Ghazal Kardo.


                ~Shihab~


Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2010, 11:21:40 AM »
Reply with quote
Aabad Mere Dil Ka Aey Sanam  Jungel Kardo
Aao Ki Aakar Meri Zindagi, Muqammal Kardo.

Is Qadar Jhal Raha Hoon Hijr Ki Tapish Mein
Ki Khol Ke Apni Zulfon Ko Tum Badal Kardo.

Maar Hi Na Dale Kahin Humko Hasraten Teri
Kaash Ki Torh Kar Har Deewaar Safal Kardo.

Dekh Lunga Main Bhi Kuch Khwaab To Hasin
Gar Is Aur Tum Apna Rangin Aanchal Kardo.

Pal Pal Mehka Karun Bas Tere Hi Ehsason Se
Bharke Mujhe Baahon Men Apni Sandal Kardo.

Ik Muddat Se Bas Bikhre Parhe Hain Lafz Mere
Karke Inpe Ik Nazar Khoobsurat Ghazal Kardo.


                ~Shihab~



Bohot bohot khoob Shihab....bohot khoobsurat likha hai aapne....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: April 14, 2010, 02:49:56 PM »
Reply with quote
Shukriya Shihab ji...!!!

Yeh To Meri Khushnaseebi Hai Klaskar Ji Ki Aap
Mujhey Is Qadar Izzat Baksh Rahe Hain...Khair
Ek Baar Phir Se Aapka Tahe Dil Se Mmnun Hoon Ki
Aapne Is Qadar Izzat Bakshi Aur Himmat Afzaai Ki ...Shukariya...

Aur Jnaab Yahan Sab Ik Dusre Se Hi Sikhte Hain...
Main Koshish Karunga Ki Aapka Intizar Jald Khatam Kar Sakun..


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:06:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer