sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
बेवफ़ा के पास जा कर क्या करूँ | और अब दिल को दुखा कर क्या करूँ ||
आँख पर पट्टी जो बांधे चल रहा | रास्ता उसको बता कर क्या करूँ ||
लोग अपने –अपने मन की कर रहे | ग़लतियां उनकी गिना कर क्या करूँ ||
भूल बैठा है जो मेरा नाम तक | बज़्म में उसको बुला कर क्या करूँ ||
भूख से बेहाल बच्चा रो रहा | अब उसे लोरी सुना कर क्या करूँ ||
है नहीं फ़ुर्सत उन्हें तो आजकल | महफ़िलें फिर मैं सजा कर क्या करूँ ||
रूह तो दिलबर से मिलने जा चुकी | फूल मुर्दे पर चढ़ा कर क्या करूँ ||
बेसुरों के बीच में जब फंस गया | मैं ही सुर में गुनगुना कर क्या करूँ ||
कुछ तवज़्जोह आप जब देते नहीं | बात को मैं भी बढ़ा कर क्या करूँ ||
ज़हर मिल कर बिक रहा हर चीज़ में | अब अलग से ज़हर खा कर क्या करूँ ||
देख कर नादान की नादानियां | बेवजह मैं तिलमिला कर क्या करूँ ||
ज़िंदगी भर तो नहीं मै को चखा | आज ही मुंह से लगा कर क्या करूँ ||
भैंस नाचेगी नहीं ‘सैनी’ तेरी | बीन फिर यूँ ही बजा कर क्या करूँ ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Bevafaa ke paas jaa kar kyaa karooN. Aur ab dil ko dukhaa kar kyaa karooN.
Aankh par pattee jo baandhe chal rahaa. Raastaa usko bataa kar kyaa karooN.
Log apne – apne man kee kar rahe. GhaltiyaaN unkee ginaa kar kyaa karooN.
Bhool baithaa hai jo meraa naam tak. Bazm meN usko bulaa kar kyaa karooN.
Bhookh se behaal bachhaa ro rahaa. Ab use loree sunaa kar kyaa karooN.
Hai naheeN fursat unhe to aajkal. MahfileN fir maiN sajaa kar kyaa karooN.
Rooh to dilbar se milne jaa chukee. Phool murde par chadhaa kar kyaa karooN.
BesuroN ke beech meN jab fans gayaa. MaiN hee sur meN gungunaa kar kyaa karooN.
Kuchh tavazjoh aap jab dete naheeN. Baat ko maiN bhee badhaa kar kyaa karooN.
Zahr mil kar bik rahaa har cheez meN. Ab alag se zahr khaa kar kyaa karooN.
Dekh kar naadaan kee naadaaniyaaN. Bevajah maiN tilmilaa kar kyaa karooN.
Zindagee bhar to naheeN mai ko chakhaa. Aaj hee munh se lagaa kar kyaa karooN.
Bhains naachegee naheeN ‘saini’ teree. Been fir yooN hee bajaa kar kyaa karooN.
Dr.Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
dolly
Guest
|
|
«Reply #1 on: March 21, 2012, 06:34:46 AM » |
|
wow wow wow....amaziiing......amazing sk ji.........Daad Daad......maza aa gaya.....awesome...:)clapppings.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
RAAJA1234
Guest
|
|
«Reply #2 on: March 21, 2012, 06:50:32 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Satish Shukla
Khususi Shayar
Rau: 51
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:25 days, 6 hours and 16 minutes.
Posts: 1862 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #3 on: March 21, 2012, 07:08:03 AM » |
|
Saini Sahib,
Waah waah...bahut khoob..kya kahne..
रूह तो दिलबर से मिलने जा चुकी | फूल मुर्दे पर चढ़ा कर क्या करूँ ||......laajwaab
ज़हर मिल कर बिक रहा हर चीज़ में |......waah..waah अब अलग से ज़हर खा कर क्या करूँ ||
Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.
Satish Shukla 'Raqeeb'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #4 on: March 21, 2012, 07:40:00 AM » |
|
भूख से बेहाल बच्चा रो रहा | अब उसे लोरी सुना कर क्या करूँ || Bahut khoob
बेसुरों के बीच में जब फंस गया | मैं ही सुर में गुनगुना कर क्या करूँ || aakhir chot kar hi gaye
bahut khoob saini saheb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #5 on: March 21, 2012, 09:09:35 AM » |
|
बेवफ़ा के पास जा कर क्या करूँ | और अब दिल को दुखा कर क्या करूँ ||
आँख पर पट्टी जो बांधे चल रहा | रास्ता उसको बता कर क्या करूँ ||
लोग अपने –अपने मन की कर रहे | ग़लतियां उनकी गिना कर क्या करूँ ||
भूल बैठा है जो मेरा नाम तक | बज़्म में उसको बुला कर क्या करूँ ||
भूख से बेहाल बच्चा रो रहा | अब उसे लोरी सुना कर क्या करूँ ||
है नहीं फ़ुर्सत उन्हें तो आजकल | महफ़िलें फिर मैं सजा कर क्या करूँ ||
रूह तो दिलबर से मिलने जा चुकी | फूल मुर्दे पर चढ़ा कर क्या करूँ ||
बेसुरों के बीच में जब फंस गया | मैं ही सुर में गुनगुना कर क्या करूँ ||
कुछ तवज़्जोह आप जब देते नहीं | बात को मैं भी बढ़ा कर क्या करूँ ||
ज़हर मिल कर बिक रहा हर चीज़ में | अब अलग से ज़हर खा कर क्या करूँ ||
देख कर नादान की नादानियां | बेवजह मैं तिलमिला कर क्या करूँ ||
ज़िंदगी भर तो नहीं मै को चखा | आज ही मुंह से लगा कर क्या करूँ ||
भैंस नाचेगी नहीं ‘सैनी’ तेरी | बीन फिर यूँ ही बजा कर क्या करूँ ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Bevafaa ke paas jaa kar kyaa karooN. Aur ab dil ko dukhaa kar kyaa karooN.
Aankh par pattee jo baandhe chal rahaa. Raastaa usko bataa kar kyaa karooN.
Log apne – apne man kee kar rahe. GhaltiyaaN unkee ginaa kar kyaa karooN.
Bhool baithaa hai jo meraa naam tak. Bazm meN usko bulaa kar kyaa karooN.
Bhookh se behaal bachhaa ro rahaa. Ab use loree sunaa kar kyaa karooN.
Hai naheeN fursat unhe to aajkal. MahfileN fir maiN sajaa kar kyaa karooN.
Rooh to dilbar se milne jaa chukee. Phool murde par chadhaa kar kyaa karooN.
BesuroN ke beech meN jab fans gayaa. MaiN hee sur meN gungunaa kar kyaa karooN.
Kuchh tavazjoh aap jab dete naheeN. Baat ko maiN bhee badhaa kar kyaa karooN.
Zahr mil kar bik rahaa har cheez meN. Ab alag se zahr khaa kar kyaa karooN.
Dekh kar naadaan kee naadaaniyaaN. Bevajah maiN tilmilaa kar kyaa karooN.
Zindagee bhar to naheeN mai ko chakhaa. Aaj hee munh se lagaa kar kyaa karooN.
Bhains naachegee naheeN ‘saini’ teree. Been fir yooN hee bajaa kar kyaa karooN.
Dr.Surendra Saini
waah waahh waahhh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #6 on: March 21, 2012, 09:13:41 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Pramod singh
Maqbool Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:3 days, 23 hours and 9 minutes.
main shayar badnaam
Posts: 460 Member Since: Feb 2012
|
|
«Reply #8 on: March 21, 2012, 11:47:51 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Mohammad Touhid
Umda Shayar
Rau: 35
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:38 days, 12 hours and 35 minutes.
'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!
Posts: 7160 Member Since: Aug 2009
|
|
«Reply #10 on: March 21, 2012, 04:15:22 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #11 on: March 21, 2012, 04:36:48 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #13 on: March 22, 2012, 04:11:36 AM » |
|
Dolly ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #14 on: March 22, 2012, 06:22:08 AM » |
|
Raajaa ji shukriyaa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|