याद आने लगी है किसी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं |
दास्ताँ चल पडी ज़िंदगी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं ||
जाने कब से पडा था निठल्ला तन के कोने में बेकार ये दिल |
राह पर अब है ये बंदगी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं ||
मिलने - जुलने लगे दोस्तों से आने - जाने लगे महफ़िलों में |
खैरियत पूछते हैं सभी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं ||
छा गए थे घनेरे जो बादल अब सभी दूर जाने लगे हैं |
बात अब हो रही रौशनी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं ||
जिससे क़ायम है इस दिल की धड़कन नूर आँखों में ठहरा हुआ है |
आरज़ू है फ़क़त इक उसी की गोया मसरूफ़ हम हो गए हैं ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Yaad aane lagee hai kisee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
DaastaaN chal padee zindagee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
Jaane kab se padaa thaa nithallaa tan ke kone meN bekaar ye dil.
Raah par ab hai ye bandgee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
Milne - julne lage dostoN se aane - jaane lage mahfiloN meN.
Khairiyat poochhte haiN sabhee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
Chhaa gaye the ghanere jo baadal ab sabhee door jaane lage haiN.
Baat ab ho rahee raushnee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
Jisse qaayam hai is dil kee dhadkan noor aankhoN meN thahraa huaa hai.
Aarzoo hai faqat ik usee kee goyaa masroof ham ho gaye haiN.
Dr.Surendra Saini
wah Saini sahab wah--
aap to aise humare dil par chaa gaye
goya kimti koi kohinoor hum pa gaye
badi dilkash hai adaygi aapki
goya dilkashi ka zakheera hum pa gaye
na rah paye ab bin aapki ghazloN ke
goya aankhon me khab sareekhoe aap hi aaap sama gaye

behad umda poetry ko hazaroN daad humari taraf se kubul karke hume kritarth kareN

muskurate rahen
khus rahen

aur haan plzz keep posting