Dil vs Dimaag ..........masoom

by masoom shahjada on March 31, 2012, 01:03:22 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2070 times)
masoom shahjada
Guest
Jaisa ki mene kha tha m lootkar aaoga to m apna wada nibha rha hu.
Par mujhe aap sab se sikayat h aapke chehre pe mere intizar ki ak bhi silwat najar nhi aati.
Sayad aap logo ko m achcha nhi lagta.  M sahi kah rha hu na.
Par aap sab mujhe bhut pasand h aapke bina rha nhi jata so apni sikayat ke pholo ko masalkar aap sabke pas hazir hona hi pra.
.
Sikayate to aapse sikwe bhi hzar h.
Par Dil ne majboor kiya to aana hi pra.
.

Chalo ab dekhte h dil or dimaag me kya bate ho rahi h.
Kya kisi ne haar maan li ya haar manne ja rha h.
Bus aap log chup rhe or chupkar dekhte rhe.
En dono ko pta nhi chalna chahiye warna meri khair nhi..

" tum dost ki mubbat pe sak nhi ka sakte" dil dost ke hak me tha
.
"abe m to sak kar rha hu tu to sakne ki baat kar rha h, tu hi bta tera dost atul kis khubsurti se tujh se bewafai kar gaya" dimaag dil ki mazak bna rha tha.
.
Dimaag ne aesi baat kah di thi jisse dil me dard hone lga . Wo atul ko kaise bhol sakta tha jisne wakai bewafai ki thi. Fir bhi wo bola  "tune ak hi dost dekha h, sachche dost dost ke liye jaan tak de dete h"
.
"abe tera to ak hi dost tha jiske baare me m janta hu kya wo bewafa nhi tha" dimaag dil ke jhuke huye sar ko dekhte huye bola.
.
"ha wo bewafa tha" dimaag use majboor kar rha tha ki wo es bat ko mane . Or ab manne ke alawa  koi rasta  bacha hi khan tha to use har manni hi pari.
.
Are har manni pari ka matlab ye ki use manna pra ki atul bewafa h aap log ye na samajh lena ki usne haar maan li.
.
Wese bhi aap log galat matlab nikalne me mahir h. Are dil ke paas muhabbat ke siwa hota hi kya h.
Or jab muhabbat daw pe lagi huyi h to jan le ki dil ne apni jaan ki baji lga rakhkhi h. Or apni jaan koi yu hi nhi gwa deta khair ab bolna band karo or chupchap sunte raho.

"Dil tujhe yaad h na kal ka wo sadak ka hadsa."dimaag apne honto pe fatahana muskurahat laate huye bola tha.

Dil ki najro se to wo manjar hatta hi na tha darasal huaa ye tha ki kal dehli ki sadak pe ak boy apni bike ak bus se takra baitha. Takkar bhut buri huye thi wo larka bach sakta tha agar use hospital phuncha diya jata. Par use hospital pahunchana to door koi uske karib tak nhi gaya. Ki kahi police case me wo na fans jaye. Os larke ne wahi sadak pe dam tor diya.
Aane jaane wale aate jate rahe . Bikes ,cars , buses par kisi ki bhi himmat nhi huyi jo uske paas jaye.
.
Log kahte h ki dehli dilwalo ki h par kal mujhe laga ki dehli walo ke seeno me dil hota hi nhi h. Etne kayar etne gire huye. Ki enko insaan kahte huye bhi sarm mahsoos ho rahi h.
.
Or hamare yha ki police ka haal to dekho.
Uske dam tor jane ke baad police aayi or usne pahle uski jaibo me jitni money thi apne kabje me li fir use uthakar le gaye.
.
Dimaag ne dil ko kal ka dil hila dene wala kissa yad dila diya .
Abhi wo us kal ke os accident ke bare me soch hi raha tha ki use dimaag ki baat apne kano me parti huyi mahsoos huyi wo kah rha tha    "kal dekh li mene ki muhabbat kya hoti h. Us larke ne tadap tadap ke jaan de di or kisi ke dil me muhabbath nhi jaagi muhabbbat to door ki bat kisi ko afsos bhi nhi huaa."
.
"sab teri wajah se si huaa tu hi to logo ko drata rahta h" dil ne dimaag ko bhut khoob pakra tha
....................
Ab type karte karte meri unliya dard karne lagi h aage kya huaa baad me btaoga.
 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil-o-dimaag abhi bhi jawaan hai meyraa! by abdbundeli in Ghazals
Mohabbat Dil Se Ya Dimaag Se by king.Of.Love in Chit - Chat & General Discussion
Dil o dimaag mein ..“ParwaaZ” by ParwaaZ in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Dil vs Dimaag by masoom shahjada in Inspirational Stories and real life Incidences.
Bhut masoom thi wo ........masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
Kohinoor
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2012, 01:30:59 AM »
Ye dil-o-dimaag ka tkrana bahut aziyatnaak hota hai insaan k liye...
Hai na??
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: March 31, 2012, 03:56:09 AM »
 icon_flower
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2012, 04:53:25 AM »
Ye dil-o-dimaag ka tkrana bahut aziyatnaak hota hai insaan k liye...
Hai na??
ha magar es jang ka hona bhi bhut jarori h.
Kyoki kabhi dil sahi hota h or kabhi mind.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2012, 04:54:51 AM »
icon_flower
thanks a lot
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:20:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.17 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer