Firaaq - A deadly love tale (romantic thriller story)

by ASIF on February 15, 2023, 10:46:37 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1682 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Hello dosto kaise hai aapsab? main asif haazir hoo apni nayi kahani ke sath pesh kar raha hoo 2023 ki pehli daastan "firaaq - a deadly love tale" maine socha tha is saal kahani nahi likh paunga lekin apne reader aur kalam ki kabiliyat ke ahesaas se ek baar fhir aapka writer laut aaya hai ek nayi daastan lekar mujhe umeed hai aapko ye kahani pasand aayegi aapke keemati comments ke intejar mein hamesha  hello



This story is a fictional story and having no relation with real life incidences..all characters,events,places are written in fictional thought and this story not encourages any crime and sexual element or thoughts,only written for entertainment purpose all feedbacks will be welcome and strictly objection to the story's cnp and no right giving to copy this story to other forums...pls share the original work with authore name

Story is continue from the next post pls scroll down thank u...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: February 15, 2023, 10:54:44 AM »
Woh ek sheher ka aam hotel tha par us waqt khaas behad khaas kuch logo ke liye wo milane ka thikana bana hua tha...kisi bahari aadmi ko andaza nahi tha ki andar kya chal raha tha? Saqt hidayat di hotel walo ko ki meeting hall ke darwaje ke aas paas bhi na koi mauzud ho police mehekme ke kuch log aur sarkaar ke kuch aala afsar aur sarkaari jasoos us waqt waha mauzud table ke aamne saamne kursiyo pe baithe they wo ek secret meeting chal rahi thi jise press waalo aur khud police department ke sabhi afsaro se chupaya gaya tha kyunki unhein bharosa nahi tha koi bhi munh bahar khol sakta tha har koi khatre se waqif tha

Projector pe ek ke baad ek tasveer dikhai jaa rahi thi pehle ek 62 saal ke umar ka raubhdaar chehra aur sunheri gehri rang ka chashma pehna aur hontho mein fase cigar wala shaks tha jise Shah Alam bataya gaya uske baad ek ke baad ek kayi chehre dikhaye gaye har kisi ki nigah waha baithi paini nazaro se ek ek tasveer ko ghure jaa rahi thi,

Commissioner khud hi un chehro ka tarruf sabse karwa raha tha aakhri do tasveer khaas thi pehli ek mote thigne kad kath ke aadmi ki thi jiske Surat pe magruriyat saaf nazar aa rahi thi ho bhi kyu na wo raees  us pehli tasveer wale raubhdaar shaskiyat Shah Alam ka damad tha dusri aur aakhri tasveer ek haseen aurat ki thi jo umar mein 36 ke kareeb thi aur bharepure badan waali Gori rangat ki raees aurat jaan padh rahi thi

"Aur ye hai Shah Alam ki ikaluti beti anika Shah former model reh chuki hai aur ab businesswoman hai apne baap ka empire aur aadhe se zyada karobaar ab yahi sambhaal rahi hai baaki iska shouhar pehle business partner tha uski beti ke sath fhir Shah Alam ne jaise apne Ghar jamai ko apne dhandhe se hi bahar kar diya fhir uske baad eka ek ye gayab ho gaya report darz huyi maamla khabaro mein bhi aaya par aajtak iska koi malumat nahi chala suna hai ki biwi se bewafai karta tha khair hamara maamla husband ke gumshudgi case se zyada zaruri is mission pe hai jiske chalte ye secret meeting ho rahi hai"

Comissioner ne khamosh hote huye glass uthakar uska ek ghunt paani piya aur fhir apne lavzo ka prabhav tamam waha logo ke chehro pe dekhne laga... superintendent ne gambhir hokar is baar chuppi todte huye kehna shuru kiya

"Hum jante hai Shah Alam sirf raees ucche rasukh wala nahi hai uske kayi kaarobaar desh se bahar bhi hai sarkaar ke saamne uski tasveer saaf suthri hai lekin is sheher ka baccha baccha bhi janta hai ki wo yaha tak kaise pahucha? Uske kaale dhandho ki list bahut lambi hai lekin koi karyawahi nahi ki ja sakti kyunki upar tak uska hath hai is sheher mein uska sikka chalta hai lekin hum mein se kuch imaandar log ab bhi sheher mein hai jo uske haatho apni rooh nahi bech diye drug manufacturing aur trafficking, arms dealing, kaale dhan ko safed karna, contact killer tayyar karna  sab kuch iske ishare pe kayi barso se hota aaya hai"

"Par sir ye sab baatein hum already aapke bataye Jaan chuke hai hai hum ye janna chahte hai ki hum kya kar sakte hai? Mayor ki kursi pe Satta chalne wali hai aur aaphi ne bataya hai ki Shah Alam apna pao politics mein pasaar chuka hai log toh uske mureed hai hi aur jo nahi hai wo khauff se uske khilaf vote toh nahi denge"

Superintendent ne gusse se apne mehekme ke senior police officer ko dekha eka ek jaise police officer ne kursi pe pehlu badla aur aahiste se maanfi maangi lekin superintendent janta tha ki galat toh usne kuch kaha bhi nahi tha.....Mayor ki kursi pe Shah Alam ka baithna mehez waqt ki baat thi

"Hum jante hai ki ek baar satta uske haath aayi toh sheher mein usi ki hukumat chalegi bas faraq itna reh jayega ki hum jaisa aaj kuch kar sakte hai kal nahi kar payenge lekin main aap logo se jawab chahta hoo police department aur sarkari intelligence agency ne jo tayy karke is mission mein hamare kaabil officer ko khada kiya wo kya kar raha hai?"

Eka ek sabki nigaah table ke kone mein baithe special delta intelligence officer zaher Ali pe Tik gayi jo shayad apne baari ke hi intejar mein soch ki kashmakash mein baitha tha apna naam sunte hi zaher ne hadbadaake sabhi ghurrti nigaahon ko apne taraf dekha fhir comissioner aur superitendent aur apne department ke senior officers ki taraf ruzu hua..

"Kya reports hai? Kahan tak pahuchi tumhari progress?"

"Sir main koshish kar raha hoo aap toh jante hi hai jitne bhi informers aur mere pehle colleagues Shah Alam ke thikaano ke piche lage toh eka ek sab gayab ho gaye"

"Tum jante bhi ho agar Shah Alam ko hamare aise kisi mission ka malumat chal gaya toh nateeja kya hoga?"

Zaher comissioner ke gusse bhare sawal ka jawab nahi de saka....."sir maine pehle hi is mission ke chalte kayi logo ko maut ke munh mein khada kar diya Shah Alam ke aadmi bahut khatarnak hai aur khaskar uska parivaar bas bhanak lagne ki dair hai aur palbhar mein lash samundra mein!"

"Yaha tum unki tareef kar rahe ho? Ya humhe agaah? Bhulo mat u r  s.d.i officer kya yahi din ke liye tum jaise kabil officer ko humne assigned kiya hai?"

"Sorry sir"

"I want results kaise bhi karke agle election se pehle tumhein sabut jutane hai Shah Alam ke kaale dhandho ke khilaaf isse ye hoga ki sarkaar uspe karyavahi kar payegi wo election mein khada nahi ho payega aur fhir jo is sheher mein uska khauff hai uspar kayi hadtak tehraav aa jayega jab crime investigation ki talwaar uske gale pe jhulegi then he will have to submit to the law"

Zaher sar jhukaye raha...meeting fhir barkhasht kar di gayi...ek ke baad ek afsar waha se ruksat hone lage....uske senior officer uske paas aaye unhone oose yahi raay di ki jald se jald wo is case mein progress laaye warna apna istihfa dede.....zaher khamosh raha meeting hall mein sannata chaa gaya,

Zaher uljhano mein bhari kadamo se bahar aaya hotel se piche ke raaste se nikalte huye wo apni gaadi mein jaa baitha tatkal usne ek aur phone apni jeb se nikaala aur uspe ek number punch Kiya wo kuch dair phone ke hawale tha

"Hello! Kya khabar lagi? dekho darro mat usse milna tumhara zaruri hai tumhe kuch nahi hoga sirf aakhri mulaqat koshish karo wo raazi ho jaaye main khud tumse wada karta hun ki tumhein bahifazat uske sath ruksat kar dunga fhir tumhe mudke dekhne ki zarurat nahi kisi ko kaano kaan khabar tak nahi hogi fhir tumpar koi musibat nahi ayegi acha theek hai okay"

Zaher ne santushti bhaav se phone cut Kiya charo taraf nigah daudaayi aur fhir waha se apni gadi drive karte huye nikal gaya...achanak uska dusra phone fhir baj utha hadbadaake usne number dekha aur gaadi kinaare lagate huye roki eka ek uska chehra gambhir ho gaya aur phone usne uthate hi lagbhag kaha!

"Aapse baat karni thi bahut zaruri abhi meeting se hi aa raha hun okay"

Zaher ne phone cut Kiya aur us phone ko fhir switch off karke apne jeb ke hawaale kiya uske chehre pe kutil muskurahat ubhar aayi aisa laga nahi ki abhi kuch dair pehle wo uljhan mein tha gadi fhir raste pe chal rahi thi!
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: February 15, 2023, 10:58:56 AM »
Past

Raat barah baj chuka tha par Arif ki aankho mein neend kahan thi? Wo bas karwatein badal raha tha zameen pe ek gaddi bichi thi jiske bistar par Arif laita tha wo ek chota sa kiraaye ka kamra tha jiski maali haalat Arif ki haisiyat bata rahi thi kamre mein saaman naam ka tha bas gaddi aur bagal mein rakhki daraaz jiske sirhe pe kuch kitaabein padi huyi thi dusri taraf chota sa chulha tha aur jiske palli taraf khidki thi sard hawa chal rahi thi aur raat ki us ghadi bagal waale flyover se guzar rahi gaadi aur truck ki tej awaz oose beech beech mein sunai de rahi thi,

Aaj baaki raaton se zyada bechaini thi aur neend koso dur haalaki is sheher mein naye naukri ke silsile mein aaye mushkil se 2 hafta hi guzra tha ki eka ek uske kismat ne fhir badkismati ka khel khela maalik se jhagda hua aur turant naukri se barkhasht pehle naukri aur aarthik paiso ki pareshani thi par ab ek nayi soch oosi ke kiye ek faisle ne baar baar jaise oose bechaini mein daala hua tha..

Naukri se hataash din bhar ki bhagdaud qur gam mein duba Arif ek club pahucha tha kaafi dair khamoshi se waha ki ayyash mahoul mein apna gam bhulane ke liye Arif beer ki chuskiya le raha tha ki oose kisi ne awaz di...Arif ne sar uthaake munh baaye kiye dekha ek patla dubla overcoat aur golf cap pehna shaks chewing gum chabaaye hass raha tha...Arif ko uske bartaav mein ajib sa mehsus hua

"Kya baat hai brother? Kaafi sad ho break up hua kya?"

"Jii nahi"

"Toh fhir?"

"Kuch nahi"

Arif ne ek ajnabi samjkar oose andekha karne ki koshish ki par usne fhir oosse sawal kiya itne mein bartender uske kareeb aaya...us ajnabi ne ek glass whiskey mangwaayi...bartender ke jaate hi wo fhir Arif ke mukhatib hua...Arif ne socha do baat kehke waha se nikal jata hoo waise bhi wo waha tanhaai mein kuch pal akela baithna chahta tha lekin us aadmi ke wajah se ye mumkin nahi tha jo baar baar ooske gale pad raha tha...

Adam jaane ke liye utha hi tha ki achanak us ajnabi ne toka "koi pareshani hai toh main madad kar sakta hu man?"

"Wajah madad karne ki?".....is baar Arif ne palatkar pucha

"Pehle aaram se baitho mere saamne yaar kaaye ko mujhse Darr rahe ho?"

Arif wapis apni kursi pe baith gaya...."pehle apni problem batane ka?"

"Naukri nahi hai Malik ne kaam se nikaal diya hai samajh nahi aa raha kya karu?"

"Bas toh kahi aur try karne ka!"

"Agar yahi jawab tha toh main fhir chalta hun".....Arif ne kaha lekin is baar uthne ka koi faisla nahi kiya

"Arre Man tum fhir naraz ho raha hai?"

"Sab jagah try Karke hi haar maankar yaha aake baitha hu is naye sheher mein koi support ya reference nahi hai mera main waapis apne maa baap ke paas nahi jaana chahta jaha sirf tanghaali laachari aur jhagda ke alawa kuch nahi"

Ajnabi itne dair mein beer ki chuskiya itminaan se lete huye Arif ki baatein sun raha tha usne beer ka glass aadha khaali karke counter pe rakha aur fhir Arif ko bade gaur se dekhne laga...shakal Surat se Arif khubsurat nain naksh ka bhola aur Shareef 28 saal ka naujawan tha patla dubla hone ke bawjud kasrati jism tha ye uske baazuyo aur pahalwan jaisi gardan ko dekhke lagta tha Arif fhir khamosh sar jhukaye jaise oosi ke kehne ke intejar mein baitha tha ..

"U know what man? Main teri help kar sakta hai"

"Lekin tumne bataya nahi madad karne ki wajah?"

Arif ne bhi sawal kiya wajah saaf thi ek anjaan sheher mein koi anjaan shaks yun hi club mein uska madadgar kaise banna chahta tha? Koi na koi bure khyaal ya swarth yakeenan us anjaan aadmi ke dil mein tha jise Arif chahta tha ki khud hi wo izhaar kar de kyunki usne zindagi mein dhokha hamesha khaaya tha aur aise haalaat mein dhokha hona aam baat thi...

"Bina wajah ke aajkal kahi kuch hota hai commission dena hoga jitna tujhe mile uska 10% bol manzur"

"Naukri kya hai?"

"Naukri nahi freelance work bole toh apni personality ka complete fayeda uthaane ka waise bhi aise dhandhe mein tere jaise hi chikne dhundhte hai log"

"Matlab?".....Arif jaise bhauklaake uski Surat dekhne laga

"Kabhi kisi ladki ke saath"......usne bahut wahiyat ishara karte huye gathiya si hassi hasi

Arif ko to jaise khoon khaul utha agar haalaat kuch aur hote toh wo abtak uspe baras padta lekin Arif ne khud pe kaabu kiya daant bheeche fhir usne koi jawab nahi Diya

"Arre bol na Bhai tu Jawan ladka hai kabhi koi gf toh rahi hogi"

"I m virgin"….....Arif ke kehte hi wo aadmi zor se hassne laga

"Pakka? Matlab kabhi aajtak itni Umar tak kisi aurat ke saath koi maja nahi kiya kabhi kisi ko pataya nahi"...apni hassi pe kaabu paate huye

"Nahi na kabhi koi mere zindagi mein aayi aur na maine kisi ke sath khair ye zyadti mamla hai tum kehna kya chahte ho saaf saaf kaho"

"Ok okay man main bhi tumhare personal life ko leke kuch zyada nahi janna chahta ab rahi baat kaam ki toh kaam tere upar depend karta hai"

Eka ek usne Arif ko nazaro ko ghura aur fhir thoda kareeb baithte huye club ke shorgul ki wajah se aahiste se jo kaam usne Arif ko offer kiya uske sunte sunte arif ko pehle laga ki waha se chale jaane mein bhalaai thi lekin maali haalat se mazbur wo chupchap sunta raha...wo shaks khamosh hokar yun muskuraya jaise oose is peshe ko kehne se garv ho raha ho

"Tum mujhe male prostitute ki job dena chahte ho gigolo right?"

"Bhai tumhe kaam se matlab hai uske badle paise se matlab hai jab kisi ko malum hi nahi chalega ki tumhara pesha kya hai toh kaahe itna sentiment hona waise bhi is sheher mein rehna hai toh pesha dekhne ka nahi survive karne ka"

Pehle toh Arif nahi maana lekin wo shaks apne peshe ke hisaab se oose manipulate karta raha kareeb aadhe ghante baad oose Arif mein Haan kehne ki umeed nazar aane lagi..."tujhse bhi zyada yaha padhe likhe hai aur ek se badhkar ek is peshe mein hai tu lucky hai ki aaj raat tujhe main yaha mil gaya warna main aise kisi ko offer nahi karta aakhir bare bare client ki priority ka sawal hai"

"Is dhandhe mein toh maine suna hai mard bhi ladko ke sath!"

"Holy s**t arre bhai tension mat le main samajh gaya teri pareshani bas tu Haan keh de Teri saari problem dur kar dunga"

"Theek hai"

"Tujhe tera pehla client milte hi message karunga number de jaana"

Arif ne oose number diya kuch ghadi aur guzarne ke baad usne jeb se paise nikaale aur khud ke beer aur us ajnabi jo ki peshe se ab oose dalaal malum chala uske wine ke paise chukaaye....ye harqat dekhkar dalaal muskuraya

"Joseph"

"Arif"

Naam kehte huye arif Joseph dalaal se vida leke club se nikal gaya ek azib faisla karke Mann hi mann......Arif ka dhyaan tab tuta jab wo ab bhi bistar ke hawale tha aaj raat neend nahi hone waali thi...wo besavri se apne phone ke bajne ke intejar mein tha kahi dil ke kisi kone mein uska zameer oose baar baar dhikkar raha tha uske maa baap ka khyal karne keh raha tha lekin ab Arif ke liye khyal kiska baaki raha tha? paaya kuch nahi bas usne khoya tha,

Ek baar Joseph ke baarein mein oose chanbin kar leni chahiye thi agar wo kisi musibat mein fass gaya toh ek pal ko Darr laga kismat kabhi uska sahi se sath nahi di thi...pata nahi kaha bhejega kahan jaana hoga? Kaisi aurat hogi jo uske saath kaisa pesh aayegi? sunke hi uske badan mein sirhan uthne lagi....Arif ne khud ko jhinjhoda chehre pe betahasha paani maara fhir dair raat hone ke bawjud kasrat karne laga abhi usne kasrat khatam ki hi thi ki uska phone baj utha,

Arif ne pasine se khule badan bistar par baithe baithe phone uthaya!

                     ----------------

Taxi raat gaye oose ek 30 manzili chaka chaund building ke saamne chodh gayi ye bara sheher tha yaha raat mein bhi chehel pehel rehti thi...ghadi pe nigah uthaayi 2:10 ho chuka tha Arif kabhi itni raat gaye ajnabi sheher mein bahar nahi nikla tha usne jacket theek kiya aur us hotel numa building mein dwaar thele andar dakhil hua,

Bara sa ground hall tha daayi taraf lift aur bagal mein upar jaati sidiya Arif ghabraaye reception pahucha ek kam umar ka ladka us waqt waha suit boot pehne mauzud tha usne adab se arif ka swagat karte huye usse pucha

Arif ne oosse Joseph ke mutabik room no.205 aur us room mein tehri aurat ka naam zikar kiya toh jaise receptionist ne muskurake machini andaaz mein angrezi mein kaha "take the lift get on 25th floor on the right side fourth suite mam is already waiting for you!"....usne aur kuch kaha nahi

Arif ne usse nazar phaira aur sidha lift ki taraf badha wo ek rayiz hotel tha jab ki us waqt sannata tha achanak ek aadmi uske saamne aake khada hua Arif thoda siham gaya kyunki rayeez kapdo mein bhi uske hontho mein fase jal rahe cigarette aur ghane baal aur dhadhi se wo koi badmash lag raha tha usne jaise Arif ke aake khada hokar oose jabran roka tha

"Naam?"
"Aap se matlab?"

"Jitna puch raha hoo utna bata zyada sawaal nahi"

"Arif".....sunke usne jaise phone nikaala aur ek tasveer ko dekha fhir Arif ki surat ko jaise oose wishwas hua ho ki ye wohi tha

"Joseph ne bheja?".....Arif sunke hadbadaya fhir jhijhakte huye Haan mein jawab diya

Joseph ne ooske kapdo ki talashi lene shuru ki Arif ko pehle bezzati mehsus huyi lekin apne se lambe kad bhaari jism aur badmash jaisi dikhne waali us aadmi ko rok paana gawara nahi laga...receptionist aise baitha phone pe aankhe gadaaye huye tha jaise waha kuch ho hi na raha ho..talashi puri huyi fhir cigarette haatho mein liye oose muskurake us gunde ne badh chalne kaha

Arif oose hairat se dekhta raha ganimat thi ki uska phone usne usse cheen nahi liya tha...Arif jabtak lift mein nahi sawaar hua tab tak cigarette ka kash lete huye woh oose hi ghurrein jaa raha tha,

Arif ne kaanpte haatho se lift band ki apne manzil ki nirdharit 25th floor ke button ko dabaya lift ke band hote hi jaise oose Jaan mein jaan aayi na jaane aage kya hone wala tha? Yakeenan aisi talashi jaanch padtal shayad aise rayizo ka niyam tha ya fhir is badnaam dhandhe ka,

Arif ka wo pehla anubhav tha lift khula Arif ne kadam bahar rakha wo dheere dheere room no.205 khojne laga ek lamba galiyara tha jiske dono taraf suite ke laal darwaje they aur unpar sunhehre aksharo mein room number likha hua tha Arif chauthe darwaje ke paas aakar khada hua usne sunsan galiyare ke dono taraf nazar daudaayi aur dastak di...lock khulne ki awaz aayi darwaja khulte hi wo pehli surat thi jispar Arif ki nigaah tehri toh bas teher gayi

Bala ki haseen sunhere baal aur ek jhilli si gown pehni khushbu mein mubtala wo aurat Arif ko dekh aise muskurayi jaise ooska tohfa oose mil gaya ho..."andar aao"...aisa laga nahi ki abhi kuch dair pehle oose ghabarahat bechaini aur darr kisi baat ka sata raha tha woh us aadmi ko bhi bhul gaya jo niche uski jama talashi liye abhi hata tha Arif ne kamre mein kadam rakha

Pura kamra khubsurati se saja tha aur saamne bistar par gulaab ki pankhudiya bikhri huyi thi bagal ki table pe do jaam pada tha aur ek rum sharab ki botal thi lagta tha wo rayeez aurat hawas ke sath nashe ki bhi rasiya thi...

Usne ithlaate huye darwaja lagaya aur Arif ke kareeb aayi Arif khada hi tha

"Baitho na"

Arif baith gaya wo aurat oose aise ghurr rahi thi maano jaise oose aankho se padh legi...usne drink banaya aur oose offer kiya....Arif ne muskurake masumiyat se darte darte inkar karna chaha

"Seriously tum Peete nahi ho?"

"Ji mam just kabhi kabhar beer"

Wo aurat usse satkar baithi huyi thi..uski badan se aati mehek Arif ka jaise sar ghuma Rahi thi...

"Tum toh aise jhijhak rahe ho jaise Aaj tumhari pehli suhagrat hai"

"M..mam main single hoo"

Jaam ka ek ghunt hi liya tha ki wo khaas uthi aur fhir khub hassne lagi Arif pehlu badalne laga....usne komal haatho se arif ke kandhe ko sehlaaya aur usse bilkul satkar wo baith gayi uski chodhti garam saanse Arif ko apne kaano se takrati mehsus huyi..Arif bahut zyada azib mehsus kar raha tha...

"Main janti hoo tumhari Puri sacchai mujhe malum hai tabhi toh bulaai hoo tumhe yaha tumse milane ke liye"....bina Nasha kiye hi jaise wo jhumte huye arif ke kandhe pe ek hath lapaite uske kaano mein budbudaate huye kahein jaa rahi thi aur uske kandhe gardan ko badastur sehlati bhi jaa rahi thi...

Arif Mann hi mann samajh chuka tha joseph aur uske beech huyi saari baat Joseph ne pehle hi is aurat ko bata di thi...us aurat ne Arif ke hatho mein thama bhara jaam ka glass uske hontho se lagane ki koshish ki ...pehle oose manane lagi fhir bhi Arif ke lakh inkaar ke bawjud usne oose zabran jaam pila diya Arif mazburi mein peeta raha,

Do jaam khaali ho chuke they Arif ko Nasha jaldi hone laga usne khud pe kaabu kiya uski haalat dekhkar khikhilaake wo aurat hass padi....fhir wo Arif ke goad mein hi aake baith gayi uske kandhe pe apne baazuyo ko rakh diya dono ki saasein ekdusre se takra rahi thi...

Arif uljhan mehsus karne laga pehli dafa ek aurat oosse yun lipati huyi thi usne dheere dheere haath Arif ke kapdo pe phaira aur uske badan se ek ek karke saare kapde utaar faikhe uske nagn jism pe haath phairte huye oose dhakka deke bistar pe gira diya aur khud khadi hokar jaise apne gown ko utaarne lagi Arif ne bhaari sharam se apni aankhe mund li thi...uske baad oose ahesas hua ki wo aurat oosse kasskar lipat chuki thi,

"Mam!"....ek baar Arif ne oose apne se dur karna chaha lekin tabhi usne Arif ke hontho pe ungli rakhke oose chup rehne kaha

"Don't call me mam call me anika! Tumhari anika"

Ye aakhri lavz they jo us hawas bhari aurat ne Arif se kaha tha uske baad jo kuch hua bas hote gaya uspe Arif ka bilkul bas nahi chala tha!
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: February 15, 2023, 11:03:54 AM »
Arif ki jab neend khuli toh uske jaise jism mein taqat bachi hi nahi thi Aisa lag raha tha jaise kitni gehraayio ke neend ki aagosh mein tha pura badan Tut raha tha dhundhlahat jab nazaro se saaf huyi toh usne khud ko wohi hotel ke us aalishan suite ke bistar ke hawale paaya...uska pura badan sard raat ko bhi pasine se tarbatar tha aisa lag raha tha jaise uske jism ko kitna raunda ho,

Wo utha toh oose khyal hua ki abhi Suraj nikala nahi tha jabki pichli raat ka tufaan guzar chuka tha uska pura badan reh rehke ab dard kar raha tha khaaskarke uske taangon ke beech mein usne palak japhakte bagal mein jhaaka wo aurat anika waha mauzud nahi thi,

Gulab ki pankhudiya jo bikhri huyi thi bistar par uske pasine bhare badan par lag gayi thi chadar bure haal mein tha Arif ne jhaadhke apne badan ko hatho se poncha aur bistar se uth khada hua usne paas rakhka mota tauliya apni kamar mein lapait liya use ahesas hua kisi ke gungunaane ka aur shower chalne ka,

Arif aahiste aahiste pao dabaye bathroom ke taraf aaya toh usne darwaja adhkhula paaya andar anika naha rahi thi gungunate huye uski nazar Arif par padi sharam ki jagah usne muskuraya aur wo adkhula darwaja bhi pura khol diya Arif ke saamne uska sangmarmar jaisa safed nagn jism pesh tha Arif ki hawas ab bhuj chuki thi usne nazarein fer li aur sharmindgi mehsus karne laga aakhir wo ek gair aurat ke pehlu mein Puri raat guzaara tha,

Anika ne shayad bhaanp liya usne shararat se muskuraya jaise koi afsos na ho aur palak jhapakte usne Arif ko bheetar aane ka ishara kiya,

"Mam m..main jaana chahta hun"

"Arre itni bhi jaldi kya hai? Tumhein maine ek raat ke liye kharida hai"

Sunkar jaise Arif ko bahut bura laga fhir usne kuch kaha nahi anika ne Baal geele karte huye oose paas aane ka ishara kiya Arif samajh nahi paa Raha tha ki wo kis aurat ke chakkar mein padh Gaya tha jo oose itna kuch hone ke bawjud bhi nahi jaane de rahi thi...jabki kal raat mushkil se hi uski aankh lagi thi aur wo so paaya tha ki eka ek uski neend 2 ghante mein fhir khul gayi bare mushkil se hi shayad anika ko neend ka khyaal aaya tha aur usne tab jaake Arif ko apne aagosh se alag kiya tha,

"Arif kahan khoye huye ho? Come on in don't be shy"......madhak andaaz mein anika ne oose fhir ishara kiya

Arif na chahte huye bhi shower ke niche uske paas aake khada ho gaya paani thanda hone ke bajaay gunguna tha apne badan pe paani padte hi Arif ko kuch Rahat mehsus huyi to kahi jalan uske badan pe kayi jagah kharoch ke nishaan Bane huye they, anika fhir uske saath zyadti karne lagi jabran uske sath lipatne lagi na chahte huye bhi Arif ko shaamil hona pada,

Arif haafte huye apne kapre pehenkar jaa raha tha anika ne uske haath mein paiso ki do gaddi faikhi Arif ki nazarein itna paise dekhkar hairat se khuli ki khuli reh gayi usne anika ki taraf dekha usne muskuraya jaise keh rahi ho ye sab paise uske kal raat ki seva ke liye they,

"Tumne mujhe khush kar diya Arif main tumhari diwaani ho gayi hoo main chahungi ki tum dobara aao teevara aao baar baar aise mujhse milte raho"

"Thank u mam".....sharmindgi aur apne peshe ke mutaabik usne formality se ahiste mein kaha aur paisa apne paas rakh liya

 "Tum ab jaa sakte ho"….....jaise anika ne hukam diya

Arif waha ruka nahi bina piche mudhe bas sar jhukaaye waha se nikal gaya....pure raaste wo jaise kaanp raha tha baar baar kal jo kuch hua tha use dobara khyaal kar raha tha aur zehan mein bas ek hi baat thi kya usne theek kiya? 

                       -----------

Wo sirf ek mulaqat nahi thi Arif ke nayi zindagi ka chapter waha se shuru hua tha Arif ne jism farosh jaise dhandhe mein kadam toh rakh liya tha lekin use khauff tha ki kahi ye pesha oose kahi ka na chodhe...ghar pahuchte hi wo Naa jane kab tak sota raha? Jab hosh aaya tha tab jaake usne kuch khaaya tha phone pe kayi missed call they uthaane pe dalal Joseph oose sunane lag gaya

"Kya bhai kaam nikal gaya toh humhe bhul gaye? Kal raat lagta hai aane nahi diya mam ne hahaha"

Joseph ne paiso ke leke pucha toh Arif ne oose sacchai bata di wo imaandar tha kuch chupaya nahi usne Joseph ko yakeen nahi tha ki anika itni uspe meherban thi usne lalach kiya aur club aake commission ka paisa dene kaha

Arif club pahucha usne commission ke mutabik oose paise diye lekin lalach ke dalaal joseph kahan Arif ki tarah imaandar tha usne aur paise maange Arif ko gussa aa gaya toh Joseph ne oose uski aukwad batayi aur apne ahesaan ka waqya yaad dilaya na chahte huye bhi Arif ne oose kuch aur paise diye aur waha se chala aaya

Arif ko lagne laga ki joseph ka saath pakadna theek nahi aur usne faisla kiya ki wo Joseph ke ishaare pe nahi kaam karega, kayi din bittne lage par oose joseph ki taraf se dobara koi call nahi aaya, achanak kuch hi din guzare they ki oose ek number se call aaya phone uthaate hi awaz oose jaani pehchani lagi,

"Hello!"

"Hi Arif kaise ho?".......anika apni ucchi building ke sheeshe se bahar ke khubsurat sheher ke nazaare ko dekh rahi thi jo dur tak basa hua tha

"Mam aap? Aapko mera number kaise Mila?"....Arif ne hairat se daye se baaye kaan mein phone lagate huye pucha

"Kyu? Main jaan nahi sakti? Us din toh tum yun hi chale gaye aur main puchna bhul gayi thi par faraq nahi padta shaks koi bhi ho wo khud mujh tak pahuch jaate hai khair chodho ye batao free ho?"

Anika tehelti huyi ek ghunt jaam ka hontho se lagaye peene lagi...Arif ke jawab ke intejar mein

"Nahi mam Aaj ek jagah mujhe jaana hai wo!"

"Kahi koi aur client ko promise to nahi kar rakkha?"

Sawaal samajhte hi Arif hadbadaya aur jaldi jaldi kehne laga "n..nahi nahi mam wo aap hi thi jinke paas pehli aur aakhri dafa main abhi tak aaya hun darasal naukri ki talash mein jaa raha hoo ek jagah interview hai"

"Interview kisi aur din bhi di jaa sakti hai"

"Par mam!"

"Mujhe na sunne ki aadat nahi tum kahan rehte ho?"

"N..nahi nahi mam baat samjhiye main aa nahi paunga par main vaada karta hoo kal aapse zaru!"

"Lagta hai tum mere orders ko manna nahi chahte bhulo mat jis company mein tum naukri karne jaoge waha ki mahine bhar salary ek raat jitni toh ho nahi sakti jitna main tumhe de chuki hoo"

Arif ko jaise apni bezzati hoti lagi usne khud ke zazbato pe kaabu paaya aur inkar karne ki aakhri koshish ki wo aakhri koshish thi kyunki uske baad Arif khud faisla karke anika se milane ghar se nikal gaya tha kyunki anika ke kehne ka lehza Saqt aur agaah bhara hone laga tha jise sunkar Arif ko kisi anchahe darr ki mauzudgi apne dil mein hone lagi...

"Agar is baar inkaar kiya toh soch lena main kya kar sakti hoo? Aakhri baar bula rahi hoo aa jao warna baaki tum to samajhdar ho khud ka acha Bura samajhte ho"

                         ----------------

Arif apne ghar se kuch hi dur paidal sadak par chal raha tha apne khyalo mein khoya oose yahi laga ki shayad joseph dalal ne anika ko uska number diya hoga ek pal ko oose phone karke jhaadhne ka mann hua lekin kya fayeda jis daldal mein usne pao rakh diya tha waha kadam kadam par musibate aur fasaad thi....achanak oose ahesas hua ki koi gaadi uske piche thi usne mudkar ek baar piche jhaaka fhir tej kadamo se sadak paar karte huye ek taxi pakdi aur usme sawaar hua taxi aage badhi toh Arif piche mudmudkar us gaadi ko ghurrne laga jo gayab thi beech raaste mein ek bar us rang aur us jaisi gaadi apne piche daudti Arif ko mehsus huyi....ho sakta hai koi ittefaq hi tha Arif ne fhir dobara dhyaan nahi diya,

Gaadi oose anika ke bataaye ek kothi ke saamne laa chodhi Arif tehelte jhijhakte aage badha wo aalishan 5 manjili kothi thi jo kayi acre mein faila tha kisi rayiz aadmi ka ghar lag raha tha achanak gate apne aap khul gaya aur theek tabhi wohi safed gaadi Arif ki nazaro se guzarte huye andar daakhil huyi Arif ek pal ko tehra aur us gaadi ko pehchan gaya jo kuch dair pehle uska picha kar rahi thi iska matlab! Uske sochne se pehle fhir ek moshtanda gaadi se apne jaise kuch aadmiyo ke saath bahar aaya usne Arif ko ghura aur ishaara karke andar aane kaha

"Chalo aao"......Arif sihamte huye uske sang sang chalne laga lawn se guzarte huye mor kaantke ghar ke darwaje ko thelte hi wo us aalishan ghar ke bheetar dakhil hua

Aalishan kothi thi waha sab cheezein keemati thi khidkiya aur darwajo mein faraq nahi samjha jaa raha tha itni badi, aalishan jhumar bare se hall mein laga tha daayi taraf living area aur baayi taraf kayi bare kamre they...bahar ki tej dhoop pure sangmarmar jaise Ghar ko roshan kar rahi thi Arif upar jaati lambi sidiya chadhta hua us aadmi ke sath ek darwaje ke paas aaya jo teesri manzil pe tha waha agal bagal bhi kayi kamro ke darwaje they... Samne ka darwaja khula aur anika saamne aayi wohi meethi muskurahat liye Arif bahut zyada sharam mehsus kar raha tha kyunki wo aadmi ab bhi uske sath tha aur anika oose pichli raat ki tarah Bina jhijhake nazaro se saik rahi thi,

Usne ek udti nigaah us aadmi ko dekha jo uska sar jhukaaye abhivadan kiye tej kadamo se niche ruksat ho gaya Arif uske jaate hi anika ko dekhne laga anika ne ooska haath thaama aur oose kheechke apne kamre mein le gayi darwaja andar aate hi usne bina piche mudkar dekhe hi band kar diya

Din Kab andhere mein dhal gaya pata nahi chala? Arif apne kapre pehen raha tha wo bahut zyada thakawat mehsus kar raha tha anika chadar apne jism par odhey laite laite hi oose kapre pehente huye dekh rahi thi Arif jaane laga toh anika ne oose toka

"Apna nazraana nahi le jaoge".....,kehte huye anika ne daraaz se kuch noto ko uchaalte huye uski taraf kaha

Arif ne wo paise na chahte huye bhi bistar se ikhatta karke utha liye aur unhein apne jeb ke hawale karne laga

"Raat ko fhir aana abhi mujhe kuch kaam se bahar jaana pad raha hai warna jaane nahi deti"

Na chahte huye bhi Arif uska shukariyada karke jaane hi laga tha ki anika ke kehne se wo fhir tehra...usne mudkar anika ki taraf dekha..."ye pesha chodh do first time kiya tha na ab permanent mere paas hi aana kisi aur ke paas mat jaana"

Arif uljhan mein fass gaya fhir usne himmat jutaayi aur kaha "maine Joseph ko dobara contact nahi kiya oosi ne mujhe is dhandhe mein lagaya tha agar wo dobara call kare!"

"Toh keh dena ki Shah ne mana kar diya hai aage se tumhe call na kare uski zurrat nahi hogi"

Arif samajh nahi paa raha tha wo toh khud is zaleel peshe ko chodh dena chahta tha lekin ye kis firaaq mein anika thi? Kya us aurat ko Arif se koi khaas dilchaspi ho gayi thi par kyu? Wo ek gareeb aur is zaleel peshe ka hissa tha...tabhi uske zehan mein ek hi baat ghuma anika oose apna jismani gulaam banana chahti thi jise badnaam shabd mein rakhail kaha jata tha

"Samjh gaye na?"

"Haan"....Arif ne sihamte huye kaha

"Idhar aao".....Arif na chahte huye bhi sihamkar uske kareeb aaya toh anika ne oose kheechke bistar pe gira diya aur uske hontho ko zabardasti kiss karne lagi

Aisa laga jaise uske honth kaant khaayegi wo uske chehre ko chaantkar hassne lagi...Arif bhauklaake sihame uth khada hua koi aurat aisi kaise ho sakti thi?

Arif waha aur nahi tehra aur nikal gaya piche anika ko tahaka lagaye hasste huye chodhkar jiski hassi pure fizaao mein kisi shaitan ki tarah gunz rahi thi..

Pure raaste gaadi mein wo apne hontho ko sehla raha tha oose pata nahi chala honth kab katke waha se khoon aane laga tha..Arif bahut zyada sharmindagi aur darr mehsus kar raha tha ye kya uljhan mein wo jaanbhujhkar fass gaya tha? Ghar aake usne ragadragad kar nahaya uske pure badan pe tees uth rahi thi kharocho ki gehre daanton ke nishano ki jo anika ne oose humbistar par diye they,

Oose ek pal ke liye apne iktarfa pyar ka khyaal aaya jiski sirf surat usne dekhi thi usne socha nahi tha ki kismat kya karwat legi? Zindagibhar kunwara rehne ki kasam khayi thi lekin apni fann ke khaatir oose humbistar hona pada paiso ke khatir mazbur ki ek wehshi jaanwar aurat ke changul mein wo fass gaya tha usne ek baar dalaal joseph se milna chaha oosi ne oose rangeen sapne aur paiso ka lalach deke fasaaya tha par wo kar bhi kya leta? Wo kya us aurat se kam bura tha jabki anika ne saaf mana kar diya tha oose ki aaj ke baad wo ye pesha nahi pakdega,

Arif khayalo mein duba pure din Ghar mein gumsum baitha raha tha kasrat karne ki bhi jaise oose taqat nahi huyi kahi dil nahi laga paa raha tha woh raat dhalne lagi aur tabhi ek phone aaya Arif siham gaya wo anika ka call tha usne phone uthaya anika ne oose dobara talab kiya tha apne paas bulaaya tha,

Arif samajh nahi paa raha tha ki wo kaise is janjaal se nikle din pe din anika uspe haavi hoti jaa rahi thi, uska fayeda utha rahi thi apne jinsi hawas ko pura karne ke liye...dheere dheere din guzarne lage ab toh ye roz ka khel jaisa ban gaya tha anika ke paas jaana aur oose na inkaar karna

Arif samajh chuka tha wo anika ki rakhail ke taur pe zindagi jee raha tha uska ghulaam ban chuka tha uske ishaare pe chalne laga tha....har roz uske sath zyadti hoti thi na chahke bhi oose anika ke sath Sona padta tha aur wapsi mein anika uske nange badan pe Paisa bikherti jaise usne oose kharid liya tha, Arif ki haisiyat kitni badtar ho chuki thi iska andaza aap lagaa sakte hai, ek baar khud ko uske jagah mein sochkar dekhiye,

Arif ne itne waqt jo anika ke sath guzaare usmein usne anika ki zyadti zindagi ke kayi panno ko padh liya tha bahut kuch jaan chuka tha wo ek rayiz magrur aur sheher ke rasukh ki beti thi widhwa thi pati ko gayab huye arsa ho gaya tha sex ki maari ek nymphomaniac thi uska baap kabhi hi ghar pe hota tha oose anika ke zyadti zindagi se koi matlab nahi tha...wo log khatarnak they parinda bhi unke ghar pe par nahi maar sakta tha....anika apne father ka business sambhaalti thi aur gundo ko bhi paalti thi hamesha Arif ne chori chupke unke meeting room mein kayi ucche galat hastiyo ko dekha bhi tha police jaise unke jeb mein thi, ek raat toh usne ek aadmi ko khun se lathpath uske aadmiyo ke haatho ghasitte huye kothi mein le jaate dekha gaya anika se bahut himmat karke jab usne pucha tha toh usne ooske chehre pe pyaar se chapaat maarte huye kaha

"Aas paas dhyaan nahi dete diwaro ke bhi kaan hote hai jo dekh rahe ho uspar aankhe mund jao jo sun rahe ho oose bhul jao this is none of ur business"

Us waqt se Arif bahut darr Gaya tha aur darr dugna tab hua jab usne agle din tv pe oosi aadmi ki laash buri haalat mein sheher se dur padi paayi ki khabar dekhi khabarein aayi gayi hogayi uski dehshat badhne lagi kal ko agar oosse koi galti ho jaye toh kya oose bhi maar diya jayega?

Kuch din toh Arif ne koshish ki nijaat paane ki lekin anika se dur jaana maut ko daawat dene jaisa tha...isi haalato ke beech Arif tanhaai aur kuch pal sukun ke khatir ek club  jaane laga tha jaha wo beer peeke apne gam ko aansuyo mein piroke kuch pal bhul jata tha oosi dauran adh nagn halat mein ek stripdancer oose hamesha pole pe dance karti huyi dikhti thi us jaisi waha kayi khubsurat ladkiya wohi kaam karti thi,

Aadmi unke upar note faikte they aur kareeb hi baithkar unke naach ka jism ka lutf uthaate they par us strip dancer mein bas itni Kami thi ki kabhi usne apne badan ko unke aage bilkul nanga hi nahi kar diya tha, wo kabhi aur ladkiyo ki tarah customer ke paas chali nahi jaya karti thi kaisi zindagi thi? kaisi mazburi aur ek mazbur wo bhi tha oose us stripdancer ke numaish aur bedhange naach se zyada ooske nigaho mein chupe dard aur mazburi se hamdardi hoti thi,

Wo ladki bhi aksar Arif ko dekhti thi jo baakiyo ki tarah uski naach ka lutf nahi uthata tha aur oose nam nigaho se ektak dekha karta tha par kabhi uske paas nahi aata tha,

Us raat bhi Arif gam mein duba us baat se rahat mehsus kar raha tha ki aaj raat anika ne oose bulaya nahi tha achanak apne khayalo se wo bahar aaya jab us ladki ko usne apne kareeb khada paaya wo uska dhyan tode kahi,

"Abhi tak yahi ho?"

Arif ne ghadi dekhi waqayi waqt ka andaza nahi laga tha...."tum hamesha mujhe yun baithe niharte rehte ho kabhi paas nahi aate kya baat hai kyu yun gam mein dube rehte ho?"

"Kyunki mujhe tumse hamdardi hoti hai"

"Kyu? Mujhpe kaun sitam kar raha hai?"

"Mazburi pesha aur paiso ki tangi haalaat warna kya tum Aisa kaam bhala karti?"

Us ladki ko jhatka sa laga waqayi aajtak kisi ne dil ki gehrayi aur zazbat se uske liye yun kabhi nahi kaha tha hamesha mardo ne oose bhooki nigaho se hi dekha tha wo pehlu badale kuch dair chup rahi aur ektak Arif ko ghurrne lagi Arif bhi uske jawab mein baitha tha

"Tum pehle insan ho jiski aankho mein mere liye izzat aur hamdardi hai tum ache ghar se lagte ho kya karte ho?"

"Nahi bata sakta bataane layak nahi"

"Aisa kyu keh rahe ho?"

"Bas yu hi"

"Jab mere liye itna socha toh mujhe bhi apna gam bataa sakte ho aksar tumhe gumsum dekhti hoo aisa lagta hai yaha mazburi kheech laati hai tumhe agar nahi batana chahte mujh anjaan ladki ko toh main fhir dobara tumhe nahi tokungi"

"Suno aisi baat nahi hai pehle baitho"

"Yaha nahi bahar yaha main baithti nahi hoo aur waise bhi mujhe ghar jaana hai raste mein baat karte hai"

"Main taxi book karta hu"

"Arre nahi nahi"

"Pls let me do safar bhi Kant jayega aur aap ghar bhi pahuch jayegi aur maine apne ghar"

Kuch dair baad wo dono ek taxi mein sawar huye haalaki Arif ka ghar paas mein tha lekin wo us ladki ke sath kuch waqt bitana chahta tha baaton baaton mein malum hua ki uska koi nai tha ek phupa ji they jinhone kuch paiso ke khaatir oose bech diya tha waha se bachkar kaam na milane aur badnaami se usne pole dancer ki naukri pakad li thi,

Oose bahut kuch sehna pada tha bure logo ki niyat aur gandi baatein toh izzat daar aur Sharif kehne waale logo se bezzati aur taane....usne fhir Arif se uske baarein mein pucha Arif ne kehna shuru kiya toh tab hi jaake thama jab uski aapbeeti puri huyi

Wo kab taxi se uske ghar ke bahar uske sang chalte chalte pahucha oose aur us ladki ko khabar tak nahi thi...is darmiyaan us ladki ke dil mein Arif ke liye bahut jagah ban chuki thi saath mein oose bhi hamdardi  huyi aisa laga jaise ek hi kashti ke wo dono sawaar they,

"Chalo main chalta hu rat bahut ho chuki tum khamokah mere liye itni raat gaye bahar ho"

"Mujhe koi faraq nahi padta khair fhir kab miloge?"

Arif ko ahesas hua ki wo ladki usmein apnapan dhundhne lagi thi Arif ko bhi pehli dafa kisi se saccha apnapan laga tha....."jabtum kaho"

"Kal shaam"

Pehle Arif ne mann banaya fhir zehan mein anika ka aks ubhara toh dehshat se arif ghabraya fhir usne kaha "main dekhta hun waise tumhara number?"

"Main samajhti hoo oosi ka khauff hai na darro nahi sab theek ho jayega".....kehte kehte usne apna number diya jise Arif ne note kiya

Wo jaane lagi toh Arif ne toka "arre tumne naam nahi bataya?"

"Eshrat".....usne jaate kadam rokte huye piche mudke arif se muskurake kaha

"Arif"....Arif ne bhi muskurake naam bataya

Dono ki nazarein ekdusre se alag huyi aur wo apne apne raaste jaane lage...is beech ek kaali gaadi jo unse kayi fasle dur khadi thi uska sheesha chadha aur wo waha se fhir ruksat ho gayi wo dono bekhabar anjan they ki koi unka kayi waqt se picha kar raha tha aur unki har harqat pe nazar rakhkhe huye tha kisi firaaq mein!
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: February 15, 2023, 11:09:43 AM »
Dopahar ka waqt tha aur us aalishan office numa building ke 7 manzile pe ek hall mein business meeting chal rahi thi...jaha sheher ka jaana maana rasukh businessman aur kanoon ke nigaho mein aaya Shah Alam apni beti anika ke saath Baitha waha mauzud apne kuch senior employees aur kuch foreign buyer ke saath kisi important dealing pe discuss kar raha tha,

Sab Shah Alam ki taraf mureed bane unki baat sunte huye beech beech mein sar upar niche hila rahe they, anika ki tawajjoh bhi us waqt gambhirta se apne baap ki baaton mein malin thi,

Meeting khatam huyi sabhi employees Shah Alam se izazat leke hall se bahar chale gaye baaki tab bhi Shah Alam apni beti ke sath baithe huye tha aur wo foreign clients ke do log bhi ab bhi Shah Alam ke kareeb saamne baithe hi huye they,

Sabke chale jaane ke baad Shah Alam ke bodyguard ne darwaja badastur band kar diya, Shah Alam thoda gambhir hua fhir usne apne clients se asli baat kehna shuru kiya,

"Ye business meeting toh upari dikhaawa karna padta hai ab aap log asli mudde pe aaiye"

"Dekhiye mr.shah hamare nation mein intelligence bureau saqti karne lagi hai aur unhe kuch businessman pe shaq hone laga hai jaise ki hum"

Dusre angrez ne pehle waale ke khamosh hote hi fhir khud kehna shuru kiya Shah Alam chupchaap sune jaa raha tha,

"Isliye wo sabut dhundh rahe hai aur humhe hint mila hai ki apke desh mein sarkaar khaaskarke aapke is sheher mein aisi gatividhiyo ko leke kuch sazish kar rahi hai kahin agar unhe malum chal gaya hai ki nashili dawaai aapke yaha se hamare desh ke bandargah pahuchti hai toh fauran humpe karyawaahi hoke rahegi"

"Shaant rahiye mister aisa kuch nahi hone wala ye sheher hamara hai kisi ki himmat nahi jo humare khilaaf ungli uthaaye ya sazish kare humare giroh ke har aadmi imaandar hai aur kuch police mehekme mein bhi hamare log shaamil hai jo kaam hamare liye hi karte hai aaj bandargaah se ek khep container jahaz se aapke samundri port ke liye rawana ho jayega aap fikar mat kijiye koi pagal hi hoga jo hamare khilaaf munh kholega"

Dono angrez jaise muskurake nischint hone lage Shah Alam ne uthke meeting khatam ki unse haath milaaya aur apne aadmi ko unhein hotel tak chodhne ka hukam diya wo dono waha se jab chale gaye toh Shah Alam ne ek cigar sulgaayi aur kursi pe pasar gaya,

"Daddy kya waqayi hamare khilaaf sarkar kuch sazish kar rahi hai?"....anika ne fikarmand hokar sawal kiya

"Sarkar ko sabut chahiye jo sabut hoga hi nahi toh kya ukhaadh legi pichle kayi saalo se hamari taqat aise pukhta nahi huyi fikar un sarkari mehekme waalo ko karni hogi jo hamare khilaaf kisi ko assign kar rahe hai samundra mein jab tairti laash khud ke mehekme waalo ki milegi toh khud hi sharminda honge jante nahi jaal machli ko pakadne lagaya jaata hai magarmach ko nahi"

Anika muskurayi oose apne baap ki taqat pe koi shaq nahi tha....achanak Shah Alam ka phone baj utha Shah Alam phone ke hawale kuch dair ho gaya fhir usne phone cut Kiya aur gambhir hoke anika ki taraf dekha

"Usman ka phone tha aaj raat ko ek aur dealer sheher aaya hai Iran se kuch hathyar ki dealing karne mujhe jaana hoga"

"Par aap kyu Usman hai na? Wo dekh lega aapko aise yun apne club jaane ki kya zarurat?"

"Wo khaas mehmaan hai anika aur bahut hi purana waqifkar mujhse Bina mile wo dealing karega bhi nahi waise bhi aajkal sheher mein hamari kam jasoosi nahi ho rahi main nahi chahta wo kisi ke nazar mein aaye aur rajnatik mamla khada ho waise bhi agle election mein mujhe har haal mein mayor banna hai"

"Beshaq".....anika ne jaise muskurake Khushi jaahir ki

 Meeting hall se dono baap beti bahar nikal gaye unke kuch dair baad chori chupe anika ki secretary andar pahuchi aisa lag raha tha jaise waha wo kuch dhundh rahi thi usne lambe table ka mor kaanta aur beech ki kursi jaha shah Alam baitha tha uspe rakhke phooldan se ek chota sa camera nikaal liya usmein microphone chota sa laga hua tha jo phoolon ke gucche mein kisi ko nazar nahi aaya tha, wo ek pukhta sabut tha uske chehre pe santushti ke bhaav aaye aur wo ulte kadam darwaja thele meeting hall se bahar nikali,

Usne pehle socha ki apne room jaake ek baar laptop pe us camere recorded video ko nikaal le aur oose fauran apne officer ko bhej de uska naam Jasmine tha aur wo kuch saal se anika ki secretary ki naukri kar rahi thi is bat se harkoi bekhabar tha ki secretary ke aad mein wo Shah Alam aur anika pe nazar banaye huye thi aur zaher ki khabri thi bahut aehem sabut uske haath itne waqt baad pehli dafa aaya tha jisme wo kamyab huyi thi kisi ko shaq na ho wo apne office room pahuchi,

Jaldi jaldi kursi sambhaale baithkar usb cable ko usne us nanhe cam recorder se joda aur oose fhir laptop ke socket mein joda ek file open hi hua tha screen pe ki tabhi uska phone baj utha jasmine hadbadake kaanp uthi usne phone uthaya aur ghabrahat pe kaabu paate huye hello kaha

"Mere office mein aao? Ek zaruri kaam se tumhein field pe jaana hai"

"Yes mam".....kismat ko koste huye hadbadaate huye chauknna hokr jasmine ne wo cam recorder nikaala aur oose apne jeb mein rakha aur waha se bahar nikal gayi

Uske jaate hi anika ka ek aadmi uske room mein aaya usne aas paas uske daraaz aur sabtaraf jhaanka aur laptop pe lage usb cable ko dekha fhir laptop on kiya fhir usne laptop aur usb cable dono pe ek chemical daal diya jisse laptop aur cable buri tarah dhua dhua ho gaye,

Udhar jab savdhani se jasmine anika ke saamne aayi toh anika ne uspe ek udti nigah daali fhir apne laptop mein vyast ho gayi andar hi andar jasmine ko Darr bhi tha uski jeb mein ab bhi wo cam recorder tha jo uske aur uske abba ke khilaaf ek khatarnak sabut  isse bekhabar anika typing karte huye oose baithne kehti hai,

Jasmine baithte huye chup rehti hai...."aapne bataya nahi mam ki kahan jaana hai?".......jasmine ne hadbadaye huye meethi lavzo mein kaha

"I am very glad with ur work performance isliye maine socha tumhe surprise du darasal main tumhe ab chutti de rahi hoo taaki tumhe zimmedaariyo se nijaat mile isn't that great?"

Jasmine kuch samajh nahi paayi anika ne oose sawaalo mein ghere paaya fhir muskurayi tabhi uska ek aadmi andar aaya aur aate hi usne darwaja lock kar diya jasmine ne dhyaan nahi diya tha wo jasmine ke kursi ke piche kuch faasle khada tha,

Anika khadi hoke tehelte huye muskuraye jasmine ke kareeb aayi....usne ek baar jhukke jasmine ke chehre ko bade gaur se dekha jasmine usse jaise nazare nahi mila paayi

"Tum mujhe kitna jaanti ho jasmine agar tum mujhe janti toh tumhe malum hota ki main nazare padh leti hoo malum hai kaise aise"

Anika ne laptop uski taraf palta jiske cctv footage mein jasmine chori chupe business meeting ke baad waha pahuchi aur table ke phooldaan se ek cheez nikaali...jasmine ki aankhe phati padi reh gayi fhir uske hadbadate apne office mein aana laptop pe us cam recorder ko lagana sabkuch dikh raha tha,

"Mujhse koi Bach nahi sakta jasmine ab sidhe sidhe wo karo jismein bhalaai hoti hai main tumse koi wajah nahi puchungi"

Jasmine ko kaanto toh khoon nahi Aisa haal tha wo ek pal ke liye rone lagi aur anika ke pair pe girke maanfi maange lagi...anika ko jaise koi faraq nahi pad raha tha wo ubaasi lete huye sheeshe se bahar khubsurat sheher ko nihaar rahi thi,

Jasmine ne billakhte rote apni jeb se wo cam recorder anika ko saunp di...."bas yahi ek cheez hai jo mere paas hai par maa kasam maine kabhi aap logo ke khilaaf koi sabut ikkhata nahi kiya ye sab maine zaher afsar ke kehne pe kiya tha usne mujhpe dabav diya tha warna main aap logo ke khilaaf kuch nahi karne waali thi jo bhi kiya mazburi mein"

"Pata hai jasmine i m happy ki tumne saari sacchai khud hi ugal di warna khaamokhah mujhe apne haath tumhare gande khoon se rangne padte chalo koi nahi tumhari aakhri galti ko maine maanf kiya ab tum sabhi zimmedaariyo se Azad ho kisi ka dabav nahi tumpar"

Eka ek anika ki aankhe hinsak ho uthi aur usne sard lavzo mein kehte huye apne aadmi ki taraf ghura aur ek shaitani muskurahat di....wo ishara kafi tha uske baad patte ki tarah zameen pe giri kaanpti jasmine ke munh ko usne piche se kasskar dabocha aur ooske baad jaise koi injection uske gardan mein ghonp di,

                     --------------

Zaher ne baar baar jasmine ko phone lagaya lekin usne phone nahi uthaya tha is baat se wo pareshaan haal apne kamre mein chehel kadmi kar raha tha uska har plan fail hota raha tha aur oose darr tha ki kahi uske babat Shah Alam ko koi khabar na ho jaaye ki wo unke khilaaf jasoosi kar raha tha jasmine uski khabri thi jise bade hi mushkil se usne hire Kiya tha lekin ab eka ek jasmine ka phone band ho jane se oose darr sataya wo sidha uske baarein mein puchtach karne jaata toh fass sakta tha Shah Alam ki nazaro mein aa sakta tha,

Achanak uska phone baj utha ye call uske dusri khabri ka tha jo kayi din baad oose call back kar raha tha usne phone kaan mein lagaya "Haan kaho accha Iran se theek hai us dealer aur Usman aur Shah Alam ke mauzudgi ka video record karne ki koshish karna tum uske club ke daily customer ho kisi ko shaq nahi hoga fauran mujhe WhatsApp kar dena kisi ki nazaro mein mat aana okay"

Zaher ko jaise fhir umeed jaagne lagi wo bas yahi chahta tha ki kisi tarah koi aehem sabut uske hath lag jaaye taaki fhir wo apna daanv chala sake,

Udhar is baat se zaher bekhabar tha ki jasmine ko nashe ki haalat mein beshud ghasitte huye anika ke aadmi ek pool ke paas le aaye they..uska chehra lahuluhaan tha aur baaya hath tuta hua tha wo sisak rahi thi.....aadmiyo ne uspe apna akrosh badastur nikaala tha kuch hi dair mein uske phate kapro ko kheechte huye ooske nange jism ko saamne paani ke pool mein faikh diya gaya us pool mein ek magarmach tairte huye uske kareeb aane laga...ek aadmi usi waqt anika ko video call lagata hai anika video call mein aati hai wo apne kamre mein baithi jaam Peete huye jaise us haulnaak nazaare ka lutf utha rahi thi aage byaan karna mushkil tha,

                            



Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: February 15, 2023, 11:13:27 AM »
Udhar Arif aur eshrat ekdusre ke sath waqt bitaane lage they haalaki dair raat hi wo ekdusre se mulaqat kar paate they, is beech Arif ne oose apni zindagi ke baarein mein bhi bahut kuch aur bataya tha ki kaise wo ektarfa pyar mein pada tha aur aajtak oose bhul nahi paaya tha halaki oosse kabhi uski na mulaqat huyi thi na kabhi oose rubaru dekha tha wo dur ki dekhi mohabbat thi jiske tasveer se Arif ko pyar hua tha lekin kabhi na mil saki bas itna hi Jaan saka tha ki wo ab shadishuda thi....eshrat ko dukh hua aur usne Arif ko samjhaaya idhar Arif aur uski dosti gehri hoti jaa rahi thi ek raat pier ke paas tehelte huye eshrat ne pucha

"Arif kya tumhein anika jaisi aurat se khauff nahi lagta? Kya tum usse dur nahi hona chahte? Aisa yun kabtak tum uske gulaam bane rahoge? Tumhari apni bhi to zindagi hai"

Arif ne khaamoshi se eshrat ki baat tehelte huye gumsum suni aur uske baad maayusi se kaha

"Main kayi koshishe karke thak chuka hoo eshrat lekin is sheher ko chodhkar jau bhi to jau kahan? Ek toh maali halat meri sahi nahi hai upar se anika ke sahare ke wajah se hi abtak khamosh hu"

"Par Arif ek baar sochkar dekho tumhari khud ke imaan ka kya? Kabtak yun oose khud pe zulam karne dete rahoge? Kal ke baare mein socho main aisi aurato ko jaanti hoo ek baar jee bhar gaya tumse toh fhir tumhe doodh mein se Baal ki tarah nikaal faikegi"

"Mujhmein itni himmat nahi ki main uske khilaf koi kadam uthau aisa karna khudkhushi jaisa hoga eshrat"

"Main bhi is sheher ke diye zakhmo ko bhulana chahti hoo Arif mujhe bhi acha nahi lagta ki main yun numaish Karu logo se zaleel hu aur tum jante ho jis tarah wo log mujhe zabran chute hai mujhe khud se aur apne badkismati se aur nafrat hone lagti hai"

Arif khamosh raha uske paas eshrat ke liye koi jawab nahi tha..."lekin main iska koi na koi hal zarur nikalungi main yun ghuntte nahi reh sakti"

"Kya karogi tum?"

"Yaha se hamesha hamesha ke liye chali jaungi kahi dur ek naye sirhe se zindagi shuru karungi aur main chahti hoo tum usme Mera saath do kya tum bhi is daldal se nikalna nahi chahte"

Arif kuch samajh nahi paaya eshrat ne uske kandhe pe haath rakha aur kaha "mere saath bhaag chalo"

"Aise kaise? Agar anika ko!"

"Oose pata lagne se pehle hum dono kayi dur Jaa chuke honge meri gurantee wo hum tak nahi pahuchegi"

"Par iska bandobas kaun karega? Kaun hamara sath dega aur dhairo paisa bhi to chaiye"

"Hai koi bas mujhe waqt do"

"Eshrat tumhe hamari dosti ka vaasta tum koi galat kadam nahi uthaogi kisi ke badniyati ka?"....eshrat ne Arif ke hontho pe haath rakha

"Kuch nahi hoga aisa main Vada karti hoo bas mujhe waqt do".....Arif kuch samajh nahi paaya tha kaun tha wo jispe eshrat ko bharosa tha jo unhe bhaag jaane mein madad kar sakta tha eshrat Arif ke gale lag gayi zazbat umad gaye

Ek safed gaadi unse kayi gaz dur khadi thi wo aadmi har harqat ko note kar raha tha jo driving seat pe cigrate ka kassh kheench raha tha usne ek phone lagaya...kahi ring baj rahi thi kuch hi dair mein anika ki awaz

"Mere saamne hai ek ladki ke sath kuch din se iske sath hi dair raat ghumta fhirta hai kabhi club se dono ikkhate nikalte hai ladki koi pole dancer hai ek naami club mein jaha aksar aapka Banda jata hai wohi mulaqat hoti hai dono ke beech boliye aage kya karna hai?"

Anika apne aalishan ghar ke sofey pe laiti sab baat sunti jaa rahi thi usne sidha baithkar apne aadmi ko unki kuch tasveer kheechke bhejne kaha aur oose waha se ruksat hone keh diya phone cut hua aur anika ke WhatsApp mein kuch hi pal un dono ki tasveerein thi ekdusre ke gale lagkar roti huyi,

"Dhandha chodha toh mohabbat karne lage hai hamare sanam, galti kar baithe Ishq lagake".....anika tahaka lagaake hassne lagi pagalo ki tarah

                          --------------

NightClub ke saamne wo gaadi aake ruki turant club ke bouncer ne aage aake gadi ka pichla darwaja khola pehle Shah Alam apne chashme theek kiye aur cigar ka kassh lete huye bahar nikla fhir uske piche Usman wo dono club mein dakhil huye ek taraf cigarette sulga raha wo zaher ka khabri jo pichle kayi waqt se Shah Alam ka picha kar raha tha waha mauzud tha Shah Alam aur Usman bheedh shorgul ke kinaare se bar se guzarte huye bheetari room ki taraf chale gaye, sabhi staff unhein dekhte hi jaise salaam kar raha tha manager bhaagta bhaagta unke piche chala gaya,

Ye nightclub unhi ki milkiyat mein se ek thi andar Iran se aaya hathyaaro ka malik Sheikh Shah Alam se salaam karke gale mila wo dono aamne saamne baithe, drink serve Karte waitero ko waha se bhaga diya gaya....wo khabri waha pahucha toh usne kuch aadmiyo ko wohi khada paaya udhar kisi ko fhatakne nahi diya jaa raha tha darwaja laga hua tha...khabri toilet ki taraf badha apna jacket utaare aur pant utaare wo waiter ki dress mein aa gaya....wapis dono ke kareeb aaya,

"Sahab Usman bhai ko sharaab mangta hai manager ne bataya andar jaane ka hai"

"Par abhi toh drink serve hua"

"Usman bhai se jaake puch lo fhir manager se pucho meri naukri chali jayegi agar dairi se pahucha"...waiter ne jaise minnat karte huye kaha

Bouncer ne darwaja khol diya khabri andar dakhil hua usne andhere ki aad mein furati se chupkar waha baithe logo ko dekha har koi bekhabar tha har koi Shah Alam aur Sheikh ki baaton mein mashgool tha....Usman adab se Shah Alam ke paas khada tha khabri ne furati se ek ke baad ek tasveer chori chupe kheechi table pe rakhe hathyar aur paiso ka bhara khula suitcase Shah Alam aur Sheikh ka hath milaana sharab peena sab kuch saaf saaf tasveero mein dikh raha tha achanak flashing ki awaz kisi ke kaano mein padi kisi ki gardan andhere mein khade us saaye pe padi manager chillaya kaun hai waha?

Surat pe nazar padte hi khabri buri tarah waha se bhaaga usne darwaja thela aur lagbhag waha se bahar bhaagte huye bouncer ko lagbhag dhakka dete huye club ke bar se guzara logo ko dhakka dete girte padte wo club se bahar nikal gaya,

"Kya ho raha hai ye sab?"......Shah Alam ne dahada Usman bhi hadbadaya gun nikaale apne aadmiyo ke saath bahar ki or bhaaga Shah Alam jaise saanp ki tarah fhunkaar raha tha

Club se aadmiyo ki ek tukdi hathyar band bahar nikli logo ki aavajahi us waqt Kam thi Usman bhi unke beech mauzud tha usne us khabri ko dur bhaagte paaya wo kisi gaadi mein baitha aur gaadi chalane laga

"Pakado oose zinda ya murda isse pehle wo bhaag nikle"

Gunde daude Usman bhi bhaagte huye goliya chala baitha khabri buri tarah darr gaya usne gaadi ghumaayi daayi or ki sadak pe daali dusri taraf goliya tej chalne lagi wo bachte bachaate kuch hi pal aage badha tha ki Usman ki goli uske tyre pe lagi gaadi sadak pe beqabu hokar dusri aati gaadi se jaa takrayi bahut kasske khabri ko chot aayi wo ekpal ko dum saade baitha raha,

Achanak goliya gaadi pe chalti oose mehsus huyi ek sshesha picha ka tuta...bhaukhlaaye ghayal khabri gaadi ke saamne goli lage sheeshe ko laat maare bahar nikla aur sidha sadak pe bhaagne laga....goliya uske aazu baazu se nikal rahi thi khabri seena dabaye ek taraf dhalaan se niche kud pada dard se uski karha nikal gayi wo langdata ghayal ek pull ke niche pahucha fhir usne zaher ko call lagaya "kahan hai aap? Meri jaan khatre mein hai mujhe bacha lijiye"

Zaher gaadi drive karta hua club ke paas pahucha phone uska kaan mein laga hua tha waha club mein bheedh ka mahoul tha har koi gupchup baat kar raha tha tabhi usne dandanaate Shah Alam ko apni gaadi mein baithte huye paaya saath mein wo Iran se aaya hathyaro ka taskari ka malik bhi mauzud tha zaher ne gaadi thoda aage badhaayi club jaise band ho raha tha aur sab waha se bhaag rahe they samajh chuka tha ki kahi kuch hua tha? Ek se oose khabar sunne ko mili ki manager ko kisi ne goli maarke waha se faraar hua tha...zaher ne gaadi tej raftar se sidha sadak ki or mor di ek baar bagal se guzarte Shah Alam ki gaadi ko usne waha se ruksat hote paaya,

"Hello hello?"

"H..Han sahab main yaha bridge ke niche hoo jaldi mujhe pick up kijiye wo gunde mujhe talash kar rahe hai main marr jaunga sahab"

"Kuch nahi hoga main pahuch Raha hoo".....andar hi andar zaher ka dil kaanp raha tha police ki madad wo le nahi skta tha police ke hatthe chadhte hi khabri gayab hota

Zaher ne dayi taraf goli chalte suni usne gaadi ka rukh bridge ke dusre taraf modh diya....khabri achanak sambhala goli diwaar mein aake ched kar chuki thi kisi aadmi ne oose dekh liya tha khabri bhaaga phone kaan mein lagaye raha

"Sahab sahab unhone mujhe dekh liya sahab ek bari information hath aayi hai maine kuch tasveere kheechi hai"

"Fauran mujhe bhejne ki koshish karo"

"Nahi sahab wo log mere piche hai goli chala rahe hai"

"Maine tumhe dekh liya hai dhalaan se upar pahucho"

Khabri ne daudte haafte bridge ke dusre sirhe pe ek kaali gaadi khadi dekhi wo dhalaan ki taraf pahucha....zaher bahar apni gun liye nikla ki tabhi firing huyi kisi ne oose bhi dekh liya tha zaher ne saaf pehchaana dur se aate Usman aur uske aadmiyo ko

"Wo saala bhaag Raha hai goli maaro us taraf wo aadmi bhi Bach ke jaane na paaye shoot"

Zaher ke sar se goli guzari toh zaher kaanpte huye niche jhuk gaya fhir usne furati se goli chalai goli ka asar hua Usman ke aadmi bridge ke aas paas bikhar gaye aur jagah jagah se goli chalane lage Usman ne fayda uthaaya aur dhalaan pe chadhte khabri ke khopdi ko goli se nishaana lagaya uski dekha dekhi sabne tabadtod goli chala di ek haulnaak cheekh khabri ki gunzi aur wo peeth ke bal dhalan par girta ludakta niche wapis aa gaya zaher ne goli tab bhi badastur chalaye rakhi Usman bacha lekin ek aadmi zaher ki goli ka shikar ho gaya par achank dusri goli zaher ke baazu pe lagte huye guzari zaher Dard seh na paaya lekin wo sambhala khoon behte baazu ko thaame wo ulte pao gaadi mein lauta gaadi ignition mein thi usne turant sadak pe dauda di wo uska aakhri daanv tha jo fail ho chuka tha waha rukta to wo bhi bemaut maara jaata,

Zaher ke faraar hote hi usman ne khabri ki jism pe ek thokhar maari aur muana kiya wo marr chuka tha goli sidha khopdi se nikal gayi thi aankhe patharayi huyi khuli ki khuli reh gayi thi...Usman dhalaan pe chadhke upar aaya wo kali gaadi kayi mil dur nikal chuki thi usman uski Surat dekh nahi paya tha usne ek bharpur laat zameen pe naakam hone se maari!
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: February 15, 2023, 11:15:39 AM »
Abhi Usman haafta hua apni nakamyabi ko kos raha tha ki dhalan par chadhta hua uska dal waha pahucha ek aadmi ne bataya ki unka sirf ek aadmi hi Muthbhair mein maara gaya Usman dheere dheere dhalaan se niche utara fhir usne apne aadmi ki laash paas mein padi dekhi fhir usne us khabri ki laash ka muana kiya jo dhalaan ke kareeb pada tha,

"Talashi mein ye phone mila camera on tha saale ne kuch tasveere kheechi hai aur saari tasveerein apne boss ki kuch waqt pehle club ki Sheikh se mulaqat ki hai"

Usman ne uske haath se phone pe un tasveero ko dekha aur fhir contacts pe gaya wo janna chahta tha ye khabri kiske liye kaam kar raha tha ek naam oose dikha zaher Bhai Usman ne us number pe call lagaya phone bajta raha par koi uthaya nahi,

"Ye number pata karo kiska hai? Aakhri baar kahan location dikhaaya aur is kutte ki laash ke tukde kar samundra mein faik aao aur apne aadmi ko bhi uthaao aur uske gharwalo ko pahuchao"

Usman mannn hi mann soch raha tha ki agar wo kuch waqt pehle dhalaan pe pahuch jata toh Kam se kam us kaale rang ki gaadi ka number note kar sakta tha wo fhir waha se apne aadmiyo ke saath Shah Alam ke kothi rawana ho gaya,

                           ----------

Zaher gaadi ko ek garage mein park karta hai....fhir apne khoon behte baazu ko thaame ek kamre mein dakhil hota hai...batti jalti hai aur wo apne zakhmi hisse ka muana karta hai is waqt aspatal jaana khatre se khaali nahi tha agar Zara si bhanak lag jaaye ki ek aadmi goli lagne ke karan ghayal hoke hospital mein admit tha toh Shah Alam ke aadmi ko us tak pahuch jaana sirf waqt ki baat reh jaati....zaher ne fauran sim nikaala phone ek or faikha fhir lighter on kiya aur oose jala diya, usne raaste mein hi phone switch off kar diya tha...

Wo fhir apne zakhm ke taraf tawajjoh deta hai goli chuke nikli thi isliye sirf maans halka phata tha, zaher ne first aid box nikaala aur apni marham patti khud hi karne laga apne ghaav ko ponchte huye uspe Dettol lagate hi jaise zaher daant bheeche dard se sisak utha ye aakhri koshish bhi naakam thi khabri maara jaa chuka tha aur unke hath sabut lag chuka tha,

Ab Shah alam ko dair nahi lagni thi ki koi unke piche hath dhoke pada tha sazish kar raha tha unke khilaaf ab toh Shah Alam ka chaukkna hona aasan tha ek pal ko zaher ne socha isthifa hi deke kahi dur bhaag Jana behtar tha warna yaha bemaut marr jaana kis kaam ka? Zaher ek gehri soch mein dub gaya kyunki uske mehekme ki dusri secret meeting fhir hone waali thi aur uska progress ke saath haazir hona tha,

                            ----------
"Kya bakwas kar rahe ho? Maine khoon kharaba nahi maanga election sar pe hai aur sarkar hamare khilaaf koi sazish rach rahi hai aise mein hamara kiya koi bhi kadam pakde jane mein sarkar ko mushkil nahi hogi ho na ho ye unhi ke mehekme waalo ki hi kisi ki sazish hai taaki meri taqat Mayor ki kursi tak na pahuche"

"Opposition party bhi ho sakti hai?"......Usman ne zaahir Kara

"Nahi Usman"…...Shah Alam us waqt apni kothi ke living hall mein tehel raha tha aur Usman aur baaki aadmi us waqt Shah Alam ke saamne haazir khade they har kisi ki nigaah fikarmand thi

"Ye kaam kisi top secret mission ka ho sakta hai unke agent pe sidha haath daalna hamare liye mushkile khadi kar sakta hai wo ek ho sakte hai ya kayi humhe nahi malum malum nahi kaise wo khabri bheetar aaya manager se puchne pe bataya regular aata tha wo admi...us saale manager ko wohi goli daag diya ba***d Sheikh hanif ne toh dobara deal karne se mana hi kar diya tha wo aaj hi ke flight se Iran wapis bhaag Gaya saala"

"Kaho toh hadsa lage aisi maut de saalon ko humne kaahe ka darr"

"Usman hosh se kaam Lena hai tumne jo tasveer dikhaayi hai usse saaf hai koi hamare khilaaf sabut ikkhata kar raha hai aur humhe unhein mauka nahi dena hai main kuch din ke liye desh se bahar Jaa Raha hoo aur ab mayor election tak mujhe kisi se koi dealing nahi karni hai saare kaale dhandhe ke zaruri meeting ko multavi kar do"

Us waqt anika kamre mein aayi usne gambhir hoke ek sofey pe baithte huye un logo ki baatein suni.....Shah Alam ne khabri ki laash se baramad hua phone diwaar se de maara wo teen tukda ho gaya

"Kisi ko WhatsApp ya mms toh nahi hua tha ye tasveere?"......Usman ne inkaar mein sar hilaaya Shah Alam nischint hua

"Aaj office mein bhi ek bhedi nikal aya tha daddy".....sabki nazarein piche baithi sofey pe anika ki taraf ghumi jo sharaab glass mein daalte huye keh rahi thi

"Kaun tha wo kameena?"...Shah Alam ne fhir gusse mein aate huye kaha anika ne oose sharaab se bhara glass diya

"Kameena nahi marhum jahannami office ki meri personal secretary jasmine jo abtak magarmach ka nivaala bhi ban chuki wo bhi kisi zaher ke liye khabri thi usne khud mujhe bataya uska phone number available nahi shayad number band kar diya ho khair humne unke koi bhi zariye ko toh chodha hi nahi fikar mat kijiye daddy"

"Shabash"....Shah Alam ne uspar naaz kiya aur jaam ka ek bhaari ghunt gale se utaar liya uski aankhe gulabi ho uthi

"Ye zaher naam us khabri ke bhi mobile phone mein tha jisne club mein hamari tasveer kheeche thi boss ho na ho ye kameena hi koi undercover agent hai jo saala sarkar ke liye hamare khilaaf kaam kar raha hai"

"Is zaher naam ke bande ka malumat chala?"

"Phone ek baar hi ring hua tha uske baad unavailable saale ne sim ko jala diya hoga ya Tod diya hoga last location koi anjaan raaste pe huyi thi yakeenan waha kuch dair tehra hoga apni gaadi mein kaali gadi thi uski number pehchan nahi paaya warna mauke pe hi saale ko bhun diya hota"

Shah Alam chupchaap sabkuch sunta raha "jo bhi ho is zaher ka malumat karo aur akela dekhte hi uthaa lo lekin yaad rahe kisi ke nazaro mein mat aana ho sakta hai ye zaher akela is mission mein kaam nahi kar raha ho baaki mehekme ke apne zariyo se malum karunga ki aakhir aisi kaun si chaal chali Jaa Rahi hai is sheher mein hamare khilaaf"

Usne fhir sabko bharkhast kar diya aur karne se pehle elaan kiya ki aayinda sheher mein unke haatho se koi khun kharaba na ho aur jo bhi ho ahetiyat aur khamoshi se ho usne raat se bandargaah se nikalti apne container ke babat bhi pucha Usman ne video call karke Shah Alam ko unka container jahaz mein load hota aur jaata dikhaya Shah Alam fhir nischint tha,

Sabke chale jaane ke baad Shah Alam anika ke paas baithta hai....anika jaam ki chuskiya aahiste aahiste le rahi thi..."na jaane kiski nazar lag gayi hamare empire ko?"

"Aap befikar rahiye daddy aise pehle bhi dushman aaye aur gaye is baar humhe qarara jawab dena hoga har ek ke dil mein dehshat daalni padegi"

"Ek baar mayor banne do uske baad is sheher ko dehla nahi diya toh kehna khair chodho in baaton ko ye batao aage kya socha hai?"

"Matlab"

"Ek baar dhoka khaa lene se zaruri nahi dobara dhoka hi mile kabtak akeli jiyegi mujhe teri fikar hoti hai kabtak akele yun zindagi guzaaregi mere jannewaale teri rishte ki baat karna chahte hai unke paas ek se ek badhiya ladka hai unhein tere pichli shaadi se koi matlab nahi ek baar pasand kar le shaadi toh hum tayy kar denge chahe kisi ki marzi ho ya na ho!"

"Hahahaa"

Anika hassne lagi Shah Alam ko laga jaise usne apni beti ko koi mazak sunaya ho fhir usne naya jaam banate apne Abba se kaha "daddy main akeli bahut khush hoo aur rahi baat zarurat ki toh"......anika Arif ka tassavur karne lagi

"Wo ladka kaun hai? Jise tu baar baar yaha bulaati hai"...abba ne bhara jaam beti ke haath se lete huye pucha

"Aam naujawan ladka hai akela rehta hai is sheher mein bachelor hai"

"Oose khangaala ki nahi uska background check kiya kyunki ab humhe apne sabhi kareebiyo ko khangaalna padega koi bhi bhedi nikal sakta hai"

"Don't worry daddy he is innocent aap fikar mat kijiye uspe toh hamesha meri nazar hoti hai"

Shah Alam apni beti ke ravaiyye se waqif tha usne khud kayi dafa oose ladko ko istemal karte dekha tha lekin apni azeez beti ko usne kabhi kuch nahi kaha pehle pati ke dhokhebazi se waqif tha halaki badnaami ka oose parwah tha par kaun aisi himmat karta aur agar karta bhi toh kuch aur kehne ke liye Zinda nahi bachta,

"Haisiyat kya hai?"

"Gareeb hai"

"Lekin!"

"Daddy Ameer se rishta karke dekh liya peeth piche churaa bhokne mein waqt nahi zaya kiya tha usne"

"Zaruri toh nahi ki paise ke lalach mein wo gareeb ladka kahi badniyati kar baithe"

"Nahi daddy wo aisa nahi kar sakta wo mere khilaf kabhi nahi jaa sakta aur agar koshish bhi kiya toh apna anjaam khud jaan jayega waise bhi us jaise bhole bhaale ko control mein rakhna behad aasan hai jaisa chahenge waisa hi karega"

"Theek hai meri maan toh uske niji zindagi ke baarein mein thoda aur jaan le fhir oose uthaa le aur yaha rakh le tabtak main bhi oose parakh lunga"

Shah Alam ne aise kaha jaise Arif uski beti ke liye koi bejaan khilona ho jo bazaar mein pada hai aur kabhi bhi bik jayega jise  kharidkar pehle hi apne paas hamesha ke liye rakh lena behtar tha, apni beti ko khayalo mein chodh Shah Alam apne kamre mein sone chala gaya,
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: February 15, 2023, 11:17:27 AM »
Anika ke niyat se bekhabar Arif apni zindagi jee raha tha oose malum nahi tha ki uske zindagi mein kitna bada tufaan aane wala tha, wo eshrat ko us din apne ghar le aaya wo khush isliye tha ki is anjaan sheher mein kisi apne ke saath wo waqt guzaarta tha wohi anika ke busy ho jaane ki wajah se oose kuch din se anika bula nahi paayi thi jisse Arif ko rahat mehsus ho rahi thi,

Arif aur eshrat farsh pe biche bistar pe baithkar chai pee rahe they dono hi apne kal ko leke baatcheet kar rahe they eshrat Arif ke baazu ko thaamein oose zazbaat ki gehraaiyo se bahar kheechne lagi thi Arif muskuraya is baat se bekhabar ki Durbin se koi unke khuli khidki se andar unhein baitha dekh raha tha,

"Sach kahu eshrat tum agar meri life mein nahi aati toh main khatam tha"

"Dekho Arif jo khuda ko manzur hota hai wohi hota hai tum fikar mat karo bas kuch din ki baat hai maine baat ki thi wo raazi hai humhe bhejne bas tumse milna chahte hai ek baar"

Abhi Arif ne sawaal kiya hi tha ki achanak phone baj utha eshrat bhi oose sihamte huye dekhne lagi Arif ke phone pe anika ka naam tha, Arif ne bhaukhlaaye eshrat ko dekha aur chup rehne ki hidayat di usne phone uthaya aur khade hoke khud pe kaabu kiye anjan banke hello kaha

"Hi Arif kya kar rahe ho?"....shehed gholti kaano mein anika ki awaz

"J..ji k..uch nahi woh ghar pe hoo aaram kar raha hoo tabiyat kharab hai"

"Kuch din tumhe bulai nahi toh tumhein tension hone laga"

"Ji ye aap kya keh rahi hai darasal waqayi tabiyat kharab hai"

"Koi baat nahi ab tabiyat theek ho jayegi pehle apni newly gf ko kaho ki tumhare bistar se uthe aur hamesha ke liye tumhare ghar aur tumse dur ho jaaye warna main hahaha kya hua hawaiya kyu ud Rahi hai tumhare chehre pe? Maine kuch galat kaha meri nazar tumpar muqammal kayi din se hai tum mere paas aao na aao mere saaye mein rahoge"

Arif ke haath se cup chuttke gir gaya aur chai bikhar gayi usne bhaukhlaaye kamre ki khidki se bahar jhaanka fhir bistar fhaand kar khidki laga di wo apni dhaukni si dhadhakti kaleje pe kaabu paane laga darr uspe haavi tha usne eshrat ki taraf sihamte huye dekha eshrat bhi ekdum se khadi huyi aur Arif ko sihama bhauklaya dekh ishaare se hi puchne lagi Arif ne oose ungli se chup rehne ka ishara kiya kaan par phone lagaye raha,

"Aapko kisne kaha ki me..re saath koi hai mam"

"Hahaha pehle mujhe anika kaho aur dusri baat us club dancer ko chalta karo aur mere paas sidhe sidhe aa jao bahar gaadi khadi hai tumhare intejar mein"

"Anika meri baat suniye wo sirf dost hai usse zyada kuch nai maine wo pesha oosi din chodh diya jis din aapne manaa kiya tha ye sirf dost hai pls eshrat ke sath kuch mat kariye"

"Oh eshrat acha hua naam bhi bata diya chalo theek hai koi baat nahi"

"Anika aap aisa kyu kar rahi hai? Main aapka kya lagta hoo jo aap mujhpar nazar!"

"jitna kaha hai utna karo waqt zaaya nahi karna".....phone cut ho gaya Arif ne eshrat ko ghabraaye dekha

Usne fauran ek kapda wardrobe se liya jo uski maa ka shawl tha jo anjane mein uske bag mein galti se aa gaya tha aur fhir usne us shawl ko eshrat ke peeth gale aur sar pe lapaitte huye acche se dhak diya eshrat hairat se oose dekhne lagi...."tumhe yaha nahi rukna eshrat bahut gadbad ho gayi hai anika ne mere piche apne aadmi laga rakhe they usne tumhare baare mein sabkuch jaan liya hai mujhe oose samjhaana hoga tum darro mat kuch nahi hoga isi din ke liye maine mana kiya tha ki hum anika se jeet nahi sakte"

Arif hadbadaaye chai ke tute bikhre tukdo ko farsh se uthaye kachre mein faikte huye tayyar hone laga tha..."wo aisa kyu kar rahi hai? wo toh sirf tumhara istemal karti hai na?"

"Main nahi janta us aurat ke dil mein kya chal raha hai tum nahi janti ho wo ek wehsi aurat ke saath saath ek cold blooded murderer bhi hai oosmein rehem nahi tumhe kuch ho gaya to main khud ko manf nahi kar paunga"

"Mujhe kuch nahi hoga suno hum yaha se!"

"Abhi aisi baat karne ka mauka nahi hai pal pal uski humpe nazar bani huyi hai pehle tumhe main yahan se nikaal deta hoo tum piche ke raste se chehra chupaaye nikal jaana rukna nahi koi bhi taxi mile thaam lena"

Arif ne kuch rupye eshrat ko thamaaye eshrat inkar karne lagi Arif ne zabran uske haatho mein kuch rupya rakh diya....darwaja lagaye dono niche sidiyo se jhaankte huye utare uske baad Arif ne ek kamre mein dastak di wo kisi shadi shuda kiraayedar ka kamra tha jiski khidki piche khulti thi..."mujhe aapki pichli khidki dikhaiye"

Ganimat thi Ghar mein ek kamwali aur baccho ke alawa koi nahi tha Arif ne eshrat ka haath thaamein oose andar laaya kamwali ne inkar karna chaha par kar nahi paayi Arif ne us khidki ko khola bahar jhaaka aur eshrat ko waha se kisi bhi tarah bahar pahucha diya eshrat ne mudkar Arif ki taraf dekha

"Mujhse yun mat milana agar khuda ne chaha toh dobara mulaqat hogi apna khyal rakhna aur sidha nikal jaana kuch din club mat jaana kisi saheli ke yaha ek do din ruk jaana tabtalak main anika ko samjha lunga apna khyal rakhna allah hafiz"

Eshrat bahut kuch kehna chahti thi lekin keh na saki wo aansuyo ko chupaaye darre waha se tej kadamo se nikal gayi...Arif ne piche mudkar kamwali ka shukriya kiya jo hairat se oose dekh rahi thi....Arif ka phone bajne laga ye ajnabi call tha yakeenan anika ke kisi aadmi ka uska yun ghar se bahar abtak na nikalne ki wajah se call aya tha,

Arif main gate se bahar aaya usne eshrat ko piche se bhaga diya tha wo tej kadamo se nischint chaukkna abhi kuch faasle hi nikla tha ki tabhi ek gaadi uske saamne aake ruki, wohi hotel wala moshtanda aur uske saath Usman Arif ko dekhke uske kareeb aane laga Arif pehle tehra fhir bhaari kadmo se unke paas pahucha,

Usman ne chashma utaarke ek nigaah upar se niche tak sihame Arif ko ghuraa fhir uske kandhe pe haath rakha

"Badi dair laga di tune chal chikne mem sahab bulayi tere ko gaadi mein baith"

"Wo bhi yahi hai"

Kisi ne koi jawab nahi diya Arif ko lagbhag kheechte huye unhone gaadi mein bitha diya darwaja lagaya aur gaadi waha se tej raftar se mor kaantke sadak pe daudne lagi,

                             ----------

Arif ko zabardasti kothi mein uthaake le aaya ja chuka tha usne khud ko is baar kothi ke dusre kamre mein paaya uske piche hi darwaja band ho gaya Arif ne dekha ki ek chota bar bana hua tha jaha par anika sharaab pee rahi thi wo jhijhakte sihamte eshrat ka khyal kiye uske paas pahucha aaj anika hamesha ki tarah khushmizaaz nahi par gambhir dikh rahi thi,

Usne ek udti nigah Arif pe daali aur kaha aa gaye tum? Jaise oose ab hosh aaya ki Arif uske paas pahuch chuka tha Arif ne paaya ki anika ne ek jhilli si gown pehni huyi thi jisse saaf pata chal raha tha ki usne andar kuch pehna nahi tha shayad Arif ke liye hi wo us haalat mein mauzud thi usne jaam ko waise hi counter pe chodha aur Arif ke paas bar se uthte huye aayi,
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: February 15, 2023, 11:19:31 AM »
Isse pehle Arif kuch keh paata anika ne apne gown ke dori ko ek jhatke mein kheech diya jisse sangmarmar jaisa uska gora jism Arif ke saamne ekdum nagn halat mein aa gaya,

Arif ne munh fhair liya anika kuch waqt oose yu hi us nagn haalat mein dekhti rahi fhir usne Arif ke munh ko apni taraf kiya anika ke lambe nakhun uske chehre pe chub rahe they, usne anika ke aankho ko gulaabi paaya nashe hawas aur zazbat teeno mein ghule huye,

"Kya kami hai mujhmein dekho toh jo tum ek do takke ki bar baala ke saath sone ko phokat mein, Ishq karne mein raazi ho gaye jawab do"...anika apne chaatiyo ko dikhaate huye jaise chubti baaton se kehne lagi Arif ne nazarein jhuka li

"Hummein kya kaante lage hai? Ya humse Dil bhar gaya itne din toh tabadtod palang toda tumne hamare saath aur ab!"

"Anikkaa pls aap ye sab kyu kar rahi hai? Jo kuch hamare beech hua wo toh mere peshe aur aapke zarurat ke tehet tha na?"

Anika oose bari bari nigaaho se dekhne lagi jaise uski itni himmat ho gayi ki itna kuch usne keh dala,Arif uske chehre ko dekhke darr gaya chup rehna hi bhalaai samjha wo kisi student ki tarah haath pe hath rakhke sar jhukaaye khada raha,

"Zarurat matlab itne waqt tak jo main tumhare sath waqt guzarti rahi fhir bhi tumne ye nahi samjha ki main tumse pyaar karne lagi hoo"

Arif munh baaye oose hairat se dekhne laga....anika ne jaise oose yakeen dilaate huye bari bari nazaro se ghura Arif hontho pe zuban phairne laga bechaini se pehlu badalne laga,

"Y..ye aap kya keh rahi hai? Aap mujhse kaise pyaar kar sakti hai?"

"Kyu? Main insaan nahi hoo kya mera mohabbat karne ka kisi ko haq nahi"

"Lekin m..main"

"Agar mohabbat nahi hoti toh meri zubaan pe tumhari taasir nahi lagi hoti apni zindagi mein shaamil na kiya hota''

Arif ko to jaise kuch samajh nahi aa raha tha wo waise hi wehshi aurat thi uska parivar khatarnak khooni tha aur ab uski ye baatein ooska dil dehla rahi thi,

Anika ne kasske Arif ko thaam liya baazuyo se sawaal karne lagi ki kya wo bhi oosse pyar karta hai? Agar nahi hua abtak toh fikar nahi wo is humbistar ke rishte ko shaadi mein badal sakti hai wo oose duniya ki saari daulat de sakti hai oose fhir apne bhavishya ki fikar nahi karni padegi uske paas Paisa hoga shouhrat aur usse badhkar aisho aaram..kya isi liye hi toh usne paiso ke khaatir uske hawas ka khilona banne ko tayyar hua tha

Arif kuch keh paata isse pehle tabhi anika usse lipat gayi anika ka nanga jism uske badan se buri tarah lipata hua tha, Arif ko dehshat se koi ahesaas nahi ho raha tha usne mutthi bheech li, anika ne fhir usse alag hokar uski nazaro mein jaise ab bhi razamandi na dekhkar hairaan huyi,

"Tumne kaha nahi kya tumhe mere sath shadi qabul hai haa ya na?"

"An..ika m..eri baat suniye main kaise aapse?"

"Haan ya na".....anika ne sard lavzo mein ghulte gulabo nigaho se kaha

Arif ne gale se thook nigali...."m..main kuch waqt chahta hun"

Anika jaise teheri Saqt hota gaya uska chehra...Arif ko laga wo oose thappad hi maar degi lekin achanak usne apna phone paas ke sofey se uthaya aur ek number pe video call Kiya usne screen Arif ki taraf shaitani muskurahat dete huye pesh ki Arif screen ki taraf dekhne laga achanak video on hua jise dekhte hi Arif ki aankhe dehshat se phat gayi,

Cheekh pukaar aur rote huye eshrat ko kuch gunde thaame huye they uske haath pao rassiyo se bandhe bistar ke charo khano mein fase they gale gaal pe chot honth ke kone se behta khoon eshrat ne rote huye video call mein Arif ki surat dekhi toh zor zor se uska naam pukarne lagi

"Eshratt chodh do oose main kehta hu chodh do"....Arif ne bhaukhlaaye rote dahadhte huye chillaya

Anika ne screen apni taraf ki aur muskurakar roti bilakhti eshrat ko dekha fhir usne afsos karte huye arif ko dekha...."ch..ch..ch uff ek aurat aur itne mard dekho dekho".....anika jaisi banawati dukh karte huye arif ko fhir video dikhaane lagi

"Arr..iff mujhee bachaao in logo ne mujhe beech raaste se utha liya tha yaha zabran laaye hai mujhe maara bhi hai".....Arif ne eshrat ke honth se khoon aur gaalo pe thappado ke nishaan dekhke jaise aankhe mund li

"Mujhe bachao Arif main marr jaungi ye log bahut khatarnak hai"

"Arre Shona oh sorry eshrat darling samjhao na apne dost ko kaho ki tumhara eska koi matlab nahi koi taluqat nahi lekin agar ye raazi nahi hua toh shadi kaise hogi?"

Anika baccho ki tarah kehte huye fhir  hassne lagi pagalo ki tarah, eshrat ki fhir cheekhe gunzi Arif ne bhauklaaye anika ke haath se phone cheenna chaha anika ne oose aankh dikhaaya Arif teher gaya wo apne bebasi pe rone laga,

"Abhi to thoda bahut maara hai fhir mere aadmi iske saath kya kya karenge tum soch bhi nahi sakte socho ek aurat itne mardo ke sath fhir uski maut socho kitni azeeyat se guzarna hoga oose"

Arif anika ke pao pe gir pada....."pls ye sab rok dijiye pls eshrat ko rihaa kar dijiye main wada karta hu main usse fhir kabhi nahi milunga wo anaath hai uske sath koi nahi uski zindagi barbaad mat kijiye mat maariye oose pls wo log uska rape kar denge oose Jaan se maar denge wo aapki sunte hai rok dijiye pls pls"

Anika ko jaise Arif ka yun apne pairo pe gidgidaana sukoon de raha tha yahi to wo har mard se aisa chahti thi..anika ne phone cut kar diya aur Arif ko yun rote fariyaad karte pair pakde zameen pe gidgidaate dekhti rahi,

"Haan ya na"....is baar anika ne fhir wohi baat dohraayi

Arif pairo pe khada hua aur usne ansu ponchte huye sar hilaaya janta tha inkar karna eshrat ki maut thi ek bewajah begunah ki jan uske chalte chali jaane waali thi....anika ne jaise suna hi nahi

"H..haan main tayyar hoo aapse shaadi ke liye"

Anika jaise ro padi usne kasskar Arif ko apne aagosh mein jakad liya betahasha uske gaal gale ko chumti rahi Arif bejaan laash ki tarah khada tha jab anika usse alag huyi toh usne khud Arif ke aansu ponche..."ab aap eshrat ko jaane degi na? ek vaada maine kiya ab aap ek vaada pura kijiye"

"Uske sath kabhi soye they?"

Wo jawab jaise fhatkar jaisa tha...."maa kasam ye sarasar jhoot hai hum dost hai aur kuch nahi"

Anika ko uske bhole jawab ki hi umeed thi jab oose waqayi yakeen hua to usne phone lagaya...."hello oose rihaa kar do ba izzat pure aaram se oose uske ghar pahucha dena aur oose chune ki koshish bhi na ho ab jaane do"

Arif jaise itminaan mehsus karne laga anika ne uske haath ko apne nange chaati pe rakha toh arif kasmasaya..."is dil pe ab sirf tum baste ho mujhe laga tha usne tumhe haasil kar liya isi baat ki oose aur saja di mera khilona koi nahi mujhse cheen sakta".....usne Arif ko kasske thaama aur wohi farsh par biche carpet pe oose laitaane lagi aur fhir ek ek karke uske kapde utarne lagi

Arif ne dobara apni nam aankhe mund li oose apni zindagi khatam hoti nazar aa rahi thi...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #9 on: February 15, 2023, 11:20:45 AM »
Present

Zaher ki gaadi ab bhi raste par thi wo abhi abhi meeting barkhasht huye nikla tha mehekme ki dusri secret meeting mein jo oose govt intelligence aur apne hi department ke senior afsar se khari khuti sunne ko mili thi us waqt se hi uska dil tension mein tha ek taraf wo Shah Alam ke logo se Baal Baal goli khaate bacha tha uske lagbhag saare khabri ya to gayab they ya maarein gaye they upar se election se pehle Shah Alam ke khilaf koi thos sabut oose har haal mein kuch hi dino mein sarkar ke haath pahuchana tha tabhi Shah Alam par kaabu kiya ja sakta tha,

Lekin zaher janta tha kismat baar baar sath nahi de sakti Shah Alam ke aankho mein aana uske liye khatre ki baat thi oose to abtak sheher chodh dena chahiye tha underground ho jana chahiye tha lekin ab uske dimaag mein ek nayi chaal thi,

Zaher apne ghar lauta usne ghar ka bahar se hi muana kiya chaukna charo taraf ghuma aur fhir ghar mein dakhil hua wo sann reh gaya pure kamre ka haal bura tha aisa lagta tha jaise waha tufaan Aya ho jasoosi dimag ne gawahi di waha sui ki tarah kisi ne talashi li thi almirah khula pada tha bistar ki razaai aur takiye bikhre huye they daraz ke drawer sab khule pade they andar ka sab saaman farsh pe bikhra pada tha wo toh khairiyat thi ki uska gun aur police batch uske kabze mein tha achanak oose aisa laga jaise koi piche tha usne palatkar dekha tabtalak ghuspaithiya khidki se bahar kudke bhaag Raha tha shayad waqt se pehle zaher us tak pahuch gaya tha zaher ne apni gun furati se nikaali wo khidki se bahar kuda

Tabtalak do gunde oose apni apni gun nikaalte dikhaai diye zaher ne fauran ghoda kheecha ek goli ki bhaari awaz huyi aur ek gunda wohi baazu thaame gir pada dusri goli zaher pe chali zaher usi waqt zameen pe lait gaya warna goli uske seene mein dhassti...wo 3 log gaadi mein baithte sawaar hone lage tabadtod goliya chalate rahe taaki zaher hamla na kar paye...zaher ko paid ki aad leni padi har koi apne apne gharo se jhaakne laga tha,

Gaadi waha se teji se sadak pe daudti huyi guzar gayi zaher haanfta daraa khada raha jab wo log chale gaye to usne furati se ghar mein aakar apna kuch zaruri saaman bag mein daala fridge se ek Pani ki botal nikaali oose gatagat pee gaya fhir waha se ulte kadamo se usne darwaje ko taala lagaaya aur khidki chadha di ab waha uska teherna theek nahi tha,

Zaher janta tha Shah Alam ke aadmi us tak pahuch chuke hai aur ab usko jaan ka khtra tha zaher ne bag gaadi mein daala dobara driving seat pe baitha aur gaadi sadak ki taraf mor di ab wo dobara apni manzil ki taraf jitna jaldi ho sake jane laga,

                          -----------

Shah Alam apni private jet pe sawar baitha sheher se kayi 80'000 feet upar beer ki chuskiya lete huye niche ke nazaare ko ghurr raha tha achank Usman ka call aaya kuch dair Shah Alam ne uski baat suni fhir phone cut Kiya uske WhatsApp pe bhaagte uske aadmi ne zaher ki tasveer Shah Alam ko bheji thi,

Shah Alam ne uske chehre ko gaur kiya fhir oose sarkari mehekme mein jude apne zariyo ke paas forward Kiya....kuch hi dair mein jawab aaya

"Sahab wo khufia police hai sdi officer secret delta intelligence bureau ka naami jasoos bahut gupt roop ki koi secret meeting chal rahi hai police department aur intelligence ke beech mein aapko leke koi khichdi Pak rahi hai"

"Pehle bataaya nahi gaya tum logo se"....Shah Alam ne qeher bhari nigaho se phone pe kaha

"M.maf kijiyega ye baat bahut secret rakhi gayi hai even hamare department mein sabhi ko abtak ye nahi malum us secret meeting mein apna ek khaas aadmi bhi member hai oosi ne bataya aap kahiye kya hukam hai?"

"Jee to karta hai is sazish mein involve tumhare sabhi intelligence officer aur policewalo ko jaan se maar du"

Us policewale ne zor se thook nigali..."koi baat nahi mere aadmi us tak pahuch hi jayenge agar mare toh baat sambhaal Lena samjhe warna mujhe koi farq nahi padta"

"Ye bhi koi puchne ki baat hai arre ye log kuch nahi ukhaadh sakte Sahab".....apne darr ko dabaaye us senior officer ne thook nigali

"Ek baar kursi Milne do in sabki khabar main leke rahunga"

Policewale ne koi jawab nahi diya Shah alam ne phone cut karke Naya cigar sulga liya achanak uski beti ka message aaya,

Shah Alam ne message padha usmein likha tha "Daddy, he is agree to marry me".....padhkar jaise Shah alam apni beti ki diwangi pe hairat karte huye muskura baitha,

                           ---------

Arif bistar par gehri neend mein tha wo anika ke hawas mein na jane kitne waqt se jhulasta raha tha...jab oose hosh aaya to anika oosse lipati uske baalon aur chehre pe ungli fhair rahi thi,

Arif sihamte huye uth baitha "arre kya hua ghabra kyu rahe ho?"

Arif ne koi jawab nahi diya abhi kuch waqt pehle eshrat ki jo haalat usne apni aankho se dekhi aur jo faisla usne liya tha wo kisi bure khwab jaisa tha,

Anika uske seene se lag gayi Arif ko na chahte huye bhi uske gesuyo pe haath rakhna pada dono waise hi nagn haalat mein bistar par laite huye they...achanak anika oose apne past ke baarein mein dheere dheere bataane lagi jise Arif khamoshi se sun raha tha,
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #10 on: February 15, 2023, 11:22:45 AM »
"tumhe sach se waqif hona hoga kyunki main tumse kuch chupaaye nahi rakh sakti ye to tum jante hi ho ki main shadi shuda thi lekin us shaadi ke piche ka sach har koi nahi janta"

Arif tab bhi waise hi chup tha wo pehle se daraa hua tha anika ooske seene se lipati uske upar laiti huyi kehte jaa rahi thi,

"Aajse kareeb 2 saal pehle meri shaadi ek karobaari ke saath tayy huyi thi uske paas Paisa tha haisiyat mein hamse kayi niche tha par Ameer tha mere daddy chahte bhi they ki koi aisa hi ho jo haisiyat mand bhi ho aur hamare kaabu mein rahe lekin sabkuch perfect nahi tha"

Anika ne phone se ek tasveer nikaalkar Arif ki taraf badhaayi Arif ne ek udti nigaah us tasveer pe daali wo koi Mota thigna raees aadmi tha jo coat pant mein khada apni Tye pe haath rakhke jaise apni haisiyat dikha raha tha, Arif ne fhir nahi dekha us tasveer ko oose koi dilchaspi hi nahi thi wo to Mann hi mann eshrat ke khairiyat ko leke soch raha tha mann duba hua tha,

"Ye jante huye ki wo badsurat tha koi Rajkumar jaisa khubsurat nain naksh ka nahi tab bhi maine oose apna liya maine uske dil ko chuna wo mujhe pagalo ki tarah chahta tha kaafi mera khyaal karta tha har lamha shaadi se pehle hi mere saath guzarta tha shaadi ke baad daddy ne oose apna beta jaisa qaraar diya tha hamari shouhrat milkiyat mein oose bhi haq diya tha lekin main nahi janti thi ye sirf uska dikhawa tha jis dil ko maine chuna tha wo dil toh uske chehre se bhi zyada badsurat tha,

Jaante ho".......anika ne Arif ki taraf bari bari nigaho se dekhte huye kaha jaise wo nigaah 2 saal pehle beete waqt mein ja chuke they

"Usne mujhse shaadi sirf isliye ki kyunki oose mere dad ke empire mein dilchaspi thi mere dad ke tamaam karobaar ko wo apne haatho mein lena chahta tha mere dad ne bhi oose apne business mein shaamil kar liya tha oose apna front bana bhi liya tha lekin dheere dheere wo apne asliyat ko bhi kholte jaa raha tha

Mere saath waqt guzarna kam kar diya tha ghumna fhirna toh kabhi kabhar hi hota tha wo bhi mere dad ke zidd dene pe, jaise wo mujhe le jaake ahesaan karta tha dheere dheere mere Ruth jaane ko nakhra kehne laga meri parwaah ko apne upar hukam chalane jaisa manne laga baat baat pe mujhse jhagda karta tha maine daddy ko kuch nahi bataya ki shayad business ke wajah se hi woh pressurize hoga par ek aad baar daddy se pata chala wo aajkal unhein bhi karobaar se dur rehne ki jaise baat kehta tha jaise lagta tha sabkuch wo khud sambhaal lega lekin wo sambhaalna nahi apna pura haq jamana chahta tha nafrat karta tha wo mere baap se lekin Darr ki wajah se chup tha kisi mauke ki firaaq mein,

Ek din main usse milane bandargaah pahuchi kaam ka bhi jayeza Lena chaha toh usne mujhe dekhkar aisa sawaal kiya jaise koi gair aa gaya ho maine uske badalte ravayye ko pehli dafa itna bigadta dekha".....kehte kehte anika tassavur mein chali gayi

"Maine oose kaafi baat sunaaya aur oose uski aukwad yaad dilaai wo jaise paaye nahi to mujhpe haath utha deta usne mujhe fauran waha se chale jaane kaha main pao patakkar waha se wapis ghar aa gayi lekin main saare din sochti rahi ki wo itna kyu badalta jaa raha tha saari daulat to oosi ki hogi main gumsum rehne lagi thi wo dair dair raat gaye aata aur bina mujhpe nigaah daudaaye karwat badle so jaata jitna wo mujhse dur hota jaa raha tha mere tann badan mein jinsi hawas utni zyada dehekti jaa rahi thi mujhe uski zarurat thi,

Maine fhir ek baar uske kareeb jaane ki koshish ki to usne mujhe jaise apne se dur dhakka de diya main bistar par gir padi aur oose awaak dekhti rahi maine oosse kaha kya baat hai kahi mujhse Dil to nahi bhar gaya? Ya fhir namard ho chuke ho toh usne jaante ho Arif kya kaha? Ki main uske haalat ki kasoorvaar hoo wo mujh jaisi sex maniac ke saath nahi reh sakta usne ye tak kaha ki mere daddy oose baar baar mere sath rehne mazbur karte hai wo mujhse tang aa chuka tha usne mujhe kitna kuch kaha tha aur main sunti rahi mere hi ghar par meri bezzati karta raha wo fhir wo utha aur tayyar hoke dair raat gaye bina kuch kahe ghar se nikal gaya main yun hi padi saqte mein rahi fhir hosh mein aakar bhaagte huye maine khidki se jhaanka uski gaadi kothi se bahar Jaa Rahi thi,

Main jaan gayi thi sabkuch oose mil chuka tha isliye ab wo apni asliyat kholne mein aana kaani nahi kar raha tha lekin mujhe uske dubti rag ko pakadna tha maine apne aadmiyo ko uski jasoosi pe lagana shuru kiya daddy se kehke oose kuch din ke liye karobaar se dur rakhne kaha karobaari se dur rehta lekin mujhse jhoot kehkar hamesha ghar se nikal jaata ki wo kisi dost se Milne Jaa raha hai to kisi din kisi client se meeting hai milane jaa raha hai usne haalat ko normal karne ki nakam koshishe zarur ki thi daddy ko kaha tha ki mujhe samjhaaye main khaamokhah usse jhagadti thi mujhe hi mere baap ki nazaro mein jhoota karaar dene laga mere hi peeth piche, mujhe malum hua ki is beech hamare joint account se usne kayi kayi Tariq ko dhair Sara Paisa ek saath nikaala tha usne mujhse baat karna chodh diya tha lekin jab ek baar maine usse pucha to uske chehre ke kayi rang badle fhir khud ko begunah sabit karne ke lehze se mujhse kehne laga ki main khamokah uspar shaq kar rahi thi agar aisa tha to wo aaj hi hamari kothi chodhke chala jayega usne baat ko kahi se kahi ghuma di main samajh gayi wo sacchai nahi batane wala tha lekin wo ye bat nahi janta tha ki saanp se khel raha tha jiska anjaam bahut bura hone wala tha,

Phir ek raat call aya ek khabar haath lagi mujhe jhinjodh dene waali, ek aurat ke sath kareeb 2 din se oose gale milate restaurant aur mall mein ghumte shopping karaate haatho mein haath daale kayi dafa dekha gaya tha mere aadmiyo ne picha karke unka mujhe bataya tha maine daddy ko bina kahein apne aadmiyo ke saath uski mashooka ke ghar pahuchi jo pata mere aadmiyo ne us raat unka piche karte huye nikaala tha ab main samjhi ki uski saazish kahan khatam thi? Yaha mujhse shohrat daulat mila aur wahaa apni hi dunia basaaye huye tha, wo mashuqa uski Humsafar banne waali thi aur ye sab chori chupe shaadi se pehle chal raha tha yahi chaal thi us kutte ki kyunki mere daddy ka empire bhi toh oose chahiye tha aur wo zariya mujhse hoke guzarta tha,

Mere aadmiyo ne darwaje ko dastak diye bina hi tod diya dono us waqt bistar par ekdusre ke saath buri tarah se lipate huye humbistar they mujhe dekh jaise uski mashooka ko daura pad gaya usne apne chaatiyo pe chadar dhak liya to dusri taraf Mera shouhar aise aankhe phaade mujhe dekh raha tha jaise main koi aatma hoo uska pura badan kaanp raha tha,

Tab maine taali bajaate huye uski tareef ki kitna badhiya khel khel gaya wo mere life ke saath mujhe sex maniac kaha tha aur khud kisi do takke ki aurat ke saath gulcharre uda raha tha wo kehta bhi kya? Wo mere pao pe girke rone laga lekin uski asliyat ab mere nazaro mein saaf khul chuki thi maine bheechke uske baalo se oose thaama aur ghutno se ooske munh pe de maara khoon fawaare ki tarah uske naak se beh nikla uski mashuqa cheekh uthi mere aadmiyo ne pairo ki thokaro se ek ke baad ek jute ki nok se oos dhokebaaz ko maarna shuru kiya tabtak maarte rahe jabtak maine unhe na roka aur jab roka toh khoon se adhmare unhone oose kheechkar uthaaya oose hosh mein laaya maine apne aadmiyo ko darri sihami bilakhti uski mashuqa ki taraf ishara kiya wo mera matlab samajh gaye main kursi pe ek taraf baithkar saara nazaara dekhti rahi do aadmi mere adhmare shouhar ko thaamein they aur wohi dusri taraf mere kayi aadmi uski nangi mashuqa ke sath oosi bistar par darindagi ka nanga khel khel rahe they uski cheekhein gunzti rahi mera shouhar aadmiyo ki pakad mein chatpatata raha tadapta raha minnate karta raha lekin dekhne ke alawa apni mashuqa ki tabahi ko kuch nahi kar saka,

Unke faarig hote hi maine aage badhkar uske baalon se oose kheechte huye uthaaya wo bhi adhmari si ho chuki thi uske nange kharoch zakhm bhare jism ko ghurrte huye maine apne shouhar ki taraf dekha jo bilakh bilakh kar ro raha tha oosi kutiya ke liye sapne sajaye they usne toh ab main oose zindagi bhar ka ek tohfa dene jaa rahi thi maine oos aurat ko wohi khuli khidki ki taraf dhakela wo pehle palle se takraayi aur ek gunzti cheekh ke saath us 4 manjili imarat se sidha niche Jaa giri ek gaadi pe,

Main apne shouhar ki taraf pahuchi aur muskurayi oose jaise daura pada tha maine muskuraya uski halat par aur ek bara chura apne aadmi ke haath se liya wo fhir jaise minnat karne laga ek aadmi ne kasskar uski gardan ko upar kar diya aur maine uski seene pe chaaku ki nok rakkhar ghisste huye uske sharamgaah par ek hi baar mein vaar kar diya"

Us haulnaak byaan se arif sihama hua anika ki taraf dekhne laga maano sabkuch usne apni aankho se dekh liya tha...anika kuch dair chup rahi fhir usne khamoshi todte huye kaha ki uske baad uske aadmiyo ne uske shouhar ki laash ko uthaaya keemati ghar ki cheezein gayab ki kamre ko aise udheda jaisa waha lut maar ki vaardaat lagti uski mashuqa ki laash nagn haalat mein bahar padi thi log ikhatte hone lage...kisi ki himmat nahi thi jo mere aadmi ko rokte flat ke ek aadmi ko thaama padi padhaayi kahani bata di gayi thi uska munh paise aur dhamki se band kar diya gaya usne police aur sabhi ko yahi jawab diya ki wo aurat roz ek aadmi laati thi kal raat bhi wo kuch jano ke sath aayi jhagda hua chillam chilli ki awaz aayi aur us aurat ko kisi ne dhakka diya police ne chanbin karke yahi faisla kiya ki uske sath pehle balatkar hua aur ghar ko lutke wo aadmi log faraar ho gaye,

Dusri taraf mere shouhar ke gayab ho jaane se kisi ko kaano kaan khabar tak nahi malum chali maine khud daddy ke aage us kutte ki laash rakhkhi thi jise daddy ne bina dekhe apne aadmiyo se uspe tezaab daalne keh diya uski laash ke bache kuche hisse ko gutter ke hawale kar diya gaya aur is tarah main fhir tanha reh gayi lekin ab aur nahi ab tum mujhe mil gaye ho shayad tum sukoon banke meri zindagi mein aaye ho ab kaho kya tum mujhe wo saari khushiya doge jiski main haqdaar hoo kaho Arif"

Anika ne Arif ki aankho mein jhaankte huye pucha Arif ne mann hi mann socha ki ab koi kinaara nahi tha uska inkar uski bhi jaan le sakta tha behtar yahi tha ki apne ektarfa pyar ko bhulaakar oose anika ke aage khud ko hawale kar dena chahiye tha,
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #11 on: February 15, 2023, 11:24:33 AM »
Zaher ek kothi ke paas raat gaye pahucha din bhar oose Shah Alam ke aadmi ki wajah se idhar udhar chupte chupaate bhatakna pada tha wapis ghar ka rukh nahi kar sakta tha mehekme waale ki madad na lene ke barabar thi,

Zaher us waqt apne maqsad se zyada kisi aur baat mein uljha hua gaadi se bahar aaya aur us kothi ke darwaje pe dastak di,

Kuch ghadi baad ek aadmi oose ek daftar jaise kamre mein chodhkar waha se ruksat ho gaya kamre mein sirf lamp ki roshni jal rahi thi zaher ne paaya table pe ashtray mein cigarette ka dhua uth raha tha, zaher hichkichate table ke kareeb aakar khada hua aur usne kursi par baithe aadmi ki taraf dekha wo dikhne mein Shah Alam ke humumar ka adedh aadmi tha aur uske jaisi hi par kam haisiyat rakhta tha mayor ke election mein wo bhi khada hone wala tha,

"Baitho"

Zaher ne baithte huye apna sar adab se jhukaaya....wo aadmi kursi pe sidha hoke baitha aur zaher ki taraf ghurrne laga

"Mat puchiye steward sahab mamla bigad gaya mujhe jis mission ke liye assign kiya gaya tha wo lagbhag fail hota nazar aa raha hai us Shah Alam ko na jane kaise khabar mil jati hai aur mere khabri aur zariyo ko beech raaste mein hi dhar dabochta hai main apne tamaam khabri aur zariye kho chuka hoo ab meri jaan pe aa bani hai aur aap to jante hai ki is waqt ek aap hi hai jo meri madad kar sakte hai"

"Tum s.d.i officer ho lekin tumhare mehekme ke log ye nahi jante ki tum mere liye kaam kar rahe ho"

"Mujhe sarkaar ki madad karke kuch nahi milane wala ye sheher imaan waalo ka nahi paise aur rasukh waalo ka hai ye baat sirf aap jante hai lekin agar mehekme ko bhanak lagi to meri naukri jo waise bhi jaa rahi hai jayegi aur saath mein mujhpar corruption ke karyavaahi alag lagenge mere piche Shah Alam ke aadmi pahuch chuke unhe mera maqsad kaun mere khabri they? kahan rehta hoo sabkuch malum chal chuka ab mere paas sirf ek aakhri daanv ke alawa aur kuch nahi"

Zaher ne apni mazburi se haath failaate huye fariyadi nazaro se steward ki taraf dekha....steward ke nazare bedard thi usne laparwahi se ek naya jaam bhara aur uske chote chote ghunt lene laga,

"Shah Alam ki barbaadi kaun nahi chahta? Kaale dhandho mein wo syndicate mein teesra mukhya hai jo har faisle do bare rasukh waalo ke baad karta hai aur us syndicate meeting ka main bhi member hoo lekin Shah Alam ki pahuch taqat mujhse kayi zyada hai uske kaale dhandho ki list bhi main oose kisi bhi tarah maat nahi de sakta lekin agar wo mayor ke election mein god almighty jeet gaya tab syndicate mein na sirf ucche darze wala ho jayega balki is state ka maalik ban jayega fhir na tumhare mehekme wale kuch kar payenge na main"

Zaher ne thook nigali oose syndicate aur steward ke khyal ko sunkar jaise ghabrahat hone lagi syndicate tamaam desh ke Shah Alam jaise logo ka banaya ek criminal organization tha jaha mafia kingpin  jaise rasukh waale log sheher mein kaale dhandhe ko leke meeting karte they aajtak syndicate ki khabar sarkaar ko kabhi malum nahi chali unke piche kayi desho ke jasoos lage lekin koi pukhta sabut haasil nahi ho paaya tha meeting saal mein kabhi is desh to kabhi dusre desh Hoya karti thi jagah badalti rehti thi aur aise syndicate mein Shah Alam ka naam sunke toh kisi ka bhi kaanp Jana lazmi tha,

"Lekin abhi waqt hai kuch kar paane ka Shah Alam agar sarkar ke changul mein fass jaaye toh na sirf syndicate usse palla jhad legi balki is sheher mein uska dabdaba khatam hone ki hadtak pahuch jayega uski halat zeher nikle saanp jaisi ho jayegi hahaha"

Zaher chup hi raha steward gambhir hua fhir usne kehna shuru kiya "syndicate ki baithak is baar jis desh mein hone wali hai waha Shah Alam pehle hi jaa chuka main syndicate ki meeting ka video record kar lunga aur oose tum tak aur tum apne mehekme tak pahuchaoge"

"Lekin syndicate ko khabar ho gayi toh"

Steward ne qeher bhari nazaro se zaher ko dekha aur fhir kaha "kaun batayega unhe aajtak kisi ko malum nahi ki unka sardaar kaun kaun hai? Dusri baat chaanbin jannewaalo ki nahi hoti aur main kaun sa syndicate se daga kar raha hoo bas Shah Alam ko unke nazaro mein gira Raha hoo main bhi toh power mein aana chahta hoo Shah Alam yaha fasaa Mayor ki kursi jeetne ke mere chances badh jayenge aur syndicate alag mujhe uski jagah dega hahaha"

"Ab main kya karu?"

"Tum yaha Aaj raat bhar ruk sakte ho tumhara Zinda rehna mere liye zaruri hai lekin main hamesha tumhe apne paas nahi rakh sakta syndicate ki video bhejte hi tum sidha mehekme jaoge and remember zaher nakamyab agar huye toh samajh lena!"

Zaher ne sihamte huye sar jaldi jaldi hilaaya steward ne oose jaane keh diya.....zaher mann hi mann oose gaali de raha tha sahara ke bajaay steward khud oose dhamki de raha tha steward lekin janta nahi tha zaher ka aakhri daanv jise wo samajh raha tha wo nahi tha,

                                ------------

Adam Shah Alam ki kothi mein us waqt tehel raha tha oose apni zindagi khatam hoti nazar aa rahi thi anika kothi se bahar gayi huyi thi wohi wo soch raha tha ki ab kuch nahi ho sakta tha uski zindagi ka faisla kismat ne kar diya tha,

Achanak kuch aadmi uske paas aaye Arif ghabra gaya.."memsahab ne tumhe groom karwana maanga hai chalo hamare saath"

Adam kuch keh na saka wo un gundo ke beech kothi se bahar nikla aur oose gaadi mein bitha diya gaya us gaadi mein us raat hotel wala aadmi jisne uski talashi li thi aur kuch ajnabi gunde they wo 4 they jo Arif ke aaazu baithe they kuch piche aur ek driver ke sath aage,

Gadi kothi se bahar nikal gayi Arif ne piche mudkar dekha uske paas uska phone liya ja chuka tha, Arif mann hi mann maayus baitha tha kuch dair baad gaadi ek jagah tehri oose ek parlour laaya gaya uske baad ek aadmi uske saath ek seperate kamre mein wohi mauzud raha Arif ayne ke samne chair par baith gaya,

Achanak ek ladki face mask pehni kamre mein aakar uske sath mauzud gunde se kuch kehti hai wo aadmi dandanaake bahar chala jata hai Arif sit par baitha chupchaap ayene ki taraf dekh raha tha,

Achanak usne face mask utaarti eshrat ko apne piche khada paaya jisne us admi ke jate hi darwaja band kiya Arif fauran hadbadake piche ghuma aur eshrat ke gale lag gaya oose salamat dekhke jaise oose Jaan mein jaan ayii,

"E..shhrat tum yaha tumhe toh anika ke aadmi utha le gaye they sab theek toh hai na? Aur tum yaha kya kar rahi ho? Anika se meri kuch hi din mein rishta pakka ho jayega uske admi ne tumhe yahan dekh liya to gazab ho jayega"

"Arif zyada waqt nahi hai mere saath bhaag chalo maine tumhe apne zariye ke baare mein bataya tha na wo hamare hi intejar mein hai chalo nikalo yaha se"

Eshrat ne Arif ka haath kheechte huye waha se bhaag chalne kaha Arif tehra usne eshrat ko mana kiya uski jaan jaa sakti thi ye Shah Alam ka sheher tha usse Bach paana namumkin tha....."eshrat maine bahut mushkil se anika ko yakeen dilaake tumhari Jaan bachayi thi agar ab oose malum chala ki main tumhare sath faraar ho gya mujhe darr hai wo hum dono ko maar daalegi tum nahi janti usne apne pati ka khoon kar rakha hai hamari uske aage koi aukwad!"

"Sshh chup ghabrao mat maine bahut mushkil se tumhara kothi se yaha tak picha kiya ab zyada waqt mat lagao Kingsway lane se ek container bhara jahaz desh chodh raha hai usmein chupkar hum Siberia chale jayenge dekho tension mat lo passport paisa sab intejam maine kar liya hai sirf hum dono ke liye kya tum nahi chahte ki main?"

Darwaaje pe dastak hona shuru ho gaya eshrat sihamte huye bari bari nigaho se arif ko bhaag chalne ka ishara kar rahi thi....Arif kuch samajh nahi paa raha tha aakhir eshrat itna sabkuch us gair ke liye kyu? Kya wo mohabbat tha? Anika se dur chale jaane ka jaise oose bhi ye ek aakhri mauka nazar ane laga kismat khud uski madad kar rahi thi to wo kyu piche mudkar dekhe? Agar eshrat un logo ke haath aa gayi toh gazab ho jane wala tha!

Arif eshrat ka haath pakade bathroom ka darwaja lagaye upar ke khuli khidki ko dekhne laga jisse bahar ki tej roshni aa rahi thi pehle eshrat ko usne goadi se uthaya eshrat ne jaise taise khidki ke palle se pichwade chalang lagai aur fhir wo khud jaise taise upar chadhke bahar kuda...khidki ka palla ka rasta eshrat ne muana se pehle dekh bhal liya tha wo Arif ka picha kothi se kar rahi thi usne pehle parlour ki achi tarah chupte chupaate chaanbin kar li thi taki wo Arif ko leke waha se bhaag paaye,

Pichwade ke raaste se dono ghabraye bechaini se bhaagte ek intejar karti taxi mein jaa baithe....eshrat ne bataya ye oosi ke zariye ne bheja tha isi taxi mein wo abtak sawaar yaha pahuchi thi Arif sawalat mein tha ki ye kaun tha jo uski madad kar raha tha?

Gaadi tej se banduk se nikali goli ki tarah sadak pe daudi ek pal ko Arif ne bechaini se apne dhadhkte dil ko kaabu kiya oose anika ke hatho ab apna anjaam uske mare huye shouhar ki tarah dikh raha tha kahi wo bhi toh oose dhoka nahi de raha tha?

Darwaaja tode anika ke aadmi andar pahuche waha koi nahi tha bathroom ka darwaja khula tha khidki ke sheeshe palle khule pade they janne mein waqt na laga ki Arif faraar ho chuka tha,

"Ek lady aayi thi mere ko bahar bheji usne mask laga rakha tha keh rahi thi tum bahar bulaaya"

"Anika memsahab ko inform karne ka wo log zyada dur yaha se nahi gaye honge"

Tabhi ek aadmi ne andar aate bataya ki unke bataye hubahu surat ke do shaks pichwade gali se ek peeli taxi mein daudkar sawaar hoke abhi kuch der pehle palli sadak ki taraf nikal chuke they us taxi ka picha karne ke liye tamaam admi gaadi mein baithkar oosi sadak ki taraf nikal gaye,

"Mem sahab Arif ko leke ek aurat bhaag gayi".....sihamte darrte ek aadmi ne anika ko khabar kiya jo apni saheliyo ke sath baithi huyi thi uske daant kitkitaane lage jaise khoon ka ghunt wo pee rahi thi

"Track them as soon as could mujhe kisi bhi halat mein Arif zinda chahiye".....us barf jaise sard lavzo mein anika ne apne aadmi ko dhamkaate huye phone cut kar diya


To be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #12 on: February 15, 2023, 11:26:35 AM »
Kingsway lane sheher ka dusra port area tha jo ki jahazo ka kabaad tha waha par kayi container saat samundra ke raaste se waha aate aur jaate bhi they us waqt pier pe qataar se bari choti jahaz bandhi huyi khadi thi dopahar ki tej dhoop padh rahi thi mahoul mein panchiyo ke shor aur dur samundra mein guzarti steamer motorboat ke tej horn ke alawa kuch sunai nahi de raha tha,

Wohi ek taraf ek bare jahaz ke kareeb zaher chashma pehne apni dayi jeb mein haath daale dusre haath se kaan pe phone lagaaye chehel kadmi kar raha tha,

Us waqt wo kisi ke intejar mein bhi tha aur phone pe kisi se baat karne ke firaaq mein bhi achanak kayi dair se ring karta phone receive hua kisi ne bhari awaz mein sawal kiya

"Shah Alam sahab kaise hai? Europe ka mausam kaisa chal raha hai?"

Shah Alam us waqt syndicate ki meeting mein akela baitha tha abhi do bare mukhyao ko aana baaki tha aur itne mein Shah Alam ke personal number pe watan se aaya koi call oose hairat mein daal gaya haalaki usne apna taaruf kiya bhi nahi tha ki kisi ne uske naam se oose pehchaana

Shah Alam Saqt chehra kiye us awaz ko pehchanne ki koshish kar raha tha lekin zaher ne dobara koi baat nahi kahi,

"Kaun bol Raha hai?"

"S d.i officer zaher Ali aur bande ko aap pehchan zarur gaye honge sahab"

"Main kisi sdi officer ko nahi janta tumne galat number milaya hai main Shah Alam nahi"

"Hahaha Shah sahab itne bare uche rasukh waale hoke aap mujh jaise chote afsar se apni pehchan kyu chupa rahe hai? Jabki maine aapke fayde ke liye hi aapko call Kiya hai kyunki Mera masla sidha aapse juda hai"

"Dekho zaher jo kehna hai saaf saaf kaho kyu phone kiya mujhe? Aur kya fayde ki baat kehna chahte ho?"

"Shah sahab aapke aadmi ne koi kasar nahi chodhi mujhe dhundhne mein mujhpe goli tak chalai mere ghar ki talashi bhi li gayi khair main aapki tarah kuch chupaane ke liye call nahi Kiya meri baat suniye sheher mein election hone waale hai jis mayor ki kursi ke liye aapka naam bhi shaamil hai aur aise waqt mein sarkari intelligence ke kuch log aapke piche pade huye hai taaki aapki asliyat sarkaar ke aage khule aur aap election mein shamil hi na ho balki itne saal ki aapki empire bhi gir jaaye aapke saare kaale karobaar par police raid maare aur aapko muzrim karaar dete huye adalat mein ghasita jaaye"

"Bol liye aur kiski itni himmat jo humhare izzat pe ungli uthaaye yakeenan tumhe hi unhone assign Kiya hai ye baat hum jaante hai lekin mudda ye hai ki humhe is waqt tumne kisliye call Kiya?"

"Dekhiye Shah sahab main ye bhi janta hoo aap is waqt syndicate naam ke oos criminal organization ke meeting ko attend kar rahe hai aur aaphi ke organisation ka ek member aapka kattar dushman bhi hai uski bhi wohi chahat hai jo sarkaar ki bas farq itna hai wo khud mayor ki kursi pe baithna chahta hai"

"Kaun hai woh? Aur tumhe kaise malum? Aur sabse zaruri baat tumhare paas Mera number kaise aaya?"

"Sahab aap bhul rahe hai main sarkaari jasoos hoo par main aapke khilaaf nahi main koi dushmani karke khatra nahi molna chahta main aapko agaah karna chahta hoo agar aapne is waqt meri bat nahi maani to fhir pachtayenge waha syndicate meeting ki record sarkar tak pahuchegi aur fhir aap ka khel!"

"Shut up u bas***d"

"Gussa na kare Shah sahab abhi aur suniye aapki beti ka character main achi tarah janta hoo usne apne pati ka khoon bhi kiya hai ye baat mehekme mein kisi ko malum nahi aur agar malum hai bhi toh andaaze se kyunki gaayab Shah sahab jaise khaas aadmi ka damad jo tha hahaha"

Shah Alam agar us waqt meeting mein nahi hota toh apne aadmi Usman ko usne uski call details bhej di hoti lekin wo us waqt bhaari mushkil mein tha zaher ko usne jo maar Dene ka huqam diya tha usmein uske admi nakam they aur yaha zaher oose jo kuch bataata jaa raha tha uspe aitbaar kar paana Shah Alam ko aur mushkil mein khada kar raha tha usne socha nahi tha ki koi syndicate ka hi aadmi uska dushman ban chuka yaha zaher toh jaise ek ek baat janta tha oose yakeen nahi hua ki usne zaher jaise aadmi ko halke mein liya tha mann hi mann oose bhaari chinta hone lagi,

"Arre Shah sahab aap sochenge mujhe kaise malum? Toh mere bhi zariye hai jaisa aap mujhtak pahuche waise hi main aaptak pahucha khair ab asli baat suniye aapka hone wala daamad Arif jo aapki beti ki jaan kuch dino mein hi ban gaya hai wo mere kabze mein hai"

"Nonsense"

"Main jhoot nahi keh Raha mere zariye oose mujhtak pahucha bhi chuke ek kaam maine aapka kiya syndicate ke bhedi ka pardafash karke ab ek kaam aap kare"

"Tumhe lagta hai main tumhari baat manunga aur agar tumne us ladke Arif ko utha bhi liya to mujhe kya faraq padta hai?"

"Aapki beti ko farq padega aap to jante hi hai uske pagalpan ko Arif uski jaan ban gaya hai aap agar mera kehna na mane toh main Arif ko maar dunga aur syndicate ka bhedi jo hai uske naam ka zikar bhi nahi karunga"

"Tumhe lagta hai tum mujhe blackmail kar sakte ho jante bhi ho kis se baat kar rahe ho? Kya hashr hoga tumhare saath tumhari naukri toh rahe na rahe tum bachoge nahi jaante ho aajtak hamare samne sar uthaane wala ka anjam kya hua?"

"Dekhiye Shah sahab waqt zaaya mat kijiye syndicate ki meeting shuru ho jayegi aapke theek saamne wo aadmi baitha hoga isliye keh raha hoo waqt rehte meri baat maaniye jo main chahta hoo fauran mujhe de dijiye khuda kasam Arif sahi salamat aapke aadmiyo ke haath lagega aur syndicate ka bhedi pakda jayega aur aapke aur mayor ke election ke beech fhir koi nahi aayega intelligence haath malte reh jayegi"

"Theek hai batao kya chahte ho?"

"Pure 1 crore itni rakam aapke liye sasti hogi"

"Tumhara dimaag kharab ho gaya"

"Waah aapke liye apne mehekme se gaddari kar raha hoo aapki itni madad kar raha hoo aur uske silhe aapko ye bhi qabool nahi"

"Main chahu toh mere aadmi tumse waise bhi sach ugalwaake tumhe jaan se maarke Arif ko tumhare kabze se uthaa laa sakte hai"

"Koshish kar lijiye kyunki main aaj hi shaam yaha mauzud hoo uske baad hahaha dobara kisi ko dhundhe nahi milunga rakam jald se jald Kingsway lane pe pahuchwaiye apne daaya haath Usman ko bhejiyega jo mere piche pada hai mera khoon karne khabar kar dijiyega oose"

"Theek hai lekin agar ye koi bluf nikla to tumhari maut pakki chahe kahi bhi gayab ho jaoge dozakh se bhi dhundh nikalunga"

Zaher baddhi si hassi hasa aur usne phone cut kar diya....Shah Alam kaafi gehri soch mein tha usne ghar pe phone kiya janne mein waqt nahi laga ki Arif faraar ho chuka tha wo chahta to Arif ko marwa deta par beti ke irade se pehle wo koi galat kadam nahi uthaane wala tha usne Usman ko phone karke paiso ka intejam karke oose Kingsway lane rawana hone keh diya,

Abhi usne phone cut Kiya hi tha ki ek message aaya ek naye anjaan number se jispe syndicate ke bhedi ka naam aur tasveer tha oose dekhke Shah Alam ka khoon khaul utha

steward !!

Syndicate ki meeting shuru hone waali thi sab bari hastiya us waqt table ke aamne saamne baithi huyi thi mukhya kursi pe Shah Alam ke bagal mein syndicate ka president Russian mafia baitha tha steward us waqt Shah Alam ke ekdum saamne baitha tha usne apni Tye mein lagi choti si camera ka angle Shah Alam ke nazdeek kiya sabkuch uske jeb mein rakhkke phone pe record ho raha tha,

Shah Alam ekdum nischint baitha tha achanak Shah Alam ne Russian mafia se adab se do baat kaan mein kaha jise sunke Russian mafia ka chehra gambhir hone laga usne sidhe baithte huye Shah Alam ko kehne ka huqam diya

"Syndicate ki is saal ki baithak mein bahut hi bhaari baat ho gayi hai lagta hai kisi ko hamari taqat se khelne ka shouk hai wo janta nahi tha ki saanp ki maand mein usne kadam rakh diya hai gentlemen main aapko us dhokhebaaz ki shakal dikhana chahta hun"

Itna kehte hi jaise steward kuch samjh nahi paaya do haath piche se ooske pure badan ke kapro ki talashi lene lage steward hadbadaya ghabraya fhir chillaya "how dair they? Lord ye sab kya ho raha hai ye kya badtameezi hai? Ye syndicate ka kya sulooq hai apne mehmaano ke saath"

"Mehmaan nahi my friend steward bhedi syndicate ko expose karne ki bhaari gunaah"

Steward ke chehre ne rang badla Shah Alam muskuraya kuch hi dair mein Tye se nikla camera aur jeb mein rakhkka phone lord Russian mafia ke samne mauzud tha..Russian mafia ne qeher bhari nigaho se steward ko dekha tamaam chehre us waqt sannate mein gambhir steward ko hi ghurr rahe they,

"Shah Alam is gaddar ko yahi saza do taaki bhavishya mein syndicate ko koi halke mein na le"

"Ye sab sazish hai lord ye sab!"

Steward ke lavz uske munh mein hi reh gaye kyunki usi waqt palak jhapakte Shah Alam ne nirdayta se bhari meeting hall mein steward pe ek ke baad ek goliyo ki bauchar kar di thi steward goliyo se challi hokar wohi zameen pe dhair ho gaya, tatkal uski laash meeting hall se kuch aadmi ghaistke le gaye piche reh gayi toh sirf khoon ke sailaab,
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #13 on: February 15, 2023, 11:28:39 AM »
"Tumne mujhe abhitak bataya nahi ye kaun zariya hai? Jo tumhare liye itna kuch!"

"Mera customer tha Arif main jhoot nahi kahungi kuch nahi chupa sakti main"…...eshrat rone lagi Arif oose sambhaalne laga

"Uske dil mein bhi mera dard janne ko betaabi huyi meri kahani sunke wo meri madad ko tayyar ho gaya wo tumhe bhi janta hai isse zyada maine kuch nahi kehna tum usse khud miloge"

Arif chup ho gaya usne ek baar fikar se piche palatkar dekha achanak ek tej gaadi oose apne piche aati dikhi pehchanne mein dairi nahi huyi wo Shah alam ke aadmi they,

"Unhone humhe dekh liya?"

"Driver gaadi tej chalao Kingsway lane pahuchne hi wala hai humhe inhe chakma dena hoga kisi bhi tarah"

"Eshrat maine tumhe pehle bhi kaha tha mere liye itna khatra mat molo tum anika aur uske parivar ko nahi janti"........dhadhakte dil pe kaabu paate huye arif ne kaha

Achanak goli chalne ki awaz Arif aur eshrat dono hi dehel gaye, samajhte dairi nahi lagi ki gaadi ko rokne ke liye goliya chalai jaa rahi thi taxiwale ne dehshat mein mor kaanta toh ek aati gaadi se takra gaya eshrat aur Arif dono ko chot aayi fhir gaadi ulte raaste mein daudne lagi sadak pe aftratafri mach chuki thi,

"Piche le rok unhe goli maar tyre pe goli maar sirf wo ladka Zinda milna chahiye baakiyo ko goli se uda dene ka"

Ek admi ne driver ko gaadi modne kaha apne bando pe chillate huye usne taxi ki taraf sar khidki se nikaalte huye fire kiya nishana sidha nahi baitha ek to gaadi tej raftar mein bekabu thi aur taxi ka bhi wohi haal tha,

Achanak gaadi unke taxi ke nazdeek aayi ek fire hua sheeshe pe goli lagte hi taxiwaale ke gardan pe jaa lagi usne ek baar saas kheecha aur gardan pakde huye darwaje se bahar ja nikla uska aadha shareer bahar latak raha tha gaadi bekabu ho chuki thi driver marr chuka tha darr aur dehshat mein Arif kuch samjh nahi paa raha tha ab agar usne himmat nahi ki toh gaadi ka accident tayy hona tha,

Usne aage badhkar eshrat ko jhuke rehne kaha jaldi jaldi wo driving seat pe aa baitha usne na chahte huye bhi driver ki laash ko bahar dhakel diya laash chalti gaadi se jaa giri Arif ne steering ko sambhaala aur tamaam aati gaadiyo ke beech se rasta banane laga gaadi uske kabu mein thi par speed mein thi,

Piche gaadi se dobara firing hua is baar nishana tyre pe tha Arif ne daaye taraf gaadi mor di toh uski dekha dekhi aadmiyo ne bhi apni gaadi uske gaadi ko overtake karne ke niyat se laga di lekin tabhi Arif ne puri taqat se unki gaadi se bina takraaye dusri taraf gaadi tej raftar se mor di wo bridge ke upar they kinaare ki railing se gaadi buri tarah ghisste huye dobara sadak ke beech aa gayi is beech gaadi walao ne firing pe firing kiya taxi pe goliyo ke ched banne lage piche ka sheesha khanaak se tuta eshrat cheekhte huye gaadi ke nichle seat pe ja jhuki, Arif ne puri speed badha di kingsway lane mein gaadi daakhil ho chuki thi,

Achanak piche tyre phata goli is baar lag chuki thi Arif beqabu hoti gaadi ko rokne laga aur theek tabhi uski gaadi sidha port area ke sadak pe kalabaazi khaate huye daaye container ke sirhe se jaa takraayi us beech Arif ko aisa laga jaise uska sar bhinna gaya ho chot se uske daaye taraf khoon aa gaya usne haafte mataaye halat mein piche eshrat ko uthaya piche gunde ki gaadi nazdeek aa rahi thi Arif bahar nikla usne jhatke se pichla darwaja taxi ka khola aur eshrat ko bahar kheech liya dono furati se waha se daudne lage...gaadi rokkar uske piche Shah Alam ke aadmi bahar chalang maarte huye daude,

Arif girti eshrat ko taqat se uthaaye containero ke beech ghus gaya Shah Alam ke gunde ne ek do baar firing karke unhein rokna chaha lekin tabtalak wo ghus chuke they,

Arif ne eshrat ko container ke pichle bhaag pe roka usne apni taraf badhte oosi hotel waale moshtande pe chalang laga di wo dono container se takraaye furati se arif ne banduk uske haath se cheen li tabhi ek laat moshtande ne oose de maari wo aundhe munh zameen pe gira lekin tabtalak haatho mein mutthi bhar mitti usne us moshtande ke munh pe faikh di aur banduk ke sirhe se uske kanpatti pe de maara wo ghutti cheekh ke sath wohi dharashayi ho gaya,

Uski cheekh sun waha idhar udhar bikhare gunde pahuchne lage Arif ne palbhar mein banduk saamne waale gunde pe taan di gunda hadbada gaya...."banduk faiko"...jaise usne suna hi nahi tabhi Arif ne piche se bhaagte aate gunde ko dekha palbhar mein Arif ne fire kar diya goli sidha piche bhaagte aa rahe gunde ke tang mein jaa lagi wowohi gir pada Arif ne furati se saamne khade gunde pe goli taana....."tum acha nahi kar rahe agar hukam na hua hota to tujhe kabka goli"

Arif ne bina uski baato ki parwaah kiye goli ki naal uske sar pe de maari wo bhi wohi gir pada...Arif ne eshrat ki taraf dekha dono haath thaame container se waapis bahar bhaagte huye nikle....achanak unhone khud ko bache kuche shah Alam ke aadmiyo se ghira paaya sabki banduk un dono ki taraf Tani huyi thi...."banduk phaik aur ladki se dur ho jaa"....lekin eshrat arif se alag nahi huyi,

Arif soch nahi paa raha tha ki ab kya kiya jaaye? Achanak tabhi ek sath kayi goli chali aur wo teeno aadmi wohi zameen pe girke dhair ho gaye Arif aur eshrat dono ki nazar daayi taraf container ke upar khade chashma jacket aur jeans pehne ek shaks pe huyi jiske haatho mein banduk thi aur usske nali se dhua uth raha tha,

"Zaher Ali"....eshrat ne jaise Rahat mehsus ki

Zaher muskuraye niche kudte huye untak pahucha usne paas aakar eshrat ki taraf dekha eshrat jaise kis tarah uska shukriyada kare ye sochkar uske gale mili, Arif samajh nahi pa raha tha ki ye aadmi kon tha aur kyu ye unki madad kar raha tha? Usne ek nazar sabhi mare pade Shah Alam ke aadmiyo ko dekha fhir zaher ke mukhatib hua,

"Mujhe malum tha ki eshrat tum Arif ko yaha le hi aaogi"

"Main abtak samjha nahi ki aap ye sab kyu kar rahe hai? Kaun hai aap?"

"Ye hamare madadgar hai Arif ye s.d.i officer hai jo tumhare anika aur uske abba shah alam ke khilaaf kaam kar rahe hai aur jnhone mujhse waada kiya hai ki main tumhe yaha tak le aau taaki ye humhe ba hifazat yaha se siberia bhej denge"

"Bhejenge zarur bhejenge lekin Siberia nahi hahaha jannat aur wo bhi sirf tumhein kyunki tumhara kaam ab pura hua meri jaan"

Zaher ne kehke aise muskuraya ki uski muskurahat mein Arif aur eshrat dono ko beimani aur Dhokha nazar aane laga....eshrat ko jaise pehle yakeen nahi hua uske chehre ne kayi rang badle fhir usne ghabraate huye zaher se kaha

"Kya keh rahe hai aap?"

"Bilkul sahi keh raha hoo meri jaan kyunki ab tumne apna farz nibha diya hai Arif ko yaha laake lekin main nahi chahta ki main tumhe ab aur andhere mein rakhu ye sab jo kuch maine kiya tum dono ke liye nahi sirf apne liye kiya

Janti ho kyu? Kyunki Arif ko yaha laana tumhare zariye Mera plan tha main isi firaaq mein tha ki tum Arif ko yaha le aao fhir vaade mutabik main Arif ke badle uske hone waale sasur se ek bari rakam lu aur iska sauda karu"

Ye baat sunke jaise eshrat aur Arif dono aasman se gire unhe bahut bada jhatka laga tha...."kya bak rahe ho tum kameene? Tumne mujhe dhoka diya mere feelings ke saath khela u bloody ba***d"

Eshrat jaise zaher ke baazu pakde oose jhinjhodne lagi zaher ne oose dhakela aur kheechkar ek thappad uske chehre pe de maara Arif dahada toh zaher ki banduk uske maathe se kayi faasle dur tann gayi,

Eshrat aansu ghule nazaro se zaher ko dekhne lagi fhir usne muzrim nazaro se Arif ko dekha,

"Hahaha dekha ise Arif ye do takke ki naachnewali kitni bholi hai isne baccho ki tarah meri baat maani aur ye socha ki main iski madad karunga darasal ise khud nahi malum ki maine jaanbhujkar ise hire Kiya tha taaki ye tumtak nazdeekiya badha sake aur tumhare se jaani har ek baat mujhtak pahuchaaye main janta tha Shah Alam ke khilaf mere saare zariye aur khabri fail ho chuke they isliye maine socha kyu na? Shikaar ko hi blackmail kiya jaaye maine Shah Alam se sauda kiya uske hifazat ka aur uske damaad yaani ki tumhara mujhe malum chala ki aajkal tumhari aamad daraft kothi mein aksar ho rahi thi main janta tha anika wehshi aurat hai lekin baar baar tumhare aane jaane se mujhe ek gehra zariya mil gaya tumhari chaanbin ki toh mere haath dalaal joseph pe padi pehle to usne munh nahi khola,

Fhir ek aad torture dene ke baad dheere dheere usne tumhari aur anika ke beech ke sambandh ki saari baat mujhe bata di ek gigolo ko usne apna Humsafar banana chaha tha waahh kya kahani hai? Khair ab main Shah Alam ke khilaf nahi tumhe zariya banaake balki ab usse main paisa aith sakta tha, tumhare saude ke badle crore rupye hahaha,

"Toh tumne eshrat ka fayeda uthaya aur mujhe zariya banaya yaha mujhe bulaane nahi balki Mera sauda karne"

"Yes my brother".....zaher ne baddhi hassi dete huye kaha

Eshrat jaise Tut chuki thi Arif se nazare mila paana uske bas mein nahi tha......"ab kisi bhi waqt Usman aata hoga lekin tabtalak main tumhe thikaane lagana chahta hoo taaki tum oose behosh pade milo fhir main crore rupya lunga aur yahi ke ek container se hamesha ke liye saat samundra par chala jaunga but till then don't u dare to go beyond me agar mujhse bahar gaye toh anika ko milegi toh sirf tumhari laash!

Eshrat ne palak jhapakte hi zaher pe hamla kar diya wo jaise Arif ko bhagaa dena chahti thi, Arif ne aage badhna chaha lekin tabhi goli ki awaz huyi eshrat dohri hoke gale se dard bhari awaz mein pait pakde cheekhti huyi zameen pe jaa giri, uske pait se betahasha khoon behane laga,

Arif ne oose thaam liya eshrat kanpte hontho se aansu baha rahi thi wo kaanpte huye khoon sane haatho se aakhri baar Arif ko dekh rahi thi,

"Tumhe kuch nahi hoga eshrat tum nahi marr sakti"...... Arif rone laga pagalo ki tarah eshrat ko thaamein raha

"A..riff m..mera waqt aa gaya allah taala se meri m..agfirat ki dua kar..na maine tumhe fasaa diya k..aash main tumhe is daldal se b..ahar nikaal paati is duniya mein kiye har gu..nah ki s..a..za m..ujhe mil chuki apna khyaal rakhna"

Arif ne paaya uski aankhe teher gayi thi uska haath jo uske chehre pe they zameen pe gir pade they, Arif uske maathe pe sar rakhke rone laga, zaher bedardi se khamosh raha fhir usne Arif ko uthne kaha

"Ch..ch..ch afsos ye sab kuch tumhare wajah se hua hai waise bhi ise marrna toh tha acha hua ki isne mujhe zyada waqt nahi lene diya bechari thi bahut naadan kisi pe bhi aankh mundkar bharosa kar leti thi ek raat soya bhi tha kya namkeen badan tha iska sss haaye"

Arif ka jaise khoon khaul utha usne gulabi nazaro se bina eshrat ke chehre se sar uthaaye zaher ki baat suni usne furati se eshrat ke laash par se ludakte huye sidha ek laaat zaher ke pait pe de maari zaher ko mauka bhi na mila aur wo dum saade zameen pe gir pada,

Usne gusse se arif ki taraf dekha aur Arif khada badle ki aag mein mutthiya beeche oose ghurr raha tha zaher ne furati se banduk tak haath le jana chaha lekin Arif ne ek laat uske chehre se guzarte huye sidha uske haath aur paas padi banduk pe de maari banduk aur dur Jaa giri zaher ne uske pao par apne laat ki tokhar zameen pe pade hi de maari Arif peeth ke bal zameen pe jaise gira tha waise hi furati se uth khada hua,

Zaher bhi sambhal chuka tha Arif bhi tayyar tha dono ki Saqt nazarein aapas mein takraayi aur uske baad na arif ruka na zaher fhir shuru huyi jaise un dono ke beech jung!





Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #14 on: February 15, 2023, 11:42:50 AM »
Shah Alam ka gunda jiski taangon mein goli lagi thi us waqt hosh mein aa chuka tha usne larhkharake mahoul ka jayeza lene ke liye zameen pe ghassitkar container ki diwar ka sahara liye khada hone laga,

Usne kone se chupkar bahar dekha oose Arif aur zaher haathapaayi karte huye dikhe, Arif ki chalai goli se wo mazbur tha apni padi banduk tak wo pahuch nahi sakta tha usne apni jeb se phone nikaala aur sidha anika ko phone lagaya,

Anika ne phone uthaya wo aadmi oose waha ho rahe pal pal ki khabar dene laga, jo kuch waha guzara tha usne sabkuch bata dala uske aadmi dhair ho chuke they jo ladki Arif ko parlour se liye faraar huyi thi wo bhi ek or marri padi thi,

                                   --------

Idhar Arif zaher se uljha hua tha usne zaher ke chehre pe do baar vaar kiya ghusse ki chot se zaher zameen pe gir pada aur usi dugni teji se usne sar Arif ke pait pe de maara Arif ko kamar se thaamein wo jhuke hi oose container ki diwaar se le jaa takraaya Arif ke peeth aur pichle sar pe chot ki tej leher daudi lekin Arif ko jaise khud ki parwah nahi thi, usne apni kohni ka vaar zaher ke jhuke peeth pe kiya zaher ghutno ke bal gir pada Arif ne uske chehre pe bhaari ghuse ka ek vaar karke oose zameen pe dhair kar diya,

Aisa laga jaise haalat ab uske kabu mein they lekin tabhi zaher ne ekdum se aankh kholi aur Arif ko sambhalne ka mauka nahi diya usne Arif ke baayi taraf laat maari aur apni baanh se uske girte hi gardan ko saanp ki tarah lapait liya uski gardan ko dabochne laga Arif ki saans ghutne lagi wo zaher ki pakad mein chatpata raha tha zaher oose zameen pe giraaye uske gale ko apne baazuyo se mazbuti se daboch raha tha,

Itne mein Arif ke nazar ke saamne eshrat ka chehra ghuma oose eshrat ka badla lena tha oose zaher ko uske kiye ka saza dena tha Arif ne puri taqat se khud ko uthana chaha par zaher ki pakad mazbut thi wo hassne laga Arif ne puri taqat se zaher ko apne saath utha liya zaher uski taqat ka andaza nahi laga paaya tabhi uske baaye taraf Arif ke kohni ka vaar hua wo dohra hoke piche jhuk gaya Arif ki gardan se uski pakad dheeli pad gayi Arif ne uske baazuyo ko apni gardan se jhatka aur palatte huye uske seene pe laat de maari,

Zaher dur container ki diwaar se jaa takraake zameen pe girkar dhul chaant raha tha, uska chehre ke ird gird se khoon beh raha tha Arif ne paas pada ek lohe ka tukda uthaya aur uthte zaher ki taraf badha usne ek ke baad ek zaher ke shareer ko nishaana banate huye kayi taraf vaar kiya zaher zyada dair tik nahi paaya aur wohi zameen pe aundhe munh gir pada, Arif chahta to oose wohi maar daalta lekin uska zameer is baat ki gawahi nahi de raha tha,

Usne lohe ka tukda wohi chodha aur waha se chale jaane ki tarqeeb sochne laga, wo Shah Alam ki admiyo ki gaadi ki taraf badhne laga hi tha ki achanak uske sar par lohe ka vaar hua us hamle se arif sar pakde piche mudkar dekhne ke liye ghuma uske haatho mein khoon tha aur sar buri tarah chakkar khaa raha tha usne dhundhlahat nazaro se zaher ko khoon mein mubtala muskurata khada paaya zaher ne bedardi se wohi lohe ka tukda jo Arif ne oose marke zameen pe bedhyani mein faika tha usse ek aakhri hamla Arif ke baaye kanpatti pe kiya

Arif zameen pe dhair ho chuka tha, zaher ne khoon munh se thookte huye uska jayeza liya, uski aankh dhal chuki thi par nabz chal rahi thi, usne socha ki lohe ka tukda uske seene mein utaar de lekin oose Arif ko zinda chodh dena tha yahi uska plan tha oose dur apni jahaz dikhi jo baaye taraf ke pier ki or se rawana hone wali thi oos jahaz pe ek container tha jispe oose sawaar hona tha,

Achanak uski nazar kisi gaadi ke aane ki shor se chaukkna huyi usne palatkar dekha Usman hi tha akela, zaher janta tha Shah Alam ke aadmi aur bhi aa sakte they isliye usne plan ke mutaabik Arif ke behosh jism ko ghassitte huye ek gully ke kone mein le aaya jaha uspe kisi ki nazar nahi padne wali thi,

Uska phone bajne laga usne phone tatkal uthaya Usman ki bhaari fhatkar padti awaz oose sunai di,

"Kahan par hai?"

"Wohi pe teher gaadi ko rok suitcase ko chalti gadi se fhaik dena aur aur sidha nikal jaana"

"Aur Arif kahan hai?"

"Jitna kaha hai utna kar Arif ko hosh aate hi wo tujhe pier mein pada milega abhi waha jaane ka khyal chodh wo tujhe nahi milega"

"Bakwas kar raha hai janta nahi shah Alam se panga lena kitna bhaari padega?"

"Jitna keh raha hoo utna kar Arif tujhe sahi salamat mil jayega meri baat maan suitcase faikh aur bina ruke sidha nikal Jaa aur fhir 5 min baad ulte waapis aana pier ki taraf jaana Arif mil jayega"

"Agar ye koi bluff nikla toh khairiyat soch lena apni"

"Jitna kaha hai utna kar Shah Alam ke naukar"

Usman ka gussa bhadhak gaya wo ek baddhi gaali deke phone cut karke aage badhne laga oose pehle hi anika ne plan ke mutabik bataya tha ki unka ek aadmi wohi chupke zaher pe nazar rakhke huye tha Usman ko chalti gadi se suitcase fhaikna tha aur bina ruke sidha guzarte huye dugni raftar ke saath waapis mudkar wohi pahuchna tha aur zaher ko dhar dabochna tha uske suitcase uthane se pehle,

Suitcase faikhte huye usman ki gaadi waha se guzarte huye aage badh gayi lekin zaher bhi kam shaatir nahi tha usne chupkar saari harqat note ki, usne trigger kheecha aur dhaaye se goli ki awaz charo taraf gunzi Usman ki gaadi ka tyre phata aur lagbhag kalabazi khaate uski bekabu speed mein gadi sidha zameen pe ulat gayi, zaher teji se bhaagte huye uske kareeb aaya usne paaya ki Usman ghayal gaadi se bahar nikal raha tha wo khoon se lathpath tha usne banduk Usman ki taraf taan di,

"Abhi Mera badla pura kahan hua? Mujhe maarne waala tha na tu ab chal tu jaa ke suitcase khol aur mujhe dikha ki waqayi paisa laaya hai ki nahi?"

"D..dhoka mujhe dhoka diya tune kutte"

"Tujhe aise thaamta toh kahan tu meri baat maan leta chal ab chupchap pairo pe khada ho aur suitcase jaha faika hai waha tak chal suitcase kholke mujhe itminaan kar tab main tujhe jaane dunga"

Zaher uske peeth piche gun taanein chalta raha aur Usman langdaate suitcase tak pahucha "yaha kisi bhi pal mere aadmi aur anika memsahab pahuch jaayenge tu Bach nahi payega"

"Suitcase khol"....laparwahi se zaher ne uske khopdi pe gun ki nali chubaayi

Usman dard se bilbila utha usne jhukkar suitcase kaanpte haatho se khola usmein waqayi rupya tha lekin zaher ne oose noto ke bundle uthaane kaha kyunki paiso ke niche raddiya daalkar hamesha dhoka diya jata tha wo asli note bhi nahi ho sakte they,

Lekin wo asli note they, zaher ne muskuraya aur trigger kheech di usman wohi laash banke gir pada, Usman ko maarne ke baad zaher ne note parkha aur wapis suitcase band kiya aur usi raftar se daudte huye apni jahaz ki taraf bhaagne laga isse anjaan ki Shah Alam ka ek aadmi uspe nazar banaye huye pal pal ki khabar anika ko de raha tha,

Achanak zaher tehra koi piche khada tha  usne piche mudkar dekha toh hadbada utha Arif kabka hosh mein aake khada ghayal khoon se lathpath oose hi ghurr raha tha zaher ne banduk jeb se nikaalke uski taraf taan di wo oose shoot karne mein ab gurez nahi karne wala tha usne Arif ko agaah kiya wohi teher jaane kaha par Arif ruka nahi wo zaher ki taraf daudte huye aane laga zaher ne honth bheechte huye nishaana lagaya goli sansanaate huye arif ke bagal se guzar gayi Arif sambhal gaya usne dusre hi mauke pe apne haath mein mauzud banduk se zaher pe goli daag di zaher bhi sambhalte huye gir pada oose hairani huyi ki uske paas banduk kaise haath lagi?

Lekin tabtalak wo uth khada hua aur usne goli chalaai is baar goli Arif ke jaangh par lagi Arif fhirni ki tarah ghumkar zameen pe gir gaya aur dard se karha utha lekin palbhar mein usne goli dobara daagi is baar zaher ko apne pait mein goli lagti mehsus huyi wo sakdum waise hi khada raha usne tatolkar apne pait se nikalte khoon ko bhauklaaye dekha aur fhir Arif ki taraf usne gusse mein Arif ke sar ko nishana lagaate huye aakhri baar goli chalana chaha lekin tabhi helicopter ki awaz uske Kano mein padi jo ekdum paas aa rahi thi usne palatkar dekha helicopter kafi hadtak niche aa rahi thi aur usmein anika oose haatho mein sniper banduk liye baithi dikhi usne banduk zaher ki taraf taani aur oose focus mein daalte huye bina waqt gawaaye ek hi baar mein nishaana lagaya....sniper ki goli sidha zaher ke bheje ke aar paar ho gayi zaher Kate paid ki tarah zameen pe gir pada tha, Arif ne uski laash pe ek baar nigaah daudaayi aur fhir helicopter ki taraf dekha,

Helicopter zameen pe land kar chuka tha dusri hi taraf Shah Alam ke dhairo aadmi bhi gaadi se pahuch chuke they har koi daudte huye arif ki taraf badh raha tha, piche se goli lage larkharaate aadmi ne ek nazar arif ki taraf dekha fhir anika ke paas pahucha,

Anika ne banduk apne ek aadmi ko saunpi aur zaher ki laash pe bina nigah daudaaye uspar se laanghte huye Arif ki taraf pahuchi usne jhukkar arif ki taraf dekha hi tha ki Arif ki aankhe dhundhlaati huyi band hone lagi fhir ekdum se aankho ke aage andhera chaane laga tha,

                                -----------

5 years later

Arif office ke andar dakhil hua tamaam log uthkar taaliya bajaa rahe they Shah Alam Arif ke paas aaya usne Arif ko naye roop mein dekha tha Arif ne unki taraf muskurake dekha dusri taraf anika uske paas aayi jo saree pehne huyi thi,

"Aaj is mubarakbaad mauke pe main gumaan se keh sakta hoo mera daamad aajse is company ke kursi ko sambhaalega he is now the official ceo of this company pls give a big hand"

Taaliya bajti rahi Arif ne apni nayi kursi aur office ko dekha fhir anika ki taraf dekhne laga,

"It's all urs now arif just like me to u"

Arif ne kuch kaha nahi sar jhukaaye paanch saal pehle huye tamaam guzare beeti baaton ko yaad karne laga jab oose hosh aaya tha toh wo hospital bed pe pada tha anika doctor ke saath us waqt waha mauzud thi ek pal ko Arif ghabraya zarur tha lekin fhir khamosh raha,

Wo khatre se bahar tha oose jab kothi laaya gaya tab Shah Alam sheher pahuch chuka tha Shah Alam Arif se mila toh uska ravayya Saqt nahi tha usne Arif ko samjhaaya ki wo sabkuch bhulkar uski beti se niqaah kar le warna agar ab bhi wo razamand na hua toh jo abtak uske sath na hua wo ho sakta tha,

Eshrat marr chuki thi, zaher bhi anika ke haatho maara jaa chuka tha sirf wohi zinda bacha tha anika ko Shah Alam ne bataya ki Arif faraar nahi balki zaher ke plan ke mutaabik eshrat ke zariye agwa kiya gaya tha,

Anika ne Arif ko maanf kar diya aur sabkuch bhulaakar ek naye sirhe se khud ke sath zindagi jeene ka mauka diya, Arif ko ab koi raah nahi dikh rahi thi usne apni kismat ko qabul kar liya fhir kuch hi din mein anika se uski shaadi tayy kar di gayi, ab Arif anika ka hoke reh gaya tha,

Bas farq itna tha ki wo arabo ki jayejad aur Shah Alam ke kaale karobaar ka hissedar ban chuka tha jo zindagi usne chahi nahi thi aaj wo zindagi jee raha tha, intelligence waqayi haath malte reh gaye balki gayab zaher ki ye jhooti khabar lagi ki wo dhairo rupya haasil kiye Shah Alam se desh se faraar ho gaya tha uski koi khabar dobara fhir na lagi, mayor ki kursi Shah Alam ko mil gayi aur usne apne aadhe karobaar ka zimma Arif ko kursi pe bithaake diya, bas sarkar ke nazaro mein Shah Alam uski beti ke sath Arif ka bhi naam Jud chuka tha,

Arif apni nayi kursi pe baithe sheher ke nazare ko sheeshe se dekh raha tha usne socha nahi tha jis sheher mein uski haisiyat beaukwad badnaseeb gareeb ki thi aaj oosi sheher uske hukam ke taabe tha, uske dil mein jaise zazbaat na rahe, uske nazaro ke saamne shouhrat, izzat, rutba, aisho aaram ghum raha tha,

Uski bachpan se chalti aa rahi badkismati shayad oose isi mod pe laa khada karne ki firaaq mein thi jaha oose hamesha ke liye jeena tha,

Hamesha hamesha ke liye!

The end
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:06:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer