sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
कुछ हैं बड़े अजीब से हालात इन दिनों |
सबके जुदा -जुदा हैं ख़यालात इन दिनों ||
दिल आपके ही गा रहा नग़्मात इन दिनों |
क्या कर रहा है इश्क़ करामात इन दिनों ||
अव्वल तो हो न उनसे मुलाक़ात इन दिनों |
हो जाए तो न कुछ हो कभी बात इन दिनों ||
संसद का हाल पूछ के क्या कीजिये जनाब |
घूंसों के संग चलती वहां लात इन दिनों ||
सब उलटे -सीधे काम जो भी शहर में हुए |
सब में लगे उन्हें मेरा ही हाथ इन दिनों ||
घुट्टी में क्या पिला दिया उनको रक़ीब ने |
दोनों दिखाई दे रहे हैं साथ इन दिनों ||
मौसिम ने रंग बदल लिया इंसान की तरह |
वरना कभी हुई यह बरसात इन दिनों ||
हुक्काम जिस में पड़ गए हैं डेरा डाल कर |
वो ही सजी है देख हवालात इन दिनों ||
उठने लगा है जिहन में क्या फिर कोई ख़लल |
करते बहुत हो आप सवालात इन दिनों ||
बेवक़्त अब न कीजिये जाने की आप ज़िद |
अच्छे नहीं हैं शहर के हालात इन दिनों ||
मैं दौड़ने लगा हूँ तेरी जुस्तजू में बस |
दिन देखता हूँ अब न कोई रात इन दिनों ||
अब भूल बैठे हैं सभी आपस के प्यार को |
घायल सभी के हो रहे जज़्बात इन दिनों ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Kuchh haiN bade ajeeb se haalaat in dinoN. Sabke judaa-judaa haiN khyaalaat in dinoN.
Dil aapke hee gaa rahaa naghmaat in dinoN. Kyaa kar rahaa hai ishq karaamaat in dinoN.
Awwal to ho n unse mulaaqaat in dinoN. Ho jaaye to n kuchh ho kabhee baat in dinoN.
Sansad kaa haal pooch ke kyaa keejiye janaab. GhoonsoN ke sang chaltee vahaaN laat in dinoN.
Sab ulte-seedhe kaam jo bhee shahr meN hue. Sab meN lage unhe meraa hee haath in dinoN.
Ghuttee meN kyaa pilaa diyaa unko raqeeb ne. Dono dikhaai de rahe haiN saath in dinoN.
Mausim ne rang badal liyaa insaan kee tarah. Varnaa kabhee hui yah barsaat in dinoN.
Hukkaam jis meN pad gaye haiN deraa daal kar. Vo hee sajee hai dekh hawaalaat in dinoN.
Uthne lagaa hai jihan meN kyaa fir koi khalal. Karte bahut ho aap sawaalaat in dinoN.
Bevaqt ab n keejiye jaane kee aap zid. Achhe naheeN haiN shahr ke haalaat in dinoN.
MaiN daudne lagaa hooN teree justjoo men bas. Din dekhtaa hooN ab n koi raat in dinoN.
Ab bhool baithe haiN sabhee aapas ke pyaar ko. Ghaayal sabhee ke ho rahe jazbaat in dinoN.
Dr. Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
betukh_ bakbaki
Guest
|
|
«Reply #1 on: February 17, 2012, 07:59:00 AM » |
|
bahut achi aur thought provoking zikr hai...nice
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mann.mann
|
|
«Reply #2 on: February 17, 2012, 11:47:08 AM » |
|
bahut bahut aur bahut khub sainiji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #3 on: February 17, 2012, 01:05:52 PM » |
|
waah saini sahab-- ek aur behad kamaal ki Ghazal kitni saari gehri baate kah jaate hain aap apni ghazlon me
daad daad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #5 on: February 17, 2012, 05:02:58 PM » |
|
Bahut khoob Sir Kya baat hai. tareef ke liye shabda kam pad jaaate hai aajkal. घुट्टी में क्या पिला दिया उनको रक़ीब ने | दोनों दिखाई दे रहे हैं साथ इन दिनों ||
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #6 on: February 18, 2012, 02:34:05 AM » |
|
Betukh ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #7 on: February 18, 2012, 04:36:09 AM » |
|
Mann ji bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #8 on: February 18, 2012, 04:54:52 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
usha rajesh
Guest
|
|
«Reply #9 on: February 18, 2012, 05:42:45 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #10 on: February 18, 2012, 06:29:47 AM » |
|
Sarfira ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #11 on: February 18, 2012, 09:10:12 AM » |
|
Saini saheb . Bahut achhi ghazal hai.Mubarak baad.Hasan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #12 on: February 18, 2012, 11:45:46 AM » |
|
HUM_DUM ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #13 on: February 19, 2012, 05:51:19 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #14 on: February 19, 2012, 06:56:53 AM » |
|
Mukesh ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|