sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
बताऊँ क्या किसी को रोज़ मुझ पे क्या गुज़रती है |
कभी तदबीर बिगड़े है कभी क़िस्मत बिगडती है ||
शरीफों की किसी बस्ती में छोटे घर की ख़्वाहिश है |
मगर जिस सम्त भी देखो गुनाहगारों की बस्ती है ||
तुझे भी इल्म-ओ-फ़न से जब नवाज़ा है ख़ुदा ने फिर |
तरक्क़ी ग़ैर की आँखों में तेरी क्यों खटकती है ||
समझ लो इश्क़ में इक ज़लज़ला सा आने वाला है |
किसी कमसिन की आँखों में शरारत जब झलकती है ||
मुअम्मा बन गयी है आपकी चुप्पी झमेला सा |
हर इक इंसान की उंगली मेरी जानिब ही उठती है ||
तुम्हारे हुस्न की तारीफ़ में ख़ुद ही क़लम चलता |
हक़ीक़त है यही इसमें मेरी कुछ भी न ग़लती है ||
अभी साँसें हैं कुछ बाक़ी दिल -ए -बीमार की तेरे |
चले आओ -चले आओ कि इक-इक सांस घटती है ||
घड़ी को देखते ही देखते ये दिन गुज़रता है |
मगर रातों की तन्हाई मुझे नागिन सी डसती है ||
कभी तो हाल पूछा होता ‘सैनी ’का यहाँ आकर |
वो तुमसे प्यार करता है यही बस उसकी ग़लती है ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
BataaooN kyaa kisee ko roz mujh pe kyaa guzartee hai. Kabhee tadbeer bigde hai kabhee qismat bigadtee hai.
ShareefoN kee kisee bastee meN chhote ghar kee khwaahish hai. Magar jis samt bhee dekho gunaahgaaroN kee bastee hai.
Tujhe bhee ilm-o-fan se jab nawaazaa hai khudaa ne fir. Tarakqee ghair kee aankhoN meN teree kyoN khataktee hai.
Samajh lo ishq meN ik zalzalaa saa aane waalaa hai. Kisee kamsin kee aankhoN meN sharaarat jab jhalaktee hai.
Muammaa ban gayee hai aapkee chuppee jhamelaa saa. Har ik insaan kee unglee meree jaanib hee uthtee hai.
Tumhaare husn kee taareef meN khud hee qalam chaltaa. Haqeeqat hai yahee ismeN meree kuchh bhee n ghaltee hai.
Abhee saanseN haiN kuchh baaqee dil-e-beemaar kee tere. Chale aao-chale aao ki ik - ik saans ghattee hai. Ghadee ko dekhte hee dekhte ye din guzartaa hai. Magar raatoN kee tanhaai mujhe naagin see dastee hai.
Kabhee to haal poochaa hotaa ‘saini’ kaa yahaaN aakar. Vo tumse pyaar kartaa hai yahee bas uskee ghaltee hai. Dr.Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Anahita
Guest
|
|
«Reply #1 on: May 16, 2012, 11:23:50 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #2 on: May 16, 2012, 01:12:28 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
himanshuIITR
Guest
|
|
«Reply #3 on: May 16, 2012, 01:14:38 PM » |
|
wonderful creation
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #4 on: May 16, 2012, 01:16:48 PM » |
|
Bahut khooob bhai . Khush rahiye .
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Iftakhar Ahmad
Guest
|
|
«Reply #5 on: May 16, 2012, 03:36:16 PM » |
|
Saini Jee, iss waale zalzale ka to koi poorwanuman bhi nahi laga sakta. Allah Khair kare. Waaaaaaaaaaaaaaaaah, ek kamal ki ghazal. Ek Rau meri taraf se.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jazbaat
Guest
|
|
«Reply #6 on: May 16, 2012, 03:37:32 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #7 on: May 16, 2012, 05:15:08 PM » |
|
Bahut khoob Sir Kya kahne.. कभी तो हाल पूछा होता ‘सैनी ’का यहाँ आकर | वो तुमसे प्यार करता है यही बस उसकी ग़लती है || dil jeet lene vaala maqta.. vaaaaaaaaaaah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #8 on: May 16, 2012, 05:35:29 PM » |
|
kamaaaaaaaaaaaaaaaaal
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #9 on: May 16, 2012, 05:57:31 PM » |
|
boht umda peshkash guru ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #10 on: May 16, 2012, 05:57:57 PM » |
|
boht umda peshkash guru ji ek rau
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #12 on: May 17, 2012, 03:47:20 AM » |
|
Anahita ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
amit_prakash_meet
Guest
|
|
«Reply #13 on: May 17, 2012, 04:59:50 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #14 on: May 17, 2012, 05:30:55 AM » |
|
Adil saheb shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|