दिल पर लगी तो अहले जहाँ ने न देखी चोट.........Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on January 22, 2012, 10:32:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1179 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
Usne lagayee aise mere dil pe gahri chot           उस ने लगाई ऐसे मेरे दिल पे गहरी चोट
Ta umr achchi ho na saki bewafa ki chot            ता उम्र अच्छी हो न सकी बेवफा की चोट

VadoN ke lafz dil ki tahokoN ki zad mein the       वादों के लफ्ज़ दिल की टहोकों की ज़द में थे
Rah rah ke zehn-o-dil ko jo pahuNcha rahi thi chot रह रह के जहने दिल को जो पहुंचा रही थी चोट

Ho kar aseer Ishq meiN lee lazzatey shabaab.       होकर असीर इश्क़ में ली लज्ज़ते शबाब
Aazad karke usne diya bekali ki chot               आज़ाद कर के उस ने दिया बेकली की चोट

Dushman ko bhi khuda na dikhaye kabhi woh daur     दुश्मन को भी ख़ुदा न दिखाए कभी वह दौर
Jis tarha raahe-ishq mein aashiq ne khayee chot    जिस तरह राहे इश्क़ में आशिक़ ने खाई चोट

Ahdey wafa ki tumne woh qsmeiN bhi tod deeN        अहदे वफ़ा की तुमने वह क़समें भी तोड़ दीं
Iqraar per jo rahtey to dil per na padti chot      इक़रार पर जो रहते तो दिल पर न पड़ती चोट

AaNsoo bhi khushk ho gaye veeraan aankh ke         आँसू भी ख़ुश्क हो गए वीरान आँख के
Uss bewafa ki yaad ko dafna ke bhar di chot        उस बेवफा की याद को दफना के भर दी चोट

'Sadiq' tha kamiyaab mohabbat ki raah meiN        'सादिक़' था कामयाब मोहब्बत की राह में
Dil per lagi to ahle-jahaaN ne na dekhi chot       दिल पर लगी तो अहले जहाँ ने न देखी चोट



Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: January 22, 2012, 10:41:17 AM »
Reply with quote
Usne lagayee aise mere dil pe gahri chot           उस ने लगाई ऐसे मेरे दिल पे गहरी चोट
Ta umr achchi ho na saki bewafa ki chot            ता उम्र अच्छी हो न सकी बेवफा की चोट Applause Applause

VadoN ke lafz dil ki tahokoN ki zad mein the       वादों के लफ्ज़ दिल की टहोकों की ज़द में थे
Rah rah ke zehn-o-dil ko jo pahuNcha rahi thi chot रह रह के जहने दिल को जो पहुंचा रही थी चोट

Ho kar aseer Ishq meiN lee lazzatey shabaab.       होकर असीर इश्क़ में ली लज्ज़ते शबाब
Aazad karke usne diya bekali ki chot               आज़ाद कर के उस ने दिया बेकली की चोट Applause Applause

Dushman ko bhi khuda na dikhaye kabhi woh daur     दुश्मन को भी ख़ुदा न दिखाए कभी वह दौर
Jis tarha raahe-ishq mein aashiq ne khayee chot    जिस तरह राहे इश्क़ में आशिक़ ने खाई चोट Applause Applause

Ahdey wafa ki tumne woh qsmeiN bhi tod deeN        अहदे वफ़ा की तुमने वह क़समें भी तोड़ दीं
Iqraar per jo rahtey to dil per na padti chot      इक़रार पर जो रहते तो दिल पर न पड़ती चोट Applause Applause vaaaah kya ehsaas hai

AaNsoo bhi khushk ho gaye veeraan aankh ke         आँसू भी ख़ुश्क हो गए वीरान आँख के
Uss bewafa ki yaad ko dafna ke bhar di chot        उस बेवफा की याद को दफना के भर दी चोट Applause Applause Applause Applause bahut umda

'Sadiq' tha kamiyaab mohabbat ki raah meiN        'सादिक़' था कामयाब मोहब्बत की राह में
Dil per lagi to ahle-jahaaN ne na dekhi chot       दिल पर लगी तो अहले जहाँ ने न देखी चोट Applause Applause bahut  khoob




Vaaaaaaaaaaaaaaaah Sadiq Sahab
Ishq se sarabor is ghjal me ek jaado sa hai. Bahut bahut khoob bayaan kiya hai aapne.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: January 22, 2012, 10:50:03 AM »
Reply with quote
Bahot khubsurat ghazal hai Sadiq sahab. Andaze bayan munfarid aur gahra asar rakhta hai. Daad hazir hai.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2012, 01:47:05 PM »
Reply with quote
Dushman ko bhi khuda na dikhaye kabhi woh daur   
Jis tarha raahe-ishq mein aashiq ne khayee chot

  Bahut khoob janab sadiq saheb.bahut
  achhi ghazal hai. Dil se daad. 
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 23, 2012, 04:24:54 AM »
Reply with quote
 Applause Applause drunken_smilie Applause Applause Applause Applause dheron daad hazir hain sadiq saheb badee khoobsoorat ghazal hai.
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: January 23, 2012, 06:08:58 PM »
Reply with quote

Sadiq Sahab,

Waah waah kya kahney...laajwaab

Har she'r bahut hee khoobsoorat hai.

Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: January 23, 2012, 07:57:22 PM »
Reply with quote
Waah Waah Bahoot Bahoot UMda Sadiq Ji.. Bahoot Bahoot Khoobsoorat Ghazal Likha hai ..!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: January 26, 2012, 03:47:40 AM »
Reply with quote
Sadiq Bhai Behad Khubsoorat Gazal Pesh ki Hai aapne.. Seedhe dil Pe asar gaye aapke likhe har Alfaaz.. Bahut Umda Peshkash.. Daad Kubool Karen.. Applause Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: January 26, 2012, 01:55:26 PM »
Reply with quote
Usne lagayee aise mere dil pe gahri chot           उस ने लगाई ऐसे मेरे दिल पे गहरी चोट
Ta umr achchi ho na saki bewafa ki chot            ता उम्र अच्छी हो न सकी बेवफा की चोट

VadoN ke lafz dil ki tahokoN ki zad mein the       वादों के लफ्ज़ दिल की टहोकों की ज़द में थे
Rah rah ke zehn-o-dil ko jo pahuNcha rahi thi chot रह रह के जहने दिल को जो पहुंचा रही थी चोट

Ho kar aseer Ishq meiN lee lazzatey shabaab.       होकर असीर इश्क़ में ली लज्ज़ते शबाब
Aazad karke usne diya bekali ki chot               आज़ाद कर के उस ने दिया बेकली की चोट

Dushman ko bhi khuda na dikhaye kabhi woh daur     दुश्मन को भी ख़ुदा न दिखाए कभी वह दौर
Jis tarha raahe-ishq mein aashiq ne khayee chot    जिस तरह राहे इश्क़ में आशिक़ ने खाई चोट

Ahdey wafa ki tumne woh qsmeiN bhi tod deeN        अहदे वफ़ा की तुमने वह क़समें भी तोड़ दीं
Iqraar per jo rahtey to dil per na padti chot      इक़रार पर जो रहते तो दिल पर न पड़ती चोट

AaNsoo bhi khushk ho gaye veeraan aankh ke         आँसू भी ख़ुश्क हो गए वीरान आँख के
Uss bewafa ki yaad ko dafna ke bhar di chot        उस बेवफा की याद को दफना के भर दी चोट

'Sadiq' tha kamiyaab mohabbat ki raah meiN        'सादिक़' था कामयाब मोहब्बत की राह में
Dil per lagi to ahle-jahaaN ne na dekhi chot       दिल पर लगी तो अहले जहाँ ने न देखी चोट





Mahutram Sadiq Rizvi sahab ,, Salam

Ahdey wafa ki tumne woh qsmeiN bhi tod deeN        अहदे वफ़ा की तुमने वह क़समें भी तोड़ दीं
Iqraar per jo rahtey to dil per na padti chot      इक़रार पर जो रहते तो दिल पर न पड़ती चोट

Achi koshish pe meri dad khubool Kare.N ,, Koshish karte rahe.N nikhaar aata jayega ....Khas taur pe is sher ko dekh le.N Lafz per ki taqrar ghair manoos lag rahi hai ...Lafz per ke re me Qalqala hota hai jo makharij pe garan guzarta hai ..uski maar se bachna chahiye ..Is sher ko parh ke aisa lagta hai ke alfazon pe shair apni girft barqarar na rakh saka jisse uski latafat mukkamal majroh Ho gaai ...Ye mera Apna nazariya hai apka mutafiq hona koi zarori nahi ..Meri koi baat apke zahn-e-nazuk pe garan guzri to Mauf kar de.N ,, Allah apko khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi

Logged
RAAJA1234
Guest
«Reply #9 on: February 08, 2012, 05:29:43 PM »
Reply with quote
vaah vaah
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #10 on: February 10, 2012, 05:21:56 PM »
Reply with quote
Usne lagayee aise mere dil pe gahri chot           उस ने लगाई ऐसे मेरे दिल पे गहरी चोट
Ta umr achchi ho na saki bewafa ki chot            ता उम्र अच्छी हो न सकी बेवफा की चोट

VadoN ke lafz dil ki tahokoN ki zad mein the       वादों के लफ्ज़ दिल की टहोकों की ज़द में थे
Rah rah ke zehn-o-dil ko jo pahuNcha rahi thi chot रह रह के जहने दिल को जो पहुंचा रही थी चोट

Ho kar aseer Ishq meiN lee lazzatey shabaab.       होकर असीर इश्क़ में ली लज्ज़ते शबाब
Aazad karke usne diya bekali ki chot               आज़ाद कर के उस ने दिया बेकली की चोट

Dushman ko bhi khuda na dikhaye kabhi woh daur     दुश्मन को भी ख़ुदा न दिखाए कभी वह दौर
Jis tarha raahe-ishq mein aashiq ne khayee chot    जिस तरह राहे इश्क़ में आशिक़ ने खाई चोट

Ahdey wafa ki tumne woh qsmeiN bhi tod deeN        अहदे वफ़ा की तुमने वह क़समें भी तोड़ दीं
Iqraar per jo rahtey to dil per na padti chot      इक़रार पर जो रहते तो दिल पर न पड़ती चोट

AaNsoo bhi khushk ho gaye veeraan aankh ke         आँसू भी ख़ुश्क हो गए वीरान आँख के
Uss bewafa ki yaad ko dafna ke bhar di chot        उस बेवफा की याद को दफना के भर दी चोट

'Sadiq' tha kamiyaab mohabbat ki raah meiN        'सादिक़' था कामयाब मोहब्बत की राह में
Dil per lagi to ahle-jahaaN ne na dekhi chot       दिल पर लगी तो अहले जहाँ ने न देखी चोट






BAHUT KHOOB SR


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:33:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer