Hi Friends
This poem " Murga Bola " is on the theme what a cock think at the shop of buther ( Kasai ) ,
Hope u all will agree with me on this , Read and comment
Murga Bola
Kehta hai murga kukad – koo karte hue
Kasai ki dukaan pe maut ki aahein bharte hue
Ab meri baari hai
Katne ki taiyaari hai , ab meri baari hai
Ja raha dekho mera dost mujhse pehle katne ke liye
Dhar chali churi ki aur kat gaya uska sar
Meri to aankhein choti hai dekh ke seham gayi
Par insaano ki haiwaniyat ne kisi ki bhi na suni
Gujarish bus itni si , ki usko na insaan tu itna sata
Gardan alag ho gayi uski , par ab jism ko na tu chil ke tadpa
Koi aisa tarika nikal jisse hum churi lagne se pehle hi marr jaye
Uska aisa haal dekh ke ab mera dil sirf yahi gaaye
Ab meri baari hai
Maut ki taiyaari hai , ab meri baari hai
Koi baat nahi yaar , ho gaya ab main bhi katne ke liye taiyaar
Jauga main peth mein logo ke aur banuga unka aahar
Tariff karege meri jab woh khayege mujhe jam ke
Chalo kisi ke to kaam aauga main to haan maar ke
Shukar karuga insaano ka , ki mujhe is zindagi se aazaad karaya
Par ek baat hai , kya kabhi unke dimaag mein yeh na aaya
Ki aaj to wey insaan hai , agle janam mein kahi na wey hi murge ban jaye
Aur phir meri tarah yahi geet wey dohraaye
Ab meri baari hai
Upar jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai
Chalo aa gaya mera waqt katne ka yaar
Dua karuga ki bhagwaan na banaye tujhe murga aur na hi tu ye geet meri tarah gaye baar baar
Ab meri baari hai
Insaan ke pet mein jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai
Composed by Aamit
---------------------------------------------------------------------------------------------------
Amit Ji, Aapne Apni Kavita Ke Zariye Apni Raaye Rakhi..
Main Aapki Soch, Aapke Jazbaaton ki Kadar karta Hoon par Har Insaan Ki Apni Soch, Apne Jeene Ka Tareeka Hota Hai,iss Topic Ka Koi Anth Nahi..Haan Yeh zaroor Keh sakta Hoon Ke Aapne Ek Dilchasp Kavita Likhi hai..