Attitude

by @kaash on January 03, 2011, 09:43:36 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1180 times)
@kaash
Guest
ek baar ek sant mahatma the jo gaanv gaanv ghooma karte the,kisi gaanv me bahut khatirdaari hoti kisi me unka sammaan bhi nahi hota.
lekin unhe koi prabhaav nahi padta kyun vo sabhi ko eeshwar ansh samajhte aur sab jagah prabhu ki hi marzi dekhte,lekin jate vaqt jis gaanv se unhe sneha milta use kahte ki ugad jao aur jahan koi sewa nahi milti un logon ko aasheesh dete ki buse raho.
ye sab dekhkar unke ek shishya ne poocha guruji aisa aap kyun karte hain ache logon ko shraap dete hain aur kharab ko asheerwaad.

tab guru ji ne use bataya ki nahi pagle main kisi ko bhi shraap nahi deta jinhe maine ugad jao kaha unhe islie kaha ki vo aur jagah jake prem baante kyunki vo baant sakte hain
aur jinhe buse raho kaha unhe aisa islie kaha ki vo to apas me bhi prem se nahi rahte agar kahin aur jake basenge to vahan bhi fasaad hi karenge,islie vo sabse
acha kaam yehi kar sakte hain ki jahan hain base rahen.guru ji ki aatmik aur paramtatva se sani hui vani sun shishya prasann ho gaya aur use unke goodh nazariye ko samjha.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:35:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer