sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
कभी सुनना नहीं चाहें सुना कर भागते हैं लोग |
कहाँ महफ़िल में अब रस्म-ए -अदब को मानते हैं लोग ||
हमेशा जोश में आकर तो सीना तानते हैं लोग |
मगर हालात की उंगली पे फिर भी नाचते हैं लोग ||
मदद के ज़िक्र पर महफ़िल में उठ जाते हैं सबके हाथ |
सवाल उठता है पैसे का तो बस मुंह ताकते हैं लोग ||
बज़ाहिर तो मिलेंगे आप से सब गर्म जोशी से |
तो फिर दिल में हसद का जानवर क्यूँ पालते हैं लोग ||
छुपा कर आप ख़ुद को रख रहे हो रोज़ परदे में |
नहीं नादान इतने सब हक़ीक़त जानते हैं लोग ||
किया हासिल जो क़द उसने तो कद कितना किया होगा |
अभी भी ज़र से ही इंसान का क़द नापते हैं लोग ||
सभी अपने तरीक़े से मुझे करते हैं इस्तमाल |
न जाने कैसे मज्बूरी को मेरी भांपते हैं लोग ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Kabhee sunnaa naheeN chaaheN sunaa kar bhaagte haiN log. KahaaN mahfil meN ab rasm-e-adab ko maante haiN log.
Hameshaa josh meN aakar to seenaa taante haiN log. Magar haalaat kee unglee pe fir bhee naachte haiN log.
Madad ke zikr par mahfil meN uth jaate haiN sabke haath. Sawaal uthtaa hai paise kaa to bas munh taakte haiN log.
Bazaahir to milenge aap se sab garm joshee se. To fir dil meN hasad kaa jaanwar kyooN paalte haiN log.
Chhupaa kar aap khud ko rakh rahe ho roz parde meN. NaheeN naadaan itne sab haqeeqat jaante haiN log.
Kiyaa haasil jo qad usne to kad kitnaa kiyaa hogaa. Abhee bhee zar se hee insaan kaa qad naapte haiN log.
Sabhee apne tareeqe se mujhe karte haiN istmaal. N jaane kaise majbooree ko meree bhaanpte haiN log.
Dr.Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #1 on: January 24, 2012, 07:04:09 AM » |
|
Bahot khubsurat rachna hai Saini sahab. Bamaani aur murassa takhleeq hai. Aise munfarid rachna ke liye badhaai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 24, 2012, 07:14:25 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #3 on: January 24, 2012, 07:25:29 AM » |
|
Saini ji--sbse pehle aapko MOTM bnne ke lie badhai-- --bht khoob ghazal kahi aapne-- badhai ho -- aapki kuch ghalen pehle ki padhi humne-- behad kamaal ka likhte hain aap-- issi trah bazm ko gulzar krte rahen-- khush rahen sukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 24, 2012, 08:50:17 AM » |
|
Saini saheb, Hamesha ki tarah behtareen peshkash.Bahut mubarak ho.Hasan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 24, 2012, 09:17:22 AM » |
|
Bahut hi asardaar rachna hai saini sir..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 24, 2012, 11:32:01 AM » |
|
bahut khoob sir agar mai sahi hu to aaj tak ki sabse anokhi post hai mubarak ho sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #8 on: January 25, 2012, 05:16:25 AM » |
|
Riyaz ashna ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #9 on: January 25, 2012, 08:26:16 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Aatish~
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 25, 2012, 09:08:31 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Quateel Ahmad
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 25, 2012, 09:42:35 AM » |
|
Umdaa. Dher saari daad Saini sahab.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #12 on: January 25, 2012, 11:49:46 AM » |
|
Kilbil ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #13 on: January 25, 2012, 04:21:00 PM » |
|
Hasan saheb bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #14 on: January 25, 2012, 04:34:50 PM » |
|
boht khoob janab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|