ज़ुर्म है ख़ुदकुशी /Zurm hai khudkushee ..............SAINI

by sksaini4 on December 02, 2011, 04:44:59 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1246 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
ज़ुर्म  है  ख़ुदकुशी  है  बुरी  मैकशी |
तुझसे रूठें तो हम क्या करें ज़िंदगी ||

फ़स्ल लाशों की लहरा  रही  चार सूँ |
सरफिरों ने बमों की वो बरसात की ||

बेबसी का सहारा जो थी अब  तलक |
अब  वो बैसाखियाँ टूटने को  चली ||

आपसी  रिश्ते जाते  कभी के सुधर |
कुछ तुम्हारी कमी कुछ हमारी कमी ||

खो गयी  शहर की  इस चकाचोंध में |
गावँ के घर की छत चाँद की चाँदनी ||

प्यार  भाई  का  सारा धरा रह गया |
मैंने हिस्से की अपनी ज़मीं मांग ली ||

अब  यहाँ फिर वहाँ भागता फिर रहा |
कितना बेचैन है ? आजकल आदमी ||

प्यार होता है कैसा ? दिखायेंगे  हम |
गावँ में तुम हमारे तो  आना कभी ||

फोन पर,नेट पर और  बाईक पे भी |
बढ़ गयी आज बच्चों  की आवारगी ||

डा० सुरेन्द्र  सैनी

Zurm  hai  khudkushee  hai  buree  maikashee.
Tujhse  rootheN  to  ham kyaa kareN zindagee.

Fasl  laashoN  kee  lahraa  rahee chaar soon.
SarfiroN   ne   bamoN  kee  vo  barsaat  kee.

Bebasee  kaa  sahaaraa  jo  thee  ab   talak.
Ab   vo   baisaakhiyaaN   tootne  ko  chalee.

Aapsee   rishte   jaate   kabhee  ke  sudhar.
Kuchh  tumhaaree  kamee kuchh hamaaree kamee.

Kho  gayee  shahr  kee  is  chakachondh  meN.
GaawN ke ghar kee chhat chaand kee chaandnee.

Pyaar  bhaai  kaa  saaraa  dharaa  rah gayaa.
Maine  hisse  kee  apnee  zameeN  maang  lee.

Ab  yahaaN  fir  vahaaN  bhaagtaa  fir rahaa.
Kitnaa     bechain    hai?   aajkal   aadmee.

Pyaar  hotaa  hai  kaisaa ?  dikhaayenge ham.
GaawN  meN  tum  hamaare  to   aanaa  kabhee.

Fon    par,net    par  aur  baaik   pe  bhee.
Badh   gayee   aaj  bachhoN   kee  aawaargee.

Dr.Surendra Saini  

 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 02, 2011, 06:52:50 AM »
Reply with quote
ज़ुर्म  है  ख़ुदकुशी  है  बुरी  मैकशी |
तुझसे रूठें तो हम क्या करें ज़िंदगी ||

फ़स्ल लाशों की लहरा  रही  चार सूँ |
सरफिरों ने बमों की वो बरसात की ||

बेबसी का सहारा जो थी अब  तलक |
अब  वो बैसाखियाँ टूटने को  चली ||

आपसी  रिश्ते जाते  कभी के सुधर |
कुछ तुम्हारी कमी कुछ हमारी कमी ||

खो गयी  शहर की  इस चकाचोंध में |
गावँ के घर की छत चाँद की चाँदनी ||

प्यार  भाई  का  सारा धरा रह गया |
मैंने हिस्से की अपनी ज़मीं मांग ली ||

अब  यहाँ फिर वहाँ भागता फिर रहा |
कितना बेचैन है ? आजकल आदमी ||

प्यार होता है कैसा ? दिखायेंगे  हम |
गावँ में तुम हमारे तो  आना कभी ||

फोन पर,नेट पर और  बाईक पे भी |
बढ़ गयी आज बच्चों  की आवारगी ||

डा० सुरेन्द्र  सैनी

Zurm  hai  khudkushee  hai  buree  maikashee.
Tujhse  rootheN  to  ham kyaa kareN zindagee.

Fasl  laashoN  kee  lahraa  rahee chaar soon.
SarfiroN   ne   bamoN  kee  vo  barsaat  kee.

Bebasee  kaa  sahaaraa  jo  thee  ab   talak.
Ab   vo   baisaakhiyaaN   tootne  ko  chalee.

Aapsee   rishte   jaate   kabhee  ke  sudhar.
Kuchh  tumhaaree  kamee kuchh hamaaree kamee.

Kho  gayee  shahr  kee  is  chakachondh  meN.
GaawN ke ghar kee chhat chaand kee chaandnee.

Pyaar  bhaai  kaa  saaraa  dharaa  rah gayaa.
Maine  hisse  kee  apnee  zameeN  maang  lee.

Ab  yahaaN  fir  vahaaN  bhaagtaa  fir rahaa.
Kitnaa     bechain    hai?   aajkal   aadmee.

Pyaar  hotaa  hai  kaisaa ?  dikhaayenge ham.
GaawN  meN  tum  hamaare  to   aanaa  kabhee.

Fon    par,net    par  aur  baaik   pe  bhee.
Badh   gayee   aaj  bachhoN   kee  aawaargee.

Dr.Surendra Saini 

 


Bahut Bahut Khoob Saini Ji..

Sabhi A'shaar Khoob Rahe.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #2 on: December 02, 2011, 07:18:26 AM »
Reply with quote
Khub Saini Sahab Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: December 02, 2011, 10:55:42 AM »
Reply with quote
Sanjeev ji thanks
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2011, 11:24:57 AM »
Reply with quote
Bebasi ka sahara jo thi ab talak
ab vo baishakhiyan tootne ko chali
Bahut khoob Sir
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: December 02, 2011, 06:43:40 PM »
Reply with quote
Saini Sahaab Aadaab!

Janab aapke khayaaloN ki jitni tareef ki jaye kam hai
aur Masha Allaah aapki kalam bhi behad zordar chalti hai..

Aapki yeH kalaam bhi behad khoob rahi janab .. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. Khush O aabaad rahiye
Khuda Hafez.. Usual Smile         




Zurm  hai  khudkushee  hai  buree  maikashee.
Tujhse  rootheN  to  ham kyaa kareN zindagee.

Fasl  laashoN  kee  lahraa  rahee chaar soon.
SarfiroN   ne   bamoN  kee  vo  barsaat  kee.

Bebasee  kaa  sahaaraa  jo  thee  ab   talak.
Ab   vo   baisaakhiyaaN   tootne  ko  chalee.

Aapsee   rishte   jaate   kabhee  ke  sudhar.
Kuchh  tumhaaree  kamee kuchh hamaaree kamee.

Kho  gayee  shahr  kee  is  chakachondh  meN.
GaawN ke ghar kee chhat chaand kee chaandnee.

Pyaar  bhaai  kaa  saaraa  dharaa  rah gayaa.
Maine  hisse  kee  apnee  zameeN  maang  lee.

Ab  yahaaN  fir  vahaaN  bhaagtaa  fir rahaa.
Kitnaa     bechain    hai?   aajkal   aadmee.

Pyaar  hotaa  hai  kaisaa ?  dikhaayenge ham.
GaawN  meN  tum  hamaare  to   aanaa  kabhee.

Fon    par,net    par  aur  baaik   pe  bhee.
Badh   gayee   aaj  bachhoN   kee  aawaargee.

Dr.Surendra Saini 

 



Saini Sahaab Muafi chahte hai ke aapse yeH sawaal puchne ki
gustaqui kar raheN hai.. Hum mante haiN ke hum ( maiN ) koi shayar nahi..
Par ilm meiN izaafe ke liye yeH sawaal kar raheN hai.. Usual Smile

Humne jo red highlight kiye huye kafiye haiN woH kafiye.. Naami kafiye hai.. aur jo maroon meiN highlight kiye haiN woH kafiye karni kafiye hai... Usual Smile

Humara yeHi sawaal aapse aapki aik post par tha par humara dobara us post par jana nahi ho payaa  ...  Humne ustaad shohraoN se sunaa tha ke Naami kafiye ke saath karni kafiye ka istemaal jayaaz nahi hai par kyuN jayaz nahi hai.. hume iski wajhaa nahi maloom.. Huh? par aapki us post meiN aapke sabhi kafiye ka sangam hume puri tarhaa se jayaz laga tha.. par aaj is kalaam meiN ustad shohara i baat jayaz lag rahi hai.. Huh?

Hum bahut confuse se ho gaye haiN Huh? Plz humare is masail ko koi ustad shohara bhi suljhaye.. Usual Smile

Gustaqui ke liye phir se muafi chahte haiN .. hum ilm meiN izafe ke hadh tak bahut khudgarz hai.. Usual Smile

Humare sawaal ko khuda ke waste dil par nahi lijiyeNga.. yeH humare self Knowlege ke liye kiya hua sawaal hai Usual Smile

Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile         
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: December 05, 2011, 04:25:53 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb aadaab,
main aapkaa bahut hi shukrguzaar hooN.aapne ne jo swaal mujhse poochha hai uske baare men filhaal maiN itnaa kahoongaaki..
MaiN udu n likh saktaa n padh saktaa. jitnaa mere ghazal meN urdu kaa istemaal hotaa hai vo sab aap logo ke sohbat se seekhaa hai.rahee qafiye kee baat jo swwal aapne kiyaa hai uske baare men main zero hoon. maiN kuchh ustaad logoN se maswiraa karoongaa uske baad hee kuchh kahne kee position men hoongaa.jo bhee result hogaa usee se seekh kar main aage badhuungaa.main ye bhee maantaa hoon ki kaheen kaheen lfzon ke istemaal men bhee mujhse galtiyaan hui hain.mujhe unkaa ilm post karne ke baad hua aur tabhi maine unhe apni original script men theek kiyaa hai.kul milaa kar main bakhud ek muqammal shair naheen hoon main to abhee bhee seekhne kee stage se ghuzar rahaa. hoon main aapkaa ehsaanmand hoon jo aapne mujhe itnee qeemtee baat ke baare men batayaa hai main aapse phone par batiyaane kee khwaish rakhtaa hoon shukriyaa. 09719001632
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: December 05, 2011, 04:36:18 AM »
Reply with quote
ghalat type ho gayaa thaa is tarah snjhe

"वो बैसाखी अब टूटने को चली"
"vo baisaakhee ab tootne ko chalee."
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: December 07, 2011, 06:22:19 AM »
Reply with quote
ज़ुर्म  है  ख़ुदकुशी  है  बुरी  मैकशी |
तुझसे रूठें तो हम क्या करें ज़िंदगी ||

फ़स्ल लाशों की लहरा  रही  चार सूँ |
सरफिरों ने बमों की वो बरसात की ||

बेबसी का सहारा जो थी अब  तलक |
अब वो बैसाखी भी  टूटने को चली ||

आपसी  रिश्ते जाते  कभी के सुधर |
कुछ तुम्हारी कमी कुछ हमारी कमी ||

खो गयी  शहर की  इस चकाचोंध में |
गावँ के घर की छत चाँद की चाँदनी ||

प्यार  भाई  का  सारा धरा रह गया |
मैंने हिस्से की अपनी ज़मीं मांग ली ||

अब  यहाँ फिर वहाँ भागता फिर रहा |
कितना बेचैन है ? आजकल आदमी ||

प्यार होता है कैसा ? दिखायेंगे  हम |
गावँ में तुम हमारे तो  आना कभी ||

फोन पर,नेट पर और  बाईक पे भी |
बढ़ गयी आज बच्चों  की आवारगी ||

डा० सुरेन्द्र  सैनी

Zurm  hai  khudkushee  hai  buree  maikashee.
Tujhse  rootheN  to  ham kyaa kareN zindagee.

Fasl  laashoN  kee  lahraa  rahee chaar soon.
SarfiroN   ne   bamoN  kee  vo  barsaat  kee.

Bebasee  kaa  sahaaraa  jo  thee  ab   talak.
Ab   vo   baisaakhee bhee   tootne  ko  chalee.

Aapsee   rishte   jaate   kabhee  ke  sudhar.
Kuchh  tumhaaree  kamee kuchh hamaaree kamee.

Kho  gayee  shahr  kee  is  chakachondh  meN.
GaawN ke ghar kee chhat chaand kee chaandnee.

Pyaar  bhaai  kaa  saaraa  dharaa  rah gayaa.
Maine  hisse  kee  apnee  zameeN  maang  lee.

Ab  yahaaN  fir  vahaaN  bhaagtaa  fir rahaa.
Kitnaa     bechain    hai?   aajkal   aadmee.

Pyaar  hotaa  hai  kaisaa ?  dikhaayenge ham.
GaawN  meN  tum  hamaare  to   aanaa  kabhee.

Fon    par,net    par  aur  baaik   pe  bhee.
Badh   gayee   aaj  bachhoN   kee  aawaargee.

Dr.Surendra Saini  

  

Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #9 on: February 15, 2012, 11:54:01 PM »
Reply with quote
Bahut sundar hai...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: February 16, 2012, 04:29:13 AM »
Reply with quote
Khwaish ji shukriya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: February 16, 2012, 04:30:03 AM »
Reply with quote
Mukesh ji shukriya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: February 16, 2012, 04:30:32 AM »
Reply with quote
Bakbaki ji Bahut bahut shukriya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:56:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer