ANDHI MOHABBAT KI EK KAHANI.....

by Ishq007 on June 29, 2013, 04:50:16 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 10464 times)
Ishq007
Guest
aao sunau tum sab mai ek kissa pyaar ka...
kaise badl gya daulat ko dekh dil yaar ka...

ek baar ek ladki aur ladka themile...
chalne lage unke pyar ke silsile...

ladka jaan se jyada ladki ko mohabbat karne tha laga...
uski chhoti chhoti baato pe marne tha laga...

ladki bhi dikhati thi ke wo usi se pyaar karti hai...
ladke ko nahi tha patta ke wo bas daulat pe marti hai...

ladka bhi ghar se kafi paise churane laga...
ladki ko ghumane firane laga...

aise hi bitate bitate kai saal guzar gaye...
ladke ke ghar ke halat kuchh is tarah bigad gye...

maa uski ko hogyi bimari kuchh badi...
baap uske ke vyapar me musibat thi aa padi...

ghar me sab log paise paise ko mohtaz the...
magar baap ne bete se rakhe halat raaz the...

ladki ne ek din mahnge tohfe ki farmayish ki...
ladke ne bhi taish me aakar ha thi kar di...

aakar wo ghar baap se paise ki fariyaad ki...
baap halat ka hawala de use naa thi kardi...

magar beta smjha ke baap kai jhoth bol raha...
uske dil me chori karne ka tha khyal pal raha...

baap ne kuchh daulat maangi thi logo se uski maa ke ilaj ke liye...
bete ne sari daulat udali aish karne ke liye...

kharida usne mahnga sa tohfa apni jaan ke waste...
magar badkismati se gum gya wo uss se bich raste...

idar maa ki halat bigadne lagi...
baap ko bhi chinta thi jakadne lagi...

udhar jab ladki ne ladke ko dekha muh ko latkaye huye...
wo smjh gye ke aaya hoga ye bina tohfa laye huye...

ladki ne uski baat ko bahana bta diya...
itna kah kar ladke se haath tha chhuda liya...

uske samne hi wo chli gyi kisi aur ke sath...
ladka waha baitha rha malta hua hath...

thak haar jab der raat ghar wo lauta aaya tha...
ghar me logo ki bhid dekh ghabraya tha...

dekh baap ek tarf baitha tha aankh uski lag rahi thi royi huyi...
idhar dekha to maa padi thi arthi pe soyi huyi...

ladka paglo ki tarah chhilane laga...
kah raha tha "koi to btao meri maa ki mout ki wajah"...

itne me uske dosto ne use tham liya tha...
kaise mari uski maa is baat ko byan kiya tha...

kuchh paise tere baap ne bchaye huye the...
un paiso ko ghar me aakar kuchh chor le gye...

un paiso ki wajah se maa ka ilaj na hua...
isi liye humne teri maa ko kho diya...

itna sun kar tha ladka pagal sa hogya...
kamre me ja kar jahar kha kar wo bhi tha apni maa ki tarah hamesha ke liye sogya...

suno mere dosto ye kahani kya batlati hai...
mohabbat hai kitni andhi ye sikhlati hai...

karo mohabbat usi se jo tumhare halat ko smjhe...
maa baap ko chhod mohabbat me na bano andhe....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
andhi by Sonu in Shayri-E-Dard
Na Poocho Meri Mohabbat Ki Kahani,.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Mohabbat Ki Kahani hai... by zafar_Haya in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohabbat ki kahani........ by diya786 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mohabbat Ki Ajab Kahani by p1dhillon in Ghazals
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: June 29, 2013, 05:13:47 AM »
aao sunau tum sab mai ek kissa pyaar ka...
kaise badl gya daulat ko dekh dil yaar ka...

ek baar ek ladki aur ladka themile...
chalne lage unke pyar ke silsile...

ladka jaan se jyada ladki ko mohabbat karne tha laga...
uski chhoti chhoti baato pe marne tha laga...

ladki bhi dikhati thi ke wo usi se pyaar karti hai...
ladke ko nahi tha patta ke wo bas daulat pe marti hai...

ladka bhi ghar se kafi paise churane laga...
ladki ko ghumane firane laga...

aise hi bitate bitate kai saal guzar gaye...
ladke ke ghar ke halat kuchh is tarah bigad gye...

maa uski ko hogyi bimari kuchh badi...
baap uske ke vyapar me musibat thi aa padi...

ghar me sab log paise paise ko mohtaz the...
magar baap ne bete se rakhe halat raaz the...

ladki ne ek din mahnge tohfe ki farmayish ki...
ladke ne bhi taish me aakar ha thi kar di...

aakar wo ghar baap se paise ki fariyaad ki...
baap halat ka hawala de use naa thi kardi...

magar beta smjha ke baap kai jhoth bol raha...
uske dil me chori karne ka tha khyal pal raha...

baap ne kuchh daulat maangi thi logo se uski maa ke ilaj ke liye...
bete ne sari daulat udali aish karne ke liye...

kharida usne mahnga sa tohfa apni jaan ke waste...
magar badkismati se gum gya wo uss se bich raste...

idar maa ki halat bigadne lagi...
baap ko bhi chinta thi jakadne lagi...

udhar jab ladki ne ladke ko dekha muh ko latkaye huye...
wo smjh gye ke aaya hoga ye bina tohfa laye huye...

ladki ne uski baat ko bahana bta diya...
itna kah kar ladke se haath tha chhuda liya...

uske samne hi wo chli gyi kisi aur ke sath...
ladka waha baitha rha malta hua hath...

thak haar jab der raat ghar wo lauta aaya tha...
ghar me logo ki bhid dekh ghabraya tha...

dekh baap ek tarf baitha tha aankh uski lag rahi thi royi huyi...
idhar dekha to maa padi thi arthi pe soyi huyi...

ladka paglo ki tarah chhilane laga...
kah raha tha "koi to btao meri maa ki mout ki wajah"...

itne me uske dosto ne use tham liya tha...
kaise mari uski maa is baat ko byan kiya tha...

kuchh paise tere baap ne bchaye huye the...
un paiso ko ghar me aakar kuchh chor le gye...

un paiso ki wajah se maa ka ilaj na hua...
isi liye humne teri maa ko kho diya...

itna sun kar tha ladka pagal sa hogya...
kamre me ja kar jahar kha kar wo bhi tha apni maa ki tarah hamesha ke liye sogya...

suno mere dosto ye kahani kya batlati hai...
mohabbat hai kitni andhi ye sikhlati hai...

karo mohabbat usi se jo tumhare halat ko smjhe...
maa baap ko chhod mohabbat me na bano andhe....

Nice One,Like It.
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2013, 08:18:17 AM »
nice....................
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 29, 2013, 08:33:12 AM »
waah waah bahut khoob
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: June 29, 2013, 03:45:18 PM »
bahut khoob... super like.. Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:29:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer