sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
अगरचे ख़ूबसूरत हो सँवरना सजना पड़ता है |
ग़ज़ल के शेर को मीटर में उसके रखना पड़ता है ||
अगर मेहमाँ चले तब अलविदा तो कहना पड़ता है |
ज़रा सा दूर तक तो साथ उसके चलना पड़ता है ||
किसी लेवल से नीचे सादगी अच्छी नहीं लगती |
दिखावे को सही पर कुछ तो ऊपर उठना पड़ता है ||
उठा कर शान से सर आप चल देते हैं लोगों में |
मगर औलाद के आगे हमेशा झुकना पड़ता है ||
भले ही आप बच्चों को निवाले दे रहे सूखे |
मगर मेहमान की रोटी को तो नम करना पड़ता है ||
बुरी लगती है अक्सर यूँ ही सच्ची बात लोगों को |
कहें क्या सच तो सच है और सच को सुनना पड़ता है ||
सभी ताबीर तो बनती नहीं हैं ख्व़ाब की बातें |
किसी मक़सद की ख़ातिर ख्व़ाब बेशक़ बुनना पड़ता है ||
शिकायत तो हमेशा आबले पाओं से करते हैं |
ज़रा दूरी पे घर हो तो झपट के चलना पड़ता है ||
सभी लोगों से जो सच्चा सभी लोगों से जो अच्छा |
हमेशा एक होता है उसी को चुनना पड़ता है ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Agarche khoobsoorat ho sanwarnaa sajnaa padtaa hai. Ghazal ke sher ko meeter meN uske rakhnaa padtaa hai.
Agar mehmaaN chale tab alvidaa to kahnaa padtaa hai. Zaraa saa door tak to saath uske chalnaa padtaa hai.
Kisee leval se neeche saadgee achhee naheeN lagtee. Dikhaawe ko sahee par kuchh to oopar uthnaa padtaa hai.
Uthaa kar shaan se sar aap chal dete haiN logon meN. Magar aulaad ke aage hameshaa jhuknaa padtaa hai.
Bhale hee aap bachhoN ko niwaale de rahe sookhe. Magar mehmaan kee rotee ko to nam karnaa padtaa hai.
Buree lagtee hai aksar yooN hee sachhee baat logoN ko. KaheN kyaa sach to sach hai aur sach ko sunnaa padtaa hai.
Sabhee taabeer to bantee naheeN haiN khwaab kee baateN. Kisee maqsad kee khaatir khwaab beshaq bunnaa padtaa hai.
Shikaayat to hameshaa aable paaoN se karte haiN. Zaraa dooree pe ghar ho to jhapat ke chalnaa padtaa hai.
Sabhee logoN se jo sachhaa sabhee logoN se jo achhaa. Hameshaa ek hotaa hai useeko chunnaa padtaa hai.
Dr.Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
MANOJ6568
Khaas Shayar
Rau: 31
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:42 days, 19 hours and 59 minutes.
Astrologer & Shayer
Posts: 12017 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #1 on: November 24, 2011, 04:28:58 AM » |
|
BAHUT KHUB KHAYAL AURO KE DILO KA RAKHNA PADTA HAI SACH HERBAAR JUTHA SE MAHAGA PADTA HAI अगरचे ख़ूबसूरत हो सँवरना सजना पड़ता है |
ग़ज़ल के शेर को मीटर में उसके रखना पड़ता है ||
अगर मेहमाँ चले तब अलविदा तो कहना पड़ता है |
ज़रा सा दूर तक तो साथ उसके चलना पड़ता है ||
किसी लेवल से नीचे सादगी अच्छी नहीं लगती |
दिखावे को सही पर कुछ तो ऊपर उठना पड़ता है ||
उठा कर शान से सर आप चल देते हैं लोगों में |
मगर औलाद के आगे हमेशा झुकना पड़ता है ||
भले ही आप बच्चों को निवाले दे रहे सूखे |
मगर मेहमान की रोटी को तो नाम करना पड़ता है ||
बुरी लगती है अक्सर यूँ ही सच्ची बात लोगों को |
कहें क्या सच तो सच है और सच को सुनना पड़ता है ||
सभी ताबीर तो बनती नहीं हैं ख्व़ाब की बातें |
किसी मक़सद की ख़ातिर ख्व़ाब बेशक़ बुनना पड़ता है ||
शिकायत तो हमेशा आबले पाओं से करते हैं |
ज़रा दूरी पे घर हो तो झपट के चलना पड़ता है ||
सभी लोगों से जो सच्चा सभी लोगों से जो अच्छा |
हमेशा एक होता है उसी को चुनना पड़ता है ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Agarche khoobsoorat ho sanwarnaa sajnaa padtaa hai. Ghazal ke sher ko meeter meN uske rakhnaa padtaa hai.
Agar mehmaaN chale tab alvidaa to kahnaa padtaa hai. Zaraa saa door tak to saath uske chalnaa padtaa hai.
Kisee leval se neeche saadgee achhee naheeN lagtee. Dikhaawe ko sahee par kuchh to oopar uthnaa padtaa hai.
Uthaa kar shaan se sar aap chal dete haiN logon meN. Magar aulaad ke aage hameshaa jhuknaa padtaa hai.
Bhale hee aap bachhoN ko niwaale de rahe sookhe. Magar mehmaan kee rotee ko to nam karnaa padtaa hai.
Buree lagtee hai aksar yooN hee sachhee baat logoN ko. KaheN kyaa sach to sach hai aur sach ko sunnaa padtaa hai.
Sabhee taabeer to bantee naheeN haiN khwaab kee baateN. Kisee maqsad kee khaatir khwaab beshaq bunnaa padtaa hai.
Shikaayat to hameshaa aable paaoN se karte haiN. Zaraa dooree pe ghar ho to jhapat ke chalnaa padtaa hai.
Sabhee logoN se jo sachhaa sabhee logoN se jo achhaa. Hameshaa ek hotaa hai useeko chunnaa padtaa hai.
Dr.Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #2 on: November 24, 2011, 06:45:15 AM » |
|
Bahut khoob Saini Sir jindgi ki sacchiya.n bakhoobi bayaan ki hai apne..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Imran.ansari
Guest
|
|
«Reply #3 on: November 24, 2011, 08:43:52 AM » |
|
Bahut Khooob…… Umadh………. Daad hazir hay……….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #4 on: November 24, 2011, 09:35:12 AM » |
|
Imraan bhai daad ke liye shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #5 on: November 24, 2011, 03:04:27 PM » |
|
Saini saheb,Mubarak ho.Acchi ghazal hai khaas taur se ' Utha kar sar ....' bahut achha laga. Hasan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
SARVESH RASTOGI
Guest
|
|
«Reply #6 on: November 24, 2011, 04:27:03 PM » |
|
Beautiful Ghazal Saini Saheb, wah wah. SARVESH RASTOGI
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #7 on: November 25, 2011, 03:45:05 AM » |
|
Bahut bahut shukriya rastogi ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #9 on: January 10, 2012, 09:57:43 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #10 on: January 10, 2012, 10:39:48 AM » |
|
Manoj ji thanks
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #11 on: January 10, 2012, 11:25:42 AM » |
|
Adil saheb bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #12 on: January 10, 2012, 11:27:51 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #13 on: January 10, 2012, 12:33:25 PM » |
|
khwaish ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|