ख्वाबों में अपने हाथ जलाए तमाम रात........Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on December 29, 2011, 05:53:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2219 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
माज़ी का थे चराग जलाए तमाम रात      Mazi ka thay charagh jalaye tamam raat
यादों में दिन के ख़्वाब दिखाए तमाम रात   Yado'n ne din ke khwab dikhaye tamam raat

तसकीने-दिल के वास्ते अक्सर अंधेरों में    Taskeen-e-dil ke waastey akser andhero'n mein
ढूँढा किया हूँ अपने ही साए तमाम रात     Dhooda kiya hoon apne hi saayey tamam raat

दो-चार लम्हे भी न रहे लज्ज़ते-गुनाह      Do chaar lamhey bhi na rahey lazzat-e-gunaah
पादाश का ख़याल रुलाये तमाम रात        Paadaash (SIN)ka khayaal rulaye tamam raat

बस सोचते ही सोचते नींद अपनी उड़ गई    Bus sochtey hi sochtey neend apni ud gayee
................................Sadiq Rizvi
अपना वजूद ढूंढ न पाए तमाम रात        Apna wajood Dhoond na paaye tamam raat

हो बेहिजाब चाँद सितारों के दरमियाँ        Ho be-hejaab chaand sitaro'n ke darmiyaa'n
सूरज हया से मुहँ को छुपाये तमाम रात     Suraj haya se mu'nh ko chipaye tamam raat

सो जाएँ थोड़ी देर जो आराम के लिए       So jayein thodi dair jo aaraam ke liye
रफ्तारे-वक़्त हमको चलाए तमाम रात       Raftaar-e-waqt hum ko chalaye tamam raat

छूकर किसी के शोला बदन को ख़याल में     Chookar kisi ke shola badan ko khayaal mein
ख्वाबों में अपने हाथ जलाए तमाम रात      Khwabo'n mein apne haath jalaye tamaam raat

ता सुब्ह कश्ती कैसे संभाली है क्या कहें      Ta subha kashti kaise sambhali hai kya kahei'n
गिरदाब में थे मौत के साये तमाम रात      Girdaab(whirlpool)mein thay maut ke saaye tamam raat

'सादिक़' जिगर में होती रही मीठी सी कसक  "Sadiq" jiger mein hotee rahee meehi si kasak
रह रह के हमको याद वह आये तमाम रात    Rah rah ke humko yaad woh aaye tamam raat
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: December 29, 2011, 06:42:56 PM »
Reply with quote
Rizvi Sahaab Aadaab O As salaam!


Mashaa Allaah janab kia kahne aapke.. aur sahaab aapne jo apni
pic lagaayi waah behad khubsurat aur bade hi ruaabdaar lag raheN
haiN aap.. MaiN to behad choti si hasti huN aapke labo lahje meiN
khamiyaaN nikalta rahta tha.. sad5

Khair mujhse koi azeem gustaqee huyi ho to maiN dil se mazarrat
chaahata huN.. Usual Smile

Ummid hai meri koi baat aapko kabhi nagaaar na guzre.. Usual Smile
Chaliye aapki kalaam par aata huN waise sach kahuN to maiN kisi
kalaam ka tafseera karne ke layk nahi huN kyuN ke mera ilm kuch
bhi nahi hai aap behtar jante haiN.. par mere ustaad kahte the..
Sameer koi falaaN ustaad kah gaye ke kisi ko kisi gazal ka tafseera
karne ke liye kuch jyada ilmi hone ki zarurat nahi use bus kuch dus
baraa gazaleN muh zubaani yaad honi chahiye.. is muamle meiN maiN
MA PHD huN tongue3

So plz don't mind sir jee Usual Smile
chaliye aapki Gazal par aata huN Usual Smile   




माज़ी का थे चराग जलाए तमाम रात      Mazi ka thay charagh jalaye tamam raat
यादों में दिन के ख़्वाब दिखाए तमाम रात   Yado'n ne din ke khwab dikhaye tamam raat

Achcha Matla hai Rizvi Sahaab daad ..
Huamre khayaal se yaadoN meiN ki jagaaH Ne " meiN tabdil kar dijiye
kuch asardaar lageNga.. Usual Smile   


तसकीने-दिल के वास्ते अक्सर अंधेरों में    Taskeen-e-dil ke waastey akser andhero'n mein
ढूँढा किया हूँ अपने ही साए तमाम रात     Dhooda kiya hoon apne hi saayey tamam raat

Waah kia kahne janab behad umdaa daad daad daad Usual Smile    

दो-चार लम्हे भी न रहे लज्ज़ते-गुनाह      Do chaar lamhey bhi na rahey lazzat-e-gunaah
पादाश का ख़याल रुलाये तमाम रात        Paadaash (SIN)ka khayaal rulaye tamam raat

Kia kahne janab waah .. GunaaH ki lazaat kia kahne waah bahut khoob.. Usual Smile
    


बस सोचते ही सोचते नींद अपनी उड़ गई    Bus sochtey hi sochtey neend apni ud gayee
................................Sadiq Rizvi
अपना वजूद ढूंढ न पाए तमाम रात        Apna wajood Dhoond na paaye tamam raat

Masha Allaah janab behad gazab ka sher ataa kiya hai bahut umdaa
daad daad daad Usual Smile    


हो बेहिजाब चाँद सितारों के दरमियाँ        Ho be-hejaab chaand sitaro'n ke darmiyaa'n
सूरज हया से मुहँ को छुपाये तमाम रात     Suraj haya se mu'nh ko chipaye tamam raat

Waah waah waah janab bahut umdaa bahut khoob .. behad achcha
aur umdaa khayaal kaha hai aapne daad daad daad.. HaaN ulaa misre meiN gar darmiyaan ka NUN nun gunaa nahi ho sakta gar aisa hua to sher bher se kharij ho jayeNga.. aapne roman meiN likha hai achcha liyaa par aik baat humne sikhi hai
roman meiN lafz ko aise adaa karte haiN so aapko bhi bataa dete haiN aap aaindaa
aise hi istemaal kijiye.. Jab bhi koi harf naak se adaa hota hai use capital meiN
likha kijiye.. jisse uski moujudgi naa ke barabar ho par moujudgi mehsus bhi
honi chahiye.. Usual Smile    


सो जाएँ थोड़ी देर जो आराम के लिए       So jayein thodi dair jo aaraam ke liye
रफ्तारे-वक़्त हमको चलाए तमाम रात       Raftaar-e-waqt hum ko chalaye tamam raat

Achcha khayaal aur umdaa sher hai janab.. shayad humari kam ilmi hai
ke sher ka ulaa misra bher se kharij lag raha hai.. Usual Smile    


छूकर किसी के शोला बदन को ख़याल में     Chookar kisi ke shola badan ko khayaal mein
ख्वाबों में अपने हाथ जलाए तमाम रात      Khwabo'n mein apne haath jalaye tamaam raat

Waah waah kia kahne janab waah behad khub aur behad umdaa..
YahaaN bhi ulaa misre meiN aik takhtaa kam nazar aaya hume par misra bher meiN
lag raha hai Huh? Huh? Huh? Huh? Huh?    


ता सुब्ह कश्ती कैसे संभाली है क्या कहें      Ta subha kashti kaise sambhali hai kya kahei'n
गिरदाब में थे मौत के साये तमाम रात      Girdaab(whirlpool)mein thay maut ke saaye tamam raat

Waah waah waah kia kahne janab.. aik dilfareb sher kaha hai
aapne dil se hazaaroN daad Usual Smile    


'सादिक़' जिगर में होती रही मीठी सी कसक  "Sadiq" jiger mein hotee rahee meehi si kasak
रह रह के हमको याद वह आये तमाम रात    Rah rah ke humko yaad woh aaye tamam raat

Oye hoye walaah kia kahne aapke is umdaa maqte ke bahut umdaa
janab behad khub daad daad daad Usual Smile    



Rizvi Sahaab aapki is umdaa dilkash aur pur asar kalaam par
dil se hazaaroN daad hazir hai.. Usual Smile

Haan gar mujhse koi guztaaqui huyi ho to maiN tahe dil se mazarrat chahta huN
sach kahuN to mujhe shayari ka kuch bhi ilm nahi par mujh meiN muh zori bahut
hai so jahaaN bhi kuch sahiN nahi lagtaa wahaaN hi kah detaa huN..  DOH

GustaaquioN ke liye mazarrat .. aate rahiye.. likhate rahiye..
khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile  

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: December 30, 2011, 04:17:55 AM »
Reply with quote
bahoot dumdaar peshkash rahi rizvi sahab.....daad kabul karen
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #3 on: December 30, 2011, 09:16:55 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb Khush raho
Aap ke coments padhne ke baad mahsoos hua ke mujhe apne gazlo'n ki Islaah Masha allah aap jaise Qabil Ustaad se leni chahiye. Mehrbani kar ke meri puri ghazal ko urooz ke meter se taul kar Khaksaar ko  Yoindia ke Zariye nawaaz dijiye ain nwazish hogi.
Hindi mere liye Satish shukla ji likhte hain(यादों में दिन के ख़्वाब)
Main Urdu ya Roman mein Likhta hoon aap English version Ghaur se padhein (Yado'n ne din ke khwab)salah ka shukria
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #4 on: December 30, 2011, 09:17:46 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb Khush raho
Aap ke coments padhne ke baad mahsoos hua ke mujhe apne gazlo'n ki Islaah Masha allah aap jaise Qabil Ustaad se leni chahiye. Mehrbani kar ke meri puri ghazal ko urooz ke meter se taul kar Khaksaar ko  Yoindia ke Zariye nawaaz dijiye ain nwazish hogi.
Hindi mere liye Satish shukla ji likhte hain(यादों में दिन के ख़्वाब)
Main Urdu ya Roman mein Likhta hoon aap English version Ghaur se padhein (Yado'n ne din ke khwab)salah dene ka shukria
 
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: December 30, 2011, 09:49:18 AM »
Reply with quote
Sadiq  ji
Bahut umda peshkash
Naya saal mubarak ho apko.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: December 30, 2011, 07:50:02 PM »
Reply with quote
Rizvi Sahaab Aadaab O As salaam!


Janab duaaoN ke liye tah e dil se shukra guzaar huN Usual Smile
Gustaqui ke liye mazarrat chahta huN ke maine aapki bher jaane
bagair hi apne ratti bhar ilm ka pitaara khol baitha... 

Rizvi Sahaab darasal mujhe bher ka koi bhi ilm nahi bus mera ilm 12 21
tak hi simit hai.. So maine apni nazar meiN jaise taqti ki waise aapko
aapki kalaam ki kar ke dikhaa raha huN maiN jantaa huN maiN galat huN
par maiN apne ilm ke liye hi yeH bahas kar raha huN .. bus aap is bahas
ko qattai dil se na lagaiye yeH bahas mujh jaise tamaam sikhne waaloN ke
liye behad fayda karne wali raheNgi aur iske liye maiN aur woH sab aapke
tah e dil se shukraguzaar raheNge jo aapse kuch sikheNge Usual Smile   






Maa/ zi/  ka / thay / cha / raa / gh / ja / laa / ye / ta / maa / m / raa / t
   
Yaa/ do'n/  ne / din / ke / khaa / b / di / kha / ye / ta maa / m / raa /t

Yeh rahaa aapka matla jiski maine taqti ki hai.. shayad sahiN ki
hai jis meiN koi bher ke mutalik galti nazar nahi aayi..
Ulaa misre ka meter : 221 212 112 212 121 kul taqte 15
Sani misrre ka meter: 221 212 112 212 121 kul taqte 15.. Usual Smile   


Tas / kee / n-e-/ dil / ke / waa / s / tey / ak /ser / an /dhe / ro'n/ mein
Dhoo / da / ki / ya / hoon / ap / ne / hi / saa / yey / ta / mam / raa /t

Ulaa misra.. 221 212 122 221 22 kul takte 14
Sani mira : 221 222 112 212 121  kul takhte 15 Huh? 


Do / chaa / r / lam / hey / bhi / na / ra / hey / laz / za /t-e- /gu /naa /h    Paa / daa / sh / ka / kha / yaa / l / ru / la / ye / ta / ma / m / raa / t

Ulaa misraa : 221 212 112 212 121 perfect hai 15
Sani misra : 221 212 112 212 121   yeH bhi perfect hai 15 



Bus/  soch / tey / hi / soch / tey / nee/ nd / ap / ni / ud / ga /yee

Ap / na / wa / joo / d / Dhoon / d / na / paa / ye / ta / ma / m  / raa /t

Ulaa misra: 221 121 212 121 2... Kul taqte only 13 Huh?
Sani misra .. 221 212 112 212 121 perfect haiN Usual Smile   



Ho / be- / he / jaa / b / chaan / d / si / ta / ro'n / ke / dar / mi/ yaa /'n     Su / raj / ha / ya / se / mu'/ nh / ko / chi / pa / ye / ta / ma / m / raa /t

Maine is sher ke bare meiN aakhri ke nun ki baat kahi thi.. jiska
hona behad zaruri hai so uska aik takhta lekar hi dekha hai is hisab se sher pura bher meiN hai.. Usual Smile   


So / ja / yein/  tho / di / dai / r / jo / aa / raa / m / ke / li / ye     
Raf / taa / r-e- / waq / t / hum / ko  / cha / la / ye / ta / ma / m / raa /t

Ulaa misra 221 212 112 212 12 takhte 14 Huh?
Sani misra 221 212 112 212 121 Sani perfect hai...     



Aise hi maine aapki bher ko calculate kiya hai shayad maiN galat
par mera aapko galat kahne ka zarra bhi matlab nahi hai.. meri calculation agar
sahiN hai to yeH aapki gazal ke chaNd misre kharij e bher hi nazar aayeNge mujhe
kyuN ke mujhe bher ka ilm hi nahi hai.. ke kounsi bher meiN kaisa istemaal kiya
jaata hai.. gar rawaani ki baat karuN to aapke gazal behad rawaaN hai.. haaN
aik do jagaaH rawaani ladkhadaayi hai.. par maiN uspar abhi kuch kahna nahi
chahuNga.. bus mere aur bakiyoN ke ilm ke liye hume roshni se raaH dikhaiye. Usual Smile

Aur meri yeH aap se dili guzarish hai ke meri baat ko zarra bhi dil par na lijiyeNga..
gar aapne aisa kiya to yeH anjuman meiN phir kabhi koi roshni nahi aayeNgi.. Usual Smile
hum logoN ko bher sikhne ka mouqa dijiyeN maiN jaanta hun maiN be bhar likhane
walaa aap jaise sukhanwar ki gazal meiN bher ki galtiyaaN dikhaa raha huN kyuN
ke yeH meri kam ilmi hai.. bus itni aakhri iltejaa hai ke hume sikhne ka mouqa
dijiye.. Usual Smile


Shaad O aabaad rahiye..
Khuda hafez.. Usual Smile   

Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #7 on: December 31, 2011, 09:19:28 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH RIZVI SAHAB ..KYA DIL FAREB PESHKASH HAI HAJARO DAAD KABUL FARMAIEN ,,AUR KHUSH RAHEIN ,,,
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #8 on: December 31, 2011, 02:58:21 PM »
Reply with quote
Parwaaz saheb  dustbasta aadaab
Mujhe numbers ki samajh nahin hai Urdu urooz ke hisaab se mere Ustaad aur bade bhai Marhoom Mahmood sarosh jo Urooz ke mahir thay unka dekha hua hai  ager kisi sher mein zara si bhi khami hoti to usey kat detey. Main 25 saal se apne Ghareebkhane per "BAZME-SAROSH" ki nashist organise kar raha hoon Kabhi kisi ne mere ashaar per Ungli nahin uthai masewa..............Niether
I can satisfy anybody nor I feel bad with there coments.
Khuda Hafiz
                                           Aapka Shukr gizaar
...............................................Sa diq Rizvi      
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #9 on: December 31, 2011, 07:49:31 PM »
Reply with quote
Happy New year
Naya saal aap sab logoN ki zindagi mein Khair-o-berkat laaye
Aameen
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: January 02, 2012, 08:43:01 AM »
Reply with quote
माज़ी का थे चराग जलाए तमाम रात      Mazi ka thay charagh jalaye tamam raat
यादों में दिन के ख़्वाब दिखाए तमाम रात   Yado'n ne din ke khwab dikhaye tamam raat

तसकीने-दिल के वास्ते अक्सर अंधेरों में    Taskeen-e-dil ke waastey akser andhero'n mein
ढूँढा किया हूँ अपने ही साए तमाम रात     Dhooda kiya hoon apne hi saayey tamam raat

दो-चार लम्हे भी न रहे लज्ज़ते-गुनाह      Do chaar lamhey bhi na rahey lazzat-e-gunaah
पादाश का ख़याल रुलाये तमाम रात        Paadaash (SIN)ka khayaal rulaye tamam raat

बस सोचते ही सोचते नींद अपनी उड़ गई    Bus sochtey hi sochtey neend apni ud gayee
................................Sadiq Rizvi
अपना वजूद ढूंढ न पाए तमाम रात        Apna wajood Dhoond na paaye tamam raat


हो बेहिजाब चाँद सितारों के दरमियाँ        Ho be-hejaab chaand sitaro'n ke darmiyaa'n
सूरज हया से मुहँ को छुपाये तमाम रात     Suraj haya se mu'nh ko chipaye tamam raat

सो जाएँ थोड़ी देर जो आराम के लिए       So jayein thodi dair jo aaraam ke liye
रफ्तारे-वक़्त हमको चलाए तमाम रात       Raftaar-e-waqt hum ko chalaye tamam raat

छूकर किसी के शोला बदन को ख़याल में     Chookar kisi ke shola badan ko khayaal mein
ख्वाबों में अपने हाथ जलाए तमाम रात      Khwabo'n mein apne haath jalaye tamaam raat


ता सुब्ह कश्ती कैसे संभाली है क्या कहें      Ta subha kashti kaise sambhali hai kya kahei'n
गिरदाब में थे मौत के साये तमाम रात
      Girdaab(whirlpool)mein thay maut ke saaye tamam raat

'सादिक़' जिगर में होती रही मीठी सी कसक  "Sadiq" jiger mein hotee rahee meehi si kasak
रह रह के हमको याद वह आये तमाम रात    Rah rah ke humko yaad woh aaye tamam raat



bahut khoob sadiq sahab Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #11 on: January 02, 2012, 01:06:00 PM »
Reply with quote
Shihab, Beqarar,MKv,Sunildevgehani,Parwaaz, aur Adil Bechain saheb ka bahut bahut shikria
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: January 02, 2012, 02:26:17 PM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot Umda Sadiq Ji.. Bahoot Hi Khoobsoorati se aapne is Ghazal ko anjaam diya hai.. bahoot Bahoot Khoob !

Nysha
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #13 on: January 02, 2012, 07:17:23 PM »
Reply with quote
Thank you Nysha ji
Logged
shoya
Guest
«Reply #14 on: July 08, 2015, 12:42:36 PM »
Reply with quote
 sign2 angry6 computer
WAH WAH WAH RIZVI SAHAB ..KYA DIL FAREB PESHKASH HAI HAJARO DAAD KABUL FARMAIEN ,,AUR KHUSH RAHEIN ,,,
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:19:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer