dark love - pyaar ki daastan

by asif biswas on October 28, 2010, 12:55:02 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 124582 times)
asif biswas
Guest
Ek kahani aise pyar ki jo sahi mein ek kahani hai ek ladki thi sanaa bahoot khubsurat good personality aur wohi sab passion ke saath jo har ek ladki mein hota hai par ek aisi ghatna jo uske jeevan mein barso pehle lagi thi lekin kyun lagi thi ye to kahani mein hi pata chalega jise woh ab bhi yaad karne se darti thi ki lekin thi oose ek prince ka intezaar apni zindagi mein jo uski har khwahish puri kar sake oose duniya se bhi zyada pyaar kare sanna ke papa ek cbi officer the isliye unhe ekdum bhi time nahi tha ki apni beti ke saath kuch waqt bitaaye unhone ghar ek junglo aur pahado se satte ek khoobsurat waadi ke god mein ek chote se hill station mein liya sanaa ne apne papa se kaha ki aap chahe to mere saath mere school chalke mil sakte hai teahers se par uske papa ne kaha dekho beta mere paas itna time nahi hai aur waise bhi hum naye jagah aaye hai so why don’t you walk with your new friends tina aisha aur bhi baaki ladkiya hai jo America se yaha aayi hai I know beta tum ab bhi wo haadsa ko nahi bhuli but hum yaha naye shire se shuruaat karne lage hai tu meyh baat kisi ko mat batana sirf tumhare dost hi is ghtna ko jaante hai pls beta forget it sanaa ne bhi ek halki muskaan di aur kaha ok dad bye aur fhir wahi se who school bus mein chadh gayi jo sidha pahad ke upar ek high school ke gate ke andar chala gaya sab students ki chehel pehel aur school bus se nikalte students mein se nikalti sanaa bhi nikli aur tabhi uski do doston ne oose pukara tabhi usne dekha ki tina aisha uske paas aa rahi hai tina aur aisha paas aakar sanaa se uska haalchal puchne lagi tabhi sanaa ne kaha c’mon girls class kahan hai aisha boli class ab tujhe kabse class jaane ki padi hai c’mo let’s go to canteen tabhi sanaa ne kaha main samjhi nahi ki tu mlog yaha aaye huye 1 din bhi nahi hua aur tu mlog shuru ho gayi aisha ne kaha pls sanna har school ek jaise hote hai by the way humhe to college ke liye pehle se preparation karke rakhni chahiye na kab aage jaakar aisa hi hona padhe ab bahoot dekh liye school ke rang tabhi piche se ek ladka aaya aur usne aisha aur tina ko hello kiya aur kaha so you are bunking right hey what about you? You are new student sanna ne kaha yes I am newcomer my name is sanaa ladke ne kaha oh my name is george welcome to mountain high school waise kaafi acchi lag rahi ho sanna ne kaha thanks george ne kaha ok girls see you all in class uske jaate hi aisha ne kaha pata hai jab se mila hai tab se hi flirts kar raha hai hamare saath tina ne kaha ah tu isko gale mat padaiyo ek no. ka playboy hai oh anyways sanaa c’mon let us show you our new school sanaa unke saath chali gayi tabhi aisha ne kaha thanks yaar tu aa gayi par school bus mein kyun aayi chahti to dad ke car mein aa sakti thi sanaa ne kaha you both knows that my father is the worlds busiest person who mujhe kabhi nahi laayenge apni car mein aisha ne kaha it’s ok yaar waise bhi ek tu hi hai jise freedom mili hai apno ke saath na ghumne ki warna hum dono to maa baap ke piche hai hamesha care karna jaldi ghar aana kahi mat jaana etc. sanaa ne kaha kitni acchi baat hai tumhari koi care to karta hai warna meri kaun karta hai dad to busy rehte hai aur mom to… aisha boli I know tumpe kya guzarti hai jab tum apne maa ko yaad karti ho c’mon lets go to class class mein enter hokar george ke dosto ne kaha dekh wo aa rahi hai chal sidhe baithte hai hey sanaa aisha aur tina dikhalayi apni friend ko school tina ne kaha aa dikha liya and pls kya tum thoda chup rahoge george ne kaha yes why not ? hey chup ho jao sab aur fhir class attend karne ke baad tina and aisha ko bye kar school bus mein chadh jaati hai sanna ghar pahuchkar sanna ek bed par laitkar covered se uski maa ki tasveer nikalti hai aur kehti hai ki mom I always miss you why don’t you with me hear? Kyunki gahr mein to sirf sanna hai dad to office mein gaye huye hai tabhi ek call bell baji aur sanna ne uthaya tina ka call tha tina ne kaha hey kya aaj tum party mein aaogi sanna ne kaha kis party mein tina ne kaha hamari class ki lakdiyo di hai nayi class ke liye so if you will come to main sabse tumhara introsuction bhi karungi aur dos bhi ban jaayenge c’mon pls aana ok sanna ne kaha jaroor aaungi aur phone kaat diya tabhi ek call bell baji sanna ne uthaya aur kaha yes udhar se beta khana kha liya na mujeh fikar ho rahi thi aur suno aaj main der se ghar aaunga shayad subah ke 2 bhi baj sakte hai isliye tum raat khana kha kar so jaana sanna ne kaha thik hai dad love you aur phone kaat diya aur fhir raat huyi aage ki kahani agli post mein to kaisi lag rahi hai aapko kahani jaroor bataiyega .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Let me live even in the dark by vivekanandjha in Share:English Poetry about Pain
dark love - pyaar ki daastan { 2} by asif biswas in General Stories « 1 2  All »
DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG... by asif biswas in General Stories « 1 2 3 4  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2010, 10:47:54 AM »
Raat ko party mein pahuchkar sanaa tina aur aisha se mili aur kaha tumne mujhe itni raat ko kyun bulaya pata hai maine dad ko kuch nahi bataya tina ne kaha c’mon yaar let’s enjoy the party aur sab bhul jao kyunki ye zindagi thodhe dino ki hai fhir to ye sab khatam ek sapne ki tarah aisha ne kaha c’mon chalo let me introduce you with my new friends party mein har koi jhum gaa raha tha aur raat tezi se badh rahi thi lekin sanaa unke party mein involve hokar bhi khush nahi dikh rahi thi tabhi ek romantic gaana baja aur sab couples ek dusre se liptakar nachne gaane lage tabhi george ne piche se sanaa se kaha hi sanaa what’s up oh tumhari dono friends to dance kar rahi hai you also wanna dance with me sanna ne kaha no george main yahi theek hoo george ne kaha pata hai tum apni friends jaisi nahi ho I mean kit um unse itna alag kaise I know that you came from America jahan har koi enjoy ka worm hai but you are not that kind of girl I think so sanaa ne kaha ya I like the parties but about love I don’t want any love in my life george ne kaha pata hai zindagi mein pyar karna chahiye but waisa pyar nahi tum samajh rahi hona main kya keh raha hoo you can join me kya hum akele baat kar sakte hain? Sanaa ne kaha main un jaisi ladkiyo mien se nahi hoo jo apna pyar yuhi dete rahe pls let me leave alone george ne kaha as your wish aur fhir kisi aur ladki ke saath dance karne laga tabhi tina ne kaha tum ussse thodha dur hi rehna sanaa ne kaha bas yaar ab mujhe jaana chahiye zyada raat ho gayi to mushkil ho jayegi aur waise bhi kal school jaana hai tina ne kaha yaar tu itni passionable hai aur abhi jaana chahti hai raat bahoot baaki hai meri dost cmon let’s enjoy kuch der baad ek ladke ne kaha friends party is over now you can all go back to your home kal milte hai kaafi chehel pehel ke baad sab chale gaye car se bike se tina aur aisha ne kaha tumhe pata hai george chodh raha hai humhe ghar tak c’mon tum ghar hamare saath chalo puri raat maze karte huye jaayenge sanaa ne kaha no friends main bus se chali jaungi oosi se aayi thi tahi tina aur aisha ne kaha are you sure ? itne ghane jungle se akele jaogi my god theek hai and pls call me when you will reach home sanaa ne kaha yes tina aur aisha car mein baith gaye george ne kaha kya hua wo hamare saath nahi aa rahi tina ne kaha badi dependent ladki hai apna samajhlegi george ne kaha alright come on ladies let’s go aadhe raaste chalne ke baad sanaa bus stop par ruki par koi bas nahi aayi aur raat mein chand ekdum daravani shakal le raha tha tabhi sanaa ne apna mobile try kiya par nahi laga sanaa ko dar is baad ka tha ki uske papa ne ghar par agar phone kiya to wo kya kahegi tabhi raasto mein ajib jaanvaro ki awaj zahir hai agar aaap aise ghane junglo ke bich sunssan raaste se jaayenge to darr to apko lagega hi wo bhi adhi raat ko tabhi sanaa ko darawani awajein aane lagi jaanwaro ki aur darr bhi tha ki wo ek ladki thi fhir bhi nidar hokar aage badh rahi thi ki tabhi kuch lafango ne gaadhi ko uske piche rokkar kehne lage o jaaneman chaho to hum lift dede itni raat gaye sunsaan road par bhoot aa jayega cmom baby come with us par sanaa ne unhe ignore karke aage badhne lagi lekin wo log uska picha karne lage the ab darr uske sar par saaf deikh raha thaw o junglo ke andar se bhagne lagi wo log bhi uska picha kiye jaa rahe chalte wo dusre road par aagyi aur bhagne lagi aur piche se badmassh ladke oose gadhi se pakadne lage tabhi wo ek raahi se piche se takraayi sanaa ne kaha pls meri madad kijiye  mere piche lag gaye hai ye log pls help me us shaks ne piche mudkar sanaa ko dekha sanaa oose dekhte reh gayi sanaa se usne kaha aap chinta mat karo inhe to main dekhta hoo ladko ne kaha ae chal chal bhaag yaha se tu kya hero samajhta hai apne aapko haa jaanta hai tere saath kya hoga us shaks ne bhari awaj mein kaha main nahi jaanta kya hoga lekin itna jaanta hoo ki tumhare saath accha nahi hoga behtar isi mein hai apne raaste chale jao ek ladke ne kaha accha aisa kyat u humhe marega dekhiyo ye saala humhe maarega chaliyo jaro utarake iski saari shaanpti nikal de kya kar lega bol bolna chup kyun hai? Us shaks ko do dhakke mare seene par us shaks ne muskura kar ek ladke ko pet mein ghusa maar diya tabhi ladke ke munh se blood aane laga shaks nekaha jao ise leke hospital jaldi se warna ye mar jaayega ladke oose dekhte hi reh gay eek ladke ne kaha arr hamare saamne humhi pe haath uthata hai kaat daalo saale ko shaks ne kaha accha chal kaat maar tabhi wo ladka bhagte huye uske paas aaya us shaks ne oose ek laat maarkar sidha gaadhi ke front shisho pe patka aur aur wo ladka shish eke chithdo ke saath saath sidhe jammen par ja gira shaks ne kaha tumhe bhi kuch chahiye ladko ne kaha nahi hum jaa rahe hai maaf karna aur fhir waha se wo log apne dost ko leke chale gaye piche se sanaa ne oose thank you kaha shaks ne piche mudkar kaha aap thik to hai mujhe laga aapko ye nuksaan na pahoocha chuke ho sanaa ne kaha no I m fine fhir dono ek sunsaan raaste par ek saath chalne lage sanaa ne kaha waise aap itni raat gaye kya kar rahe ho aapke maa baap fikar nahi karte shaks ne kaha nahi jo log dar gaye samjho unhe ghar se bahar nikalna hi nahi chahiye waise aap yaha kar kya rahi thi itni raat gaye sanaa ne kaha oh aise hi shaks ne kaha nahi night party right? Sanaa ne kaha aap kaise jaante hai shaks ne kaha kyun nahi pata mujhe main bhi sab jaanta hoo ladkiya kab raat ko kaha jaati hai waise aap mujhe us type ki nahi lagti jo zyada waqt aish mauj mein bitaye sanaa ne kaha yes aap to mere dil ki baat jaante hai shaks ne kaha waise aapke gharwaale abhi bahoot naraz ho rahe honge sanaa ne kaha nahi nahi waise mere sirf daddy hai jinke saath main yaha aayi hoo shaks ne kaha to aap pehle kaha rehti thi sanaa ne kaha America mein waise aap kaha rehte hai shaks ne kaha wohi pahado aur waadiyo mein mera ghar hai waise aap kahan rehti hai sanaa ne kaha wohi jahan aapke ghar se sate hill station mein wohi mera ghar hai waise sanaa ko ek ajib sa mehsoos ho raha tha ki uske sath chalne mein oose ek apnapan dikh raha tha tabhi shaks ne kaha wo rahi aapki bus sanaa ne kaha itne sunsaan road par bus kaha se aayi shaks ne kaha arre aapko ghar jaana chahiye warna daddy agar aapke aa gaye to problem ho jayegi sanaa ne kaha thanks but aap kaise jaayenge shaks ne kaha wo mera raasta yahi junglo se padhta hai so main ab chalta hoo sanaa ne bus par baith gayi aur jaise bahar se jhaaka lekin wo shaks oose nahi dikha aur tez gati ke saath bus sab kuch piche chodhke chali gayi bus mein baithkar sanaa ko laga ki ye usne kya dekha tha ye sab uske saath achanak kya kya ho gyaa lekin sanaa ko yaad aaya ki sabse khaas usne uska naan hi nahi poocha tha sanaa ko behad afsos hua ghar aakar wahi hamesha ki tarah ghar par uska swagat karne ke liye koi nahi kaun karta uski care tabhi phone ki bell baji sanaa ne kaha ha tina bolo kya hua ? tina ne kaha yaar mujhe kitni fikar ho rahi thi maine 20 baar tumhe call kiya mujhe laga ki tum waha junglo mein hi reh gayi hogi sanaa ne kaha mere saath aisa kuch bhi nahi hua samjhi main bilkul theek hoo mujeh raaste mein ek shaks mil gaya tha pata hai usne mujeh gundo se bachaya aur to aur ek bus bhi mujhe mil gayi tina ne kaha ye kya bol rahi hai bus wo bhi raat ko pata hai maine news mein suna tha ki kal bus ki hadtaal thi raat se koi bus nahi chala raha tha sanaa ne kaha what but main jis bus mein baithi thi wo bilkul normal thi tina ne kaha pata nahi shayad koi beparwahi se chala rahha hoga ok kal school mein milte hai goodnight sanaa ne kaha goodnight sanaa puri raat yahi sochti rahi ki aakhir wo kisse mili thi aur oose bus kaise mil gayi yahi sochte sochte uski aankhen us shaks ke shakal to niharte niharte band ho gayi agle din wo school mein gayi wahi sab jaisa sab kuch normal college mein padhne ke baad tina aur aisha ne kaha ki arre sanaa itne jaldi kahan chali gayi tina ne kaha shayad jaldbaji mein hogi chalo bahar dhundhte hai bahar sanaa ek bench par baithe saamne ke pahad aur vaadiyo ko dekh rahi thi tabhi piche se aisha aur tina uske paas aakar baithi aur kaha yaar aaj tune class mein humse baat kyun nahi ki aaj subah se hi gumsum hai kya hua? Sanaa ne kaha are yaar you know kal raat party ke baad mere piche gunde lag gaye the tabhi maine ek shaks ko road par dekha maine socha ki shayad wo bhi madad karde usne meri madad ki pata hai usne ek hi mukke se ladke ko dher kar diya aur uske laat mein kitni taqat thi tina ne kaha wow sounds like filmy sanaa ne kaha bilkul waisa hi tha aisha ne kaha haa usne ladke ko laat maari aur wo shishe se takra gaya gaddhi ke yaar tum to bilkul filmy ho gayi ho aajkal film zyada dekhne lagi ho kya sanaa ne kaha I m saying true maine us shaks ko jungle mein dekha who jungle pahadio mein rehta tina ne kaha ye baat hazam nahi huyi who pahadi mein hai interesting lekin kya tumhe pata hai sanaa ne kaha kya? Aisha boli wahan koi nahi rehta even waha koi jaana bhi nahi chahta kehte hai waha jungli jaanwar hai sanaa ne kaha par usne apne munh se kaha tha tina boli jo ho gaya so ho gaya waise tum in sab se matlab mat rakho koi upar waale ka fharista hoga jisne tumhe bachaya tum ghar jaake thodha aaram karo isliye kaha tha ki hamare saath car mein chalo par tum nahi maani chalo aisha pagal ho gayi hai kal milte hai school mein sanaa ko samajh mein nahi aaya ki kal raat wok is shaks se mili ab uske andar khushiye ke baad fhir se sawaal khade hone lage. Kya hoga sanaa ka padhte rahiye kahani kaisi lag rahi hai reply jaroor kijiyega.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: October 30, 2010, 07:10:30 AM »
Agle subah school mein jaakar tina aur aisha se milne par sanaa ne kaha ok friends now i will not remember that guy again jo hogaya so hogaya ab main oos ghatna ko yaad nahi karungi tina ne kaha that’s my girl so chalo arre aaj history ki class hai class mein wahi chehelpehel sab log apne mein mast itne mein class teacher aaye aur unhone padhana shuru kiya unhone kaha dekho beta aaj main aapko history ka ch-5 padhane jaa raha hoo jis chapter ka naam hai supernatural powers main yeh nahi kehta ki logo ko abbhi believe hai par bahooto ko to hai ki humare zindagi mein duk hai to hum kisi ki nazar shaap aisa kuch kehte hai jo kayibaar sach bhi hota hai aur kayi baaar ek dhong par main bhi manta as a teacher ki main bhi in sab par amal naa karu ye sab sirf ek natak hai this a chapter and I don’t want that everyone neglects this story jisko nahi padhna wo class se jaaa sakta hai aur jisko padhana hai wo class mein rahe that’s it aisha ne kaha tina ko yaar budha bahoot khadoos hai c’mon chal bahar chalte hai george yes yaar bahar chalo bor lagta hai c’mon sanaa sanaa ne kaha nahi tum log jao main yeh chapter padhna chhaungi aisha boli pagal ho jaa teacher apna padhane lage aur teeno tina aisha aur george bahar chale gaye sanaa ek acche student ki tarah kahani sunti rahi teacher ne bataya ki duniya mein insaan ke alawa bhi bahoot aise jeev hai jo hai par chupe huye hai unke andar bhi insaano jaisa pyar hai nafrt hai kyunki unme bhi hum jaisa kuch common hai class ke aadhe bacche ja chuke the fhir tabhi teacher ne bola aage kal padhenge aur tabhi unki nazar sanaa par padhi unhone kaha arre sanaa beta tumhe acchi lagi yeh kahani sanaa ne kaha sir main in sab par yakeen karti hoo aur padhai tab hi karni chahiye jab interest ho interest se padhenge oose samjhenge to kahani ka sawaal apne aap khatam ho jaayega teacher ne kaha bilkul I m impressed warna class ke questions se hi sab aage bad jaate hai koi baat nahi par ek baat kahu ek experienced hokar ki duniya mein ek aisi bhi spirit hai jo hai par dikhti nahi hai chalo chodho tum bas in sab ki jaankari rakho sanaa ne muskura kar kaha definitely sir fhir class se bahar jaakar usne tina aur aisha se kaha so tum log itni jaldi class se nikal gaye yaar itna accha topic tha I mean ki isse humhe bahoot jaankari milengi tina en kaha forget yaar tu na pagal hai yaar enjoy life hai padhai mein to lage rahenge waise bhi george ne kaha tina is right tum kyun in sab mein apna dimag laga deti ho chalo let’s some hang out coffee piyo coffee pine ke baad ghar aakar usne oosi chapter ko padha oose accha laga usme kaafi spells or spirits ke baare mein likha tha udhar police ki 3 4 car junglo mein gayi waha ek car mein se ek inspector nikle jo ke koi aur nahi sanaa ke papa the commissioner waha par khadha tha inspector ne kaha baat kya hai sir? Oh my god ek ladki ka khoon kaise berehmi se maara hai ise commissioner ne kaha aisi vaardate tab se ho rahi hai jab se tum yaha nahi ho ye ladki mountain high school ki ladki thi log soch rahe hai ki yeh is khoonkhar jungle mein kya kar rahi hai inspector ne kaha ho na ho yeh kisi ki saazish hai logo ko darane ki commissioner ne kaha par jis tarah is ladki ko maara hai yeh dekh ke aisa hi lagta hai ki koi jaanwar ne is par attack kar diya hai isliye tum jungle se sate hill station mein sabko khabar kar do ki apnebaccho ko ghar se na nikale specially apni beti ko bol dena wo akele rehti hai ye janwar ya jo bhi hai kal uspe bhi attack kar sakta hai mera kaam tha tumhe samjahna thik hai raat ke baad hill station mein se koi nahi bahar jaayega inspector ne kaha thik hai raat ko inspector ne kaha dekho sanaa tum ghar se bahar nahi jaogi no party no any fun kyunki koi ghum raha hai raasto par aaj ek ladki ki laash mili hai junglo par koi vaardaato par vaardaat kar raha hai behtar hoga tum ghar mein hi raho aur darwaja band rakhna sanaa kya karti oose pata tha uske papa uski care karte the par uske dhang se nahi khoon sunkr sanaa ke andar fhirse apni maa ki maut ghum ne lage wahi khoon sanaa ko phone aaya sanaa ne kaha hello tina ne kaha hey sanaa kaisi ho waise maine suna hai kit um jis junglo ka jikar kar rahi thi waha par kisi ka khoon hua hai sanaa ne kaha haa sach keh rahi ho pata nahi kaun ho sakta hai ? tina ne kaha hey pata hai new admission hua hai apni class mein sanaa ne kaha kiska tina ne kaha koi ladka hai aaj teacher ke yahan padhne gayi thi tab pata chala accha sun kal aajaiyo kyunki ab to ghum nahi sakte raat bhar sanaa ne kaha theek hai kal main aa jaungi subah class akar sab ek dusre se baat kar rahe the tabhi class mein ek ladka enter hua jise sab ghurne lage george apne dost ke saath uski khilli udhane laga teacher ne kaha arre beta aa gaye jao waha baith jao sanaa ne oose dekhti reh gayi sanaa ne kaha aap wahi hai jise main us din raat ko mili thi ladke ne kaha hmm tabhi piche mudkar sanaa ne apne dosto ko batane lagi pata hai ye wahi ladka hai jisne mujhe raat ko bachaya tha ladkiyo ne kaha kaun si raat ko? Sanaa ne kaha what rubbish joke mat karo jo sach hai wok eh rahi hoo tina aur aisha ne kaha humhe kuch nahi pata tu kya bol rahi hai kaun si raat jungle? Sanaa ne kaha kyat um inhe bata nahi sakte ladke ne kaha jot um keh rahi ho wo inke zehan se nikal chukka hai ye wo sab bhul chuki hai jo tumne inhe bataya tha meri baat maano to inhe wo yaad mat dilao it’s time waste sanaa ne kaha mujhe tumse bahoot kuch baat karni hai pls kya hum akele mein baat kar sakte hai ladke ne kaha jaroor par sirf main tumhare saath baat karunga inke saath nahi bahoot pakati hai sanaa ne kaha tumhe kaise pata ladke ne kaha bhala mujhe pata na ho fhir class ke khatam lunch hone ke baad wo bahar jaane laga sanaa ne kaha main bhi tumhare saath jaungi mujhe baat karni hai ladke ne kaha thik hai piche se tina aur aisha ne awaj lagayi aur kaha yaar kahan jaa rahi hai hum yahan hai pls c’mon come with us sanaa ne kaha baad mein aati hoo udhar george ne kaha lagta hai is ladke ne dil jit liya  sanaa ka tina ne kaha wo aisi ladkiyo mein se nahi dekh lena bahar jate hi wo log ek sit par baithe ladke ne kaha bolo kya puchna hai sanaa ne kaha tum mujhe ye batao ki us din tumne kahan tha ki tum jungle mein rehte ho ladke ne kaha yes sanaa ne kaha jhoot mat bolo meri friends ne bataya tha ki waha koi nahi jaata ladke ne kaha dekho wahan jo jaata hai wo waapas nahi aata kyunki wahan par uska basera hai sanaa ne kaha kiska ladke ne kaha bas keh diya na itni jaankari rakho aur rahi baat meri main tum jaisa normal nahi hu main ek supernatural hoo sanaa ne kaha to tum kya spell ho aatma ho haa  us din tumne bus kaise laayi thi ladke ne kaha tumhe maine ghar pahoochana tha wohi meri jimmedari thi bas isse aage main kuch nahi keh sakta pls let me leave tabhi piche se tina aur aisha sanaa ke kareeb aayi sanaa ne kaha friends maine kaha tha a ki ye ladka nrmal nahi hai yeh supernatural hai tina ne kaha who? Yaar din mein bhi sapne daikh rahi ho sanaa ne kaha mere saamne to baitha hai jaise hi aage apna sar moda sanaa ne kaha arre wo ladka kahan chala gaya aisha ne kaha yaar tu sach mein pagal ho gayi hai kaun ladka abhi to tu us ladke ke saath thi fhir tu yahan baith gayi akele sanaa ne kaha tumhe kuch bhi yaad nahi us raat ke baare mein party jisme tumne mujhe invite kiya tha aisha ne kaha tu to ghar chali gayi thi paidal fhir kya tujhe bus mil gayi thi sanaa ne kaha lagta hai tumhe kuch yaad nahi aur wahan se bhaag gayi tabhi wo ladka fhir uske saamne aaya aur kaha tumhe unhe yaad dilane ki jaroorat nahi unhe kuch yaad nahi sanaa ne kaha kaun ho tum? Tumne unki yaadash kaise gayab kar di ladke ne kahan har raaz ko raaz hi rakhna chahiye samjhi bye sanaa ne kaha naaam to bata ke jao ladke ne kaha zayed aur fhir wo wahan se chala gaya ab sanaa ko lagne laga tha ki wo kisi aisi chiz mein involve ho gayi hai ki usmein se wo bahar nahi aa sakti. Kahani agle post mein this story is a paranormal story so pls reply me.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: October 31, 2010, 07:34:04 AM »
Ab tak aapne padha ki kaise sanaa ki mulaqat ek ajib shaks se hui shaks ka naam zayed tha ab kahani aage to sanaa soch mein pad gayi uski mulaqat kis ajib shaks huyi jo bahoot hi ajib ladka tha naahi wo zyada baat karta hai aur naahi wo ek normal banda jaisa hai ab sanaa ko laga kyun na wo uska pata lagaye raat ko oosi ke baare mein sochte sochte sanaa ki aankhen band ho gayi lekin sapno mein bhi oose us shaks chehra dikh raha tha sanaa ne socha usne kaise uski dosto ki yaadash bhula di kaise ? kaise? Agle din sanaa class mein pad rahi thi jo ladki hamesha khush rehne waali thi aaj wo ek ajib chizon ke baare mein tassavar kar rahi thi ki itne mein zayed class mein aaya uski aankhen sidha sanaa se takraayi sanaa oosi ko dekh rahi thi ki itne mein zayed ko george ne kaha ae baithna hai to udhar baith yaha hamari chalti hai zayed ne kaha ispe tumhara naam likha hai george ne kaha haa likha hai chal udhar baith zayed sanaa ko dekh kar apni nazre jhukake sidha sanaa ke padose waale piche sit par baith gaya sanaa oose dekhti rahi fhir apna munh us taraf se mod liya jahan zayed oose dekh raha tha udhar piche desk par george ne apne dosto ko kaha saala ban raha hai george ke dost ne kaha ha yaar kal teri girlfriend se flirt kar raha tha aaj bhi socha karega tu to great hai yaar george ne kaha pata nahi kaun se jungle se uth ke aaya hai chodh yaar hey sanaa wanaa coffee sanaa ne kaha pls don’t disturb me george ne haskar kaha ok aisha ne kaha tum logo ko koi kaam nahi hai bas masti karna chahte ho sabse george aur uske dost hasne lage class period ke baad sanaa ne zayed ko ek kone mein baitha dekha tabhi sanaa uske paas gayi aur oosi ke paas baithke oose niharne lagi zayed ne kaha kya hua? Sanaa ne kaha dekh rahi hoo tum normal ho ya nahi zayed ne kaha faaltu mazak mat karo ek baat kahu sanaa ne serious hokar kaha kaho zayed ne kaha tum in ladko tolerate kaise karti ho sanaa ne kaha wo mere friends hai who jaise chahe waise kare tumhe kya waise bhi meri care kaun karta hai mera sukh dukh kaun samjhta hai bas yahi dost hai waise tum aisa kyun keh rahe ho tumne kabhi pehle aise ladke nahi dekhe  oh mujhe to pata nahi that um gaanv se aaye ho? Zayed ne kaha nahi main us jagah se aaya hoo jahan koi nahi hai sanaa ne kaha pls don’t fun with me main jaanti hoot um normal ho par ek baat batao us raat tum us sunsaan area mein kya kar rahe the zayed ne kaha mujhse dur raho pls main tumhe keh raha hoo sanaa ne kaha kyun dur rahu jara main bhi to jaanu tum kaun se bade mission pe ho? Zayed ne kaha mujhe hamesha mazaak pasand nahi pls aur waha se uthke chala gaya george ne zayed ko sanaa ke saath dekh liya aur waha se chala gaya class khatam hone ke baad sanaa apni friends tina aur aisha ke saath ghar jaane lagi tina ne kaha george bata raha tha ki ajkal tum oos freak ke saath ghumti ho sanaa ne kaha accha wo ladka ha yaar sach mein pagal sa hai na zyada baat karta hai aur naa kuch bolta hai tabhi sanaa pahado ke kinaro se chalne lagi ki ek dum se uska pair fisal gaya aur wo sidhe pahad pe gir gayi aur sidha ludakte ludakte niche pahad se girne waali thi udhar sabki bhid jamma ho gayi halla ho chukka tha ki ek ladki pahad se slide hokar sidhe niche gir gayi ek teacher aur unhone kaha ab ose kaun bachayega oh my god tabhi maut ke karib aate hi pahad ke chor se jaise sanaa girne waali hi thi ki tabhi zayed ne uska haath pakadkar upar khich liya aur oose sidhe apni baaho mein kaskar pahad se upar chadhne laga aur pahad se upar aakar sab oose dekhne lage tina aur aisha george teacher sab hairaan the ki kaise ek ladke oose bacha liya sanaa puri tarah se behosh ho chuki thi sab uske liye ek sapna hi tha jab uski aankhen khuli to apne aapko ek hospital ke bed pe aaya sanaa ne doctor ko kaha where am i? doctor ne kaha you are lucky ki tumhari jaan bach gayi warna us pahad se agar girti to tum abhi zinda nahi hoti sanaa ko tabhi yaad aaya ki wo koi aur nahi zayed tha sanaa ne kaha zayed kahan hai nurse ne kaha accha wo ladka bahar hai sanaa ne kaha I want to meet with him itne mein aisha aur tina aa gayi aur kaha are you ok girl? Pata hai humhe laga aaj hum tumhe kho denge pata hai thanks to zayed jisne tumhari jaan bachayi yaar wo ladka to ek hero nikla sanaa hairaan thi ki usne fhir uski jaan bachayi tabhi tina ne kaha humne tumhare dad ko call kar diya hai who bas aate hi honge tabhi sanaa uthi taisha ne kaha leti raho abhi tum kamzor ho sanaa ne kaha thodhi si kharoch aayi hai tabhi ward room se nikalne ke baad sanaa sidhe zayed ke paas gayi zayed bilkul sahi thik thak tha zayed ne kaha are you alright? Pata hai agar main nahi aata to aaj bach nahi paati be careful sanaa ne kaha thank you ones again pichli baar bhi bachaya aur aaj bhi waise tumhe chot nahi aayi zayed ne kaha nahi tabhi saamne apne papa ko aate dekh sanaa ko ek confidence aaya ki chalo uski kuch to care karte hai paaas aate hi sanaa ke dad ne kaha beta thik to ho sanaa ne kaha haa daddy dad ne daata ki kyajaroorat pad gayi ki kinare se chalne ki jao aram karo aur haa tum wahi ladko jisne meri beti ki jaan bachayi zayed ne kaha yes sir waise aap ka naam kya dad ne poocha zayed ne kaha zayed dad ne kaha thik hai zyada chot to nahi aayi tumhe zayed ne kaha no sir kisi ko bachane mein chot ko gaur nahi karna chahiye dad ne kaha well done and thank you tabhi piche se tina aur aisha aayi aur kaha sanaa oh hello uncle dad ne kaha hello chalo sanaa fhir ghar doctor ne keh to diya hai na sanaa ne kaha ya papa tabhi zayed ne kaha accha main chalta hoo tina and aisha ne kaha thik hai bye zayed ne sanaa ko bhi bye kaha aur waha se chala gaya sanaa ke dad ne kaha bada brave boy I like him accha chalo fhir main zara docor se milke aao sanaa zayed ko dekhte reh gayi tina aur aisha ne kaha sahi mein pata nahi itne jaldi usne tumhe pakda kaise if agar kkoi aur hota to wo tumhe bacha nahi pata sanaa ne kaha forget yaar zinda hoo na bas yahi chahiye tinaa ne kaha so c’mon chalo gaddi mein udhar doctor ke paas pahuchkar dad ne kaha so ab meri beti theek hai doctor ne kaha ya she’s fine aura b aap oose ghar le ja sakte hai par mujhe is bat ki hairani hai ki pahado par ghasitne se bhi us ladke ki sharir par ek bhi kharoch ka daag bhi nahi it’s strange sanaa ke dad ne kaha ho sakta hai par chodiye ab main chalta hoo aur fhir sanaa apne ghar aa gayi sanaa ke dad ne oose sab kuch bataya sanaa bhi ab yakeen kar chuki thi ki wo koi normal insaan nahi hai kya khulega zayed ka raaz? Kaun hai zayed pahdte rahiye and wait for my nextpost.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2010, 11:27:12 AM »
Agle din class mein aakar sanaa ne tina aur aisha se poocha ki tumne aaj zayed ko dekha ladkiyo ne kaha nahi nahi ab tak to nahi aaya lekin hua kya? Sanaa ne kaha aise hi dhund rahi thi tabhi george ne kaha oose chodho hum to hai na usne tumhari jaan kya bacha di wo to hero hi ban gaya ek baat kahu tum pagal ho gayi ho uske chakkar mein sanaa ne kaha bas yaar wo jaisa bhi hai mujhe accha lagta hai tina ne kaha oh jaisa bhi hai accha hai I mean accha ka matlab kya hai wo to tera dil jeet gaya sanaa ne kaha tumhara dimag kharab ho gaya hai wo aisa ladka nahi hai pls main sirf oose ek accha dost manne lagi hoo tabhi class mein teacher aa gayi aur sab apna padhne lage class mein  tabhi sanaa ko ek aahat si lagi aur dawaje ke saamne koi aur nahi zayed ko dekha aaj zayed ko aise dekh rahi thi sanaa ki kitne barso baad mili ho dil mein bahoot kuch sawaal hai bahoot kuch kehna chahti hai teacher ne kaha yes come in zayed class mein enter karaa aur ek sit pe baith gaya george ke dost ne kaha bhai ye to hero ban gaya aapki sanaa kea age george ne kaha dekhte hai kab tak banaa rahega tabhi class khatam hone ke baad tina ne kaha hi zayed zayed ne bhi unhe hello kaha aur fhir class khatam hone ke baad wo itne jaldi gayab ho gaya ki kisi ne us par ek nazar nahi daali lekin sanaa oose jaanne ke liye school se bahar bhaagi lekin usne oose kahi bhi nahi dekha last mein sanaa wahi junglo ki jagah jaane lagi tabhi ek aahat ne sanaa ko daraa diya piche zayed khadha tha usne kaha yaha kya kar rahi ho? Tumhe pata nahi jungle mein tumhara aana mana hai? Sanaa ne kaha tum bhi to insaan ho fhir tum aisi jagah mein kaise rehte ho/ zayed ne kaha jaanta hoo tumhare dil mein bahoot sawaal hai par main wo sawaalo ka jawab nahi de sakta sanaa ne kaha kyun nahi de sakte tumhe lagta hai ki isse pehle maine kabhi kisi se itna gehra lagaav rakha meri maa ke marne ke baad mujhe apna koi dar nahi tum chaho to kuch bhi kar lo par mujhe jaanna hai tum kaun ho aur yahan kya karte ho tumhara koi class mein dost bhi nahi hai tum yaha is sunsaan jagah mein rehte ho ye baat hazam nahi huyi mujeh batao kaun ho tum? Kyun mujhe hi tum dikhte ho us din tumne mujhe kaise ghar tak chodh diya pls bahoot kuch jaanna haibatao na mujhe zayed ne kaha thik hai bataunga sab bataunga lekin tum wishwas karogi mujhpe mujhse darogi nahi na sanaa ne kaha aaj tak sirf darr hi to dekha maine pls batao mujhe zayed ne kaha to chalo mere saath us pahadi par sanaa ne kaha paidal jungli jaanwar to humhe maar denge zayed ne haskar kaha bas meri pith par chad jao sanaa ne kaha what? Tum udhoge zayed ne kaha as chadho to sahi sanaa ne kaha thik hai sanaa uske pith par chadh gayi aur ekdum se zayed ne apne aapko ek panchi ki tarah udha liya aur oose pedo ke upar se le jaane laga sanaa kaafi darr gayi thi ki wo kaun hai ? wo bol rahi thi pls mujhe jaane do zayed ne kaha mujhpe bharosa kar sakti ho aur fhir udhkar oose pahad ki choti par le aaya sanaa ko utar kar sanaa ko patharo par khadha kar diwar ke upar haath rakh kar kaha toh tumhe darr laga kaisa lag raha hai sanaa ne kaha pls kaun ho tum aise kaise udh sakte ho ? zayed ne kaha insaan humse darte hai kyunki hum normal nahi hai tumhe darr hai ki kahin hum tumhe nuksaan na pahoochaye soch rahi ho duniya mein insaan ke alwa hum kya hai kahaniyan nahi padi tumne jaanna chahti ho chahu to tumhe abhi isi waqt apne saath le jaoo lekin main un jaisa nahi hoo mujhe tumse kashish si aati hai main pagal ho chukka hoo tumhe dekhkar ek accha ahesas aata hai mere dil mein main to logo ke liye ek raakchas hoona par sach nahi bas ye samajh lo ki ab bhi tumhare saath khadha hoo main tumse pyar karne laga hoo aur tabhi usne gusse mein apna haath pathar par  maara sanaa kaafi dari huyi thi oose lag raha tha kahi uske saath kuch ho na jaaye zayed ne kaha kyun dar dar rahi ho main yaha hoo fhir darr kis baat ka ? tum chahti hona main kaunhoo to suno main ek jinn hoo main alag hoo ek alag chiz hamari koi pehchaan nahi insaani duniya mein par hum hai yaad hai jab tumhe bus nahi mil rahi thi main waha se guzar raha tha tabhi tum mujhse takraayi bahoot kuch puchna chahti thi tum main ek baat bolu maine wo ajgayebi dhang se tumhe tumhare ghar sahi salamat pahoochane ke liye di thi fhir maine tumhare dosto ki yaadash gum karayi ha maine ki thi kyunki main nahi chahta ki wo mujhe dhundhe ki main kaun hoo warna main kaid ho jaunga isliye ab tumhe sach pata chal gaya na toh kyun na ab tum ghar jao mera koi nahi hai is duniya mein mere maa baap kahan hai pata nahi hum tum jaise nahi jo har kisi se dosti kar le hum alag hai hum kisi se baat nhai karna chahte main school padhne nahi sirf is insaani duniya ko jaannna chahta hoo isliye main yaha hoo behtar hoga ki tum meri zindagi se chali jao warna tum pe khatre bad jaayenge agar tum ye expext rakhti ho to sanaa ne kaha apni puri zindagi mein bhi maine yeh wishwas nahi kiya tha ki bhoot prêt jin pari hote hai kahanio mein suna tha zayed hassa aur kaha hote hai par duniya se dur kisi ko hamari majudgi ka pata nahi sirf upar waale ko chodhke to ab tum yahan ho main tumhe ek aur haseen chiz dikhata hoo tabhi zayed oose ek choti ke pathar ke upar laaya jise dekh sanaa ke hosh udh gaye sanaa ke munh se nikla wow kitni acchi jagah hai kya scene hai pura hill station dikh raha hai zayed ne kaha kyun accha laga sanaa ne kaha haa par hum baithenge kahan zayed ne kaha wahan pahad ki garden par dono ghaas par baithe jahan se hill station pura dikh raha tha zayed ne kaha kaisa lag raha hai? Sanaa ne kaha accha waise tum log is duniya mein kahan kahan rehte ho I mean bich mein zayed ne baat rokkar kahan hum jaise tum rehto waise hi rehte hai waise pehli baar tumhe jab dekha tha mujhe laga nahi tha ki tum koi akeli ho sanaa ne kaha akeli to main ab bhi hoo par koi mera dhyan rakhne waala nahi papa to cbi officer hai aur maa to rahi nahi? Zayed ne kaha ruko main abhi aata hoo tabhi ek second mein zayed ke haath mein gulab ka phool dekhkar sanaa dar gayi aur kehne lagi pls ise mujhse dur rakho warna main behosh ho jaungi zayed ne kaha kyun? Aisi kya kharabi hai is rose mein tumhe pasand nahi sanaa ne kaha pls zayed ne kaha dekho kya baat hai tum itna dukhi kyun rheti ho tumhari maa ke saath kuch hua tha na sanaa ne kaha haa hua tha bahoot bura us din ko main ab bhi yaad nahi karna chahti zayed ne kaha kyun aisa kya hua tha sanaa ne kaha main nahi bata sakti aur rone lagi aur zayed ke god mein sir rakhkar rone lagi zayed uske sar ko sehla kar uthake poocha kyun aisa kya hua tha ? sanaa ne kaha main kaise tumhe bol doo zayed ne kaha because I love you main tumhe chahta hoo mujhe tum bata sakti ho sanaa ne kaha to suno mian 10 saal ki thi daddy roz ki tarah apne kaam par jaate the aur main aur mom ek saath rehte aur maine unhe hamesha kisi se baat karti huyi dikhti unki affair thi kyunki papa mummy ko time nahi dete jis wajah se unka affair ek aadmi se hua wo aadmi mom ko rose dete the ek din maa ne unhe kahan ki wo unke saath bhaag nahi sakti aur naa hi shaadi kar sakti hai gusse mein aakar us aadmi ne mom ko jaan se maar daala jo rose wo laaaye the us rose ko unke khoon par rakhke wo bhaag gaye lekin maine ye saara manzar dekh liya tha jab dad ne us aadmi ko khoja to pata chala wo ek car accident mein marr chukka hai dad ko sab pata chal chukka tha isliye dad ne gusse mein aakar dusri shaadi naa ki aur akele rahe main is manzar ko yaad karne se darti thi kyunki unke pyaar ne hi unki jaan li zayed ne kaha har pyar ek jaisa nahi hota tum sirf mujhe dekh sakti ho warna duniya ke liye main ek ajgayebi chiz hoo aur waise tuumhe late ho raha hoga sanaa ne kaha bilkul nahi kaun meri care karta hai zayed ne kaha main karta hoo aur hamesha karunga sanaa ne kaha mujhe tumse yahi ummed thi aur dono hassen waadiyo mein ek dusre ke hotho se hoth satakr kiss karne lage shaam ho gayi zayed ne kaha thand bad rahi hai c’mon lets go sanaa ne kaha waise tum kaha rehte ho zayed ne kaha chalo mere saath sanaa ko wo ek mehel mein le aaya waha sanaa ne kaha mehel aur wo bhi junglo ke andar my god zayed ne kaha dekho main tumhe dikha raha hoo lekin ye baat kisi se mat zikar karna yaha tak apni friends ko bhi nahi sanaa ne kaha ab kyun tum ab mere saathi ho mere lover ho main kyun kisi ko kahungi sanaa ne kaha mujhe pyaas lag rahi hai zayed ne kaha ruko aur ek jhatke mein uske liye paani le aaya jise pikar sanaa ne apni pyaas bhujayi sanaa ne kaha mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha zayed ne kaha humse sab darte hai koi hamare paas nahi aana chahta par tum ho ki bahoot nidar ho fhir sanaa ke ghar zayed ne oose chodh diya sanaa soch bhi nahi sakti thi ki woe k insaan nahi tha usne oose kiss kiya wo alag hai sabse sanaa ko ab ahesaas tha ki uski zindagi acchi ho jaayegi par ek insaan se na pyar kar usne apna dil ek jin ko diya tha fhir uske baad usne diary mein yeh baat likhi lekin ab zayed ka uske ghar aana jaana laga rehta ab zayed se wo kaafi khush thi shayad yahi wajah tha ki george ko wo khatakne laga ab kya hoga sanaa ka agli post mein pata chalega pls reply me! hello
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: November 02, 2010, 11:50:36 AM »
Din yuhi katte jaa rahe the aur sab kuch jaanne ke bavjood sanaa zayed se kaafi meljhod badha chuki thi oose har jagah bas wahi dikhne laga kyunki wo kabhi bhi musibat mein nahi hoti iski sirf yehi wajah thi wo ek insaan nahi ek rakshak bhi tha jo ki apne pyar ko har musibat se bachata class khatam hone ke baad sanaa aur zayed ek car mein jaate ab to jaise sanaa ki care karne waala koi aa gaya tha uske papa wahi kaam mein rehte aur sanaa hamesha uske saath wahi junglo mein ghumti pahado par kya ye ajib sa pyar tha nahi ye pyar hi hai kyun hum sochte hai ki ye ek insaan ka pyaar nahi hai but ab aage padhiye kya hua? Sanaa kaafi khush thi zayed se ek din class mein sabhi ne kaha dosto kyun na picnic par jaaye haa sahi keh rahe ho sanaa ne kaha. Tina ne kaha chalo is baar hum jungle mein picnic manayenge bahoot maza aayega pata hai waha par masuam bahoot suhana hota hai george ne kaha thik hai george ke dosto ne kaha tune kuch socha hai kya? Pata hai agar sanaa iske saath rahegi to tera patta kat jaayega socha hai kabhi george ne kaha aisa nahi ho sakta main oose iska nahi hone dunga dekhte jaa tabhi picnic ke liye sanaa ne zayed ko request kiya ki tum bhi mere saath picnic aaoge zayed ne pehle to manaa kiya fhir haa keh diya shayad yeh nahi jaanta tha ki jis raah pe wo hai wo kitni khatarnak hai shayad ye baat sanaa ko bhi pata nahi thi ek car se sab picnic ke liye pahado se jaa rahe the zayed aur sanaa piche ki sit par aur aage tina aisha aur aur saamne waali sit par geroge ke dost baithe the sab hassi masti mein mashgul tabhi tina ne kaha sanaa se ki sanaa waise dad ko batake aayi hai na sanaa ne kaha uski chinta mat karo waise bhi who meri chinta karte hi kab hai tabhi zayed ne kaha sanaa aisa mat bolo jaise bhi hai tumhare dad hai pls sanaa ne kaha daddy? Kya daddy? Jinhone mujhe kabhi pyar diya hi nahi bas apne kaam mein rehte kab tak aur waise bhi meri fikar karne ke liye to tum sab ho george ne kaha that’s my girl zayed zyada ne kaha pls main jaanta hoo ek wahi hai jinki tumhare liye chinta hai warna aur kisi ke liye wo sirf apne kaam ke wajah se hi aisa karte hai sanaa ne kaha tum bahoot acche ho zayed I love you aisha ne kaha oh ho abhi se hi picnic pahoochenge to shaadi hi kar loge chalo chodho in sab baato ko ab hum pahuchne waale hai waise george kitna dur le jaa rahe ho george ne kaha dhiraj rkaho ye hamari aakhri picnic hai tina ne kaha what? George ne kaha arre mera matlab hamare school ki aakhri picnic tab sab hasne lagelekin george ne to kuch aur hi soch rakha tha tabhi picnic unhone ek jagah rakhi waha unhone ek jagah pe tent lagaya aur fhir picnic karne lage george ke dost to bas sanaa aur zayed ko ghure jaa rahe the tabhi zayed ne kaha to chale sanaa ne kaha kaha is waqt shaam mein badal chaa chuke the suraj ki roshni badalo ko orange se kar chuki thi aur shaam ka aasman thodha neele colour ka dikh raha tha sanaa ne kaha kahan jaayenge zayed ne kaha chalo to sahi tina aisha ne toka bola itni shaam ko kahan jaa rahe ho wo bhi abhi pata junglo mein jungli jaanwar hote hai wo tumhe nuksaan pahucha sakte hai zayed ne kaha tum uski chinta mat karo sanaa meri jimmedari hai main abhi aata hoo aur ek hi pal mein sanaa ko zayed junglo mein le gaya tabhi sanaa ne zayed ka kandha pakda aur dono udh gaye bilkul ek kahani ki tarah lag raha tha sanaa dhalte huye suraj ko dekhne pahad par gaye zayed ne kaha dekho dhalti huyi suraj ko sanaa ne kaha tum bahoot accha udhaate ho tum jin jaise lagte to nahi ho zayed ne kaha hum alag hai main sirf tumhari liye hi is duniya mein hoo warna mujeh koi pyar nahi sanaa ne kaha mujhse bhi nahi zayed ne kaha tumse hi to hai tabhi waha niche george ne kaha itni shaam gaye sanaa aur zayed junglo mein kya karne gaye waha bachna mushkil hi nahi naamumkin bhi hai george ke ek dost ne kaha lagta hai shayad oose is jungle ke baare mein maaloom hoga agar kuch hua na to main us zayed ko nahi chodhunga george ne aaga baboola hokar kaha. Abhi kaha hi tha ki saamne se sanaa aur zayed aate huye dikhe tina aur aisha ne kaha thank god tum log aa gaye warna hum to mar hi jaae george ne kaha waise tum sanaa ko leke gaye kahan the zayed ne kaha pahad par george ne kaha kya? Sacchi mein humhe to aisa nahi lagta tum insaan hokar oose pahad pe bhaiya hum khud waha jaane se katraate hai pehle kabhi army mein the kya sanaa ne kaha bas karo tum log had hai jab se dekh rahi hoo tab se zayed ko pareshaan kar rahe ho chahte kya ho? Tina ne kaha haa yaar bas karo george ne kaha mazaak tha? Tum log to serious rehna chahti ho zayed ne kaha chodho jisko samajh mein nahi aata who jaroor bevkhuf hai george ne socha abe ek baar mil to sahi fhir saari bevkhufi nikal jaayegi shaam ko sanaa ne kaha zayed se sorry maine tumhe bahoot bura laga hoga na zayed ne kaha koi bura nahi chodho us baat ko waise main jaanna chahta hoo ki kabhi tumne apne hoth dekhe hai kitne rasile hai sanaa ne kaha kya keh raho ho? Zayed ne kaha sahi mein bahoot acche hai sanaa ne kaha nahi main jaanti hoo tum but kya yeh thik rahega zayed ne kaha agar tum mujhse pyar karti ho to thik hai waise asli pyar karne waalo ko yeh karna chahiye thik hai agar tumhari marzi nahi hai to main tumhe fornce nahi karunga sanaa ne kuch nahi kaha aur zayed bahar chala gaya sanaa ne bahar aakar oose apne paas bulana chaha kyunki wo tayyar thi but zayed ne kaha yeh nahi ho paayega tum ek insaan aur main kuch aur main tumhari life kharab nahi karna chahta sanaa ne kaha thik hai aisa lagta hai to main tumse kabhi baat nahi karungi tabhi zayed ne sanaa ka haath pakad liya aur kaha soch lo sanaa ne kaha kyun tum mujhse pyar nahi karte zayed ne kaha bahoot karta hoo tabhi sanaa ko usne apni baaho mein lekar sidhe camp mein chala gaya jahan usne oose letaya sanaa ki aankhen band thi sanaa ke zayed ne gaal chume aur fhir hotho hotho ko hoth se sata diye tabhi zayed ne uske kapdo ko utaarna shuru kiya aur fhir raat mein dono ek dusre ki baaho mein so gaye kahani agli post mein. Kyu kaisi lag rahi hai kahani ab zayed sanaa ke bich bahoot karib aa chukka hai to apne replies bheje .
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2010, 04:31:44 AM »
Agle din zayed ki aankh khli usne sanaa ko dekha to wo kisi sapne mein ho ekdum gehri nind so rhai thi ek hi razaai mein jisme zayed bhi uske baaho mein so raha tha ki tabhi zayed waha se utha aur jungle ki or jaa hi raha tha ki piche se oose george ne pakad liya aur kaha kyun meri gf ke saath ranglaliya aakhir mana hi liya tune kitni baar kaha tha dur reh usse par nahi nahi samjha zayed ne kaha dekho tum bekaar mein apna time waste kar rahe ho sanaa tumhe nahi chahti kyun uske piche pade ho sab jaante huye bhi george ne kaha bas bas chahe mujhe maane ya na maane lekin tujhe to uski zindagi se baijh kar rahunga chahe uske liye mujhe kuch bhi karna padhe zayed ne muskurakar kaha kya chahte ho george ne kaha tujhe hatane ka dil hai apni zindagi se zayed ne kaha par sanaa ne toh mujhe kareeb kar diya hai george ne kaha sanaa ki baat chodh kisko uski zindagi mein jaana chahiye aur kisko nahi yeh main tay karunga tu dur reh zayed ne kaha main to nahi rehne waala george ne kaha accha ae tum dono dekh kya rahe ho maaro ise par jaise hi dono ke haath maarne ke liye zayed ko pahoochte zayed ne unhe dher kar diya zayed ne kaha ab bhi kuch rehta hai george ne kaha teri lekin zayed ne oose patakna shuru kar diya zayed ki aadhi saans hi bachi thi ki george ne usse kaha mujhe chodh do kaun ho tum? Tum insaan nahi ho sakte zayed ne kaha main bhi tumhari tarah hoo aur waha se camp aaya jaha ladkiya george ka wait kar rahi thi zayed ko aate dekh sanaa ke jaan mein jaan aayi aur kaha aa gaye tum zayed ne kaha ha main aa gaya tina aur aisha ne poocha george kaha hai tabhi sanaa ne kaha my god tumhara to khoon nikal raha hai zayed ne kaha oh kaate waale ped par gir gaya tha na shayad oosi wajah se ye hua hoga sanaa usko apne saath camp mein le aayi patti karne ke baad zayed ka munh latka dekha to sanaa ne kaha baat kya hai ? zayed ne kaha kuch nahi sanaa ne kaha tumhe kehna hoga warna main naraz ho jaungi tumse zayed ne kaha ho jao lekin baat main tumhe keh doo ki main tumhe bata nahi sakta zayed ne aakhir keh diya ki george ne apne saathiyo ke saaath mujhe maarne ka plan banaya tha sanaa ne kaha what? Zayed ne kaha sahi samjhi tum kyunki wo tumse pyar karta hai par main jaanta hoo wo pagal hai sanaa ne kaha jaanti hoo lekin how could he do this to me? Main toh kabhi galat nahi karti lekin main usse baat karungi tabhi sanaa waha se uth ke chali gayi zayed bhi uske saath bahar gaya sanaa sidhe george ke paas gayi george pitka aa chukka tha sanaa ne oose pakda aur khichke thappad maara aur kaha himmat kaisi huyi tumhari mere boyfriend ko maarne ki maine tumhe kabhi apna boyfriend maana hai tum hamesha meri life mein interfair kar te ho mujhe tumhai koi madad ki jaroorat nahi main aur zayed yaha se jaa rahe hai tum log ko marna hai to maro tina ne kaha ruk ja yaar sanaa ne kaha nahi tum log ko agar iske saath rehna hai to raho mere bas ka nahi hai fhir zayed ka haath pakad zayed aur sanaa waha se chale gaye george dekhta reh gaya lekin oose samajh mein aa chukka tha ki zayed koi insaan nahi hai par aisi baat pea b kaun yakeen karta hai udhar zayed sanaa ko kaha ki kismet jaana chahti ho sanaa ne kaha car mein zayed ne kaha to ye lo saamne ek car dekhne ke baad sanaa ne kaha wow what a car zayed ne kaha pasand aayi sanaa ne kaha bahoot zayed ne kaha to chalo ghar sanaa car mein baithe zayed se chippakkar khuli waadiyon ka maza lekar sheher ki or chale gaye itne mein sanaa ne kaha aisa to maine fairytale mein pada hai zayed ne kaha is duniya mein har kuch possible hai sanaa ne kaha I love you zayed tabhi shaam ho gayi aur baarish ho gayi zayed ne ek jagah gaadhi roki aur kaha sanaa I want to tell you something sanaa ne kaha kya tabhi zayed ne oose ek dancing doll crystal di jise dekh sanaa kaffi khush huyi aur usne zayed ko hug kar liya aur kaha thank you zayed you are so sweet zayed ne kaha hamari pyar ki nisaani hia yeh sanaa aur zayed fhir aage chale gaye lekin kya yeh pyar thik tha kya wo dono hamesha saath saath reh paayenge kahani agli post mein.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: November 06, 2010, 06:25:04 AM »
Zayed ne car se sanaa ko uske ghar chodh diya raat ho gayi sanaa ke dad ekdum busy the jaise ki wo hamesha hote hai tabhi commissioner ne unhe bulaya aur kaha jungle jao waha pe fhir kisi ki laash mili hai inspector ne kaha ji sir lekin humne pure jungle ki talaash karli waha humhe kuch nahi mila tha sir meri maaniye to ye kisi jaanwar ka haath ho sakta hai  commissioner ne kaha ho sakta hai par main ye kaise maan loo kyunki bina wajah saboot ke hum kuch nahi kar sakte ghar aaakar sanaa ke dad bahoot dukhi the jise dekhkar sanaa ne unse pucha kya hua daddy dad ne kaha aur kya hoga fhir khoon hua hai koi vaardat pe vaardat kiye jaa raha hai par koi kuch nahi kar paa raha pata nahi ab to aisa lagta hai ki jungle khatre se khaali nahi hai mujhe us jaanwar ko dhundhna hi padega chahe kuuch bhi ho na jaaye tabhi school mein george ne ek plan banaya ki wo oos zayed ke baare mein puri jaahnch kare isliye zayed ka wo picha karene laga tabhi zayed junglo ki or chala gya george ab bhi uska picha kar raha tha lekin darr to lag raha tha george ko tabhi george ke dost ne kaha yaar ye to jaa hi raha hai itne ghane jungle mein iska yahan  ghar hai george ne kaha pata nahi shayad jungli hoga tabhi sab hasne lage george ne kaha chup karke mere saath chalo warna wo hume dekh lega tabhi bahoot andar aane ke baad zayed ek ped ke karib aaya aur palak jhapkate hi wo george aur uske dosto ki aannkho se gayab ho gaya george to jaise darr hi gaya arre yeh to abhi oos tree ke karib gaya aur palak jhapkte hi gayab my god lagta hai yaar ye insaan nahi hai george k eek dost ne kaha yaar yaha se nikal jaate hai mujhe to darr lagta hai tabhi jungle ke bahar aakar george ne kaha ruko yaad hai ek baar professor ne humhe padhaya tha ki duniya mein bahoot azibo garib chiz hoti hai george ke dost ne kaha kab padhyaa tha george ne kaha tum ko yaad hi nahi rehta padhai mein mann hi kab lagaya tha dekh duniya mein kuch aisi aatmaye hote hai jo dikhte nahi hai guess karo jaise kaun ho sakta hai ? vampire george k eek dost ne kaha george ne kaha abe saale vampire hota to ye ab tak to sanaa ko bhi banaa chuka hota mujhe bhi yaqeen nahi ho raha duniya mein bhi aisi chiz hoti hai mujhe to aaj samajh mein aaya lekin is baat pe kaun yakeen karega ki sanaa ka boyfriend koi insaan nahi hai george ke dost ne kaha george ne kaha ruk jaa humhe saboot to nikalna hi padega main is zayed ko nahi chodhunga ise sanaa ki zindagi se nikaal ke rahunga chalo ek jagah george ke dosto ne kaha kahan pe george ne kaah sawaal puchte ho chalo mere saath jaldi karo udhar ghar mein sanaa bahoot bor ho rahi thi tabhi tina ka phone aaya aur usne kaha ki yaar naraz hai mujhse abhi bhi sun yaar jo hua oose bhool ja humbhi ab george se koi matlab nhai rakhenge tu jaisa kahegi
Waisa hi karenge and I swear aisha bhi haamre saath hai tu to george ko jaanti hai na sanaa ne kaha koi baat nahi lekin main us george se bilkul bhi baat nahi karungi tina ne kaha thik hai waise tu ghar pahooche kaise itne ghne junglo se sanaa ne kaha ab pahooch gayi yaar bas aur dimag mat kharab kar tabhi tina ne kaha ok ok kal to tu aa rahi hai na sanaa ne kaha bilkul aa rahi hoo waha george ek maulvi saaheb ka paas pahucha tabhi usne maulvi sahib se zayed ke baare mein pucha ye sunkar wo maulvi gusse mein aa gaye wo ladka koi insaan nahi balki ek taqatwar jin hai bas ye sunne ki deri thi ki george ki haaath kaap gaye usne pucha to ye hum insaano ke saath kaise matlab ghum raha hai maulvi ne kaha wo isi duniya mein rehta hai par wo sirf insaani zindagi ko dekhna chahta hai auroose shayad ek ladki se lagav bhi ho gaya hai george ne kaha to phir kya kiya jaa sakta hai maulvi ne kaha oose kaid kiya jaa sakta hai lekn oose kaid karna bahoot hi mushkil hai isliye tumhe oose kaid karne ke liye ek shahi botal aur kuch samagri laani hogi george ye sunkar kaha thik hai aur waha se apne dosto ke sath nikal gaya george ke dosto ne kaha my god hamara dusman koi insaan nahi hai yaar main to kehta hoo is jhanjhat mein naa padhe aur ghar ki or nikal le george ne kaha nahi ab jab itna kuch samajh hi liya hai to fhir darr kaisa main oose zayed ko nahi chodhunga chalo mere saath school aakar usne sanaa se kal raat ke liye maafi maangi aur kaha main dobara aisa kuch nahi krunga jisse tum dono ko taqlif ho kyunki oose sanaa ka dil jitna tha isliye zayed ke kehne par sanaa ne oose maaf kar diya lekin ab uske dimag mein koi aur saazish chal rahi thi jis ke baare mein sanaa aur zayed bekhabar the aage ki kahani agle post mein aur apne comments jaroor bheje I m waiting for your reply.kya mil paayega sanaa ko uska pyaar ya khatam ho jaayega ye pyaar?
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: November 08, 2010, 07:23:28 AM »
Udhar aakhri baar zayed sanaa ke saath ghum raha tha aur tabhi ghar pahoochkar sanaa ko uske papa ne puch a kyun aaj bhi us ladke ke saath ghum rahi thi sanaa ne kaha kyun daddy aap to mujhe kabhi saath ghumaate hai hamesha khud hi kaam me busy rehte hai aisa lagta hai jaise aapki koi beti hai hi nahi uske papa ne kaha aisa nahi hai tum ghar pe kyun nahi rehti hamesha bahar kabhi to ghar par raha karo? Waise ab tumhara ghar se nikalna theek nahi hai kyunki wo darinda ab befikari se khoon kar raha hai aur mujhe commissioner se bhi kitni dabaav mil rahe hai tumhe pata hai ab to aisa lagta hai us darinde ko maar doo mujhe pata chala hai ki ye darinda koi insaan ki shakal mein hai aur shayad yehi sabka khoon kar raha hai sanaa ko ye sunne mein deri na lagi aur wo jhat se samaj gayi ki darinda kaun ho sakta hai uske pair dagmagane lage lekin ye jaankar oose hairaani huyi ki uska pyar aisa kyun kar raha hai sanaa agle din sidhe zayed ke paas pahuchi zayed ne kaha kya hua tum itna jaldi mein kyun ho kuch hua hai kya

Sanaaa ne kaha zayed kyat um muje bata sakte ho jungle mein jo khoon ladkiyo ke horahe hai usme tumhara haath hai zayed ne kaha kya bol rahi ho mera haath tumhara dimag theek hai tum aisa kyun soch sakti homain aisa kabhi kar nahi sakta lekin.. sanaa ne zayed ki chuppi todi aur kaha pls mujhe batao aakhir baat kya hai tum jungle mein hi rehte ho zayed ne kaha main tumhe nahi bata sakta sanaa ne kaha theek hai nahi batao ge to mat batao lekin ab meri ye baat sunlo ki main tumhari kabhi shaakal tak nahi dekhungi aur waha se rote huye sanaa chali gayi zayed ka dil ghabra raha tha aakhir aisi kya baat thi jise sochkar zayed itna gumsum tha aakhir wo kya bat thi udhar wo darinda jungle se nikalkar sidha school ki taraf aa raha tha ki tabhi oose raaste mein ek ladki dikhayi di usko jaise fhir ek baar aur khoon karne ka man ho utha saamne sanaa thi usne jhat se sanaa ko pakad liya sanaa chillayi par koi uski madad nahi kar sakta tha aur wo darinda oose lekar jungle mein ghus gaya udhar zayed ko abhaas ho chukka tha isliye wo jungle ki or bhaga wo chilla raha tha lekin uski awaj dur dur tak nahi suni udhar maulvi sahib ke saath milkar george zayed ko pakdna chahta tha george ko maulvi sahib ne kaha wo kuch hi der mein yaha aayega kyunki uski sanaa gayab ho chuki hai george ke dost ne kaha gayab? Geiorge tujhe kya lagta hai sanaa ko oosi khooni ne to nahi pakad liya jisne har ladkiyo ka khoon kiya tha george ne kaha baadh mein jaaye sanaa humhe apne kaam se matlab hai sanaa kahi bhi jaaye humhe sirf us zayed ko pakadna hai maulvi ne kaha wo aa chukka ahi zayed ek dhua banke maulvi ke paas aaya mauvi ne oose turant hi shishe ki botal mein kaid kar liya aur george ko dete huye kaha lo beta lekin yaad rahe ise ghane jungle ki kisi bhi taalab mein faikhna hai warna suraj ki gharmaahat se ye fhir nikal sakta hai george ne kaha bilkul aapne jaisa kaha hai hum waisa hi karenge george ke dost ne kaha yaar ye botal mein kaaid hai mujhe to yakeen nahi ho raha apni puri zindagi mein maine aisi chiz pehle kabhi nahi dekhi george ne kaha darr mat aura b kuch hi sharno mein hum ise bhi talab mein faikh kar saara ilzaam zayed pe laga denge aur haa is ghatna ke baad fhir kabhi isse yaad nahi karenge kisiko kuch pata nahi chalna chahiye warna hum musibat mein aa jaayege george ke dost one kaha theek hai tabhi ghane junglo mein aakar george ne kaha dekho ye hai taalab jaldi se is botal ko taalab mein faikh chalo talab mein faikhne se pehle george ne ek jhalak dekhte huye zayed se kaha sorry zayed but kya karu tumhe is dunniya mein nahi rehna chhaiye tum ab hamesha hamesha ke liye mere aur sanaa ke zindagi se dur ho jao yehi meri dua hai tumse bye bye zayed aur ek chappak ki awaj ke saath zayed botal mein kaid taalab ki gehri mein chala gaya geore ne kaha chalo yaha se bhaag chalo yaha se koi dekh lega to problem ho jaayegi

George aur uske dost car se bhaag gaye kya hua us pyaar ka sanaa ko wo darinda pakad ke le gaya aur udhar maulvi ke botal mein zayed kaid ho gaya kya ye tha inka pyar ka ant kya khatam ho jaayega in do alag jeevo ka pyaar? Ya mil paayenge fhir se kya hoga aage kahani agli post mein agar aapko meri kahani acchi lag rahi hai to pls reply me nahi to aap reply mein keh bhi sakte hai kyunki isse mujhe andesha to milega ki chalo meri kahani aapko pasand to aa rahi hai.   
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: November 11, 2010, 05:20:32 AM »
Kahani bahoot aage badh chuki hai kitne mod aa chuke hai kahani mein zayed aur sanaa ka pyaar kabtak rehtakhatam hochuka tha wo pyaar kya? Chaliye kahani ko fhirse oosi jagah se likhata hoo jahan se chodha tha sanaa ko jungle se oos darindey ne pakad liya aur udhar george ne badla lene ke liye maulvi sahib se zayed jo ki ek supernatural creature jin tha oosse botal mein band karke taalab mein faikh diya tha chaliye aage bade udhar sanaa ke dad ka bira haal tha oose commissioner se dabaaav mile hi jaa rahe the lekin unhe kya pata tha ki shayad unhone apni beti khodi aur koi aur ne nahi oosi darindey ne hi pakad li hai unki beti ko udhar george soch mein tha ki aakhir sanaa gayab kaha ho gayi tabhi sanaa ki dost george ke paas aayi aur kaha sanaa kahan hai? Wo aaj subah se nahi dikh rahi george ne kaha kya pata oosi zayed ke saath ho aisha ne kaha ho hi nahi sakta maine aakhri baar dono ko ladte huye dekha tha aur fhir sanaa school se nikalkar kaha chali gayi pata nahi george ne kaha to mujhe kya pata kahan gayi? Main kya karoo ab gayi to gayi tina ne kaha pata nahi kaha jaa sakti hai kahi kuch ho naa jaye udhar sanaa ki aankhen khuli to apne aapko ek khandar mein paaya jaahan mombatti jal rahi thi ajib jagah thi tabhi saamne ek ajib se darindey ko dekh wo darr gayi aur chillane lagi tabhi darindey ne ooske munh ko pakad liya aur oosko behosh karke wo oose ek jagah leta deta hai shayad wo darinda ooska bhi wahi hashra karna chata ho jitna usne sab ladkiyo ke saath kiya udhar raat ho chuki thi george apne dosto ke saath party kar raha tha aur keh raha tha let’s cheers kyunki humne aakhir kar apne dushman ko maat dehi digeorge ke ek dost ne kaha ki sanaa kahan jaa sakti hai ab to zayed bhi nahi hai uske paas? George ne kaha mujhe lagta hai oosi darindey ne utha liya hoga aur fhir dekhna kal humhe ooski bhi laash milegi sab hasne lage george ne kaha chalo ab do pyar karne waalo ka the end to ho higaya samjho waise bhi mujhe kaun sanaa se pyaar tha ye to tum log bhi jaante ho sab fhir se hasne lage

Udhar sanaa ki dost aisha aur tina sanaa ke ghar pahuchi jo pehle se lock tha unhe chinta is baat kit hi ki aakhir sanaa aise kaha gayab ho sakti hai aur abhi tak uske dad ko bhi yeh baat pata nahi thi aisha ne kaha tu jungle chalegi shayad wahi humhe sanaa mil jaye tina ne kaha naa mumkin main aur jungle mein nahi jaa sakti pagal hai waha jaanwar hote hai yaar udhar raat ho chuki thi sanaa ka darr badta hi jaa raha tha wo darinda sanaa ke face pe haath phira raha tha aur ooske gaal pe ek kiss karke oose bade hi bhooke nazro se dekh raha tha sanaa samajh chuki thi ki yeh darinda oose maar hi daalega raat dhalta hi jaa raha tha aur chand bhi ek dum bad aur saaf sa dikh raha tha junglo mein wolf ki ouuouuu ki awaj se jungle bhayank tha tabhi ek sher sidhe taalab ki taraf aaya udhar sanaa prayer kar rahi thi chahe zayed kahi bhi ho oose bacha le warnaa aaj wo is darindey ke haato mar jaayegi taaalab mein sher ne pani mein chatna shuru kiya tabhi oosne wo paani paani pite taalab mein kud gaya aur sidha taalab ke andar jaa kar usne wo botal nikala jo oosse takra gaya tha usne oos botal par panje mare lekin koi asar nahi hua sher ne oose munh se uthaya tabhi ek jagah usne oose badi jor se faika jisse botal tut gaya aur botal se nikla dhua se zayed nikal gaya aur fhir shair darr ke mare waha se bhaag gaya owl apne hi awaaj nikaal rahe the mauhol bahoot bhayank tha tabhi zayed botal mein se nikal kar saamne khadha hogaya aur zor zor se chillaane laga sanaa sanaa kaha ho tum? Zayed ko awaas ho chukka tha ki sanaa musibat mein hai isliye wo oosi disha bhaga jaha sanaa ko oos darindey ne pakad rakha tha udhar raat ke 12 baj chuke the sanaa ke dad ghar pahooche tabhi unko ghar par taala laga dekha sanaa ke dad gussa hokar tina aur aisha ko phone lagaye tina ne kaha uncle sanaa aaj subah se jungle se gayab hai naahi wo kahi gayi hai aur naa hi wo kahan hai samjh nahi aa raha uncle sanaa ke dad ko aaj mehsoos ho raha tha ki wo apni beti ko zara sa bhi pyar karta hai to wo aaj oose bachake rahega wo samajh chuke the ki us jungle ke darindey ne hi oose pakda hai isliye wo sidha car mein baithe aur kuch rifles aur ek gun ke saath jungle ki or nikal gaye aur kehte chale gaye ki agar aaj unki beti ko kuch hua to wo darindey ko nahi bakshega sanaa ab musibat mein hai kya unke pahoochne tak sanaa ko wo darinda maar dega jaane ke liye wait for my next post.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: November 14, 2010, 06:52:58 AM »
Udhar sanaa bahoot khamosh thi oose lag raha tha ki aaj oose koi nahi bacha paayega wo darinda janwar oose maar hi daalega tabhi ek awaj aane lagi saana waqif thi ki ab koi na koi to uske paas aa raha hai sahayd uska zayed hi ho tabhi sanaa sanaa ki awaj pukare bahar zayed aa chukka tha tabhi oose awaas hua ki uski sanaa andar hi hai usne ek jhatke mein ghus gaya ek gufa mein tabhi oose saamne sanaa ek maiz par leti huyi mili zayed jaise uske paas pahucha tabhi piche se daridney ne zayed par hamla kar diya aur oose khoob maarne laga lekin zayed bhi oosse ladne laga sanaa ko ab wishwas tha ki abhi uska pyaar mara nahi hai tabhi zayed sanaa ke paas aaya aur usne sanaa ko rassiyo se azaad kiya aur kaha sanaa yaha se jao warna ye daridna tumhe maar daalega sanaa ne kaha tumhe yaha akela chodhke zayed ne kaha mere paas time nahi hai kyunki subah hone se pehle meri shaktiya chali jaayengi sanaa rone lagi lekin zayed oose waha se jaane ko kaha sanaa bahar aayi aur zayed oosse ladne laga tabhi darindey ne oose bahar faikh diya darinda bahar aakar jaise hi sanaa ke karib aaya tabhi sanaa ke dad aa gaye aur unhone ek banduk se us daridney par goliyo ki bauchaar kardi sanaa ne kaha aap daddy yaha sanaa ke dad ne kaha to kya apni beti ko aise maut ke munh mein chodh deta mujhe ab samajh mein aa gaya hai ki apne baccho ko pyaar na dena ek bahoot badi bevkufi hai waise tumahri saheliyo ne kaha kit um aakhri baar jungle se yaha aayi thi sanaa ne kaha I m sorry dad ki maine aapko hamesha galat samjha mujhelaga aapko meri parwah hi nahi tabhi sanaa apne dad ke gale se lag gayi aur wo jaanwar fhir uth gaya aur usne sanaa ke dad par hamla kar diya sanaa ke dad gir gaye aur darindey ne sanaa ko pakad liya tabhi zayed ne bachane ki koshish ki par koi faayeda nahi tha tabhi sanaa ke dad ne kaha meri beti ko chodh se saale warna lekin darinda ne sanaa ko chodh ke uske daddy ko pakad liya sanaa zayed ke paas giri sanaa zayed to uthaane lagi sanaa ne kaha utho zayed main jaanti hoo tum oose maar sakte ho tabhi zayed ki aankh khuli aur zayed ne kaha main is darindey ko maar sakta hoo lekin agar main apne roop mein aaya to tumhare dad mujhe samajh jaayenge ki main kya hoo tabhi zayed ne apna roop badal liya aur wo sidhe darindey ke paas gaya aur sanaa ke dad ko uske changul se chudha liya aur sidha darindey pe attack kiya darinda ghayal okar gir gaya zayed ne kaha sanaa time kya hua hai sanaa ne kaha subahhone waali hai zayed ne darindey ko kas ke pakad liya suraj ki pehli kiran ke saath darindey ka sharir jalne laga aur wo jal ke mar gaya sanaa ke dad ne zayed ko dekha aur kaha ye kya chiz hai sanaa ne kaha main aapko sab sach sach bata doongi tabhi sanaa zayed ke paas gayi zayed fhir normal ho chukka tha zayed ne sanaa ko bola ab wo darinda maara ja chukka ahi wo fhir kabhi nahi aayega waise tum theek to hona sanaa ne kaha ha lekin zayed ne sanaa ke hoth par ungli rakhi aur kaha sanaa hum dono alag jaat ke hai alag jeev hai hamara mel nahi ho sakta tumhe apni insaani life mein ji lena chahiye agar hum saath rahenge to koi hamare pyaar ko except nahi karega aur waise bhi ab to tumhare dad ko pata chal chukka hai sanaa ne kaha aisa kuch nahi hai aaj tumnemeri jaan bachayi aur tum mujhse dur hona chahte ho zayed ne kaha aur koi raasta nahi hai sanaa pls bye baby sanna ke kaafi rokne par bhi zayed nahi ruka aur wo waha se nikal gaya sannaa kaffi dukhi ho gayi aaj uska pyaar oosse juda ho gaya tabhi piche se sanaa ke dad ne kaha kya zindagi mein bhi aise chizen hoti hai I m sorry sanaa ki maine tumhe kabhi apni beti nahi samjah just tumhe apni responsibility samjha I m sorry sanaa
Sanaa ne kaha no dad ab hum samajh gaye ki dusro ke chakkron mein hum apni zindagi kho baith te hai sanaa apne baap ke saath ab khush thi kyunki ab uske dad oose apni beti samjhne lag gaye the sanaa fhir se ek normal life jeene lagi tabhi 6 saal baad sanaa uk gayi jaha wo apni university karne gayi thi class mein baithte hi sanaa ki dosti ek ladke se huyi jo Indian tha sanaa zayed ki kami ab bhi apne zindagi mein mehsoos kar rahi thi lekin oose pata tha ki ab zayed nahi aanewala aise hi ek din sanaa ko us ladke ne kaha pata ahi sanaa mujhe tumhe apne baare mein kuch batana hai main zayed hoo sanaa ne kaha kyu mazak kar rahe ho zayed ne kaha dekhna hai zayed ne kaha ye dekho zayed ki shakal dekhke sanaa dang reh gayi sanaa ne kaha oh my god sanaa ne zayed ko hug kiya aur zayed ne sanaa ko kaha chalo aaj se hum ssaath rahenge aur dono ek dusre ka hath pakadke huye chale gaye apni raaste par na jaane kya hoga is pyaar ka lekin ye pyaar aise hi reh gaya aur sanaa zayed fhir se ek ho gaye ye thi kahani ek jin ki aur ek insaan ke ppyaaar ki comments jaroor bheje pls
          The end
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: August 26, 2012, 01:03:55 AM »
A very very very nice  story.
Par  aapse  ek  baat  kahne ki izzazat chahta hooN. Agar buree  lagey to maafee  ka talabgar hooN.
Aapkee  story ka plot jitnaa  achchaa thaa aap story  ko  aour bhee  shaandaar banaa  sakte  the.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:15:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer