किसी को अपना बनानेे मेेेंं वक्त लगता है-सुधीर अश्क

by Sudhir Ashq on April 15, 2014, 04:26:01 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1237 times)
khujli
Guest
«Reply #15 on: April 16, 2014, 05:53:50 PM »
Reply with quote
''Falak se cha and ko laane mein der lagti hai''®
K zulmaton ko mitaane mein der lagti hai


Abhi to  aaye ho , kuchh der baith  kar  jaana
K haal  dil ka sunaane mein der lagti hai

Hudood saari mohabbat ki tod dein woh , magar
Simat ke baanhon mein same mein der lagti hai

Khade hain baam pe saj dhaj ke, jaan lein yeh , magar
K jaadu hum pe chalaane mein der lagti hai

Rida-e-asmat-e-niswaaN bhi kitni   nazuk  hai
Lag a Jo daagh , mitaane mein der lagti hai

Mahal na pyaar ke dhaa dena badgumani mein
Imaratein yeh banaane mein der lagti hai

Kisi bhi taur , 'Has an' , naaz Dilbaron ke  uthha
Jo rooth jaayein , manaane mein der lagti hai

................................
® Is tarahi ghazal ka misra-e-tarah
Zulmat - andhera , rida e asmat e niswaan -
Aurat ki pavitrta ki chadar
.................................
FALAQ SE CHAAND KO LAANE ME WAQT LAGTA HAI.
KISI KO APNA     BANAANE ME WAQT LAGTA HAI.



PYAAR KE LAMHE BHULA DENA HAI KAHAN AANSAA,
LAGEE  JO  AAG,BUJHAANE  ME WAQT LAGTA HAI.




ABHI  TO  AAYE HO KUCHH DER PAAS ME BAITHO,
KI  BAAT  DIL KI SUNAANE ME WAQT LAGTA HAI.



BIGADNA  TO  FAQAT  KHEL  CHAND  LAMHON KA,
KOI  BHI  CHEEZ  BANAANE ME WAQT LAGTA HAI.


KAANCH SE JYADA HAIN NAZUK YE DILON KE RISHTE,
DARKTE  PAL  ME BANAANE  ME WAQT LAGTA HAI.


ASHQ ASMAT BHI BADI CHEEZ HAI ZAMAANE ME,
LAGE  JO  DAAG,MITAANE   ME WAQT LAGTA HAI.


-SUDHIR ASHQ

Sudhir ji , Shukriya k aapne ghazal post karne se pahle mujhe acknowledge kiya .Lekin main apni ghazal ( jo Yoindia aur Facebook par post ho chuki hai )paste karte huay aap ka dhyaan coloured ashaar par dilana chahunga jo mere ashaar ki lagbhag hoobahu copy hai.Is se pahle bhi main aapko Personal Message ke zariye 
aisi ghalti point out kar chuka hoon kyunki publicly kahna mainne munasib nahi samjha thha . Lekin wahi ghalti repeat hone ki wajah se majbooran openly shikayat kar raha hoon .Mahez acknowledge kar ke bilkul resembling ashaar likhna munasib nahin hai . Aap ka shumar meri nazron mein  achhe shayaron mein hai aur mujhe yeh likhte hue takleef ho rahi hai . Lekin literary norms ka dhyan rakhna zuroori hai . Warna koi bhi kal aapki ghazlon ko bhi kuch raddobadal ke sath apna kah hega , agarche yeh Plagiarism ki definition mein aata hai . Ummeed hai ki aap khayal rakheinge.

 BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead BangHead
Logged
Kiran Kirti
Guest
«Reply #16 on: April 16, 2014, 09:06:22 PM »
Reply with quote
जनाब फज़़ल हसन साहब की ग़ज़़ल से प्रभावित होकर,कही गई एक ग़ज़़ल.जनाब फज़़ल हसन साहब का तहे दिल से आभार व्यक्त करतेेेे हुुुयेेे....
----------------------------------------------------------------

फ़लक  से चाँंद को लाने मेेेंं वक्त लगता है.
किसी को अपना बनानेे मेेेंं वक्त लगता है

प्यार  केे लम्हे भुुुला देना है कहाँं आसाँं,
लगी जो आग,बुझानेेे मेेेंं वक्त लगता है.

अभी तो आयेे हो,कुुछ देेेर पास मेेंं बैैठो,
कि बात दिल की सुुुनाने मेेेंं वक्त लगता है.

बिगाड़़ना तो फ़़कत खेल चन्द लम्होंं का,
कोई भी चीज़़ बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

काँंच से ज्यादा हैैंं नाज़़ुुक येे दिलोंं के रिश्तेेे,
दरकतेेे पल मेंं,बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

अश्क अस्मत भी बड़़ी चीज़़ है ज़़मानेेे मेेंं,
लगेेे जो दाग़़,मिटाने मेेेंं वक्त लगता है.

-सुधीर अश्क


**********************************************

FALAQ SE CHAAND KO LAANE ME WAQT LAGTA HAI.
KISI KO APNA     BANAANE ME WAQT LAGTA HAI.


PYAAR KE LAMHE BHULA DENA HAI KAHAN AANSAA,
LAGEE  JO  AAG,BUJHAANE  ME WAQT LAGTA HAI.


ABHI  TO  AAYE HO KUCHH DER PAAS ME BAITHO,
KI  BAAT  DIL KI SUNAANE ME WAQT LAGTA HAI.


BIGADNA  TO  FAQAT  KHEL  CHAND  LAMHON KA,
KOI  BHI  CHEEZ  BANAANE ME WAQT LAGTA HAI.


KAANCH SE JYADA HAIN NAZUK YE DILON KE RISHTE,
DARKTE  PAL  ME BANAANE  ME WAQT LAGTA HAI.


ASHQ ASMAT BHI BADI CHEEZ HAI ZAMAANE ME,
LAGE  JO  DAAG,MITAANE   ME WAQT LAGTA HAI.

-SUDHIR ASHQ


Waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah.Kya kahne Sudhir Ashq Sahab Aapke.Lajawaab ghazal likhi hai sir.Behad khoobsurat aur heart touching.Har ashaar ke apne maani hain.Such me,Dil khush ho gaya.Aapko bahut-bahut badhai.
Logged
Muktesh Mohan Mishra
Guest
«Reply #17 on: April 16, 2014, 09:11:03 PM »
Reply with quote
फ़लक  से चाँंद को लाने मेेेंं वक्त लगता है.
किसी को अपना बनानेे मेेेंं वक्त लगता है

प्यार  केे लम्हे भुुुला देना है कहाँं आसाँं,
लगी जो आग,बुझानेेे मेेेंं वक्त लगता है.

अभी तो आयेे हो,कुुछ देेेर पास मेेंं बैैठो,
कि बात दिल की सुुुनाने मेेेंं वक्त लगता है.

बिगाड़़ना तो फ़़कत खेल चन्द लम्होंं का,
कोई भी चीज़़ बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

काँंच से ज्यादा हैैंं नाज़़ुुक येे दिलोंं के रिश्तेेे,
दरकतेेे पल मेंं,बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

अश्क अस्मत भी बड़़ी चीज़़ है ज़़मानेेे मेेंं,
लगेेे जो दाग़़,मिटाने मेेेंं वक्त लगता है.

-सुधीर अश्क

Wah,Wah Sudhir Ashq Sir,Yoindia per aapkee ghazals aksar padta rahta hun.Aapke sabhi ghazal mujhe pasand aayee,lakin aapkee is ghazal ne such me jadu kar diya.Bahut gahre khayaalaton se labrej hai har sher.Aapko bahut-bahut badhai.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #18 on: April 16, 2014, 09:30:36 PM »
Reply with quote
फ़लक  से चाँंद को लाने मेेेंं वक्त लगता है.
किसी को अपना बनानेे मेेेंं वक्त लगता है

प्यार  केे लम्हे भुुुला देना है कहाँं आसाँं,
लगी जो आग,बुझानेेे मेेेंं वक्त लगता है.

अभी तो आयेे हो,कुुछ देेेर पास मेेंं बैैठो,
कि बात दिल की सुुुनाने मेेेंं वक्त लगता है.

बिगाड़़ना तो फ़़कत खेल चन्द लम्होंं का,
कोई भी चीज़़ बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

काँंच से ज्यादा हैैंं नाज़़ुुक येे दिलोंं के रिश्तेेे,
दरकतेेे पल मेंं,बनानेे मेेेंं वक्त लगता है.

अश्क अस्मत भी बड़़ी चीज़़ है ज़़मानेेे मेेंं,
लगेेे जो दाग़़,मिटाने मेेेंं वक्त लगता है.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoobsurat ghzal sudhir ji
daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 10:18:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer