Geraft - (Sequel to "Bedard", "Anjaan" and "Firaaq" (love crime thriller story)

by ASIF on March 23, 2024, 06:44:21 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1278 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Dosto kaise hai aap? Main Asif haazir hua hoo apni ek nayi daastan ke saath jo 2024 ki meri pehli likhi story hone jaa rahi hai, is baar maine bedard ka sequel likha hai jo kahani 2018 romantic crime thriller thi, uske baad jo do crime thriller series likhi "anjaan" aur "Firaaq" unka is kahani se milaap karte ek naye andaaz mein maine ek crossover story likhi hai, jaha teeno daastan ke kirdar aapas mein jab takrayenge to kya manzar banta hai? I hope ye crime thriller cum romantic story aapko pasand aaye



Disclaimer :- This story is a fictional story, any characters places,events which written are completely work of fiction except using few real names,this story not intend to hurt any religious, political aur nation sentiments while not promoting any kind of crime and anti social elements, this story contain some obscenes which are written in controlled and few strong languages which has been the part as per storyline purpose not encouraging them at all, this story is originally written by Asif biswas original writer and request to the readers not copy the story but only share it with original yoindia link ✍️
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: March 23, 2024, 06:55:36 AM »
Is kahani ko kis sirhe se shuru Karu? samajh nahi aata zindagi to oosi din khatam hone waali thi jis raat Asif ne us naapak haram zalaal zindagi se hamesha ke liye kinaara karne ka faisla kar liya tha, wo us Nadi se bas kudne hi jaa raha tha ki achanak oose ek cheekh sunai di ek mazbur lachar ladki apni izzat ko hifazat karne ki koshish mein do badmasho ke Geraft mein aane se khud ko rok rahi thi shayad uska moqaam bhi ab jaan dene ka hone wala tha kyunki uska Rukh Nadi ki taraf tha isse pehle wo kuch faisla kar paati Asif ko ek nayi zindagi jeene ki wajah mil gayi aur kab wo uske zindagi mein dakhal hua oose khud malum na chala,

Ek mohabbat ke liye usne galat rasta ikhtiyar kiya tha aur aaj ek aur mohabbat ke liye wo aaj us galat raaste se nikal jaane ka rasta ikhtiyar kar raha tha, us ladki ka naam syeda arnisha tha jisne pehle oose bhi auro ki tarah apna dushman samjha lekin baad mein oose apni galti ka ahesas hua aur kab wo gairo se apna ban gaya oose khud malum nahi chala aur is tarah ek ke baad ek musibat, aafat aur imitihan ko paar karte huye Asif ba hifazat arnisha ko uske ghar le jaane mein kamyab hua lekin jo kurbaani usne di shayad hi koi aisa kar paata jis jeene ki wajah se wo uske saath tha wohi wajah oose fhir ek baar akela kar chuki thi (padhe puri kahani "bedard" mein) aur aaj wo gumnaam tha lekin oose kya malum tha ki is ajnabi watan mein ek nayi daastan uska intejar kar rahi thi...

Adam naukri ki talash mein jab naye sheher aaya tha toh usne socha nahi tha ki wo aisi nazaro mein pad jaane wala tha ki jo uske zindagi ko jaal ka janjaal bana Dene wali thi wo kismat hi tha ki Malik sahab uska beta aur usse badhkar uski sociopath beti ke changul se wo riha hone mein kamyab ho paaya, tamaam sabuto ke tehet safa aur uske parivar ko saza ho gayi thi aur adam sarkari gawah unke virudh gawahi dekar adalat mein unki saza ki sunwai se pehle hi waha se apne sheher dobara ruksat kar gaya tha oose laga ki ab wo surakshit tha aur musibat se azaad lekin wo janta kahan tha ki jis musibat ko bhula kal samajhkar wo hamesha ke liye bhulakar ek naye sirhe se jee raha tha wo ek nayi daastan ka rukh mor chuki thi....(padhe adam ki pichli kahani "anjaan" a thrill love tale mein)

Ek aur pichli dastan thi jo abhi baaki thi Shah Alam Malik sahab ki tarah ek uche raees sheher ka jaana maana rasukh tha aur ab mayor ki kursi par kaabiz ho chuka tha, uski iklauti beti Anika jiska pehla shouhar rahamsayi maut maara gaya tha ya unhi ke hatho marwa diya gaya tha ab dusri shaadi kar chuki thi aur apne baap ke safed dhandhe aur rajneeti ke ot mein apna gair kanooni dhandha aaram se sambhal Rahi thi , Arif bhi ek mazbur ladka tha jo paise ki imdaad mein sheher aakar rozi talash raha tha lekin badkismati ne oose galat kaam ki taraf dhakel diya tha pehle deh vyapahar uske baad Anika ke tukdo pe palne wala uska rakhel (gigolo) bana Arif apne dushman ke dushmano ke nazaro mein bana ek shikar tha lekin waqt rehte isse pehle wo unka bhoj ban paata Anika ne oose bacha liya tha inteligence ke corrupt officer zaher ki maut ke baad aur eshrat ke nakamyab madad ke bawjud Arif ne kismat ko maante huye Anika ko apna sabkuch Maan liya tha aur dekhte hi dekhte wo khud unke kaali dunia ka ek hissa ban chuka tha ek smuggling dealer ek gair kanooni Dhandhe mein Shah Alam ka front aur syndicate jaise mashoor desho ke crime lords ki sangthan ka jaana maana ek member lekin wohi dunia uski khatam nahi hone wali thi kyunki ek nayi dastan uska bhi intejar mein thi...(padhe "firaaq" is kahani ka pichla bhaag)

Ye teen daastan aapas mein kahi na kahi ekdusre se judne waali thi, aur in teeno kirdar aur unse Jude kirdaro ko malum nahi tha ki aapas mein in teen zindagiya takraane se kya aehem mor aane wala tha? Aur kya tufaan laane wala tha?

                               ---------

"Cheers cheers everybody"

Us party hall mein jashnn ka mahoul tha Shah Alam hassta tahake lagaata apne daamad ke aagman mein champagne khol kar uske fawaare hawa mein udaate huye tamaam mehmaano ke glass mein daal raha tha, wo mayor ka private party tha aur waha tamaam chehre unhi ke janne waalo ke they bahar ka koi bhi aadmi waha na aa sakta tha aur na aane ki zurrat kar sakta tha

Itne mein Asif ne waha kadam rakha wo muskuraye bhari kadamo se apne sasur Shah Alam ke rubaru hua Shah Alam oosse bagalgir hokar mila Anika pehle se zyada khubsurat lag rahi thi wo ek taraf khadi is nazaare ko dekhkar mand mand khush ho rahi thi,

"Ladies and gentleman mujhe khushi hai ki Mera damaad Arif aap sabke rubaru ek baar fhir khada hai humne to socha ki shayad us steamerboat incident mein waqayi humne ise kho diya hum Tut chuke they yakeen maaniye wo waqt kaise humpar  aur hamari beti par bhari guzra hum hi samajh sakte hai lekin allah ko jo manzur ho wohi hua aur hamara daamad nai zindagi paakar lautkar aaya hai"

Tamaam mehmano mein hairat aur khushi saaf Zahir huyi par Asif kashmakash mein uljha banawati muskurahat diye khada tha

"Toh Arif tum bache kaise?"

"Dekhiye abhi ye lambi behoshi se jaaga hai behrehaal ise apne dimaag par zor mat lagane dijiye hamare dushmano ne hi Arif ko jaan se maarne ki nakam koshishe ki thi mauka paakar Arif azaad hone mein jalti steamerboat se kamyab to hua par samundra mein chot khaaye dub jaane ke baad waise ye ek machware ko kinaare mila aur ise fauran pehchaante hi usne pehle police ko fhir humhe ikthila kiya malum chala ye coma mein tha pure 6 mahine aspatal mein bharti raha aur ab jaakar aap sabke ye rubaru chalkar aaya hai"

"May god bless u Arif tum nahi jante Shah Alam aur Anika tumhe leke kitna pareshan they?"

"Kitna pareshan hahaha kaun Arif? Wo Arif jise zinda ye log abtak samajh rahe hai wo to waqayi kabka pehle marr chuka oosi boat par aur jo unke saamne khada hai wo Shah Alam ka damad nahi ek badkismat tufaan se udte ek sukhe patte ki tarah ek naye jaal mein fasa Asif hain jo unke aage khada kiya gaya hai jise har haal mein ye yakeen dillaana hai ki wo Asif nahi Arif hai mayor sahab ka damad Anika ka shouhar"

Apne se baatein karta Asif ko kab Anika ne paas aakar soch ki gehraiyo se jhinjhoda oose ahesas na hua wo hadbadaya, Anika  saqt nigaah aur banawati Khushi zaahir karti oose hi ghurr rahi thi,

"Shall we dance now?"

Apne lambe nakhuno ko asif ki gardan mein chubaati Anika ne jaise oose hukam diya na ki sawal kiya, Asif ne haami bharte theek Arif ki tarah hi sihme ooske sang chalte baaki couples ke beech dance floor pe oose le aaya Shah Alam muskurakar unhe ghurr raha tha, Haqeeqat se jitna Anika waqif thi wo bhi waqif they, ki ye uska damad Arif nahi uska humshakal Asif tha,

"Kisi ko mehsus na karo ki tum kaun ho? Dheere dheere tumhe iski aadat pad jayegi?"

Kaam mein phusphasati anika ne jaise daant peeste huye kaha Asif uske ek ek shabd se andar hi andar ghutt raha tha wo chahke bhi kuch nahi kar sakta tha?

Past....

Anika ki kaali Mercedes apni puri raftar se ghati ke sirhe se guzar rahi thi oose dhalaan se hi saamne base mental asylum ki jhalak mili wo aise jagah par basa tha jo kayi acro mein faila tha Anika apne chashma ko theek karti saamne dekhne lagi gaadi jald hi khubsurat ghaati ke raste ko paar kar us mental asylum ke lambe fhatak ke khulte hi oose paar karte huye ek lambi sadak par chalne lagi jo daayi taraf ek compound mein ja khatam ho raha tha wo us aspatal ka main gate tha gaadi waha ruki,

Ek karamchari ne aake gadi ka fatak khola Anika gaadi se utari usne udti nigah charo taraf daudaate huye saamne sidiyo ka faasla pura kiya aur bheetar dakhil huyi, jald hi ek doctor tej tej kadmo ke sath uske sang chalta oose samjhaata lift se oose paanchvi maale pe le aaya charo taraf darwaje lage huye they sirf beech ki jaalidar choti si khidki se haath dikhaate oose kuch mariz dikhe har kamre par waisa hi darwaja tha aur darwaje ke us paar ek mariz tha,

"Ye hamara solitary confinement section hai yaha tamaam mareez ya to behad violent hai ya fhir murderer har ek par murder charges hai"

"Wo kis waale room mein band hai?"

"Malik sahab ki beti safa wo Kone waale mein hai aaiye"

Doctor ne pehle us darwaje ke jaalidar khidki se andar jhaaka aur fhir usne mudkar Anika ke liye waha se hatkar jagah banayi Anika ne chashma utaare andar jhaaka kamra kaafi bada tha aur tamaam uchi chaar diwaari mein sirf uspar chuhe daani jaisi choti si khidki se bahar ki tej dhoop ki roshni andar padh rahi thi, kamre mein ek Mari huyi si bulb ki roshni jal rahi thi aur theek diwaar ke ek kone mein sar chupaaye baithi ek dheeli neeli poshakh pehni ladki thi, uske baal bikhre huye saamne latak rahe they,

"Kal hi injection Diya hai kabhi kabhi hi violent ho jati hai adalat ka aadesh hai ki jabtak wo puri tarah se mansik theek nahi ho jaati tabtak oose jail na bheja jaaye"

"Kya saza hui ise?"

"Apne shouhar ka qatal aur baap aur bhai ke gair kanooni dhandhe aur jurm mein shariq paate huye umarkaid jabki Malik sahab ko faansi ho chuki hai aur inka bhai ab bhi jail ki umarkaid ki saza kaant raha hai, adalat mein hi inhe daura padne laga aur ye apna mansik santulan kho baithi adalat ne faisla kiya inhe yaha bhejne ka waise hamesha lavz pe ek hi naam rehta hai koi adam ka suna hai unse mangni huyi thi geraftari se pehle bataur wo sarkari gawah bhi bana tha inke case ka itna hi jante hai ki desh chodhkar usi waqt jaa chuka"

"Darwaja kholiye"

"Theek hai lekin agar unhone aapko pehchanne se inkar kiya ya fhir wo hinsak ho gayi toh"

"Wo meri purani dost hai wo mujhe chot nahi pahucha sakti"

Doctor ne sehmati mein darwaja khol diya aur unhe andar jaane aur 15 min hi rukne ki ijajat di, Anika andar safa ke pehlu ke paas khadi huyi,

Kisi ki mauzudgi ka ahesas paakar safa ne nazare uthayi Anika ne dekha ki waqayi wo hamesha se dikhti khubsurat Ameer zaadi safa nahi balki koi barso ke gam aur sadme mein dubi pagal si lag rahi thi, uske aankho ke niche kaale ghere padh chuke they lekin nazare ab bhi waise hi kaatil prast thi, Anika uske paas jhuki aur usne nam nigaho se uske chehre pe haath phaira

Dekhte hi dekhte safa ke aansu ubal pade aur wo Anika ke gale lagkar rone lagi, Anika uske baalo par haath phairkar oose chup kar rahi thi,

Kuch hi waqt baad safa ne apne zazbat ko sambhal liya tha aur ab wo fhir saqt hokar gulabi nigaho se Anika ke paas baithi uski baatein sun rahi thi, uske zehan mein bas adam ka aks ubhar raha tha...

"Maine suna ki tumhare saath kya beeti? Invitation par hum pahuch nahi paaye they tumhare engagement mein fhir ekdum se Malik uncle aur tumhare family ki tragedy suni mere bhi life bahut kuch upside down se guzri thi wo to ab jaakar mauka haath aaya warna business aur dad ki mayor ban jaane ke waqt se hi time nahi mil paa raha tha yakeen maano tumhe normal dekhkar mujhe bahut khushi huyi main tumhe jald se jald yaha se azaad karungi"

"Mujhe azaad karke kya milega ab Anika? Tum to janti ho Shah Alam uncle aur mere Abba kitne gehre dost they lekin ab dekho kahan tum? Kahan main? Mera sabkuch cheen liya jaa chuka hai aur usse badhkar mera mohabbat mujhse dur ho gaya mere khilaf usne gawahi di lekin ab aur nahi mujhe is chaar diwaari se ek baar nikal jaane do uske baad main apna inteqam lungi"

"Tum kaho to ye kaam main khud karu kya tumhare paas uski koi tasveer hai? Yakeen maano usse aisi badtar maut dungi ki tumhare marhum Abba ki rooh ko sukoon pahuchega"

"Wo toh mere haatho ki katputli ban chuka tha ye sab to kismat ka khel ki kaise karke? Sarkaar ko hamare khilaaf saare sabut mil gaye warna uska mujhse bach nikalna kahan tayy tha? Main jald hi yaha se niklungi lekin main chahti hoo ki tabtalak tum oose zinda rakkho uski zindagi maut ka faisla mujhe karna hai Abba se aakhri baar jail mein mulaqat huyi thi haalaki pagalpan ke us haalat mein bhi unki ek ek baat mujhe yaad hai unhone mujhe bataya tha ki jab hamara sabkuch humse Cheen liya jaaye toh main tumhare Abba se contact Karu unke paas mere Abba ne kuch mere naam se shares rakhke they"

"Aisa mat kaho hum tumhe har tarah se madad karenge tumhe saza nahi ho payegi"

"Nahi Anika ye itna aasan nahi mere normal ho jaate hi ye log mujhe waapis purane sheher le jaayenge aur waha ki jail mein mujhe daal denge tum sirf itna karna ki mere Abba ka jo paisa tumhare paas hai wo wo mujhe saunp dene ka bandobas karo main jald hi yaha se riha hungi ye baat sirf tumhare darmyaan hai"

Anika ne samjhaya ki wo aisa koi galat kadam na uthaaye jisse uspe koi musibat aa jaye wo hairat mein thi ki safa ke paas aisa kya plan tha? Ki wo waha se nikal jaane waali thi behrehaal usne safa se wada kiya ki wo saara Paisa wo uske khaas aadmi gafoor ko saunp degi jiska pata aur number usne guptroop se safa ko diya, lekin Anika ne chaha ki wo jab bhi nikle oose khabar kare taaki wo uski madad kar sake, safa ne bas itna kaha ki aane waali 10 Tariq ko wo ghaati ke dur 0 mile par ek lawaris kaali gaadi chaabi sahit waha mor par khadi rakhke baaki kaam safa khud karne wali thi,

Anika ne apne aadmiyo ki madad Deni chahi lekin safa ne saaf inkaar kar diya, Anika samajh nahi paa rahi thi ki safa ke dimaag mein aakhir kya chal raha tha? Safa bas pagalo ki tarah muskura rahi thi, Anika ne us chehre ko dekhne ki baat kahi, to safa ne apne poshak ke gol saamne ke sirhe mein haath daale apni angiyo mein fase us tasveer ko Anika ke aage kar diya

"Yahi hai woh"

Anika ne us tasveer ko jab dekha to uske hosh ud gaye tasveer mein adam ki jagah oose wo chehra Arif ki tarah dikhta zyada laga,

"Y..yeh yahi adam hai?"

"Haan yahi hai woh"

"L..lekin ye toh!"...kehte kehte Anika teher gayi kya safa ko malum chal sakta tha ki Anika ka shouhar Arif hi Adam ki tarah hubahu dikhta hai safa ne sawali nigaho se Anika ki taraf dekha

Anika ne khud ko normal karte huye us tasveer se nazare fhair li, "apni dosti ki tumhe Kasam di hai maine Anika kahi se bhi ise dhundh nikaalo mere aane ka intejar karo aur oose fhir mere rubaru karna"

Anika ne sehmati mein sar hilaaya, tabhi ek lady warden waha aa gayi Anika ne safa ko khub samjhaaya oose chori chupe rihai ka aashwasan dete huye wo tasveer liye kamre se bahar nikal gayi piche umeed ki aas aur badle ki aag mein jalti safa ko akela chodhkar,

                              -----------


Wo Sydney ka gumnaam ilaaka tha jaha ek band warehouse mein khufiya Syndicate ki meeting bas kuch pal pehle hi barkhast huyi thi, taaliyo ki gunz ke saath lord aur sabhi members se haath milaata jaam se jaam takraata Shah Alam ka damaad Arif kursi se uth khada hua,

"Waqayi Shah Alam is really proud of u tumhare jaisa honhaar aur unke dhandhe ko aage badhane wala unhe ek keemati damaad mil gaya"

"Zehnaseeb my lord jald hi hamare sheher aur Bangladesh ke tamaam port par aapka container ba hifazat aayega aur jayega humne waha ke officials ko apne haath mein kar liya hai"

Us baat se tamaam chehre prabhavit aur khush they, Shah Alam ke mayor banne ke baad saara daarmodaar Arif ke haatho mein aa chuka tha company ka sirf ceo nahi wo Shah Alam ke kaale dhandhe aur usse badhkar syndicate kursi ka bhaagidar ban chuka tha, meeting khatam hote hi Arif apna coat se phone nikaale bahar nikla turant driver ne gaadi ka fatak khola toh Arif andar jaa baitha, jald hi gaadi hotel ki taraf rawana huyi Arif ne apna phone on kiya, tatkal Anika ka message paate hi wo muskuraya, na jaane kitne gamo ke baad usne muskurana seekh liya tha,

"Kahan ho?"

"Sheher laut rahi hoo mental asylum gayi thi ek purani dost se milane aur Arif mujhe tumse bahut zaruri baat karni hai"

"Theek hai main aaj ki flight se waapis aa hi raha hoo wohi milte hai Clinton hotel mein"

"Okay dear I will be waiting there at evening"

Phone cut karte hi Anika jaise dobara kashmakash mein ghir chuki thi wo tasveer kya waqayi Arif ki thi? Usne safa se uski madad karne ka waada to kar liya tha, lekin ab waqayi ye gehra Raaz tha ki kya Arif jaisa koi shaks waqayi wajud mein tha? Kya wo Arif se kahi na kahi juda tha?

Arif bhi soch mein duba tha kahan zindagi oose le aayi thi? Kahan wo is janjaal se bhaagne ki koshish kar raha tha aur ab wohi oose zindagi lagne lagi thi? Zaher ne toh oose maar hi daala tha agar mauke par Anika na pahuchti lekin aaj wo ek aise kadi ka hissa tha jisse alag hona aasan nahi tha, eshrat ki maut aaj bhi uske liye afsos ka sabab thi jiske liye wo kuch kar nahi paaya tha,

Par ab yaad karna bhi kaisa? ab yahi uski dunia thi Uski kismat thi uski zindagi thi, na jaane kab wo airport pahucha apni flight mein board hua aur kab waapis apne sheher lauta pure raaste oose malum bhi na chala...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: March 23, 2024, 06:57:31 AM »
Clinton hotel ek paanch Sitara sheher ka sabse raees hotel tha, wo shaam ka waqt tha aur mehfil mein music ki halki dhun baj Rahi thi us waqt hotel ke maale par basa us restaurant cum bar ki ek reserved table par aamne saamne Anika aur uska shouhar Arif apni apni kursiyo par baithe jaam ki chuskiyan le rahe they,

"I m glad that u came back"

"Aur ye meri taraf se ek chota sa tohfa"

Anika ke haath thaame uski teesri ungli mein Arif ne ek diamond ring pehnai toh Anika pehle chauki fhir Khushi zaahir karti hairaan huyi, Arif muskuraya wo Anika ka haath thaame raha

"Meeting se pehle hi waha maine kharidkar rakh li thi airport par on duty custom se taluq rakhte jannewalo ne mujhe ye pass karwa diya"

"It's really precious and beautiful"....Anika apne ungli mein fase us heere ki anguthi ko dekhte huye boli

"Ab kaho wo kya zaruri baat thi jo tumne mujhe batani thi?"

Anika fhir safa ki yaad mein khamosh ho gayi fhir usne gambhir hokar wo tasveer Arif ke saamne rakhki Arif ne jab us tasveer ko dekha to uska bhi kuch waisa hi haal tha jaisa pehli dafa tasveer ko dekhkar Anika ka hua tha, us pratikriya ko Anika ne note kiya

"Y..ye kaun hai? Ye tasveer meri to nahi hai"

"Meri ek old friend hai hamare family ke ache khaase taluq they aur ye tasveer oosi ke hone waale mangetar ki thi and I was really shocked that it strongly looks like u"

"Par main toh tumhari kisi old friend ko janta tak nahi main to yahi hairat mein hu ki uska mangetar hubahu meri tarah dikhta hai"

"Abba aksar kehte hai ki is dunia mein ek shakal ke kayi insan hote hai ho sakta hai ye mehez ittefaq ho waise main tumhe puri baat batati hun"

Fhir dheere dheere Arif ko Anika safa aur adam ki tamaam daastan sunane lagi, dastan khatam hone ke baad Arif bhi gambhir tha aur ab aage kya anjaam dena tha is babat usne Anika se sawal kiya,

"Mujhe darr hai ki kahi safa tumhe dekhkar khud ka adam na samajh le isliye adam ko humhe har haal mein dhundhkar nikaalna hai jabtak safa faraar hokar hum tak pahuch na jaaye"

"Theek hai toh kya oose khatam karna hai?"

"Nahi safa ne saqt mana kiya hai lekin agar panchi zyada phadphadaye toh uske ek aad par toh kaant hi de sakte hai lekin wo Zinda rehna chahiye uske baad safa uska kya anjaam karegi ye uspar hai"

"Main ise dhundhunga kahan?"....tasveer ko ghurte Arif ne fhir Anika ko ghura

"Padosi mulk mein suna hai waha apne parivar ke sath rehta hai ye kaam hamare aadmi kar sakte hai par main waqayi chahti hun ki tum khud apne humshakal ko dhundho aur mere saamne pesh karo"

"Theek hai iske liye mujhe agli flight karni hongi don't worry kaam ho jayega"

Anika oose ektak muskurakar ghurr rahi thi, "kya dekh rahi ho?"....Arif ne muskurakar pucha

"Dekh rahi hoo ki pehle se kitna badal gaye ho tum? Kahan wo masoom bhola bhaala Shareef sa sihma hua ladka aaj hamari tarah ek kurafati zabaan bol raha hai daddy tumse bahut khush hai tumhare kaam se bhi"

"Lekin jaane se pehle mujhe advance to milna chahiye na"

Anika kuch samajh nahi paai lekin jab Arif ne apni ek aankh dabai toh Anika Sharma gai, uska matlab samajhte huye fhir uske hontho par ek katilana muskurahat aa gayi aur fhir usne madak lavzo mein Arif ko kaha

"Let's get to the bungalow first and then into the bedroom"

                             --------

Dhaka sheher se dur Cox bazar ke beach par Sagar kinaare rait par baitha wo tanha shaks apni nam aankho se samundra se behti paani ko apni taraf aate fhir sahil se milkar wapis lautte dekh raha tha, wo taxi ki vardi mein tha aur uske haath mein ek beer ki botal thi,

Kahi panchiyo ka shor uske kaano se takraya usne daayi taraf jodo mein panchiyo ke us khubsurat nazaare ko dekha fhir uski udti nigaah paas hi ke pattharo par baithe premi jodo par huyi to kahi ek dusre ka haath thaame ghutno tak Pani mein chalte jode par uski nigah tehri har koi khush tha siway uske wo khud ka sahara liye khada hua aur fhir apna kapra jhaade kinaare se dur pathrili sidiyo par chadhkar waapis main road pahucha, usne botal se paani apne taxi ke sheeshe pe maarkar usko saaf kiya aur purani baaton ko yaad karne laga

Kis tarah arnisha ko usne shadi shuda us jode mein aakhri baar khud ko vidaa karte station pe aate dekha tha kitna khush thi wo digonto ke saath Kab usne train thaami kab oose jaati aakhri baar Asif ne jee bharkar dekha tha wo sab baat uske zehan mein ghum Rahi thi, kya fayda tha gam karne ko? Usne uski khushi ke liye hi usse dayra banaya tha aur aaj 7 saal baad bhi wo oose bhula nahi paaya tha ek vaada kiya tha usne ki wo kabhi dobara galat rasta iktiyar nahi karega, lekin usse dur ho jaane ke baad usne mehsus kiya tha ki waqayi ye zamana kitni thokre deta hai kitna sangarsh kiya tha usne kitna dar dar thokre khaayi thi usne kabhi kisi madarase mein raha to kabhi kisi masjid mein lekin ek anjaan desh mein gumnaam zindagi wo kabtak yu hi jeeta, haalaki arnisha ke sang hindustan se bhaagkar aane ke baad wo waapis apne watan chahkar bhi nahi jaa sakta tha,

Aur jaata bhi kiske paas? Jin apno ko usne barso pehle kho diya tha arnisha ke gharwale oose kabtak support karte, oose apna rasta khud nikaalna tha aur arnisha se dur hona bhi laazim tha wo uska wo kal ka hissa tha jisse sirf oose zakhm pahuche they, kitna dara hua sihma hua usne arnisha ko paaya tha? Agar wo na hota toh ab tak wo bhi na zinda hoti? Yakeen nahi hota ki uske chalte usne apne dushman bane Bhai pe goli chalai thi, lekin wo sab ab bahut piche chutt chuka tha oose aaj mein jeena tha

Tabhi kisi ne oose awaz di, "aye taxi Dhaka chaloge"

"Dhaka kothai(kahan par)?"

"Uttara sector 5"

"Yaha se toh bahut dur hai"

"Arre tum extra le Lena family ko vacation pe laaya aaj hi check out kiya hotel se ab wapis jaane ka hai"

"Acha theek hai sahab baith jao"

Taxi ko chalaate apni zindagi ko jeeta Asif muskuraye waapis Dhaka sheher ki or rawana ho chuka tha....kya kashmakash thi zindagi ki? Pehle ek padha likha naujawan ek qatl ki wardat ko anjam dekar delhi se faraar hua fhir apne mausa ke kadam se kadam milakar jisne jurm ki dunia mein pao rakhkha, fhir oosi mausa ne oose jurm ki dunia se uske arnisha ke badal jaane ke vaaste chale jaane ko keh diya, kitne haadso ke baad maut ko chukar wo wapis ek Saadi zindagi jee paaya tha lekin taqleef bhi utni thi is zindagi mein na uske paas aaj apna ghar tha na hi achi zindagi jeene ke liye wo sabkuch aur na hi apni padhai likhai aur haisiyat ke mutabiq ek achi naukri, bas chaar paisa kamane laayak wo khada ho paaya tha, pichle 6 saal usne kaise akele guzare they wohi janta tha masjid mein ek aadmi se mulaqat huyi jo uska dost ban baitha uske chacha ke yaha wo oose le aaya jaha unhone hi oose bhaade pe taxi chalane ki naukri ki intejamat karwayi, bahut mehnat thi bahut beitminan aur bearaam ki wo zillat jaisi zindagi lekin wo zindagi mein sukoon tha ki wo ab tamaam apne bete kal se picha chudha chuka tha wo oosi sheher mein tha jaha uska pyar mauzud tha lekin usse dur na jaane kis haal mein thi woh? In tamaam saalo mein ek baar bhi usne oosse mulaqat karne ki bhi koshish nahi ki thi,

Apne passengers ko chodhkar wo waapis apne ghar ki taraf laut hi raha tha ki uska phone baj utha, uske Malik ka phone tha

"Ji bas aata hu aakhri savaari ko chodhkar Haan abhi Dhaka pahucha wo ek passenger out of city jaane ko bola is vaaste thoda dur aa gaya tha theek hai dhyan rakhunga"

Aankho mein neend gehri thi aur haath dukh rahe they steering pakade rehne se lekin aaram kahan tha? Bas ye faani zindagi  ab kisi tarah guzar jaaye kya bacha tha uski zindagi mein ab? Tabhi oose ek jaani pehchani Surat bus stop par dikhi, Asif janta tha ki is sheher mein aaye uska wo iklauta passenger tha jisse kahi na kahi juda tha is sheher mein ek wohi tha jo aksar usse takra jaata to oose aisa lagta ki wo waha akela nahi tha, shakal Surat kad kath aur jismani taur se bilkul uske jaisa dikhta pehli dafa jab wo usse musafir ke taur pe mila to oose aisa laga ki aayene mein wo khud ko hi dekh raha hai ye hairat us ladke ko bhi huyi thi shayad wohi wajah thi unki dosti ka, wo ladka adam haan yahi to naam tha uska jo bus stop par oosi ke gadi ka intejar kar raha tha, us sheher mein oose bhi aaye huye 2 saal hi hua tha kisi ache company mein job karta tha padha likha tha, bas faraq tha ki wo uski tarah refugee ki zindagi jeeta gair watan ka dar dar kismat ka maara uske jaisa nahi tha, Asif hamesha oose office se ghartak drop karne laga tha aur aaj bhi wohi routine tha,

Asif ne muskurakar gaadi roki adam ne fauran darwaja kholkar muskuraye bag rakha aur fhir usi ki bagal waali front seat pe aa baithkar pasar gaya,

"Hahaha sorry yaar late ho gaya na"

"Arre yaar late to main nikla office se chal ab gaadi to start kar"

Gaadi gear mein daalte Asif ne gaadi saamne sadak par dauda di, dono aise ghulmilkar baat karne lage jaise wo uska sage apne se badhkar tha, ek wohi tha jo Asif ka razdar tha uske beete kal se waqif tha aur usse bharpur humdardi rakhta tha

"Aur kaisa Gaya din aajka?"

"Mera kya hai dost? Bas guzar rahi hai tu bata aur taxi leke kahan kahan dauda aaj?"

"Aaj sheher se bahar Gaya fhir wapis lauta abhi Ghar hi Jaa Raha tha pure din ki kamaai owner ke haath mein bhi rakhni hai wo toh phat pada late kar diya na aane mein wo office mein wait kar raha hoga"

"Tu mere liye fhir kyu aaya?"

"Arre Bhai kehta hai aur bhai ko pick karne na aau janta bhi hai raat gaye yaha gaadi nahi milati tu meri chodh aur kaisa chal Raha hai kaam dhandha?"

"Sach puch toh sukoon hai warna zindagi ki aas chodh di thi jo kuch padosi desh mein ghata wo bhule nahi bhulta"

"Matlab oh acha samjha tu oose bhul Jaa wo ladki ab teri zindagi mein nahi aane waali  tune hi to bataya tha na ki uske Abba bhai aur oose jail ho gayi lambi saza paai thi unhe"

"Haan".....adam gambhir hoke tassavur karne laga

Asif saamne dekhte oose tassavur mein uljha paakar ooska dhyan todne laga, "kya hua?"

"Aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho"

"Beeta kal to main bhi bhula dena chahta hu par khambhakt bhulti kahan hai?"

"Tu uski baat kar raha hai na? Uski toh shaadi ho gayi ab kya uske liye sochna tune ek bahut bada bhala ka kaam kiya aur itni badi kurbaani di apna watan chodhkar ab tu India bhi nahi jaa sakta aage ka kya socha hai? Kabtak yun gaadi chalayega koi life nahi hai ismein"

"Babu hamare paas degree nahi hai aur jo hai bhi wo wohi chutt gaya aur tu to janta hai agar main immigration logo ke enquiry mein aa gaya toh bhagoda refugee kehlaunga aur mujhe lambi saza hokar deport kar diya jaunga aur mera record acha nahi hai in haatho ne kayi khoon bahaye hai main chahke bhi apne watan nahi jaa sakta"

"Don't worry Asif sab theek ho jayega main tujhe yun apni zindagi tabaah hote nahi dekh sakta tu padha likha hai yaha ke taur tariko se ab waqif hai tu mera kaam seekh jaa aur yaha achi naukri karke izzat se zindagi guzaar"

"Par I'd agar malum chala ki meri id jaali hai toh!"

"Yaha sab chalta hai Asif ye zamana paiso ka Jana hai inhe kisi ki zindagi se koi matlab nahi ye kayde kanoon sirf paisewalo ke uche rasukh waalo ke liye hi Bane hai ye baat maine khud dekhi hai aur rahi baat degree ki wo intejam ho jayega"

"Le Tera Ghar aa gaya"

Asif ne gaadi ek jagah park ki, gaadi se utarte adam ne kiraya dena chaha jo hamesha ki tarah Asif ne lene se inkar kiya, adam jhukkar gaadi mein dekhta muskuraya

"Humara khoon ka rishta nahi par aisa lagta hai hum ek maa jaaye bhai hai yakeen nahi hota ki hum ekdusre ki tarah itna close dikhte hai aisa lagta hai jaise judwa ho"

"Ye duniya hi azooba hai waise ye paise rakh le Bhai kehta hai to fhir deta kyu hai?"

"Ghoda ghaas se dosti karega to fhir khaayega kya?"

"Acha sun agle hafte somvaar ko main tujhe pick nahi kar paunga maalik ko hajj karne chodhne jaana hai airport dair raat ho jayegi"

"Acha theek hai chal chalta hun aur sun apna khyal rakhna samjha aur haan tere liye karta hu kuch"

"Shabba khair khuda Hafiz"

"Gudnight buddy khuda Hafiz"

Itna kehkar adam chala gaya lekin ek baar fhir Asif ke dil mein apne liye aur jagah bana gaya, waqayi farishta se kam nahi tha wo ladka...Asif ne sit pe faikhe paiso ko bina dekhe Jeb mein bharkar waha se gaadi aage badha di,

                                ----------

Arif us desh us sheher pahuch chuka tha jaha adam ka suraag lag sakta tha, wo us naamcheen hotel ke unnatis ve maale ke room mein tehra hua tha aur us waqt sheeshe se bahar sheher ke nazare ko dekh dopahar ki us ghadi coffee pee raha tha ki tabhi uske suite ke darwaje pe dastak huyi,

Usne darwaje pe jaake lock khola aur waise hi ulte kadamo se dobara sheeshe ke saamne aa kar khada ho gaya uske aadmi waha shayad sheher mein chanbin kar laute they, wo chautha din tha us sheher mein Arif ka jabki abhitak oose koi khaas kamyabi nahi mili thi, waqt to lagna tha sheher jo bada tha aur talaash rait mein suyi dhundhne jaisi par us din un aadmiyo ke chehre pe chamak thi jise Arif ne bhaanp liya lekin waise hi khada bahar ke nazaare ko dekhta raha unke kehne ke intejar mein,

"Sir aapne jis adam ko dhundhne kaha tha uski humne pure sheher mein apne jaannewale khabriyo ko tasveer bhej di thi, aur humhe pata chal gaya wo kahan rehta hai lekin problem hai"

"Kya problem?".....Arif ne bina ghume hi pucha

Is baar dusra aadmi bola "sir, wo is sheher mein rehta tha lekin ab wo apne gharwalo ke sath nahi rehta hai jo kuch uske saath ghata Malik sahab aur uske parivar ko saza ho jaane ke baad wo yaha lautkar aaya fhir uska visa lag gaya aur wo dusre sheher Bangladesh ke chala gaya aur is waqt wo Dhaka mein hai"

Arif ne ghumkar oose dekha aur muskuraya "matlab panchi khud udkar hamari taraf aa basa hai waise wo jaha rehta hai uska pata malumat kiya?"

"Ji sir hum jab uske yaha ke pate par gharwalo se mile to uske dost kehke mile lekin uske gharwale kuch batane ko raazi nahi they humne aas pados se puchtach ki lekin unhone bataya ki wo adam ke baarein itna kuch nahi jaante kaafi chupa rustam ladka tha waise ek shaks hai jo uska pata sabkuch janta tha"

"Kaun?"

"Uske chote mama wo aajkal isi sheher mein hai aur wo apne mama ke kaafi kareeb tha, yahi wo mama tha jisne uski naukri lagwai thi aur baad mein wo Malik sahab ki nazaro mein aa gaya tha"

"Matlab safa ke Abba Malik sahab ke under mein wo kaam karte they hmmm anyway uska pata laga"

"Haan balki hamara aadmi usse puchtach karke bas laut hi raha hoga wo kisi bhi ghadi aapko khabar dega"

Tabhi phone Baja Arif ne video call dekh oose uthaya saamne uska khaas aadmi Robert khada tha aur theek uske piche bandi bana adam ka chota mama parvez uske chehre pe maar ke nishaan they haath pao bandhe they

"Haikdi dikha raha tha sachai nahi qabul raha tha humpe Shaq karne laga isliye uthake yahi le aaye"

"Gud munh khola usne"

"Sabkuch ugal diya wo ladka Dhaka mein hai ek export house mein kaam karta hai phone lagaya phone switch off bata raha hai waise wohi pe kiraaye ke ek flat mein reh Raha hai uska pata hai gulshan point, flat no.126,2nd floor"

"Brilliant oose phone mat lagao main nahi chahta wo chauknna ho jaaye aur panchi fhir ud Jaye khair fhir hamara yaha ka kaam khatam hota hai ab Dhaka jaake hi oose dhar dabochna hai lekin yaad rahe zinda"

"Aur iske mama ka kya karna hai?"...gunde ne banduk ki naal sihme camera ghurte uske chote mama ke kanpatti pe chubaate kahi

"Ahetiyat kar do ki agar hamari khabar adam ko lagi ya police ko aur agar wo waha gayab mila to uske saath saath uska pura parivar maut ki aagosh mein hoga yaad rahe"

Arif ki baat sunkar gunde ne chote mama ko ghura usne sehmati mein sar hilaaya, Arif ne oose chodh Dene ka ishara kiya...

                                  ---------

Asif ka phone baj utha wo neend ki gehraiyo se jaaga aaj kayi waqt baad oose achi neend naseeb huyi thi, usne ghadi ki taraf dekha subah ke 10 baje they fhir usne phone uthaya uski nazar screen par arnisha ki tasveer par padi jise na jaane kabse usne apne phone screen par lagaye rakha tha use dekhkar uska din jaise shuru hota tha fhir usne number dekha fhir usne phone uthaya

"Hello haan adam"

"Arre Bhai kahan ho? Aaj chutti?"

"Haan yaar bari mushkil se mili bukhar ka bahana kiya lekin saqt hidayat mili hai ki kal subah 7 se hi duty"

"Yaar is tarah toh tum bimaar pad jaoge"

"Kya kar sakta hu yaar chaar paise to kamane hai anyway kaho kya baat hai?"

"Arre maine tumse waada kiya tha na ki main tumhare liye kuch karunga bas wohi waada pura karna chahta hu main tumhe apna kaam sikhaunga"

"Arre main tumhara kaam nahi seekh paunga Bhai bahut mushkil hai"

"Arre baba padhe likhe ho na sab seekh jaoge aur samajh bhi aaj se tumhari class shuru har aadhe ghante mere saath guzaroge mere company mein"

"U mean internship"

"Waahh bare hoshiyar ho to chalo tayyar ho jao aur Milo"

"Aur aaram?"

"Is kaam ko seekhne ke baad tumhe kisi ke aage haath nahi failaana padega izzat se ghar jaoge chaar paise se zyada kamaoge aur chain se soyoge"

"Accha theek hai main aata hu"

Itna kehkar Asif tayyar hone washroom ki traf badh gaya, adam muskurakar phone kaantke abhi rakh hi Raha tha ki itne mein uska phone baj utha phone chote mama ka tha phone uthtate hi oose parvez mama ki kaanpti suhani awaz mehsus huyi puchne par unhone khud ko jaise sambhaala

"N..nahi tu theek to hai na"

"Arre mujhe kya hua waha sab khairiyat?"

"H..Han sab khairiyat maa baap bhi tere ache mein hai"

"Is baar time nikaalke zarur aaunga kaam mein fasa pada hu lekin tumhari awaz ko kya hua tha? Aise sihame sihame koi baat hai kya?"

"N..nahi toh beta sab theek hai tu apna dhyan rakh aur haan apna khyal rakhna"

Jyada dair unhone baat nahi ki aur phone cut kar diya adam bhi kuch samajh nahi paaya wo kis baat se pareshan they?, Lekin Adam kahan janta tha ki udhar Arif ne chote mama ka phone tape karwa liya tha aur wo sabkuch baithe baithe apni flight mein apne shagird ke bheje recording mein sun raha tha Arif janta tha ki paansa kabhi bhi palat sakta tha, usne apne shagird ko adam ke mobile ke through uski location trace karte rehne ka hukam diya...

                         ------------

Mental asylum mein safa us band Char diwari kamre mein chupchaap baithi huyi thi lady warden ne aakar ek khaane ki plate oose dekhte huye zameen par rakhkar uski taraf ghasiti safa oose ektak ghurr rahi thi, "kya re kya ghurr rahi hai? Jyada pagal pan jhaada na mental shock dungi yaad hai na"

Safa ne daant peesa wo janti thi ki agar wo uski asliyat se theek dhang se waqif hoti toh Aisa kehne ki zurrat na karti, lady warden uske nazaro ko dekhne ki zyada dair taanv na laa saki aur mudkar jaane lagi tabhi piche se safa ne toka

"Kaun si Tariq hai?"

"8 Tariq kyu? Shaadi hai hahaha"

Tahaka lagaati lady warden waha se chali gayi, piche safa ne ek shaitani muskurahat di ab bas intejar ki ghadi khatam hone ki kagaar par thi...

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: March 23, 2024, 07:00:13 AM »
Adam aur Asif biryani restaurant mein baithe pure din ki bhaag daud aur thakaan se thakkar waha lunch karne aa baithe, Asif ne waqayi ek hi din mein bahut kuch adam ke kaam dhandhe ko samajh bhujh liya tha, adam ne oose apne peshe se waqif karaaya aur oose apne company le gaya jaha oose apna kaam seekhane aur bataane laga,

"Waqayi kaam itna mushkil nahi hai par waqt de paana mushkil hai"

"Arre Asif ek baar kaam Sikh jayega toh sab aasan ho jayega fhir tujhe ye dar dar thokhar khaati taxi ki naukari nahi karni padegi kal parso tak main tujhe bilkul train kar dunga aisa lagega jaise kitne waqt se tu ye kaam karta aa raha hai sach kahu to maine bhi kaha socha tha ki main aise kahi naukri kar paunga wo to khair ho khuda ka ki ek bhaari aafat se nijaat paaya warna Aaj bhi main un logo ki hi Geraft mein hota"

Adam safa aur apne bhule waqye ko yaad kar raha tha, Asif ne uska dhyan un beeti baaton se hataya aur garama garam biryani ki plate oose parosi,

"Waise ek baat kahu yaar shukhraguzar hoo ki tujh jaisa Bhai mujhe mila warna main to khud ko akela samajh baitha tha"

"Arre tu ye kehta hai maine apne gharwalo ko jab teri baat batayi ki tu meri tarah dikhta hai to unhe yakeen nahi hua meri maa to ye sochne lagi ki kahi tu waqayi unse bichda unka dusra beta to nahi hahaha"

Asif ne bhi hassi mein uska saath diya waqayi wo azgaib baat thi ki unke chehre ekdusre se itna mel khaate they, "acha wo sab chodh kal bhi tujhe aana hoga bas do din ki baat hai uske baad main jis jagah kaam karta hu na waha se resign Dene waala hoo soch raha hoo kuch din maa baap ke sath sheher jaakar guzaaru tu meri naukri pakad Lena"

"Arre nahi nahi agar kisi ko malum chal gaya ki main yaha ka bashinda nahi aur mere paas koi job experience nahi main ek taxi driver to musibat nahi ho jayegi"

"Kuch nahi hoga dekh agar tu mere tarah formal kapde pehnne shuru kar de meri tarah hair cutting karke clean shave ho jaaye to koi kahega nahi ki tu Asif hai ya adam aur waise bhi yaha kabiliyat dekhi jaati hai baad mein degree main tujhe itna trained kar dunga ki kisi ko Shaq tak nahi hoga"

Asif khamoshi se ektak oose muskurakar dekhne laga, adam ne ooske nazaro ko bhaanpkar sharmaaye pucha ki wo aise oose kyu dekh raha tha?

"Dekh raha hoo ki main tera kis tarah shukriyada Karu jo tu ek gair ke liye itna kuch kar raha hai"

"Hey aayenda kabhi gair khudko mat kehna tu mera bhai hai aur maine pehle bhi kaha hai ki humara khoon ek nahi par aisa lagta hai jaise barso ka rishta ho hum ek hi maa jaaye bhai ho"

Asif bhi us baat se zazbati ho gaya fhir un dono ne pait bharkar waha lunch Kiya is baat se bekhabar aur anjaan adam ki unke rishte ko nazar bas lag chuki thi aur wo tufaan ab kahi hadtak uske nazdeek tha,

Jidhar adam Asif ko kuch ek aad ghante nikaalkar oose apna kaam sikha Raha tha uske Naye zindagi ki planning kar raha tha wohi dusri taraf Arif ke aadmi Dhaka sheher pahuchkar uski talash mein uske flat pahuch chuke they flat pe jhulte taale ko dekh unhone padosi se pucha to malum chala ki wo aksar kaam ke sisile mein dair raat ko hi aata tha, behrehaal unhone adam ki flat ki nigrani karni shuru kar di aur uske ghar aane ka intejar karne lage,

                           ----------

10 Tarik ka wo din tha jab doctor lady warden ke saath daudta bhaagta safa ke band kamre mein pahucha usne darwaja khola to paaya safa ke munh se jhaag nikal raha tha, samajhte dair na lagi ki safa ne khudkhushi karne ki koshish ki thi,

"Oh god ise poison kaha se Mila? Iski haalat kharab hoti jaa rahi hai mujhe Anika mam aur police ko jawab dena bhaari pad jayega jaldi ise ambulance mein bhejo"

Aanan fanan doctor nurse aur lady warden oose uthaaye stretcher par fauran mental asylum se bahar le aaye saamne ambulance khadi thi uspe safa ke shareer ko chadhaya gaya safa ki tabiyat tab bhi kharab thi, ambulance ka fatak laga diya aur usi waqt gunzti siren ki awaz ke saath ambulance asylum ke fhatak ko paar kar waha se bahar nikal gayi,

Ambulance tej raftar se beech sadak par daud rahi thi lady warden ab bhi safa ko ghurr rahi thi ek nurse bhi uske sang baithi thi, raasta kharab hone laga aur ambulance hichkole khaane laga 0 mile ki sadak ka mor kaantte huye ambulance bayi taraf mudne lagi tabhi safa ne apni nazaro ko khola aur lady warden ki taraf dekha jiska dhyan dusri taraf tha aur nurse ka bhi theek tabhi safa baagh ki tarah uspar jhapti oose pal bhar ka mauka diye bina usne uske chehre pe kohni maari fhir ooske sar ko darwaaje pe do teen baar maara nurse cheekh uthi usne injection lekar safa ko kaabu karna chaha lekin safa ne mauka paakar wohi injection uske gardan mein buri tarah ghusa di, cheekh chillahat ki awaz sunkar ambulance ka driver aage baitha piche dekhne laga lekin isse pehle wo kuch samajh paata usne break par pao maara,

Safa lady warden ko maarne mein kamyab ho gayi usne furati se ambulance ka locked darwaja khol diya usne niche giri padi auzaro mein ek injection aur uthaaya aur stethoscope ka ek taar, ambulance thamkar ek jagah khadi ho gayi, driver furati se piche daudta aaya toh uske sar par darwaaje ki chot huyi safa ne uspar chalang laga di aur syringe ki suyi uske sar par de maari palbar mein safa ne stethoscope uske gardan mein lapaita aur oose buri tarike se umethne lagi dard se bilbilata driver wohi zameen pe chatpatane laga wo tabtak ooski gardan par yuhi sawaar us taar ko umethti rahi jabtak uske shareer ne harqat karna band nahi kar diya, kuch hi dair mein driver bhi dum tod chuka tha,

Safa ne ghasitkar oose waapis driving seat pe ja dhakela fhir dobara ambulance mein ghuskar usne bejaan pade nurse ke kapde uske jism se utaare aur fhir apne mareez ke kapdo ko utaarkar oose pehen liya fhir niche kudkar ambulance ka darwaja lagaya aur aage gaadi par sawaar hokar driver ke laash ke upar baithe hi usne ambulance ka rukh khaai ki taraf moda aur ignition mein ghusi chabi ka muana kar accelerator par pao rakha ambulance teji se aage badhne lagi wo to ganimat thi ki us waqt waha sunsan highway se koi gaadi nahi guzar rahi thi, ambulance khai ke dhalaan par utarne laga puri speed badhaate huye mauka dekhkar safa beech raaste mein hi kud gayi warna wo bhi khai mein ambulance mein pade laasho ke saath jaa girti jald hi ambulance khai ki gehraaiyo mein jaa giri aur ek zor ka dhamaka hua gadi ke chitdhe udh gaye ab chahkar bhi kisi ko malum nahi chalna tha ki safa us hadse mein Mari ki Bach gayi?

Safa chupte chupaate 0 mile pahuchi aur usne waha dhundhte huye aakhir mein khadi ek lawaris kaali gaadi dekhi , safa ne sawaar hokar gaadi ka muana kiya gaadi chaukas thi chabi ignition pe chodhi huyi thi, safa ne gaadi start ki aur fhir oose jhaadiyo se nikaalte huye saamne sadak ki taraf mor di, bagalwali seat par pada oose ek phone mila jispar Anika ka number mauzud tha Anika ne chaukas intejam kiya tha uska faraar hone mein, tatkal safa phone ke hawale ho gayi,

"Hello haan Anika main ab azaad hoo abhi nahi main tumse abhi nahi mil paungi don't worry kisi ko kaano kaan khabar nahi lagegi aur na hi samajh aayega ki ambulance ke hadse mein aakhir hua kya tha? Sab yahi samjhenge ki I m dead theek hai main tumhare aadmi se contact kar lungi jo mujhe Mera Paisa de dega anyway kya uska kuch pata chala? What? Dhaka mein hai hahaha that's very close from here thank u so much sister and see u soon tk care"

Safa manthar gati se gaadi sadak par chalaane lagi ab wo adam ke jaise behad nazdeek thi lekin abhi bhi Dhaka sheher se dur thi, usne Dhaka sheher jaane ka faisla tay kiya,

                             -----------

Arif ke aadmi adam ka besavri se ghar aane ka intejar kar rahe they, wo uske flat ke paas neemandhere sadak par khade paid ki aad mein they ki tabhi oose paas ke main road par ek taxi rukti dikhai di, wo log sambhale kyunki taxi mein adam tha lekin unki nazar Asif par nahi padi thi, adam utarne laga tha ki uska phone baj utha

"Kiska phone hai?"....Asif ne pucha

"Arre ek colleague ka oh shit aaj toh mujhe uske sath family dinner mein shariq hona tha usi ka call hai yaar ek ahesan kar de mujhe uske ghar chodh de"

"Arre ahesan kaisa? Lekin ghar mein jaake fresh wresh to ho le main tabtak yahin rukta hoo na"

"Haan ye bhi theek hai"....adam utarne laga hi tha ki fhir usne apna irada badal liya

"Nahi rehne de kya change karna? Aise hi theek hai tera Ghar paas padta hai wohi munh haath dho lunga abhi Ghar jaunga change karunga darwaja kholunga fhir lock karunga very hectic way waise bhi tera Ghar raaste mein hi padega na"

"Chal bhai mere gareebkhaane mein jaane ka itna hi shouk hai to chal"

Asif ne gaadi aage badha di, wo aadmi kuch samajh na paaye kya oose khabar lag chuki thi? Agar aisa tha toh Arif ka qeher sidha sidha unpar tutna tha wo hadbadaaye us taxi ka picha karne ke liye jabtak apni gaadi se uski gaadi ka aadhe raaste picha karne ko huye tabtalak Asif ki taxi kaafi dur tej speed mein hone se nikal chuki thi, behrehaal unhone yahi socha ki dair saver oose waapis flat hi to lautna tha, unhone nakamyab hokar unka picha karna wohi chodh diya,

Asif dost ke Ghar adam ko drop kar chuka tha, adam ne zaahir kiya ki ho sakta hai ki aaj raat wo yahi ruk jaaye isliye behtar tha ki Asif uski raah na dekhe aur ghar chala jaaye, Asif ne usse Vida liya aur taxi morkar waha se chala gaya,

Aadhe raste mein raat ke us ghadi neemandhera chaaya hua tha ki tabhi bagal wali sadak par Asif ko suitcase thaame ek aadmi daudta dikhai Diya jo aehen sadak paar kar uske taxi ke saamne aa takraaya wo to shukar tha ki usne taxi aehen mauke pe rok di thi, gussa aur hadbadahat ke sath Asif gaadi se abhi utarta ki oose goli chalne ki awaz sunai di

Asif sambhal gaya samajhte dair na huyi ki piche do mostande ulti taraf se jo aa rahe they wohi us aadmi pe goli barsa rahe they fauran ek goli sansanati us aadmi ke kandhe pe lagi wo wohi dum saade gir pada

Fhir Usne uthkar puri taqat se bhaagte huye ghaira kata aur bagal waali seat ka darwaja kholkar Asif ke bagal mein aa baitha wo ghayal tha aur fariyadi nazaro se madad ki bheek maang raha tha,

"P..pls chalo yaha se wo log Islam ke aadmi hai mujhe maar daalenge"

Asif ne furati se gaadi teji se dauda di wo aadmi kandhe ko pakda khoon se lathpath dard se sihar raha tha wo log ek pal ko thame fhir unhone firing ki lekin tabtalak Asif gaadi puri teji se bhaga chuka tha

"Hospital le chalu"..Asif ne driving karte pucha

"N .nahi is bag mein mere boss ka maal hai police ko malum chala to mujhe geraftar kar legi"

Na jaane kis nayi musibat mein Asif fasaa tha Asif ko khyal aaya ki kuch waise hi usne bhi kayi dafa pehle aise goli khaayi thi aur aise hi fariyad logo se kiya tha arnisha ko bachakar jis tarah wo oos raat oose Bangladesh laaya tha wo waqaya uske zehan mein ghumne laga, Asif ko is sansad se jaan chudhani thi

"Kaun hai tumhara boss? Kahan le chalu tumhe"


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: March 23, 2024, 07:03:12 AM »
"I..qbal Chowdhury".....us naam se Asif waqif tha wo mashoor Dhaka ka ek namcheen businessman aur dhaka chupa kaale dhandhe ka bara karobari tha, shayad ye gangwar ka mamla tha jisme padhkar Asif ne khatra mol liya tha, usne piche raaste mein khud ka picha karte us gaadi ko dekha jo baar baar dur se horn bajata hua nazdeek aa raha tha,

Asif ne furati se gaadi daai taraf modh di, wo janta tha iqbal Chowdhury ka ghar kahan tha? Wo aadmi oose pata bataye behosh ho gaya, lekin aafat ab bhi piche thi goli ki firing huyi Asif ke pasine chutne lage usne teji se taxi ko aaanan fanan road pe dauda diya sunsan raat gaye wo rasta tha oose kisi bhi tarah unki gadi ko dodge karna tha usne gaadi daayi taraf ghumaai fhir baayi taraf fhir usne mauka dekhkar taxi ek kaali gully mein ja ghusa di aur tamam lights off kar diye, picha karti wo kaali gadi sansanati huyi sidha raste se aage nikal gayi usne ek baar kayi waqt waise hi chupe rehne ka faisla kiya, usne bagal mein baithe us aadmi ka muana kiya wo lambi saansein kheech raha tha par behosh tha Asif ko uske kandhe chune par apne haath mein uska geela khoon mehsus hua,

Wo kaali gaadi fhir ulte waha se guzari shayad wo log pata nahi kar paaye they ki wo taxi kahan mudkar chali gayi thi? Yahi waqt tha Asif ne teji se gaadi us gully se nikaali aur fauran ulte raaste dauda di, usne ek baar bhi piche mudkar na dekha na gaadi ki gati kam ki, kuch hi dair mein wo ek bungalow ke theek samne tha usne tej horn bajaya pehle ek guard bahar nikla usne hadbadaaye huye Asif ko fhir muana karte huye ghayal us aadmi ko ghura fhir wo andar bhaaga,

Fhir ek aadmi fauran waha aaya Asif gaadi se utarkar oose bataane laga ki aakhir hua kya tha? Wo aadmi iqbal Chowdhury ka khaas tha usne taxi se us aadmi ko uthaaya aur apne aadmiyo ko oose piche waale makaan mein le jaane ka hukam diya fhir usne Asif ko ghurte huye suitcase ko khola Asif ke hosh udh gaye usmein sone ke biscuits aur dollar ki shakal mein kayi rupya tha,

"Yahi teher"

"Main chalta hu na main kisi se kuch nahi kahunga waise bhi picha karne waalo ko main chakma de aaya hu"

"Jo tere piche pada tha tu oose janta nahi wo Zahir Islam ke aadmi hai aur jaha tu abhi khada hai wo iqbal Chowdhury ka ghar hai jabtak Chowdhury sahab nahi chahenge tabtak tu yaha se nahi jaa sakta samjha yahi khada reh"

Aisa lagta tha jaise Asif ne waha aakar kitni badi galti kar di thi, ek aafat gale padh gayi thi aur Darr tha ki ab aage kya hoga? Yakeenan Asif unke lafdo ke beech aakar unka raazdaar ban gaya tha lekin ab wo chahkar bhi kuch nahi kar sakta tha isliye to oose hardum shikayat thi apne banane waale se

"Jab maine paaya ki mujhe kuch naseeb nahi hone wala koi khwahish meri qabul nahi hone waali, tab hi mujhe ahesas hua ki ye zindagi bhi ek bheek ki tarah thi, aur bheek diye zindagi ka shukraguzar karna mujhe manzur nahi, lekin is bheek ko main iske Dene waale ko lauta nahi sakta kyunki ye oose kabhi manzur nahi hogi aur na mujhe uski di huyi ye zindagi"

Tabhi oose kisi ki kadi awaz sunai di wohi aadmi saamne khada oose bula raha tha Asif tharra gaya fhir sambhale uske saath us aalishan bungalow mein dakhil hua jald hi wo us bare living hall mein dakhil hua jaha ucche jhumar ke niche sofey ke ek pehlu par adedh Umar ka wo bhargistar aadmi baitha tha jiska naam iqbal Chowdhury tha aur uske saamne us aadmi ka suitcase khula pada tha, wo Asif ko ghurrne laga aur asif khamoshi se oose, uske aadmi charo taraf khade oose hi ghurr rahe they, chowdhury sahab uthe aur uske nazdeek aaye tabhi ek doctor waha pahucha usne bataya ki jis aadmi ko asif abhi kuch dair pehle leke aaya tha uski haalat critical thi kuch bhi kehna muhaal tha, usne apne ek aadmi ko ishara kiya jo us doctor ke sath waha se ruksat ho gaya,

"Naam kya hai Tera?"

"A..Asif Shaikh"

"Kahan rehta hai tu?"

"Old dhaka ke paas jo basti hai wohi pe"

"Taxi ka hi dhanda karta hai kabse hai yaha par?"

"7 saal hone ko hai"

"Maa baap?"

"Nahi akela hu 4 Paisa kamane ke liye bhaade ka taxi chalata hu"

"Lagta to nahi ki tu is sheher ka hai kahan se aaya?"

Main janta tha jhoot kehna us jaise aadmi ke aage aasan nahi tha isliye sach kehna zaruri tha.."main refugee hoo India se taluq rakhta hu"

"Hmm tere bhasha se hi mujhe laga anyway tu janta hai ki main kaun hoo?"

"Aapko kaun nahi janta? Sheher ke jaane maane businessman iqbal Chowdhury sahab hai aap lekin pehli dafa main aapse mila dekhiye darasal main ek passenger ko chodhkar wapis aa raha tha toh aapka aadmi mere gaadi se aa takraya ab aapke aadmi se hi mujhe pata chala ki wo log koi Zahir Islam ke aadmi they main sach kehta hu agar main unhe chakma nahi deta to wo log humhe jaan se maar dete"

"Hmm Zahir Islam hamara dushman hai bas itna hi bata sakta hu ki usse bachkar rehna agar uski nazaro mein tu aa gaya aur oose ye malum chala ki wo mera maal kabzaane mein teri wajah se nakamyab raha to wo teri jaan ke piche haath dhoke pad jayega"

Asif ekpal ke liye siham utha kyunki jo khaaka usne Zahir Islam ka uske aage kheecha tha usse saaf tha wo waqayi bahut khatarnak aadmi tha jo shayad usse bhi bedard aur berehem tha, asif in lafdo se nijaat pana chahta tha

"Main wada karta hu ki main kisi ke aage kabhi kuch nahi kahunga"

"Hum kaise bharosa kar le?"

"Kyunki is peshe se main guzar chuka hoo"

Sawali nigaho se mudkar Chowdhury ne Asif ko dekha wo Janna chahta tha ki uska kya matlab tha? Asif ne zyada kuch nahi kaha lekin saaf jataya ki wo zyada kuch keh nahi sakta tha uske ishare se tha ki wo waha rukna nahi chahta tha Asif ne fhir usse jaane ki ijjajat maangi jispar usne kuch socha fhir baat ka rukh modkar usne Asif ko uske aadmi ki madad ka shukriyada karke kuch paise dene chahe jise Asif ne ye kehke lene se inkar kar diya ki usne jo kuch kiya tha insaniyat ke liye kiya tha,

Chowdhury sahab ko asif mein koi baat aisi lagi ki unhone fhat se oose apna contact de diya, "agar zindagi mein kabhi kisi madad ki zarurat ho to mere paas bejhijhak chale aana Asif"

Asif ne jhukkar unhe salam kiya aur waha se tej kadmo se nikal gaya, Chowdhury ne Asif ke jaate hi apne ek aadmi ko uske baarein mein malumat karne ka bola

"Banda kaam ka hai koi aur hota to khauff mein koi nadani kar baithta maal pura ba hifazat bina koi lalach kiye leke lauta hai lagta hain jaise apne line ka aadmi hai"

"Aapke naam se waqif jo tha uski majaal nahi thi double cross karne ki waise Kahiye fhir aage kya karna hai?"

"Background check kar pata kar kahan se aaya hai? Pehle kahan tha? Kya karta tha? Sabkuch aur ab main chahta hu ki dhandhe ki dealing aur bhi hifazat se ki jaaye"

Iqbal Chowdhury ki nazar ab bhi darwaje par thi....

Bahar aakar apni gaadi mein baithkar Asif ko aisa laga jaise koi bhari Mann ka bhoj uske seene se utara ho usne gear mein gaadi ko daala aur savdhani se raat gaye us ghadi sunsan sadak par chalane laga usne apne aas paas nazar daudaai lekin oose kisi ki picha karti gadi apne piche na lagi lekin kya waqayi Islam naam ka wo aadmi uske piche lag sakta tha,

                              -----------

Zahir Islam sheher ka ek naamcheen smuggler tha jo apne business aur politics ki ot mein smuggling karta tha election haarne se wo filhal local politician ke dabdabe mein sheher par kaabiz tha lekinn uska asli dhanda hafim charas ganja aur sone ki biscuits se chalta tha, uska rival Chowdhury tha aur oose kahi dafa raste se hatane ke nakam koshish ki thi, lekin hamesha Islam ko munh ki khani padi thi par wo janta tha kabhi na kabhi to tir nishaane pe lagna tha, us ghadi sapne sanjota wo apne aadmiyo ki intejar mein tha jo Chowdhury ki dealing se loota maal uske paas le aane waale they, lekin abtak unka jawab nahi aaya tha

Zahir ke saamne wo dono aadmi ekdum se prastut huye us ghadi Islam cigar fhunk raha tha aur raat gaye sheher ki chakachaund nazare ko dekh raha tha, aadmiyo ne bataya ki mauke pe Chowdhury ka aadmi faraar hone mein kamyab ho gaya aur jo taxi ka unhone picha kiya wo unhe chakma Dene mein kamyab ho gayi to ye baat sunkar Islam ne khaa jaane wali nazaro se unko dekha, wo dono jhenp se gaye

"Bastard ek kaam saunpa tha wo bhi na kar paaye kaun tha wo taxi driver dhundha kyu nahi oose?"

"K..koshish ki par humne us..ka taxi number utha liya hai jab oose pakdenge to wo qabul kar lega ki usne Chowdhury ke ghayal aadmi aur uske maal ko kahan chodha hai aur"

"Aur tumhe lagta hai wo maal abtak salamat Chowdhury ke paas nahi pahucha hoga? Stupid son of a bi**h us driver ko dhundhkar kya mera maal mujhe mil jayega?"...dahadhte Zahir ne banduk uthaayi aur un dono ko wohi shoot kar diya

Aas paas ke uske aadmi siham uthe siway uske, goli ki naal se dhua ab bhi nikal raha tha jise paas table par rakhkar Islam sofey pe baith gaya usne us aadmi ko ghura Jo patthar sa uske saamne khada tha uska behad khaas aadmi,

"Ab jo karna hai tumhe karna hai aaj ki ye nakamyabi mujhe bardasht nahi wo jo koi bhi tha jisne Chowdhury ke aadmi ki madad ki aur maal Chowdhury tak chodha uska pata karo"

"Aap kahe to"...uska ishara khallas karne par tha

"Us taxi driver ko dhundho aur jo karna hai Karo main abhi kuch nahi keh sakta"

Islam uthkar waha se pao raundte chala gaya piche chodh gaya us shaks ko jo us taxi driver ko dhundhne ki ab firaq mein tha

To be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: March 23, 2024, 07:06:47 AM »
Darwaje pe koi dastak de raha tha gafoor jo us waqt bhi cigarette fhunkta ek jaam khatam kiye dusra peg bana raha tha usne ghadi ki taraf nazar daudai, fhir darwaje pe padi dastak gafoor cigarette hontho mein fasaaye uska kash leta darwaja jhatke se kholta hai saamne ek aurat ko dekh upar se niche tak wo uska muana karta hai saamne koi aur nahi safa khadi thi, jo kathor nazaro se oose hi dekh rahi thi,

Gafoor dhua ugalta apne hontho se cigarette nikaalkar charo taraf muana karta hai waha koi nahi tha siwaay ek khadi ek Kali Mercedes car ke jisse shayad wo waha pahuchi thi wo fhir safa ke mukhatib hua uski nazaro mein hawas saaf jhalak rahi thi, jisko samajhte huye safa bhaale barsati nazaro se oose ghurti hai, uski nazaro ko samajhkar gafoor sanjida hokar usse puchta hai

"Kaun hai aap?"

"Safa aur ye mat puchna ki kisliye main yaha aayi hu Anika ne tumhe bakhubi samjha Diya hoga isn't it?"

Gafoor jaise aasman se gira uska saara Nasha palbhar mein Chu ho gaya usne aur gambhir hokar safa ko izzat se andar aane kaha lekin safa wohi khadi rahi kamre se sharab aur cigarette ki badbu Sarobaar thi gafoor ulte kadam andar gaya fhir waapis ek kaali bag ke sath aaya safa ne oos bag ko Anika ke aadmi se lete huye thaama to wo bhaari tha,

"Anika aapa ne kaha tha ki aap kisi bhi waqt yaha aa sakti hai isliye aap hi ke intejar mein main puri raat jaaga raha"

Safa bina uski koi baat sune ulte kadam sidiyo se waha se utarkar bag liye gadi mein jaa baithi usne gaadi reverse gear mein daali mor kaanta aur fhir waha se yeh ja woh ja, uske jaate hi gafoor ne Anika ke khaas aadmi ko phone lagakar sabkuch bata diya aage wo janta tha ye khabar Anika tak pahuch jaani thi,

Beech raaste mein gaadi chalaate huye safa ne bag ka zip kholkar dekha toh usmein dhairo rupya pada tha, ab safa ke liye raasta Tay karna aur bhi aasan tha lekin pehle wo apna huliya badal lena chahti thi usne gaadi ek motel cross par laakar roki aur apna bag liye apne chehre par face mask pehenkar wo motel ke reception hall mein pahuchi jaha usne ek room bhaadhe pe kuch din ke liye liya, wo janti thi ki ho sakta tha khabaro mein uska chehra dikhaya jaaye aur koi oose pehchan na le, receptionist ek buzurg tha nashe mein chur usne chaabi safa ko dete huye ooske aage register khol di, safa ne jhoot moot ka likhkar jaali naam aur address usne fhir chabi aur bag liye kamre ka direction pucha jispar buzurg ne oose sidiyo se upar ki taraf jaane kaha "yaha staff nahi hai apna saaman khud utha lena"

Safa ne oose qeher bhari nigaho se dekha to wo jhenp sa gaya "mujhe kisi ki zarurat nahi aur koi disturbance na hone paaye clear"...safa oose waise hi ghure lambe dag bharti sidiyo se upar chali gayi,

Kamre mein aakar usne kuch kapde jo oose gaadi mein mile they usne oose bistar par faikha fhir paiso se bhara bag ek taraf rakha aur fhir usne apne faraar hote waqt pehne nurse ke kapdo ko apne jism se utaar faikha usne ek baar khud ko sheeshe mein nihaara uska sangmarar jaisa jism ab bhi waisa hi dilkash tha kya kami thi usmein sabkuch to diya tha usne adam ko paisa shohrat daulat fhir kyu adam kyu tum mujhse dur ho gaye? Khud se badbadati safa ke nazare zazbat se bhar gai, apne baap Bhai ko khone ka gam badle ki aag mein dehek raha tha uske dil mein,

                           ----------

Somwar ki wo shaam thi adam office se nikalkar bus stop par pahucha to oose ahesas hua ki aaj Asif oose pick up karne nahi wala tha, usne bataya tha ki aaj wo maalik ko leke airport jaane wala tha, aur waqayi koi bus us waqt nahi mil paa rahi thi abhi usne auto se jaane ka faisla hi kiya tha ki tabhi oose bus aati dikhaai di,

Adam fauran bus par chadh gaya ticket lete huye wo ek seat pe jaa baitha waqayi khaali bus mil gayi thi oose, na jaane kyu Aaj subah se hi dil bechain sa tha? Achanak uski nazar jab samne uthi toh usne dekha ki aage bus mein log Kam they lekin theek khidki ke paas koi ladki baithi huyi thi aise sunsan bus mein koi akeli hi Safar kar rahi ho, na jaane reh rehkar adam ki nazar uspar fisalti usne chamkila saree pehen rakha tha aur uske khule blouse se dikhti uski nangi peeth par jo Dori bandhi thi waha ek til tha na jaane kyu? Par adam ko wo til jaana pehchana laga wo fhir uske baal ko niharne laga dekhte hi dekhte uski nazar us ladki ki nazar se mili aur oose dekhte hi uske hosh fhaakta ho gaye jab us ladki ne piche mudkar dekha aisa laga koi kabar se murda uthkar uske saamne aa khada ho gaya ho,

Wo jaani pehchani Surat thi wo til bhi ab pehchan mein aaya usne kiske jism par dekha tha wo kajal bhari ghurti nigah oose hi ek tak dekh rahi thi itne saal baad adam ke aage safa mauzud baithi thi, adam ki saansein atakne lagi, wo bhauklaaye uth khada hua aur lagbhag seat se bhaagta oose piche mud mud kar dekhe conductor ke paas aaya

"Bus roko I said stop the bus abhi"

Conductor chillane laga ki wo aisi bhauklayi baat kyu keh raha tha lekin tab tak shor sunkar driver ne speed thodi Kam kar di thi, safa uthkar uski taraf hi badhne lagi, adam usko apni taraf badhta dekh ghabraya aur fhir ekdum se bhauklakar chalti bus se ja kuda, aur theek oosi ke sath uska bhayanak khwab bhi Tut gaya,

Wo pasine pasine ho raha tha conductor ne aake usse jhinjhodte pucha ki oose aakhir hua kya tha? Wo bus mein hi tha lekin kisi gehre bure khwab mein, usne khade hokar charo taraf ghura waha koi nahi tha, adam thook ghontta apne stop pe jaakar utar gaya, na jaane kyu usne ye manzar dekha tha? Oose kuch samajh nahi aaya, ye baat sirf wo ek hi Jane se keh sakta tha aur wo tha asif,

                               -----------

Arif Dhaka sheher mein mauzud us waqt raat gaye us khubsurat private steamboat
par khubsurat ladkiyo ke pehlu mein tha aur us waqt beer ki chuskiyan le raha tha ki itne mein uska phone baj utha aage badhkar uske ek aadmi ne oose phone diya

"Kaho kya khabar hai? Kahan tak pahuchi kahani"...phone lete hi Arif ne pucha

"Wo ladka Arif abhi Ghar lauta hai kahiye utha le oose?"

"Aaram se oose shaq na ho pehle malum Karo wo bilkul akela hai ya uske sath koi hai kiske sath uthta hai baithta hai kahan kaam karta hai? Sab uska picha lagkar malum Karo aur haan nazare gadaaye rakhna uspar fhir mujhe ikhtila karna"

"Par boss abhi kyu nahi? aise mein mauka hai wo apne flat pe akela hai oose abhi uthaake aapke paas!"

"Ssshh sawal main karunga aur jawab tumhe Dena hai abhi mujhe disturb mat karo panchi udhke kahi nahi jayega jab main kahu tab main nahi chahta oose bhanak lage aur wo tum log ki aankho mein dhul jhonkkar kahi bhaag khada ho aur is sheher mein hamare liye wo koi fasaad khada kare jab main kahu tab oose uthana hai understand!"

"Yes sir".....itna kehkar Arif ne phone cut kar diya toh uske aadmi ne udhar adam ko apne flat mein battiya bhujaate paaya


                          -------------

Apne aane wala kal ko bura khwab samjhkar jise adam bhula Raha tha, wo asal mein Haqeeqat tha adam janta nahi tha ki safa uske kitne kareeb thi? Udhar motel mein safa ne internet par adam ki social media par uski i'd dhundh nikaali thi jise dekhkar wo andar hi andar azib sa mehsus kar rahi thi wo tamaam waqya jo uske saath usne bitaya tha sab uski nazaro mein ghumne laga, usne paaya ki adam ne apni I'd ko private rakha tha lekin uske kaam ki information uspe barabar thi usne jaha wo kaam karta tha us company ka naam aur pata dhundh nikaala tha,

Lekin wo adam ke saamne yun jaa nahi sakti thi oose mauke ka intejar tha aur usse pehle oose wo karna tha jo uske liye bhi zaruri tha apna huliya badalna, usne us motel mein aati jaati kayi badnam aurato ko dekha tha aur usmein se ek ladki uske nazar mein us waqt aa chuki thi,

Us dhandhe waali ne safa ko dekha to safa ne muskurakar uske aage note ka guccha lehraya,

"Ye kis kaam ke?"

Safa ne uske saree ka pallu haath mei lete huye uspar ishara kiya, "mujhe tere aise kapde chahiye chamkile bhadkile jo teri jaisi sasti auratein pehnti hai aur saath mein shingar bhi mere paas time kam hai agar tu mera madad karegi toh tujhe aur paise dungi"

Paiso ko dekh us aurat ke aankho mein lalach aa gaya aur usne fauran sehmati mein Haan kahi, usse kapre ka ek joda aur shingar ka saaman lekar safa jab tayyar huyi to wo khud ko aayene mein nahi pehchan pa rahi thi ab koi nahi keh sakta tha ki wo mental asylum ki bhaagi Malik sahab ki beti safa thi balki us waqt wo ek bazaaru dhandhe waali jaisi saji Savari aurat lag rahi thi, usne mudkar doriya bandhi jo uske gehre til ke darmiyan tha,

Usne fhir ek burqah pehna aur bahar motel se nikali usne gaadi wohi chodh di aur auto se waha pahuchi jaha adam ka office padta tha, usne paid ki ot mein chupkar nazar rakhni shuru ki to oose adam ki jhalak mili oose dekh wo ek pal ke liye teher gayi aisa laga jaise barso baad wo oose dekh rahi thi, uska jee chaha ki wo jaake adam ke saamne khadi ho jaaye lekin ye aasan nahi tha,

Adam kisi office colleague se hasskar baat karke jaa raha tha ki itne mein ek taxi uske darmiyan aa ruki adam taxi mein sawar hoke jaane laga toh safa ne auto lene ka Mann banaya par badkismati se wo gaadi kaafi teji se waha se nikal chuki thi,

Safa ka dhyan us shaks pe aaya jo shayad uska colleague tha wo akela tha aur bus stop par khada tha, safa muskurakar paid ki ek aad mein wohi tehri jab usne paaya ki wo waqayi tanha tha to usne burqah utara aur uske kareeb badhi apne saamne saji dhaji khubsurat aurat ko pehlu mein dekh wo aadmi pehle hadbadaya fhir muskuraya safa ne bhi oose smile pass kiya,

"Kya ye bus sidha jayegi?"

"Haan par aapko jaana kahan hai?"

"Jaha aap le jaaye"

"Matlab?"

"Matlab jaha aap le jayenge wohi lekin aapko mere kuch sawal ka jawab dena hoga agar aap bura na maane toh"

"P..par main samjha nahi"

"Waha park mein chale"

"Lekin"......isse pehle wo kuch kehta safa ne apna pallu theek karna shuru kiya jisse oos aadmi ki nigah theek uske chatiyo ke beech padi ek baar ke liye usne nazare fhair li fhir uske andar ka shaitan bhi jaagne laga, safa bhaanpte huye uska haath pakde sang sang oose bus stop se dur us sunsan park mein le aayi,

"K..kya puchna chahti ho?"

"Aap jaha kaam karte hai waha mera ek waqifkar hai shayad aap oose jante ho uska naam adam hai adam Shaikh wo kahan rehta hai?"

"Arre oose tum kaise janti ho?"...fhir uske khyal mein shaitani vasvasa aaya usne safa ka muana kiya to oose laga ki shayad adam usse fasa hua tha

"Wo mera bahut purana waqifkar hai main oose jaake mil nahi sakti kya hai na? Rutha hua hai par agar aap meri madad kare to ho sakta hai badle mein main aapko inaam"

"Innaam kaisa inaam?"

Safa ne kahe bina apne pallu ko sarka diya aur fhir uske saamne apne blouse ke button ko kholna shuru kar diya jise dekhkar pehle usne charo taraf nazare daudayi wo Gail jagah thi waha koi nahi tha wo fhir safa ki harqat ko dekhne laga aur apne hontho pe zabaan phairne laga,

"T..tehro y..e ky..a kar rahi ho?"

"Pehle bataiye batayenge na"

"Haan Han kyu nahi?".....nazar ab bhi uski safa ke khulte blouse par thi usne jaldi jaldi adam ka pata bata diya aur ye bhi bataya ki wo yaha bina parivar ke akele reh Raha tha, aur jald hi naukri chodhne wala tha wo chahti to wo oose sidha adam se milwa sakta tha jispar safa tehri aur usne bari bari aankhe nikaale us aadmi ko ghura

"Hargiz nahi"...fhir usne awaz pehle jaise naram karte huye kaha "mera matlab hai wo mujhse is qadr Ruth gaya hai ki wo meri shakal tak dekhna nahi chahta"

"Arre oose chodho usmein kya rakha hai? Main hoo na"

Safa ke dono bazuyo ko usne thaam liya toh safa hass padi, usne uske dono haath apne baazuyo se hataya aur apne angiyo ki ek jhalak dikhakar blouse ke button dobara lagaane shuru kar diye,

"Y..e kya kar rahi ho arre"

"Mujhe yaad aaya ki mujhe kahi jaana hai isliye mujhe jaldi jaana hoga"

"Lekin tumne to kaha tha ki tum inaam"

Safa janti thi agar wo hatthe se ukhadh gaya to ho sakta tha wo aage adam ke uske baarein mein sabkuch bak de, isliye safa ne muskurakar uske paas aakar uske gardan par haath rakha aur uske kaan ke kareeb honth laakar kaha "inaam kya khuleaam loge? Ya sirf ye ek jhalak hi dekhna chahte they?"

"Fhir kab milogi?"

"Kal isi jagah par see u soon"....itna kehkar safa ne na chahte huye bhi uske gaalo par ek chumban diya jisse us aadmi ka shareer kaanp utha usne munh baaye oose ghura aur jaate dekhta raha

"Par hamari mulaqat adam ko malum nahi chalni chahiye"...jaate jaate safa ne usse kaha to usne apne Gaal ko sehlaaye sehmati mein bas sar hilaaya safa janti thi wo mulaqat kabhi hone nahi wali thi

Safa Mann hi Mann bhaale barsaati us aadmi par waha se ruksat ho gayi ye din shayad adam ki wajah se uske zindagi mein aaya tha? Wo janti thi ki Anika adam tak pahuch sakti thi lekin ab wo khud adam tak pahuchna chahti thi aur wo iske liye kisi bhi hadtak jaa sakti thi


                              
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: March 23, 2024, 07:09:45 AM »
Asif apne khole jaisi kamre mein baitha gumsum baitha tha na jaane kyu? Raat bhar oose neend nahi aayi thi ek hi khauff tha ki kya malum kahi uska picha karta koi Islam ka aadmi na aa jaaye lekin jo baat Chowdhury sahab ne kahi wo jhoot nahi ho sakti thi isliye oose chauknne rehna zaruri tha kaash uske paas ek gun hoti achanak us  baat se uske zehan mein arnisha ka aks ubhara wo kis khokli zindagi ke hifazat mein tha? Jaha usne kuch na paake bhi sab kho diya tha arnisha se usne wada kiya tha straight life jeene ka toh fhir dobara wo galat rasta ikhtiyar kyu kar raha tha? Agar maut aani hi hogi to kahi se bhi aayegi oose roka bhala kaise jaa sakta tha? Ye mafia logo ka maamla tha aur unke maamle mein shareeq hona kitna ghatak sabit ho sakta tha ye baat wo achi tarah se janta tha

Asif haath munh dhokar sidiya utare apne kaam ki taraf rawangi deta hai, jabki dusri taraf wo is baat se bekhabar tha ki Islam ka khaas wo aadmi khabriyo ko uski khoj mein laga chuka tha, jo sheher sheher tamaam taxi agency mein us taxi number ko khoj rahe they,

Na jaane kyu Asif ko pichli shaam adam sihma gumsum sa laga tha? Kya koi baat thi agar Asif khud kisi maamle mein uljha nahi hota to usne usse zarur pucha hota ek wohi tha jiski us sheher mein oose parwah thi, Asif taxi agency pahucha jaha usne apni taxi ki chaabi haasil ki aur waha se apni taxi liye kaam par nikal gaya,

Uske jaate hi kuch aadmi gaadi se bahar utare wo office mein dakhil huye waha kursi par ek naujawan ladka baitha tha, unhone uske saamne us taxi ki tasveer rakhki jiska number plate jo number darz tha wo Asif ki taxi ka tha

"Haan ye taxi toh hamare yaha ki hai"

"Is taxi ka driver kaun hai?"

"Waise to ye bhaadhe ki taxi hai driver badalte rehte hai par zyadatar Asif bhai ise chalaate hai"

"Asif ye banda rehta kahan hai? Koi tasveer hai tumhare paas iski?"

"Ji nahi par ye to abhi yaha se taxi liye nikle hai"

Wo log hadbadaaye fhir unmein se ek ne dandanaake Asif ke ghar ka pata pucha jise us ladke ne register par se nikaalke unko bataya wo log bahar nikle tatkal Islam ke khaas aadmi ko unhone phone par sabkuch bataya

"Gaya hai to waapis bhi lautega uske ghar jao waha chanbin Karo aur agar kuch na bhi mile to waha ki nigrani tabtak karo jabtak wo wapis na aa jaaye aate hi thaamo aur adde le aao"

Us admi ne us ladke ko agaah kiya ki Asif ko malum nahi chalna chahiye tha ki kuch aadmi oose dhundhte waha aaye they sunkar sihamta wo ladka Haan mein sar hilaya

                                 ---------

Udhar Pata mutabik safa adam ke flat par pahuch chuki thi, wo bhari dopahari ka waqt tha aur ravivar ka din tha aaj adam harhaal mein oose waha mil sakta tha lekin sidha uske flat mein jaane ke bajay wo wohi paid ki aad mein uska bahar nikalne ko intejar karne lagi tabhi oose adam bahar aata dikhai Diya wo shayad kahi ke liye nikal raha tha ki itne mein do saaye uske saamne aa khade huye

"Kya baat hai?"

Unhone bina kuch kahe oose pakad liya to adam ne khatra bhaanpte dairi kiye bina apne baaye haath ka ghusa saamne waale gunde pe kiya aur dusre gunde ko dhakka dekar wo bhaaga wo dono sambhalte uske piche bhaage Arif ka hukam unhe mil chuka tha,

Safa samajh chuki thi ki wo Anika ke bheje huye aadmi they isliye wo khud bhauklaaye bhaagte adam ke saamne jaa khadi huyi wo bura khwab Haqeeqat mein tabdil hota adam ko dikhne laga adam patte ki tarah kaanpta wohi teher gaya safa uske nazdeek aane lagi,

"Kaise ho adam? Missed me?"

"No way"....dehshat se adam bol utha aur dusri taraf bhaaga safa oose khud se dur bhaagte dekh uske piche daudi

Adam kisi tarah apni jaan bachaata sadak kinare bhag raha tha usne jaldi jaldi phone nikala aur asif ko lagaya, Asif us ghadi kisi musafir se uljha hua tha usne phone dekhkar baad mein call karunga sochkar nahi uthaya lekin adam ka call baar baar oose aata raha, hapasta hanfta adam apne piche ek gaadi aata dekh sakta tha, achanak uska phone baj utha adam ne phone kaan se lagaya,

"Hello kya hua?"

"Asif main musibat mein hoo safa wo gunde mere piche Lage huye hai"

Sunkar dehshat se Asif ki aankhe bahar nikalne ko aayi..."kahan hai tu? Hello hello"

Lekin tabtalak call disconnect ho chuka tha adam ke haath se phone gir pada aur wo sidha saamne kisi lohe ki cheez se ja takraya wo zameen se girta uthta apne paas aati safa ko dekh sakta tha, maarein khauff ke wo beech sadak pe bhaaga aur yahi uski bhul thi,

theek tabhi adam ko apne baaye taraf tej horn sunaai di jab tak wo sambhalta tabtak dair ho chuki thi piche khadi safa wohi kathua gayi uska chehra safed pad gaya, wo zor se cheekhi adam ka jism truck ki chot se kayi dur Jaa faikaaye gira uske chehre jism se betahasha khoon beh raha tha,

Asif taxi liye samne sadak par us bheedh ko dekh sakta tha wo taxi se utara aur us bheedh mein ghuskar jab paas pahucha to oose Adam ka bejan jism khun se lathpath pada dikha Asif ooske paas baitha aur oose jhinjhodhne laga wo bhauklaaye oose awaz dene laga lekin adam kuch keh na paaya wo bas ek hi lavz munh se nikaalte huye bheedh ki taraf khoon se sane haatho se ishara kar raha tha "A..sif" Asif tamaam bheedh mein bhauklaaye dekhne laga tab uski nazar do gunde jaise aadmiyo par padi jo ekdum nazare gadaaye oose aur adam ko ghur rahe they, dekhte hi dekhte wo dono bheedh se jaane lage asif ne adam ki taraf dekha lekin tabtak adam marr chuka tha asif ki ankhe nam ho uthi, aaj pehli baar usne kisi apne ko aur khoya tha,

Udhar safa waise hi patthar bani khadi thi wo bhari kadamo se jab bheedh mein ghusti  paas aayi to oose adam ki khoon se lathpath bejan laash uski pathrayi nigahe dikhi jise dekhkar wo aise haulnaak cheekh uthi ki aas paas ke log bhi usse dur hatkar sihme dekhne lage, wo ghutno ke bal baithi rote bilakhte adam ki laash ko dekh rahi thi, tabhi waha police ki Jeep aur ambulance ki gaadi aa gayi, jis maqsad ke liye safa mental asylum se bhaagi thi wo ab adhura reh gaya tha, police ke aagman se pehle hi wo na chahte huye bhi bheedh mein dakhil hokar wo kahi gum si ho gayi, piche reh gayi toh adam ki bejaan lash

Jab Asif ne un gundo ko waha se jaate paaya to wo samajh chuka tha isliye wo bheedh se kabka nikalkar un gundo ke piche saaye ki tarah padh gaya wo gunde hairat mein they kyunki us ladke ki shakal jo uske sirhane baitha tha uske boss aur khud us ladke adam se milati thi, tabhi unhe ahesas hua ki ek taxi unke piche thi aur palbhar mein hi us taxi ne ek takkar gaadi ko de maari, gunde bhauklaaye piche dekhne lage unhone speed tej ki toh Asif ne bhi taxi ki speed tej kar di,

Usne palbhar mein taxi gaadi ke bonut ki taraf de maara jisse steering pe baitha wo aadmi ka santulan bigada aur gadi sidha flyover ke niche diwar se jaa takrayi, wo log gaadi se bahar utarkar bhaage, Asif taxi unke piche bhagaaye raha aur usne taxi sidha ek gunde ke piche de maari wo Gunda  aaundhe munh zameen pe jaa gira, Asif taxi se utara wo apne pehle Wale wohi roop mein tha wohi bedard jise kisi ki parwah nahi thi,

Adam ki maut uske zehan mein ghum Rahi thi dusre gunde ne uspar hamla karna chaha jispar Asif ne uski kohni madodte huye ek prachand ghusa uske chehre pe de maara dusre hi taraf niche pade aadmi ka chura oosi ke haath ko aithta usne ooske gardan pe rakh diya wo siham utha

"Kaun bheja tha tumhe?

"Arif Bhai"

"Uske paas leke chal"

To be continued..

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: March 23, 2024, 07:13:39 AM »
Udhar Asif ki talash mein Islam ke aadmiyo ne uske kholi ko chaan maara tha lekin waha unhe koi maal na mila bas mili toh purane kuch kapde aur zarurat ka saaman tatkal un logo ne rukkar wohi nigrani rakhne ka faisla kiya taaki asif ke aane pe wo oose dhar dabochte jabki unke giroh ka do aadmi sheher chaan raha tha ki wo taxi liye kahan par is waqt mauzud tha? Taki malum chalte hi oose wohi pe dabocha ja sakta,


Taxi ko teji se daudaata Asif sheher ke us samundra pier par pahuch chuka tha jaha se boat steamer aur kayi jahaz ruksat hoti thi, badle ki aag mein dhadakta Asif ne piche mudkar haath pao aur munh bandhe un gundo ki taraf dekha jo sihame oose dekh rahe they, wo chahta to khoon baha sakta tha lekin arnisha ka kiya vaada oose rok raha tha par ab aur nahi aaj usne apne ko khoya tha aur uska badla oose harhaal mein Lena tha,

Taxi roke wo bahar nikla usne un dono behosh gunde ki banduk apne Jeb mein fasa li thi aur fhir unhe baari baari bandhe hi samundra mein jaa faikha uske baad wo pier par pahucha usne gaur se dekha to oose wo steamer boat dikhai di, Asif ne aage badhkar ek motorboat ke malik ko kuch paise diye aur usse wo machine boat kiraaye pe li, wo puri raftar se chalaye us steamerboat ke paas ahetiyat se aane laga,

Is baat se bekhabar Arif upari maale pe baitha Anika se baat kiye jaa raha tha tabhi oose steamerboat par dhapp se kisi ki awaz sunai di uske aadmi furati se us taraf jaakar jhaakne lage to oose waha Khali motorboat dikhi, Asif steamerboat mein chadh chuka tha waha kayi log ho sakte they,

Uske aadmi jo niche khade they wo jaise hi piche mude toh Asif baagh ki tarah unpar jhapta unhe mauka diye bina usne ek rod se unke sar pe vaar kar diya Asif bina chuke waha mauzud tamam un aadmiyo ko ek ek kar gupt rup se maarne laga,

"Kuch gadbad hai koi awaz suni"...kehte kehte unhone apni guns nikaali aur Arif ko phone mein vyast chodh niche utarne lage tabhi ek laat darwaje pe padi aur sidhe sansanati banduk ki ek goli saamne aadmi ke chaati se ja takrayi wo wohi dhair ho gaya un logo ne tabadtod goliya chalai Asif ne chupkar hatho mein hathyaayi sharab ki bhari botal unpar uchaali jise goli maarte hi Sharab aur kaanch bikharkar unpar baras pade isi mauke ka fayda uthakar Asif bahar nikla aur usne goli ek ke baad ek unpar chala di Arif ekdum se hadbadakar apne aadmiyo ko dharashayi hote dekh sakta tha, saamne banduk taane Asif uske saamne aa  khada hua jab nigah Arif ke chashme wali nazaro se takrayi to ek pal ko asif chauka kuch waisa haal chashma utaarte Arif ka tha,

"Adam? Kya ye tum ho?"

"Adam nahi Asif aur jiski tum baat kar rahe ho oose aaj hi tumhare aadmiyo ne maar daala"

"What?"

"Haan sukoon to mil gaya hoga lekin abhi uski rooh ko sukoon kahan mila hai?"

"Dekho Mera maqsad oose zinda pakadna tha taaki baad mein uska faisla safa karti"

"Kisi ki jaan ka sauda karna tum jaiso ke liye aasan hai lekin bhul gaye ki wo mera apna tha aur mere apno ko chot pahuchaane waalo ko main bakashta nahi"

"Par tum hubahu meri tarah dikhte ho aur uski tarah bhi kahi tum dono maa jaaye bhai to nahi pehle tasveer dekhkar mujhe laga shayad wohi meri tarah dikhta tha par yaha to teesra bhi mauzud hai"

"Shakal milane se sirat nahi mil jati mr.arif ab teri mauzudgi mere haatho khatam hogi"

Arif ne baaton ka bakhubi fayda uthaya tha aur theek tabhi usne Asif ke nazaro ko chakma dete huye ek Khali botal pao ki thokar se uski taraf ludkaai wohi waqt tha jab usne piche se ek choti si revolver nikalkar uske haatho pe chala di dono taraf se firing huyi ek goli Arif ka kandha chukar nikli toh dusri goli Asif ke haath thaame banduk par padi, Asif hath thaame dum saad gaya itne mein Arif uspar dobora revolver chalane wala tha ki tabhi Asif furati se bachta hua ek drum ki aad mein ho gaya Arif ne goli chalaai lekin har baar Asif kamyab raha, Arif uske kareeb aahiste aahiste aane laga tabhi Asif ne taqat se drum uske upar uchaala Arif hadbadaaye raste se hat gaya aur sidha  farsh pe gira tabtalak Asif uspar savaar ho chuka tha,

Dono haatha paai karne lage aur ekdusre pe kaabu paane lage, ek prachand ghusa Arif ko apne jabde pe mehsus hua to wo Asif ke kabu mein aa gaya Asif ne oose uthaakar sidha chote se us bar par ja faikha jaha botalo se takrate huye wo sidha pas rakhki us taraf ki kursiyo par jaa gira, dard se bilbilata Arif uth khada hua aur usne wohi tuti botal Asif ke kandhe pe de maari, Asif wohi ghass khaake gir gaya Arif baagh ki tarah uski gardan par jhapta aur oose wohi apne baazuyo se dabane laga Asif ka dum ghutne laga lekin usne haar nahi maani,

Usne paas pada tuta kaanch sidha Arif ke aankho mein de chubhoya jisse usne palbhar mein Asif ko apni Geraft se azaad kar diya, Asif ne uthkar sidha laat uske seene pe de maara wo maale ke railing se ja laga,

Udhar motorboat par islam ka wohi khaas aadmi apne kuch aadmiyo ke saath us steamerboat ke taraf aa raha tha us taxi ka pata lag chuka tha aur wo taxi unhe pierr ke paas khadi mili thi, motorboat waale ne bataya ki usne ek wardi pehne ladke ko wo boat kiraye pe di thi, jo sidha dur us steamerboat ki taraf hi gaya tha, isse unka shaq pukhta ho gaya aur wo apne kuch aadmiyo ke sath waha pahuche,

Gun Arif par taante huye Asif ghurrkar oose dekh raha tha, "chance mat le mujhe maarega toh kasam khaake kehta hu meri biwi aur uska baap tujhe zinda nahi bakshega"

"Mujhe parwah nahi"

Isse pehle Asif oose goli maar paata tabhi ek goli sansanati ooske chehre se guzari wo sambhala steamerboat ke paas motorboat par kuch aadmi they jo oose hi goli ka nishana bana rahe they, Asif ne furati se goli sidha unpar chalai oose laga shayad wo log Arif ke aadmi they par wo ye nahi janta tha ki wo Arif ke aadmi nahi Islam ke aadmi they jo oose hi maarne aaye they,

Ek goli sidha Islam ke ek aadmi ko lagi to wo sidha paani mein gira jawabi hamla hone laga Asif unka muqabla ek banduk liye nahi kar sakta tha, wo chupte chupaata wohi aad ho gaya Arif ne mauke ka fayda uthakar banduk uthakar jaise bhaagna chaha tabhi Islam ke us aadmi ne oospe nishana saadha uske gale se ghutti ek cheekh nikali, fhir usne gusse mein aakar goli pe goli saamne daag di motorboat pe baithe kuch aadmi uski goli ka shikar huye to unki goliyo ka Arif shikar hua Arif ka jism hawa mein lehraaya aur wo khoon se lathpath wohi ladkhadane laga Islam ke khaas aadmi ne oose dhair hota dekha,

"Marr gaya saala".....usne socha shayad wo wohi taxi driver tha jisne Chowdhury ko uska maal pahuchaya tha lekin jise wo Asif samajhne ki bhul kar raha tha wo Asif nahi arif tha

Arif wohi zameen pe dhair ho gaya uski laash pe nigah daudaaye Asif waise hi chupa Raha, un logo ne steamerboat par jalte palite ka botal faika jiske steamerboat ke cabin mein girte hi aag pakad li ek ke baad ek kayi botal unhone steamerboat par de faikhe aur fhir furati se waha se bhaag khade huye steamerboat aag pakad chuki thi, Asif bhauklaaye Arif ke paas aaya Arif ki aankhe pathrayi huyi thi wo marr chuka tha, hubahu uski tarah aur adam ki tarah dikhta wo waqayi teesra shaks tha asif ka badla pura ho chuka tha lekin wo log kaun they? Unhone Arif ko oose hi samajke kya maar diya tha? Tabhi zor ka vispot hua steamerboat par pure dhamake hone lage aag ki lapate badhne lagi jo behosh pade they wo aag ki lapato mein ab cheekhne lage chillane lage they, pehla maala aag ke hawale tha,

Asif ne furati se daudte huye sidha paani mein chalang laga di tabhi ek zor ka dhamaka hua aur puri steamboat aage ke hawale ho gayi,


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: March 23, 2024, 07:14:14 AM »
Us steamerboat ko dhua dhua hote dekh us khaas aadmi ne Islam ko phone kar bataya Islam ne oose fauran waha se cooch karne ko kaha, Asif unki nazaro se bachta tairte huye motorboat par sawar bahar nikala aur kisi tarah bachkar kinaare aa pahucha, police aur logo ki jamghat waha Jama hone se pehle usne taxi thaami aur fauran waha se bhaag khada hua,

Udhar Anika business meeting mein busy thi, tabhi oose wo buri khabar police se lagi, uska shouhar Dhaka sheher ke us steamerboat ke haadse mein maara gaya tha, ye khabar sunkar Anika ke haath se phone gir pada uske aankho se aansu beh nikle,

                                ---------

Islam ke aadmi jo Asif ke kholi par mauzud they unhe us khaas aadmi ka phone aaya "wo maara jaa chuka hai steamerboat par us waqt wo waha mauzud tha ab waha rukne ka koi fayda nahi nikal aao waha se".....itna sunkar wo aadmi log kholi ko waise hi khula chodh waha se wapis jaane lage,

"Aye tu ghar ja apun aata hai"....wo log gaadi mein sawaar hoke waha se chale gaye toh wo aadmi cigarette sulgaaye paas ke theke ki taraf jaane laga tabhi itne mein ek saaya oose apne piche mehsus hua,

Oose mudkar dekhne ka mauka bhi na mila ki uske sar par andhere mein kisi ne bhari cheez ka dasta uske khopdi par diya aankho ke saamne oose dhundhulahat chati dikhi aur wo karhata wohi gir pada us saaye ne oose dabocha aur taxi mein daala, eka ek taxi ek sunsaan bandargaah par pahuchi,

Jabtak us aadmi ko hosh aaya to wo aisi dehshat mein pada jaise kabr se utha koi murda usne dekh liya ho, tabhi oose apne haath pao bandhe mehsus huye wo thook nigalta maarein Darr se ghurte Asif ko dekhne laga

"T..tu zinda hai toh apun ke boss ne fhir kisko?"

"Toh wo tera boss tha jisne steamerboat ko aag lagayi"

"H..Han"....badi kathinaayi se usne kaha

"Kaun hai woh?"

Jawab na paakar Asif ne fhir banduk ke daste se uske ghutno pe maara jise wo dard se bilbila utha, "dekh mere sar par khoon sawaar hai sach sach bata"

Us aadmi ne tote ki tarah sab keh diya kyu wo uske piche Lage they? Chowdhury ka loota maal na milane se khunnas mein aakar Islam ne apne aadmi oose maarne bheje they aur koi mansha nahi thi, Ab Asif ko samajh aaya ki unhe yahi lagta tha ki jis taxi ka pata kar wo steamerboat par pahuche unhone shayad dhokhe se Arif ko asif samajhkar maar dala tha, kaash wo Islam ko maut ke ghaat utaar paata lekin ab wo sabke liye marr chuka tha aur isse pehle uski pehchan khulti oose kuch karna tha,

Usne banduk ke daste se ek bheeshan prahar uske maathe pe kiya fhir us aadmi ko ek bori mein band kiya aur sidha samundra mein de faikha, kya us sheher mein uska tike rehna mehfuz tha? Yahi sochte huye wo waha se nikal gaya

                             ----------

Arif ki laash Anika ko saunpi jaa chuki thi Shah Alam apni beti ko ghurr raha tha Jo patthar ki Murat si bani arif ko ghurr rahi thi, Arif ka koi bhi aadmi zinda nahi bacha tha us steamerboat par sab maarein gaye they, adam safa ki wajud ko bhuli wo sirf us waqt Arif ki laash ko nihaar rahi thi,

"Ye sab kaise hua tha?"...Shah Alam ne us local inspector se pucha

"Ho sakta hai steamerboat par kisi tarah shortcircut se aag lagi ho lekin gaur karne waali baat hai ki inhe goli lagi thi aur sirf inhe nahi kuch laasho mein humhe goli ke avshesh mile they"

Anika ekdum se mudkar oose ghurne lagi, "humhe bhi yahi lagta hai ki ye aag lagayi huyi hai lekin kuch kehna muhaal hai steamerboat buri tarah jal chuki thi kayi laashe to abtak mili bhi nahi hai aapko kisi pe shaq"

"Kyu na ho? Hum is sheher ke mayor hai dushman to hamare hazaar hai lekin koi itna neeche gir sakta hai?"

"Hum puri koshish karenge iske teh tak pahuchne ki lekin postmertum"

"Haath Tak nahi lagana inspector"

Anika ko qeher bhari nigaahe nikaalta dekh inspector siham utha un ucche rasukh waalo ke aage kuch keh paana aasan nahi tha, "ye kisi aam aadmi ki body nahi mere husband ki hai agar ise chuya bhi!"

"Calm down Anika"......Shah Alam ne baat sambhaalte fhir inspector se mukhatib hokar kaha "dekhiye inspector jo hona tha ho gaya laash ab yaha se kahi nahi jayegi aur haan inspector kuch bhi pata chale report me"

"O..Kay sir"

Itna kehkar salute maarta police ki team waha se chali gai, Anika nam aankho se Arif ki laash thaamein wohi baith gayi Shah Alam apni beti ke kandhe pe haath rakhkar oose samjhaane lage

"Jisne bhi ye kiya unka pata lagana hai wo jo koi bhi hai bach nahi paye"

Anika ne badbadaate us laash ki taraf dekhte huye apne Abba se kaha,

                                ----------

Udhar nashe mein dhutt gam ki taqleef mein Asif bar par baitha tha aaj wo kaafi tanha aur bebas khud ko mehsus kar raha tha, oose samajh nahi aa raha tha ki ab wo kya kare? Adam marr chuka tha uski laash ko wo claim bhi nahi kar sakta tha aur dusri taraf Islam ke aadmi ka darr agar unhe sachai malum chali to kya hoga? Isi kashmakash mein wo utha aur beer ki botal liye bahar aaya taxi mein sawaar hua aur raat beraat waise hi veeran Sadako par ghumne laga, adam ki ek ek baat uske zehan mein ghum Rahi thi, kaisa ittefaq tha? Ki jis Arif ko wo maarne gaya wo khud uski tarah hubahu dikhta tha, isi kashmakash mein achanak usne bus stop par kisi ladki ko haath dikhaate dekha wo nashe mein dhutt thi aur uske pehnaave se lagta tha woh koi dhandhe waali thi,

Asif ne gaadi nahi roki tabhi us aurat ne zor zor se chillaayaa "roko roko maine kaha roko"...Asif ne gaadi roki fhir reverse karta uske paas aaya

Wo nashe mein dhut thi usne khidki par jhukkar Asif ko gaur se dekhne ki koshish ki, Asif khud nashe mein tha fhir bhi uska dhyan kahi aur tha,

"Aye driver mujhe motel le chalo"

"Kaun sa motel? Kahan par"......safa ne oose motel bataya usne bari gaur se Asif ko dekha to oose wo Jana pehchana laga

"Aye haath mat laga warna yahi chodhke chala jaunga"

"Tu mujhe kisi ki yaad kyu dila raha hai? Acha theek hai dekh main tujhe double dungi mujhe motel tak chodh de pls"

"theek hai Kaun se motel naam to bata?"

Usne naam bataya, Asif ne oose taxi mein baithne ka ishara kiya to wo taxi ka mor kaantkar ladkharaaye fatak kholne mein naakam hoti wohi gir padi, Asif ne bahar nikalkar oose uthaya aur gadi ka pichla darwaza khol oose piche ki seat pe laita diya wo nashe mein dhutt thi, is baat se Asif anjaan ki wo wohi safa thi jiski wajah se adam mara tha aur jo hamesha jiske kisse usko sunata tha, lekin wo khud us waqt soch paane mein nakam tha,

Asif ne taxi aage badhaai toh safa waapis laiti kabhi hasti toh kabhi rone lagti uski pagalpan ko Nashe mein dhutt jaankar Asif ne gaur nahi kiya, aksar uska aisi aurato se paala padta tha jinse wo hamesha duri banaye rehta tha aajtak arnisha ke siwaah usne kisi aur ke baarein mein nahi socha tha lekin ab kya fayda tha? Wo digonto aur oose ekdusre ki baahon mein bistar par hone ka tassavur karne laga to uske dil par jaise chabuk pade, wo chahkar bhi kya kar sakta tha?

Safa uthkar oose gaur se dekhne lagi oose aisa laga ki adam driving kar raha tha, lekin aisa kaise ho sakta tha wo toh uske saamne maraa tha? Uski laash khud usne hospital morgue mein jaake dekhi thi lekin chahkar bhi wo oose police ki wajaho se claim nahi kar paayi thi,

Safa fhir hassne lagi fhir gungunaane lagi, wo Asif ke gardan ke paas aakar kehne lagi

"Aye tum mere adam ho na?"

"Kaun adam?".....is baat ko sun Asif ne gaur se uski taraf dekha

"Mera adam mera wohh hahahaa Mera wohhh"

Asif ne adam ka naam suna to wo kuch samajh nahi paaya kya wo ladki adam ko janti thi? Lekin Adam aisa to nahi tha jo aisi dhandhe waali se koi sambhandh rakhta? Wo ache ghar ka izzatdar padha likha ladka tha,

"Tum kiski baat kar rahi ho?"

"Tumhari hahahaha"......Asif khamosh ho gaya wo yakeenan nashe mein dhutt anap shanap bak rahi thi,

"Apun ne bhi apna dost aaj khoya hai uska naam bhi adam tha bahut Shareef bahut naik lekin mujhko chodhkar chala gaya"

"Kya hua tha oose?"...nashe mein masumiyat se safa ne pucha

"Murder hua tha uska"

"Oh so sad"

"Lo tumhara motel aa gaya"

Taxi thami toh safa purse se paise nikaalne lagi, par Asif ne paise lene se inkar kar diya, safa beshud nashe mein dhutt fatak khole bahar utari toh wo larkhara gayi uski haalat dekh Asif bahar nikla usne oose sambhala,

"Tumhe andar tak chodh du"...safa ne haami bhari

Safa se usne uska room pucha aur oose sambhaale motel mein laaya us waqt reception wo buzurgwar aaungh raha tha uspe bina nigah daudaaye Asif safa ko sidiyo se upar le aaya jaisa jaise usne direction bataya fhir usne chabi se darwaja khola aur safa ko andar laakar bistar par laita diya, usne kamre ki charo taraf dekha waha koi nahi tha,

"Main chalta hu"....itna kehkar wo safa ke upar se utha hi tha ki safa ne oose kasskar gerebaan se apni taraf kheecha Asif hadbada gaya

"Aye mujhe chodhke kahan jaa rahe ho?"...Asif ne oose khud se dur dhakelna chaha lekin uski pakad mazbur thi wo khud nashe mein chur tha

"Tum bilkul uski tarah dikhte ho kya tum mujhe chodhke chale jaoge?"

"D..dekho tum hosh mein!"

Itna kehte hi safa ne uske hontho par haath rakha aur oose kuch kehne ka mauka diye bina hi oose apni baahon mein kheech liya us pehlu ki oose bhi zarurat thi wo gam mein duba tha usne Aaj apna khoya tha aur us waqt arnisha ki bhi yaad ne oose andar se tanha kar diya tha, wo kabtak khud ko yu baandh ke rakh pata? Jo ho raha tha usmein uska bas nahi tha, wohi dusri taraf safa ko aisa lag raha tha jaise uski bahon mein koi aur nahi adam ho, uska marhum mangetar....

                              ----------

Zahir Islam peg banaye news mein din bhar ki khabar mein us bheeshan steamerboat ke haadse ko dekh raha tha khabar lagi thi ki police ko tathya mile they jismein steamerboat kisi haadse ka shikaar nahi balki kisi ki sazish ka shikar bani thi kayi boatwaalo ne waha goli baari ki awaz suni thi aur is haadse mein Arif aur kayi logo ki laashe mili thi Arif ka naam sunkar Zahir sofey pe sidha baith gaya baad mein bataya gaya ki wo padosi rajya ke mayor sahab ka daamad tha, ye sunkar uske hosh fhakta ho gaye us ghadi Zahir ka wo khaas aadmi bhi waha mauzud tha,

"Y..ye sab kya hai? Tum jante ho tum logo ne kisko maar diya"

"Police khoj nahi payegi aur humhe khabar mili thi ki oosi boat par Asif bhi tha humne uski tasveer uske ghar se paai thi main khud uski taxi ko trace karke waha pahucha tha"

"Par tum jante ho mayor sahab kaun hai? Police toh chanbin ka koi suraag na chodhegi agar hamara naam aaya ki waha mere aadmi kisi taxi driver ko shoot karne gaye they toh"

"Agar hum steamerboat ko aag nahi lagate toh uski laash police ko milati aur khamokah hum muskhkil mein padh sakte they jis kiraaye ki motorboat us ladke ne Li thi uske maalik ko humne pehle hi khallas kar diya hai toh police ko hamara waha byan kaun dega? Kisne humhe dekha hai? Ho na ho is Arif ke sath uska koi connection tha aur isi steamerboat mein wo bhi maara jaa chuka hai maine khud oose shoot kiya hai"

"Par Arif wo mayor sahab ka daamad"

"Jaane dijiye humhe isse kya? Dekhna jab koi sabut nahi milega toh police khud hi ise kisi rival party ka haath karaar degi aur hamara toh dur dur tak un logo se koi wasta nahi"

"Tum theek kehte ho waise ab Chowdhury ko tabaah karne ki zimmedari tumhari hai tumhe ab uska bharosa jeetna hai mere paas ek plan hai ab filhal oosi pe kaam karo"

Us aadmi ne muskuraya aur chupchaap Zahir Islam ki tamaam planning ko sunne laga

                                ----------

Subah kitna Baja tha malum nahi wo ek gaddedar bistar par laita tha jab Asif ne apne badan ko tatola to kapre ka uske jism par namonishan tha usne hadbadakar uthkar khud ka jayeza liya wo subah ka waqt tha wo ek ajnabi kamre mein tha bistar par bagal ke pehlu mein uski tarah wo aurat nangi laiti huyi thi, usne jaldi jaldi razai se uska jism dhak diya wo bistar se utha niche farsh par bikhare uske kapde aur us ladki ki saree aur blouse tamaam baaton ki chugli kar rahe they ki kal rat kya hua tha?

Wo bhul thi shayad nashe aur zazbat mein churr hokar wo faisla nahi kar paaya ki wo kya kar raha tha? Tabhi wo bathroom gaya waha se nahakar bahar aaya aur paas rakhke tauliye se apne badan ko ponchne laga, itne mein karrhati safa ki awaz uske kaano mein padi,

Asif ahiste se uske kareeb jhuka wo oose beshud nigah se dekh rahi thi,...."kahan jaa rahe ho? Pls mujhe chodhke mat jao na mere paas aao"

Asif uski parwah kiye bina apne Jeb se kuch paise nikaalkar daraaz pe rakh deta hai, aur oose waise hi chodh apne kapre pehen darwaja lagaye galiyare se hota sidha motel se bahar nikal jaata hai, wo apni taxi mein savaar hota hai aur waha se yeh ja woh ja, Asif Haqeeqat se waqif nahi tha ki wo kaun thi?
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #9 on: March 23, 2024, 07:38:49 AM »
"mere ko lafda nahi maangta abhi chacha jaan hajj pe gaye huye hai humhe kisi aise aadmi se taluq nahi rakhna jiski wajah se police aur bhailogo ke beech hum fass jaaye"

Taxi agency ka malik ka beta Asif ki mauzudgi dekh uspar fhat pada, usne pucha bhi ki wo log oose kyu dhundh rahe they? Jispe Asif ne oose khaas kuch nahi bataya lekin wo hargiz Asif ko kaam par rakhna nahi chahta tha,

"Par main jaunga kahan?"

"Ye tera matter hai tu jaan bhai taxi ki chabi de aur apna hisaab kar"

Asif ne koi behas nahi ki oose chaabi di, apne paise liye aur waha se nikal gaya aaj wo fhir ek baar beraah ho chuka tha kya wo waapis apne watan jaa sakta tha? Namumkin is desh mein rukne ki ek wajah thi aur wo thi uski khoyi mohabbat arnisha ki yaad wo usse bhala kaise dur ho sakta tha? Na jaane wo kahan thi? Kaash wo oosse mil pata, Lekin afsos wo chahke bhi usse nahi mil sakta tha wo uska bhula kal tha wo aaj apne vyvahik zindagi mein khush thi, usne uski nazaro mein digonto ke liye pyar dekha tha wo zazbat ki rau mein jaise Tut gaya,

Achanak oose khyal aaya iqbal Chowdhury ka wo janta tha ek wohi aadmi tha jo us mushkil ki ghadi mein uski madad kar sakta tha warna waha naukri ke liye dar dar bhatakna bahut mushkil tha, usne pehle Adam ke ghar jaane ka faisla kiya, wo adam ke flat par pahucha waha koi nahi tha abtak to shayad uski laash uske gharwalo ko uske desh bhej bhi di gayi hogi ho sakta tha laash ab bhi koi claim karne nahin aaya ho,

Asif ke paas uske flat ki chabi thi jo usne us din haadse ke dauran uske Jeb se girte utha li thi, usne us chabi se darwaja khola aur andar dakhil hua sab saaman yu hi pada tha, almirah check karte waqt uska dhyan un tasveero par pada jo adam ke they aisa lagta tha jaise un tasveero mein wohi mauzud tha, Asif ko wo education certificates mil gaye aur wo I'd proof mila jo adam ke they, almirah lagaate huye sheeshe par oose apni Surat dikhi, tab oose khyal aaya ki adam ne usse kya kaha tha?

"dekh agar tu mere tarah formal kapde pehnne shuru kar de meri tarah hair cutting karke clean shave ho jaaye to koi kahega nahi ki tu Asif hai ya adam".....wo baat Asif ke zehan mein ghumi

Usne wohi paas mein rakhki shaving kit dhundh nikaali washbasin ke paas jaakar usne pehle khaichi se dhadi kaanti fhir un baalo ko samaitkar toilet mein flush kiya, wo wapis aaya aur usne clean shave ki, apne lambe baalo ko usne ahetiyat se hair gel lagaya fhir usne formal shirt aur pant pehna, waha paas adam ka nazar ka chashma tha jise pehente hi aayene mein Asif ko laga ki wo koi taxi driver nahi balki ek padha likha naujawan hai koi faraq nahi kar sakta tha ki wo Adam nahi Asif hai,

Asif ne apne kapre samaite kuch formal kapde wardrobe se nikaalkar bag mein bhare aur waha se nikala usne darwaje ko tala lagaya aur waha se nikala kisi ki nazaro mein aaye bina wo waha se apne kholi pahucha, saara saaman rakhka aur fhir iqbal Chowdhury ko phone kiya, tatkal iqbal Chowdhury line par aaya

"Salam karta hu main Asif Shaikh bol raha hu jisne aapke bande ko us raat bachaya tha mujhe kaam chahiye meri naukri chali gayi hai theek hai main office mein aake aapse milta hu"

Asif ne phone cut Kiya ab us jagah par uska rehna theek nahi tha, usne apna saaman samaita aur waha se khali kar gaya pura din oose kamra dhundhne mein laga jab usne ek naya kiraye ka kamra haasil Kiya to waha saaman shift karke wo iqbal Chowdhury se mulaqat ke pehle usne saloon jaakar theek adam ke jaise apne baal katwaaye jab wo naye Ghar lauta to naha dhokar wo waqayi wo Asif lag raha tha jaise wo apne shuruwati dino mein lagta tha,

Usne us nazar ka chashma jaisa frame wala ek powerless chashma kharida usne adam ki I'd apne paas rakhki taaki agar koi oose pehchan bhi leta to uske paas sabut hota haalaki enquiry ke bina koi pata nahi laga sakta tha ki adam wajud mein nahi tha, jaate jaate bhi jaise wo uski madad kar gaya tha, wo shaam ko Chowdhury bari pahucha jaha wo uske oosi khaas aadmi se mila jisne oose pehle to pehchana nahi fhir usne jab apna parichay diya to wo oose yun dekhne laga jaise wo waqayi wohi taxi driver tha,

Kuch hi dair mein iqbal Chowdhury ke saamne wo khada tha, saari kahani sunne ke baad chowdhury sahab muskuraye, "manna padega kya dodge diya hai Zahir Islam aur uske aadmiyo ko tune? Jabki wo yahi samajh raha hai ki tu ab is dunia mein nahi hai aur isi chakkar mein usne Shah Alam ke damad ko maar Diya jo hubahu Teri tarah dikhta hai ab to Islam gaya kaam se khair ye baat sirf main janta hu ki tu adam nahi Asif hai lekin dunia ki nazar mein tu adam Shaikh hai waise main tujhe apne dhandhe mein rakhne ko tayyar hu lekin meri bhi kuch sharatein hai"

"Mujhe aapki saari sharatein manzur hai par aapke giroh mein meri asliyat na khule ye baat sirf aap aur aapka khaas aadmi janta hai ki main kaun hoo? Lekin main logo ki nazaro mein adam Shaikh banke rehna chahta hu jo peshe se aapke export house mein kaam karne wala ek mulazim hai"

"Aur mere dhande ka employee bhi hahaha badi dur ki soch leta hai tujhe ye baat malum hai ki Mera garments ka dhanda bhi hai theek hai waha Tera jo pesha hai uske tehet to wo kaam Tera front hoga lekin asliyat mein tu mere liye kaam karega"

"Ji"

Na chahte huye bhi haalat ke mazburi ne Asif ko dobara us raah par khada kiya jaha  wo chowdhury ke liye kaam karne laga tha, wohi gair kanooni dhanda wohi galat rasta ikhtiyar lekin ab chahkar bhi Asif kuch kar nahi sakta tha, wo aisi badkismat ke Geraft mein tha jisse nijaat paana behad muskil tha,

                                --------

Chowdhury oose apne export house mein us peshe mein rakh gaya jo kaam adam kiya karta tha saath hi saath chowdhury oose apne dhandhe ke baarein mein batate huye oose apne aadmiyo se kaam sikhaane laga is tarah uske kayi aadmiyo se Asif ka parichay adam Shaikh ki taur par hua sab oose adam Shaikh samajhne lage they, Asif ko malum chala ki chowdhury sahab ki iklauti beti thi jo Bala ki khubsurat niha chowdhury thi uski fhir mulaqat chowdhury ke khaas aadmi se huyi jo oose pehle din se aankho mein khatka tha aur usne bhi oose zyada pasand nahi kiya tha Chowdhury ka daaya haath Sam

"Isse Milo ye Sam hai ye mera daaya haath hai mere tamaam dhandhe ka pura dekh rekh yahi dekhta hai mera front hai aur ye hai adam adam Shaikh hamare dhandhe mein utara hamara Naya saathi aur mera khaas aadmi ab"

Sam khubsurat nain naksh ka 6 ft se upar nikalta kad kathi ka ladka tha aisa lagta nahi tha ki wo koi peshe war muzrim tha,

"Amsterdam mein jab casinar ka gang tha ye oosi casinar ka bhatija hai casinar ko to oosi ke aadmi ne double cross kar ke maar diya jab usne waha ke ucche rasukh Edwards ko bura fasaya tab casinar gang ke khaatme ke baad (padhe kahani "hifazat") ye waapis Bangladesh aa gaya ye half Irani-bangladeshi hai kaafi padha likha hai aur kaafi smart bhi"

"Uncle ki maut ke baad mera waha tha hi kya? Main toh ab bhi bhatakta agar mujhe chowdhury sahab kuch saal pehle na mile hote inhone to mujhe nai life di hai"......chowdhury sahab muskuraye Sam ne bhi muskuraya

"Nice to meet u sam".....adam usse haath milaata bola

"Me too Mr.adam"......uske haath milaane mein bhi saqti thi dono ekdusre se alag huye fhir chowdhury sahab ke mukhatib huye

"Well parichay ho gaya ab ye baat yaad rakho ki tumhe milkar kaam karna hai understand!"

Dono ki gardan sehmati mein hili....fhir chowdhury sahab ke jaate hi Sam ne kuch dair aur asif se baat ki aisa lagta tha jaise wo ooske baare mein sabkuch janna chahta tha lekin asif bhi hoshiyar tha usne utna hi soch vichar kar jawab diya jitna usse pucha gaya, uske baad Sam usse aise dur hua jaise koi saaya dur ho,

Waqt guzarne laga aur asif chowdhury sahab ke liye kaam karne laga uske dhandhe ke tamaam daanv painch wo sikhne laga, Chowdhury waqayi jitna bahar se prasidh izzatdar business man ki chavi paaye tha andar se utna hi kaale dhandho mein wo badshah tha hathyaro aur tamaam nashili padhartho ki taskari uske yaha aam hoti thi, wo kayi dafa bandargah gaya jaha usne rishwat lete coastal guards ko dekha jo aasani se container mein gair kanooni maal jahaz par import karwakar sat samundra par kar dete they,

Har bara neta aur naami shaksiyat ke rubaru wo hota tha, adam yakeenan sahi kehta tha yaha paiso ke aage duniya andhi thi, aur shayad imaandari aise hi kaamo mein kamyab hoti thi, dheere dheere Asif khud ko us mahoul mein dhaalne laga tha, wo chowdhury sahab ke saath saaye ki tarah rehta tha unke har kaam aata tha is beech Islam ki bhi uspar kayi dafa nigah padi thi lekin wo oose pehchan nahi paaya tha, jitna Asif chowdhury sahab ke kaam aaya utna badle mein oose wo tamaam aisho aaram milane lage jisse wo hamesha nawaqif raha tha, partiyo mein aksar dilkash khubsurat auratein uske pehlu se lipatti thi lekin wo hamesha unse daayra banaye rakhta tha ye sochkar ki wo ab bhi arnisha ke judai ko nahi bhula tha, lekin zameer oose hamesha yahi manne ko mazbur karta tha,

"Jis raah ki mujhe talash hai uski manzil is sheher mein khatam hoti hai, main yaha maqsad ke liye nahi mohabbat ki talash mein aaya tha, lekin raah mohabbat ki na mili, par jeene ki mil gayi aur ab mujhe faraq nahi padta ki main tanha hoo ya akela kyunki meri raah uparwale ne yahi likhi hai, aur jeene ke liye mohabbat hi sabkuch nahi hota, agar kuch hota hai toh wo hai paisa, shouhrat aur jismani zarurat"

                                 -----------

Safa ab bhi Dhaka sheher mein thi wo azaad thi kanoon ke Geraft se bari thi lekin usne apna sabkuch kho diya tha, usne chaha tha ki agar adam ko maut bhi aati to wo maut wo oose apne haatho se deti lekin ab adam ke maut ke baad wo bilkul akeli pad chuki thi, ab wo jaati bhi kahan uska daulat ghar jaayejad sabkuch usse cheen liya ja chuka tha, uska parivar bikhar chuka tha aur agar wo khud kisi musibat mein fass jati toh ya uska moqaam jail hota ya fhir wohi mental asylum lekin wo kaun tha? Us raat jiske saath wo oosi bistar par humbistar huyi thi wo taxi driver tha lekin nashe mein hone ke bawjud safa ne saaf oose pehchana tha wo uska adam tha lekin adam to uske nazaro ke saamne marr chuka tha to fhir wo kaun tha?

"Wo fitoor nahi ho sakta tha maine khud inhi nazaro se adam ko dekha tha wo koi gair aadmi nahi tha wo Zinda hai lekin kaise? Kya wo uska humshakal tha par kaise?"

Safa ke jaag Jaane ke baad usne oose jaate dekha tha jab wo uthi to usne daraaz par kuch paise chodh diye they kya wo uske huliye se oose koi aisi waisi aurat samajh baitha tha? Lekin usne to uske sath koi  jabardasti nahi ki thi jo kuch hua tha razamandi se hua tha, safa ne fauran receptionist ke paas aakar us taxi driver ka huliya byan kiya jispar usne bataya ki usne bhi kisi taxi driver ko motel se kuch din pehle jaate dekha tha wo bhi subah subah

"Kya wo Aisa dikhta tha?"....safa ke phone par adam ki tasveer thi

"Haan kuch kuch aisa hi dikhta tha"

Us baat se safa soch mein pad gayi ki aakhir wo tha toh tha kaun? Us driver ki khoj mein wo pagalo ki tarah pure din bhatakti rahi na jaane kyu? Kis umeed mein jo marr chuka tha pehle hi? Lekin us haadse ne safa ke dilo dimag par aisa asar kiya tha ki ab uske humshakal ko bhi dhundhti wo sheher mein fhir rahi thi, aur oose apni is chanbin mein kamyabi bhi mili,

"Haan ye hamare yaha taxi chalata tha"

"Is.ka naam kya hai? Adam"

"N..nahi toh ye toh Asif Shaikh hai lekin humne ise naukri se nikaal diya hai"

"Kahan rehta hai yeh?"

"Jaha rehta tha waha se khaali kar chuka ab malum nahi ki kahan rehta hai?"

Us baat se hataash hokar safa bhari Mann se us taxi agency se bahar nikli...itne bare sheher mein adam ke us humshakal driver ko dhundhna aasan nahi tha oose yahi pata chal paaya ki uska naam Asif tha lekin isse zyada wo kuch malum na kar paayi, lekin uske dil ke kisi kone mein ye awaz uth rahi thi ki jis tarah wo yaha tak pahuchi thi oosi tarah wo Asif tak bhi pahuch sakti thi, ab usne thaan liya tha ki oose oosi sheher mein bane rehna tha


                              

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #10 on: March 23, 2024, 07:40:51 AM »
Anika us waqt jaam pee Rahi thi uske chehre pe jaise fhatkar pad rahi thi kayi raatein woh so nahi paayi thi, Arif ke sath guzaare har ek lamha uske aankho ke aage ghum raha tha jab usse wo pehli baar hotel mein mila tha, fhir zaher ka oose agwah karna aur fhir goli lage behosh Arif ko usne jab paaya tha, uske baad toh bas wo oosi ka tha jaisa usne chaha wo waisa hi banta gaya lekin kyu? Aakhir kyu kismat ne oose bhi oose cheen liya pehle shouhar ki bewafai jo uske haatho jaan se gaya aur fhir Arif ke sath shaadi aur fhir uska yun qatl ho jaana agar wo hadsa nahi sazish tha to wo log kaun they? Jinhone pehle Arif ko maara fhir us jagah ko aag ke hawale kar diya,

Itne mein oose apne aadmi Joseph ka call aya jo us waqt Dhaka mein tha, Anika ne anmane bhaav se phone uthaya toh us taraf jo baat oose malum chali wo kuch aur hi thi, wo sofey par sidhi hoke baith gayi aur sunne lagi

"Steamerboat par kuch motorboats aaye they jinhone goliya chalani shuru kar di thi, aur theek usse pehle ek motorboat steamerboat pe pahuchi thi uske baad hi wo waqya ghata yaha ke khabriyo se jab maine padtaal ki toh malum chala ki wo motorboat waale koi Zahir Islam ke aadmi they aur unka nishaana Arif nahi balki koi aur tha, koi taxi driver jo shayad yaha ke hi kisi mafia chowdhury ke liye kaam karta tha"

"Toh fhir unhone Arif ko kyu maara?"....Anika ne saanp ki tarah fhunkaarte pucha

"Ho sakta hai wohi taxi driver hi hamare Arif Bhai ki maut ka zimmedar ho kyunki steamerboat dhamake mei  koi bacha nahi zyadatar laashe ya to jal gaye ya fhir paani mein kahi gum ho gaye hai par Haan ek baat hamare aadmi jo adam ko talashne Arif Bhai ke saath aaye they wo adam ki flat par mauzud nahi hai na unka number lag raha hai aur na hi unka pata chal raha hai main sab jagah dhundh chuka"

"Wo ladka adam wo kahan hai?"

"Marr chuka"

"Kya?"

"Yaha ke locals se malum chala hai ki ravivar ki subah apne ghar ke paas ek main road par aanan fanan wo ek truck ke saamne aa gaya tha on the spot death"

Us baat ko sunkar Anika safa ke baare mein sochne lagi, uska pagalpan uska inteqam wo adam ki tasveer adam to hubahu Arif se milta tha, kahi safa ne hi toh aisa nahi ho sakta tha? Par hone ko kya nahi ho sakta tha?

"Tum wohi raho aur safa ka pata karo ki wo is waqt kahan hai? Aur us steamerboat haadse ka theek tarah se chaanbin karo par ahetiyat se wo log jo bhi hai unke aadmiyo ko kharido unse sach ugalwao ki aakhir us din steamerboat par hua kya tha? Kisne aisa kiya aur kyu? Aur wo taxi driver kaun tha? Aur hamare aadmi kahan gumshuda ho gaye malum Karo"

"Jaisa aap kahe"

Phone katte hi anika ab ek naye sirhe se Arif ke qatl ko dekhne lagi thi, usne safa ko call kiya par wo network coverage se bahar tha Anika sach janna chahti thi agar waqayi safa ne pagalpan mein Arif ko adam samajhkar usse apna badla pura kiya tha to oose jawab dena tha aur agar ye baat sach nikalti to wo janti thi ki wo uska kya haal kar sakti thi? Lekin abhi sirf uspe uska ek khokla shaq tha jo safa se contact ke baad hi pura ho sakta tha,

                               ----------

Us raat Party mein Asif gumsum baitha tha us waqt waha chowdhury ka har aadmi mauzud tha waqifkar aur jaan pehchan waale kuch mehman waha shareeq they, itne mein oose apne pehlu mein kisi ka ahesas hua usne nazare uthaakar dekha toh niha ko apne kareeb baithte huye paaya niha Bala ki khubsurat 26 saal ki naujawan ladki thi Chowdhury ki iklauti aulad lekin Asif janta tha apne baap se bhi khaas wo kisi ki nazaro mein thi aur wo tha Sam jo agar us ghadi waha hota to shayad abtak unke beech aa khada hota, aisa lagta tha wo niha ko leke kaafi protective tha lekin niha oose nazarandaz karti rehti thi shayad oose jalaane ya fhir waqayi usse jaan chudhaane ke liye,

"Aur mr.adam akele akele yaha kya kar rahe ho?"

"Tanhai mein baitha waqt guzaar raha hoo"

"Aisi bhi kya tanhaai? Acha maine tumhe notice Kiya hai u don't have any gf kabhi kisi ladki mein bhi dilchaspi nahi lete apne kaam se kaam rakhte ho u should be happy"

"Khush rehna maine bahut pehle chodh diya hai anyway tumhara boyfriend nazar nahi aa raha"

"Kaun sa wala? Acha wohh Sam".....Asif uski baaton se hass pada

"Haan wohi"

"Wo hoga yahi kahi oose chodho apne baarein mein batao aise rehne ki wajah kya hai?"

"Kahunga toh shayad samajh nahi paogi main chahke is dhande mein nahi utara meri badkismati ne mujhe yaha laa khada kiya hai"

"Main samjhi nahi kis mazburi ne? Koi thi tumhare life mein forgot na yaar life mein bahut log milte rahenge"

"Kaash main tum jaisa soch rakh pata"

"Shall we dance?"

Na chahte huye bhi Asif uske saath dance karna qabul kar baitha wo janta tha uske Abba bura nahi maanenge lekin wo Sam ka nahi keh sakta tha....kuch hi pal mein wo niha ke khule peeth ke upari sirhe par haath ka sahara rakh uska ek haath apne haath mein thaame Asif jazz music mein uske sath dheere dheere dance kar raha tha waha kayi jode waha mauzud they chowdhury sahab us waqt waha nahi they, ek udti nigah usne Sam par daali jo tehelta wine peeta oose hi ghurr raha tha Sam ko usne nazaro mein relax rehne kaha jisse Sam ko laga ki wo uski bandi ke sath waqayi flirt nahi kar raha tha,

"Tumne bataya nahi tum aise kyu ho?".....niha ne uske kandhe pe haath thaame nachte pucha

"Ek mard zindagi mein in teen cheezo ka khwahishmand hota hai daulat, shouhrat aur mohabbat aur jis mard ke paas ye teeno hi nahi hote ya to wo khuda ka mureed ho jata hai ya fhir zindagi se bezaar mera taluq in aakhri 4 lavzo se hai"

Itna sunkar niha ruk gayi Asif muskuraye paas aate Sam ko uska haath uske haath mein thaamta dekar waha se zazbat mein dubta ruksat ho gaya niha oose sakdum jaate dekhti rahi,

"Kya keh raha tha woh?"

"Byaan kar raha tha apne dil ke dard ko"

"Kyu? Tum marham laga sakti ho kya?"

"Chahta to laga sakti thi"

"Niha"....Sam ne saqti se kaha

"Kam se kam tumhari tarah one night stand karke apni feelings to na bata deta ki tumhe mujhse kitna pyaar hai? Let me go mujhe drink karna hai"

Itna kehkar niha waha se chali gayi piche Sam ko sawalat mein chodh, udhar Asif beer ki chuskiya leta balcony se bahar raat ki us thandi hawao ko mehsus kar raha tha chakachaund sheher ko nihaarte uske zehan mein arnisha ka aks fhir ubhara na jaane kahan thi woh? Jab wo soch ki gehraiyo se bahar aaya to uski aankhe nam thi,

Achanak oose apne bagal mein koi mehsus hua usne niha samajhkar jab mudkar dekha to waha Sam ko paaya jo muskurakar oose dekh raha tha, sam us kaale suit mein kafi handsome lag raha tha sam bahar ke khubsurat nazare ko dekhta labo se jaam sataakar peene laga,

"Aur kya jadu kiya hai niha par? Jo tumhare dard ki tareef kar rahi thi"

"Maine oose aisa kuch nahi kaha aur main ye bhi janta hu ki tum uske sath relationship mein ho"

"Main toh hoo par uski aadat hai kisi na kisi mard ke sath flirt karne ki khair main tumhe kuch batana chahta hu"

"Kaho"

"Aaj tum chowdhury sahab ke azeez huye ho main kal se yaha hoo adam aur main nahi chahta koi unke zazbat ke sath khele ya unka fayda uthaaye"

"Meri aisi koi Mansha nahi hai Sam main puri wafadari se chowdhury sahab ka kaam kar raha hoo unhone mujhe us waqt support kiya hai jab main mushkil mein tha"

"I m glad adam but let me tell u one thing very clear niha se dur rehna no matter how much she flat on you"

"Dhamki de rahe ho? Jab chowdhury sahab ko koi problem nahi toh tumhe kyu? Aur waise bhi mere dil mein koi aur hai aur uski jagah koi nahi le sakta"

Sam muskuraya aur usse hath Milana chaha lekin adam gambhir tha usne haath aage nahi badhaya, sam samajhte huye uske kandhe pe haath rakhta waha se chala gaya, "nayi dushmani Mubarak ho Asif"......Asif khud se kehta muskuraya aur fhir wo bhi waapis party mein jaake shareeq ho gaya




Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #11 on: March 23, 2024, 07:44:31 AM »
"kya?? Aisa kaise ho sakta hai? Agar aisa raha toh client ka trust humse uth jayega koi hamare saath dealing nahi karega damnit"...phone cradle pe patakte huye chowdhury sahab sar pakde apne gaddedar chair pe dobara baith gaye,

Us waqt wo apne bungalow ke niji daftar mein they dair raat jo port se cruise mein unka maal jaa raha tha uski khabar police ko lag gayi thi, kafi bhara maal ka khep tha jiske pakade jaane se unko lakho ka nuksan hua tha,

"Tumhe pata hai isse narcotics bureau alert ho sakti hai mere aadmi bhi us maal ke sath pakde gaye wo toh munh nahi kholenge Khushi Khushi apni saza paa lenge lekin usse police mere piche zarur pad jayegi waise hi wo mujhpar Shaq Karti hai aur ye dusri baar hai jismein mujhe nakamyabi ka munh dekhna padh raha hai"

"Aapko kya lagta hai ismein kiska haath hoga?".....us waqt kamre mein uske saamne kursi par Sam baitha hua tha,

"Zarur oosi kameene Zahir ka haath hoga police ko gumnaam khabar karne ka warna itni full proof planning hote huye bhi hamara maal pakda nahi jaata wo to yahi chahta hai ki main raaste se hat jau to wo mere dhandhe pe kaabiz ho jaye"

"Is Islam ka waqayi kuch karna padega"....Sam ne sochte huye kaha

"Haan mere khabri uske bhi piche Lage hai pal pal ki uski tamam jankariya mujhe dete hai suna hai ki aaj ki raat koi Russian mafia se uski deal hai jo kisi ujaad jagah mein rakhi gayi hai humhe us deal ko nakaam karna hoga"

"Main apne aadmi le jaata hu"

"Nahi sam tum nahi qkyunki jab saanp ko chot lagti hai to wo aur kataha ho jaata hai main nahi chahta wo apne dushman ko pehchane is kaam ke liye hai ek ladka meri nazar mein"

Sam uljhan bhari nazaro se chowdhury ko dekhne laga,

Us raat sheher mein har taraf barsaat ho rahi thi, bijliya kadak rahi thi aur chakachaund bhari us sheher ke theek kuch duri par us andhere sunsaan ujaad imaarat ke paas kaale dhandhe karne waalo ka giroh us waqt waha mauzud tha, ek taraf kaali gaadi khadi thi aur uske aas paas kuch aadmi khade they waisa hi manzar theek us gaadi ke saamne tha Islam apna cigarette sulgaaye apne aadmi ke chaata kholte hi uske saath bahar barsat mein kadam rakhta hai us taraf se bhi uska client jo ki Russian tha apne aadmi ke khule chaate ke niche aakar uski taraf badha dono ne ekdusre ko muskurake dekha

"And mr. Slovic how are u?"......Islam ne cigar munh se faikte huye muskuraya

"Very well mr.islam here is ur package"....usne suitcase kholkar dono ke chaate ki aad mein Islam ko dikhaya usmein dhair saara kayi asla cocaine tha nigaho se parakhte huye Islam ne muskurakar fhir oose dekha jisne suitcase lagaakar oose saunp diya

"And here is ur money my friend"....uske ishare pe uske aadmi ne suitcase kholkar pehle usmein dhairo note angrez ko dikhaya fhir oose band karke ooske aadmi ko saunpa

"Bahut acha laga tumhare sath kaam karke"

"U can trust me anytime waise bhi is sheher mein mujhse zyada bharosemand dealer aapko Kahan milega?"

"Main toh chowdhury ke saath dealing karne wala tha lekin jab maine uske maal ki raid wali khabar suni then I changed my mind and I was just looking a trustful person like u hum aage bhi tumhare saath business karega"

"Sure why not?"

Islam ko lekin zyada khush hone ka waqt nahi mila kyunki usi waqt nazdeek se oose police siren sunai dene lagi angrez aur wo dono hi hadbada gaye tamaam waha khade giroh bhi sakpaka gaye police ko kaise khabar waha ki lagi thi? "Oh god what the f**k u have cheated me damn u"

"I just can't understand don't curse me jaldi gaadi mein baitho"

Tabhi waha firing shuru ho gayi kisi ne ucch swar mein unhe siren se wohi tham jaane bola, gaadi mein sawaar hota driver par chillata hua Islam dubak gaya gaadi furati se waha se bhagi, itne mein ek kaali gaadi unke piche thi wo ekdum se pure speed mein uske gaadi ko takkar maarne lagi Islam bhauklaaye dekhne laga uske aadmi gaadi se nikalkar uspe goli chalane waale they ki itne mein jawabi firing huyi aur goli sidha aage waali gaadi ke tyres par lagi, gaadi ka balance khoya wo sidha ek diwaar se ja takraai piche wali Kali gaadi theek us gadi ke piche aise ruki ki ab driver chahta bhi to back nahi kar sakta tha, kayi saaye gaadi se utare aur usne furati se tabadtod goliya daagni shuru kar di, Islam sihma gaadi ke niche dubak gaya itne mein baari baari un saaye ne gaadi ke andar baithe aadmiyo ko bahar ghasita jinmein kuch ko to goli lag chuki thi,

Aur theek tabhi unmein se ek ne piche ka darwaja khola aur sidha banduk Islam ke kanpatti par taan di Islam pasina pasina hokar oose ghur raha tha us saaye ne naqab pehen rakha tha lekin Islam janta nahi tha ki wo wohi taxi driver Asif tha jisko maar Dene ka order usne apne khaas aadmi ko diya tha,

"Jyada kaanpne ka nahi Islam sahab warna bheje mein goli utaar dunga chupchaap maal hamare hawale kar de"

Islam ne bina kuch kahe oose Noto se bhara wo suitcase thama diya, us waqt uski jaan ataki huyi thi, tabhi Asif ne goli ka dasta uske maathe pe aisa diya ki wo wohi behosh hokar dhair ho gaya, wo maal lete huye wo log waapis gaadi mein jaa sawar huye aur waha se yeh ja woh jaa,

Dusri taraf wo Russian angrez police ki Geraft mein tha aur minnate kar raha tha waha mauzud Islam ke aadmi ya to goli ka shikar huye they ya fhir faraar, idhar uska cocaine ka maal inspector ke rubaru tha, "chalo hathkadi pehnaao inhe aur Jeep mein bithao"

Oose kehne ka mauka diye bina police Jeep mein bithaya aur uska maal liye aage inspector apne vardidhari hawaldar aur constable ke sath ja baitha, Jeep teji se us ujaad jagah se nikal gayi

"Officer hamara yakeen Karo in sab ke piche Islam ka haath hai hum nirdosh hai"

"Ye toh pehle sochna tha jab is desh mein smuggling karne aana tha ab toh tumhare khilaf saqt enquiry hogi Bangladesh ki jail mein lambi guzregi"

"Pls spare me I will do anything"

"Shut up".....inspector ne dapat kar oose chup Kara diya angrez uljhan mein tha ki itne Gupt roop ki deal ki khabar police ke paas kaise leak ho gayi thi ho na ho koi bhediya tha Mann hi Mann wo Islam ko hazaar gaaliya de raha tha

Achanak wo ek bandargah ke ujaad pehlu mein aake ruke dusri taraf samundra tha, ek hawaldar ne oose dhakka deke Jeep se bahar gira diya, aur fhir Jeep waha se aise gayab huyi jaise pret, wo Russian mafia kuch samajh nahi paaya aakhir ye sab hua kya tha? Tab oose ahesas hua ki unke sath chaal kheli gayi thi, wo jis inspector ke rubaru hua tha wo koi aur nahi chowdhury sahab ka daaya haath Sam tha,

Udhar har koi tahaka lagaaye jashn mana raha tha Islam ke barbaadi ke Khushi mein Chowdhury ne khud hi sabke khaali jaamo ko bhara aur khaaskarke Asif ke jaam ko, aur fhir Sam ka

"Manna padega bahut hi brilliant work kiya tum dono ne I am proud of u both Islam to yahi soch raha hoga ki police waha kaise aayi? Jabki asliyat mein police ke jagah to mere aadmi they"

"Us Russian ko bhi karara jhatka laga hai wo yaha laakho ki deal karne aaya tha aur ab raste par ka bhikari banke yaha se jaayega"

Is baat par sab ek baar hass pade, "waqayi karari chot lagi oose ab wo sapne mein bhi mere maamle mein dakhal nahi dega waise Asif tum chahte to oose jaan se maar sakte they"

"Nahi chowdhury sahab main nihatte ko maarna buzdili samjhta hu"

"Wo hamara dushman hai aur dhokebaz aur dushmano ko ek hi saja milati hai maut"....Sam ne beech mein baat kantte huye usse kaha

"Main janta hu aur mere paas to oose maarne ki kayi wajah thi lekin maine bewajah khoon bahana nahi sikha mr.sam"

Baat ka dor apne haath mei lete huye chowdhury ne dono ko alag kiya, "jo bhi ho Asif tumne apne kabiliyat ka sabut mujhe diya hai".......Asif ne muskurakar salaam mein sar jhukaya wohi dusri taraf jaise Sam ko kuch acha nahi laga,

                                  --------

Islam apni nakamyabi ki chot se ab bhi nahi ubhara tha jo kuch kal raat ghata tha wo uske mind mein ghum raha tha usne maarein gusse mein aakar sharab ka glass de faikha, waha khada har aadmi sihma hua tha....."kaise ho gaya yeh sab? Kaise waha police aa gayi? malum bhi hai ki hamare sath kitni badi chaal kheli gayi police ke naam pe kisi ne humhe dhoka diya! Russian ka maal to gaya hi saath mein mere aadmiyo ko maarkar wo log mujhse Mera rupya bhi cheen le gaye itni bari himmat unki"....usne fhir tilmilate apne khaas aadmi ko dekha

"Tumhe maine chowdhury pe nazar rakhne kaha tha to fhir ye?"

"Ye sazish unhi ki hai aapne unka maal pakadwaya isliye unhone badla liya"

"Jante ho is nuqsan ki bharpaayi kaun karega? Ab tamaam international dealers jinhe maine ye bharosa dilaaya wo log to mujhse deal karna chodh hi denge ki mere sath sauda karna unke liye kitna unsafe hai chowdhury tune ye acha nahi kiya aur main tere us aadmi ko bhi nahin chodhunga jisne mujhpe haath uthaaya aur mera maal tujhe saunpa"

"Wo chowdhury ka hi aadmi hoga waise maine suna hai ki aajkal uske liye koi Naya ladka kaam kar raha hai ho sakta hai wo ladka wohi ho"

"Malum Karo wo ladka kaun hai? Chowdhury tune acha nahi kiya".....khud se badbadata Islam fhir sharab ke hawale ho gaya

                                --------

Joseph Sara sheher chaan maar chuka tha uske aadmiyo ne oose khabar di ki unke gumshuda aadmi ka kuch malum nahi chal paaya tha, wohi dusri taraf usne adam ki laash ki report pata ki jise uske parivar ke paas bheja ja chuka tha, us laash ki tasveer Joseph ne tatkal Anika ko bheji aur bataya ki wohi adam tha, Joseph fhir us taxi driver ka pata malum karne laga jiske tehet wo oosi taxi agency pahucha, pehle to us agency ka owner kuch bhi kehne ko tayyar nahi tha lekin apne saamne goli chamkaate Joseph ko dekh aur dusre haath mein rupya dekh usne tasdeeq kiya ki wo taxi no. Ka driver Asif tha aur kuch maah pehle oose hi dhundhte sheher ke bhailog aaye they Joseph ne uska huliya byaan karne ki baat kahi

"Main kaise huliya byaan Karu?"

"Kaisa dikhta tha woh koi tasveer to hogi?'

"Ek aurat aayi toh thi usne bhi mujhe tasveer dikhai thi aur oose wo adam keh rahi thi"

Sunkar jaise Joseph aur gambhir ho gaya kahi wo safa ki baat to nahi kar raha tha, Joseph ne adam ki lash ki tasveer oose dikhai....."haan yahi toh Asif bhai hai"

"Asif? Ye adam hai aur iski maut kuch waqt pehle hi ho chuki hai"

"Y..ye kya keh rahe hai aap? Ye to yaha kayi saal se kaam karte aaye hai aur abhi toh kuch din pehle maine inhe naukri se nikaal diya tha main nahi chahta tha hum kisi lafde mein fase"

"Kab aaya tha?"

Jo Tariq aur din usne bataya wo adam ki maut se kayi waqt baad ki thi, jise sunkar Joseph ko yakeen nahi hua aisa kaise ho sakta tha? Wo Asif agar adam tha toh uski maut ke baad wo Zinda kaise ho sakta tha? Kahi wo Arif toh, lekin aisa kaise ho sakta tha? Wo koi teesra hi tha jo hubahu Arif aur adam ki tarah dikhta hai, Joseph ne fhir safa ki talash shuru ki, lekin safa ki talash mein oose koi khaas kamyabi naseeb nahi huyi wo gafoor se mila jisne safa ko Anika ke hukam ke tehet paise diye they, lekin oose bhi malum nahi tha ki wo kahan gayi thi? Berehaal safa ko muhayya karayi wo kaali gadi ka number hi ab oose talash karne ke liye ek maatra Sutra ke taur par bacha tha, usne Asif ki us kholi ko bhi taxi agency ke bataye pate par dhundh nikaala to waha oose malum chala ki wo kabka waha se jaa chuka tha, safa Asif ki talash kyu kar Rahi thi? Jabki adam maara jaa chuka tha, aur safa khud kahan thi? Tabhi uske aadmi ne bataya ki kuch khabri unhone waha ke apne haath mein kar liye they,

"Zahir Islam yaha ka local neta aur kaale dhandhe ka karobaari hai har tarah ki smuggling dhake chupe karwata hai fhir oose desh ke tamaam jagah distribute karta hai apne netagiri ke chalte hi abtak wo police ke radar mein nahi aaya hai kayi police officer ko wo apne haath mein rakhta hai"

"Islam ke aadmiyo se dosti karo pata karo ki aakhir us din steamerboat par hua kya tha? Kisne shootout kiya tha? Aur kyu? Aur ho sake to is ladke ka malum Karo iska naam Asif hai"....order deta Joseph ne oose fhir adam ki laash waali tasveer dikhai jise dekhkar pehle to khabri uljhan mein pad gaye fhir Joseph ne unhe bataya ki wo hubahu iski tarah dikhta tha

"Malum Karo ki ye Asif zinda hai bhi ya nahi agar Zahir ke aadmi iske piche Lage they to yakeenan ya to wo unke Geraft mein hoga ya fhir maar diya gaya hoga"

"Theek hai bhai"

"Jao"

                              ----------

Us waqt chowdhury ke export house mein Asif kaam kar raha tha, wo naukri uska front tha aur uspar koi shaq nahi kar sakta tha ki wo chowdhury ke kaale dhandhe mein uska ek hissa tha, tabhi waha niha pahuchi oose dekh Asif ko koi hairani nahi hui wo aksar waha aati rehti thi, wo sidha Asif ke paas aayi,

"Hello mr lonely adam"

Asif kaam samjhaata niha ke rubaru hua "kahiye madam kya kar sakta hu aapke liye?"

"Mujhe ghumne jaana hai aur mera driver bimar ho gaya hai main akeli drive karna pasand nahi karti"

"So u want me to be ur driver?"

Niha khilkhilaake hass padi Asif sirf muskuraya, "Sam ko kyu nahi bula leti?"

"Wo daddy ke sath unke kisi kaam se gaya hua hai and waise bhi I don't need him tum bhi to mere father ke khaas aadmi ho tum mujhe nahi le jaa sakte"

"But yaha kaam?"

"Don't worry manager daddy ko keh dena mr.adam ko main apne saath le gayi hoo okay"......kaafi sherdil thi woh Asif ko manna pada

Asif hathyar daalta uske saath office se nikal gaya, jabki Sam ne oose warn kiya tha ki wo uske saaye se bhi dur rahe, lekin ismein uski kahan galti thi? Jab niha khud zabardasti kar rahi thi, Asif ne usse gaadi ki chaabi li darwaja kholkar oose pichli seat pe bithaya, aur aage mor kaantta driving seat pe baitha aur fhir gaadi sadak par dauda di, aadhe raste mein hi saaye ki tarah wo gaadi unke piche thi,

Niha ke bataye wo oose ramna park le aaya wo ek shaant jagah thi aur zyadatar waha tanha couples hi aate they, wo park kayi acre mein faila lamba bagaan tha jiske charo taraf ghane paid aur hariyali thi, aise yun ghumna niha ke saath Asif ko bhaaya to nahi lekin wo bhi toh uske kaam ka hissa hi tha, niha uske saath tehelte huye bagaan mein usse baat kiye jaa rahi thi, is baat se wo dono bekhabar ki koi unpar piche se nazar rakhke huye tha,


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #12 on: March 23, 2024, 07:45:30 AM »
Wo paas hi jheel ke kinaare bane baithne ki jagah par pahuche Asif khada hi raha jabki niha baithkar us khubsurat nazare ko dekhne lagi kahi chidhiyo ki awaz to koi kahi khubsurat fhul waha lage huye they,

"Acha ek baat batao Adam tumne mujhe bataya nahi tum us raat party mein kiski baat kar rahe they?"

"Kisi ki nahi"

"Main janti hoo tumhara kisi ne dil toda hai jiske wajah se tum aise ho gaye ho kya tum mujhe bata nahi sakte?"

"Dekho niha main yaha tumhare liye kaam chodhkar tumhare order par aaya hu aur mere kaam mein ye kahi nahi mujhse kaha gaya ki mujhe apni zyadti zindagi ka tamam byaan bhi dete rehna hoga"

Us baat se niha thodi naraz ho gayi fhir usne kuch nahi kaha is baat ko notice kar Asif ko apni galti ka ahesas hua fhir usne maanfi maangi

"No need to say sorry main janti hu tum Darr rahe ho na kyunki Maine us raat Sam ko tumhe dhamki dete sun liya tha"

"Sam se kaun darrta hai? Haalaki wo mujhe napasand karta hai aur tumhe pasand isliye usne mujhe aisa kaha tha rahi baat meri toh mere beete kal mein sirf dard hai unhe yaad karke siwaay chot ke mujhe kuch nahi mil sakta"

"Sam mujhse pyar nahi karta adam wo toh bas meri daulat aur khubsurati ki wajah se mujhse attract hua hai daddy oose maante hai kyunki wo unka khaas hai lekin inhi daayro ki wajah se wo abtak chup baitha hai lekin sach kaho to mujhe usmein fault dikhta hai wo jitna naik dikhta hai utna hai nahi"

Asif muskuraya....."khair tum nahi batana chahte mat batao lekin itna to bata sakte ho ki wo kaun thi?"

"Thi koi khubsurat masoom jiske liye maine bahut jokhim uthaya jiske khaatir main apna sabkuch chodh aaya sach kahu to usne meri zindagi mein aake mujhe sudharne ka mauka diya lekin jab mujhe ahesas hua ki wo to pehle hi kisi aur ki thi to main uspar kaise haq rakh sakta tha?"

"Kya wo yahi rehti hai?"

"H..Han"

Asif arnisha ka tassavur karta apne zazbat ko usse chupaane laga wo zazbat mein apni asliyat khud hi khol raha tha jiska oose ahesas hote hi usne turant chuppi sadh li na usne bataya ki wo kahan se aaya tha? Aur na ye ki wo kaun tha? Wo uske nazaro mein adam Shaikh hi Bane rehna chahta tha,

Achanak Asif ki nazar paid ki ot mein chupe ek saaye pe padi jo unhe ghur raha tha Asif fauran niha ke kareeb aaya itne kareeb ki niha ekpal ko hadbada si gai, usne jhukkar uske kaan mein kaha "niha apne aas paas mat jhaakna kyunki yaha par shayad kuch aise log mauzud hai jo hamari nigrani kar rahe hai wo hamare aadmi nahi".......Mann hi Mann dehshat se niha ne Asif ko ghura

Asif ne niha ka hath thaama aur banawati muskurahat diye waha se jaane laga diwar ki aar mein hota usne gun apne haath mein thaam liya tha usne turant Niha ko cover kiya aur sidha ghumta us paid ki taraf shoot kiya, din dahade goli ki awaz pure mahoul mein gunz uthi wo saaye hadbada gaye aur waha se bhaag khade huye unke haath mein bhi banduk they isse pehle wo Asif par nishana lagaa paate Asif niha ko liye bachta haath pakde oose cover kiye bhaaga, unpar firing hone lagi Asif ne paid ki ek ot mein niha ko chupaaya aur khud jhaadiyo se nikalta unhe dhundhne laga wo log bhaag rahe they, yakeenan wo Islam ke aadmi they aur unke piche Lage they shayad unka nishana Asif ya niha mein se koi tha,

Asif ulte pao niha ko thaamte huye waha se bhaaga wo bagaan ke andar hi andar park ke main gate par daude achanak oose maali ke sath waha ka guard aate dikha Asif ne banduk chupaai aur bataya ki waha kuch badmash log ghus aaye hai aur Sharab ke nashe mein firing kar rahe hai turant police ko bulao itna kehkar wo niha ko thaame bhaaga wo janta tha wo gunde itne aasani se picha chodhne Wale nahi they, achanak unpe jawabi firing huyi to niha dur Jaa giri, Asif ne park ki taraf paido ki ot mein niha ko chup jaane kaha police waha kabhi bhi pahuch sakti thi, Asif ne furati se bachte bachaate sidha saamne fire kiya ek goli kisi ke kandhe pe lagi uski dahadh sun baaki aadmi uski taraf firing karne lage,

Asif ko koi rasta nahi dikh raha tha wo wohi jhaadhiyo mein chupa Raha ek galti oose goli ka shikar bana sakti thi, wo ghaso par pait ke bal chalta sirhaane tak pahuch gaya, aur fhir waha se usne firing ki wo log oosi ke taak mein they dono taraf se firing hone lagi jis wajah se ek goli sanssanti Asif ke kandhe ko chuti nikal gayi, Asif dum saade wohi gir pada uske phate shirt se khoon behne laga, niha piche se oose hataash thaam uthi,

Wo log paas aane ko they ki itne mein unhe police ki siren sunai di wo log waha se bhaage, Asif bhi uthta niha ke sahare waha se bhaaga usne uchi uchi diwaro par niha ko chadhaake oose dusri taraf bahar kud jaane kaha fhir khud Chadha aur jaise taise waha se bahar kuda ganimat thi ki chajja itna ucha nahi tha, wo dono bahar aake main gate se thodi dur khadi apni gaadi mein jaa baithe, us haalat mein Asif drive karta zakhmi kandhe se waha se aanan fanan niha ko liye bhaag khada hua,

Jab chowdhury sahab ko malum chala to wo apni beti pe bahut gussa huye, doctor ne aake Asif ki dressing kar di thi, wo khatre se bahar tha, niha muzrim bani khadi thi jabki Sam is gair zimmedara harqat se kuch zyada hi naraaz dikh raha tha,

"Aajke baad tum kahi akeli nahi jaogi kya zarurat thi aise akele ghumne ki?"......niha sar jhukaaye khamosh rahi

"Zarur ye harqat Islam ke aadmiyo ki hogi"

"Main us kameene ko zinda nahi chodhunga"...Sam ne banduk nikaalte gusse mein kaha

"Shaant Sam main nahi chahta koi panga khada ho jo kuch hua wo hamare beech ka mamla hai baat uchalegi to bahut zyada bigadegi"

Wo fhir Asif ke taraf muda...."adam tumne meri beti ki jaan bachaakar mujhpar ek baar fhir apna ek ahesan kar diya hai abhi aise mein tum Ghar jao aur aaram Karo"

"Par chowdhury sahab"

"It's my order"

Itna kehte huye chowdhury ne ek bar apni beti ko ghura aur waha se uthkar chala gaya, asif bhi jaane laga to usne paaya ki Sam niha ke paas khada tha

"Mujhe tumse baat karni hai akele mein"

"Mujhe koi baat nahi karna tumse get lost"

Kehte huye niha Asif ko dekh waha se chali gayi, Asif bhi waha ekpal na tehra....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #13 on: March 23, 2024, 07:47:01 AM »
Islam ke hukam mutabik uska wo khaas aadmi apne aadmiyo ke saath khabriyo ke bataye Asif ke naye Ghar pahuch chuka tha, shayad uske ghar ki chanbin kar wo jaan sakta tha ki wo kaun tha? Aur agar wo ghar mein us ghadi mauzud bhi tha to oose maarna aur aasan tha,

Wo chori chupe sidiya chadhte galiyare se hote uske kamre ke aage khade they jaha tala laga tha, neemandhera chaya hua tha aur makaan mein us waqt koi log nahi they, tatkal aadmiyo ne tala toda aur kamre mein ghus aaye unhone chanbin shuru ki ek aadmi torch jalaye apne aadmiyo ke liye aasan kar raha tha, wo khas aadmi chahta nahin tha ki un logo ki mauzudgi ka pata ghar pahuchte us ladke adam ko chale jo naam khabri ne bataya tha,

Chanbin mein palang ke niche rakhke bag mein kapdo ko ulat pulat kar us aadmi ko adam ka I'd aur education certificates mila, us aadmi ko zara bhi andaza nahi tha ki jo adam wo Asif ko samajh rahe they wo to kabka marr chuka tha aur Haqeeqat mein wo wohi taxi driver tha jise maarne ke chakkar mein wo Arif ko us din steamerboat par maar giraya tha, agar waha koi aisa sabut oose mil jata jo uski asliyat ki gawahi deta to Asif ko pehchanne mein unhe dair na lagti ki wo ab bhi zinda tha balki ab Chowdhury ka naya aadmi tha,

Asif auto se utara aur furati se sidiya chadhta galiyare se upar jaane hi laga ki itne mein oose kuch aahat lagi wo sakdum pehle maale ke sidiyo par thithaka raha fhir aahiste aahiste upar chupkar aaya oose andhere mein saaf dikha uska kamra khula pada tha aur andar oose kayi logo ke hone ki bhanak lagi,

Uska dil dhadka kahi wo log Islam ke aadmi to nahi they ya fhir koi chor, Asif ne fauran banduk nikaali tabhi oose ek aadmi chauksi karta bahar apne taraf aata dikha Asif sidiyo se thoda daayre mein khada ho gaya wo bagal ki aangan se niche jhaank raha tha, Asif ne furati se uske munh par haath rakhka aur ek karara banduk ka naal uske sar pe de maara wo wohi gir pada us awaz se Islam ka khaas aadmi jo kamre mein tha apne aadmiyo ke sath chauknna hua,

Wo ulte pao bahar ahetiyat se gun nikaale pahucha aur theek tabhi Asif ne uske sar pe banduk ki naal piche se laga di, wo hadbadaya aur uske saath tamaam uske aadmi bhi,

"Hilane ka nahi warna goli bheje ke paar hogi apni gun faikh aur aadmiyo ko bol wo bhi"

Usne socha nahi tha ki paansa itne jaldi palat jaayega usne gun faikhi toh uske aadmiyo ko bhi mazburan apni banduk faikni padi, "ab kuch dair mein chowdhury ke aadmi yaha honge tabtak thoda intezar kar le"

Oosi pal usne ulte laat ka vaar Asif ke pairo ke beech mein kiya to Asif ne furati se banduk ki naal ooske gardan pe de maari usne mask pehen rakha tha aur andhere mein uska chehra saaf nahi dikh raha tha, is harqat se wo gunde Asif pe Tut padne ko they mazburan Asif ne trigger kheechi aur sidha ek gunde ke chehre pe goli de maari goli ki awaz silencer thi jis wajah se awaz gunzi nahi, wo log hadbadaaye aur bhaagne ko huye tabtalak us aadmi ne jawabi hamla Asif ke jhukte sar par kiya jis laat se Asif wohi zameen pe gir pada, uska kaan sun pad gaya lekin mauke pe usne trigger fhir kheecha par goli se bachte huye wo aadmi bhaag khada hua,

Asif dauda tabhi chura nikaale ek aadmi ne uspar kabu paana chaha lekin asif ne daayi kohni ka sidha vaar uski kanpatti par karte uski baanh madod kar ghuma di thi, dard se bilbilata wo wohi gira toh itne mein wo aadmi sidiyo se kudta waha se bakiyon ke sath bhaaga, Asif ne banduk sidha bhaagte ek gunde pe maari jo wohi sidiyo par gira lekin tabhi oose apne sar par bheeshan chot laga usne mudkar piche us aadmi ka gerebaan thama wo wohi khas aadmi tha jo sidiyo par chupa hua tha usne ghutno se Asif ke chati pe de maara aur oose puri taqat se pachadh diya,

Asif zameen par dard se karhaata gir pada oose apne chehre se nikalta khoon mehsus hua, wo aadmi gire pade banduk ki taraf upar dauda toh Asif ne banduk uski taraf tanni chahi par banduk ka nishaana saadhne mein wo nakam raha wo behoshi mein girta padta utha aur upar aaya usne isse pehle wo aadmi gun kabu mein karta uske upar baagh ki tarah chalang laga di dono wohi zameen par gir pade us aadmi ne furati se Asif ko apne upar se gira dala par Asif uska collar pakde raha jis hathapayi mein uska collar ka Astin fhat gaya aur uske chehre se kapra gir gaya wo apna chehra chupaata pehle maale ke diwaro par chadhta niche kud gaya ye nazara dekh Asif bhaukla gaya lekin tabtalak wo buri tarah chakkar khaake wohi dhair ho chuka tha,

Islam ke aadmi mauke pe waha se faraar ho chuke they, itne mein waha chowdhury ke aadmi pahuche aur sidiya chadhkar wo upar aaye waqt rehte Asif ne unhe ikhtila kar di thi isliye wo hathyarband they par tabtak wo log bhaag nikle they, unhone lights jalayi to paaya aangan mein Asif behosh pada tha aur un ghuspaithiyo mein ek aadmi wohi goli khaye dhair hua pada tha jabki dusra aadmi ab bhi Asif ki maar se sidiyo ke paas behosh pada tha,

Un logo ne laash ko pehle gayab kiya fhir Asif ko waha se uthaakar apne saath chowdhury bari le aaye, waha oose ek alag kamre mein laita diya gaya us behosh pade aadmi se sach qabulwa liya gaya aur us laash ko thikaane laga diya gaya sath hi sath us aadmi ki bhi, wo log Islam ke aadmi they janne mein waqt nahi laga jab Asif ko agle din hosh aaya tha tab usne Chowdhury ko sab byaan diya ki waha kya hua tha?

"Main janta tha aisa hi kuch hoga khair Tera ab akele rehna safe nahi hai tu waha se khaali kar le aur yaha mere paas reh main nahi chahta ki wo log dobara tujhe maarne ki koshish kare"

Asif ko razamand hona pada uske paas waqayi koi chaara nahi tha, udhar Islam aag babula hua jab uska khud ka khaas aadmi Asif ke haatho na sirf chot khaake aaya balki apne do aadmi ko bhi kurban kar aaya, tabhi Islam ko chowdhury ka phone aaya jab Islam ne phone uthaya toh chowdhury ne oosse milane ka izhar kiya, jisse pehle to Islam maana nahi lekin baar baar uske aadmi aur beti pe huye hamle ki wajah se chowdhury usse milane ka dabaav dene laga

"Theek hai kal wohi adde par"

Islam ne phone kantte apne khaas aadmi ko qeher bhari nigaho se dekha jo khamosh apman se sar jhukaye khada tha,

                                ---------

Joseph se khabri milane pahucha wo us waqt gulshan lake mein mauzud they, "kya malum chala?"

"Aisi solid khabar ki aap yakeen nahi karenge"

"Matlab?"

"Maine Islam ke ek aadmi ko sharab ke nashe mein itna dhutt kar diya tha ki usse sacchai qabulwaali wo apne us khaas aadmi jo hamesha mask pehenta hai Islam ka khaas uske saath steamerboat hamle mein shariq tha aur yahi nahi unhe udti khabar mili thi ki wo taxi wala kiraaye pe motorboat leke steamerboat ki taraf hi gaya tha aur to aur wo ladka jiska aapne huliya byaan kiya wohi wo taxi driver Asif tha jiski talash mein wo log taxi agency fhir uske kholi mein oose talashne gaye they ye taxi driver ne chowdhury ke aadmi ki madad ki thi jis wajah se ye Islam ke nazaro mein aa gaya tha lekin steamboat pe huye hamle mein uske boss ka manna hai ki unhone Asif ko maar giraya abhi filhal wo log chowdhury ke aadmiyo se uljhe huye hai aayedin qatle aam jaisi naubat aa jati hai"

Us khabri ke puri baat batakar jaate hi ye toh saaf tha ki Islam ke aadmi ne Arif ko asif samajhkar maar diya tha lekin us steamerboat par jab Asif bhi mauzud tha to yakeenan wo us dhamaake mein maara gaya hoga aur agar maara nahi gaya hoga to yakeenan wo is waqt bhi is sheher mein kahi chupa hoga ye baat usne fauran Anika ko phone par keh sunaya jise sunne ke baad Anika bhi hairan huye bina na reh payi, safa ab bhi gayab thi aur usse abtak uska koi bhi contact nahi ho paaya tha

"Safa bhi gayab hai aur asif naam ka wo teesra adam aur Arif ki tarah dikhta ladka us dhamaake mein agar maara gaya hai ya fhir zinda hai to zarur wo kahi na kahi us sheher mein mauzud hoga ye mera pura daava hai"

"Lekin agar wo waqayi maara gaya hai toh aise kisi Asif ko dhundhna bebuniyad hoga main safa ki talash bhi kar raha hoo"

"Jab humhe malum chal chuka hai ki Arif ko kisne maara hai? Toh humhe kisi aur ko dhundhne ki zarurat nahi"

                                 ----------

Sam niha ke bartav se kafi chidha hua tha aur din pe din Asif ko chowdhury ki aankho ka tara bante wo dekh sakta tha wo aisa kya kar sakta tha? Jisse wo oose raste se hata paata lekin aisa karna khatre se khaali nahi tha khud uski barso ki image chowdhury sahab ke aage kharab ho sakti thi isi kashmakash mein usne kayi baat note ki Asif waqayi kisi peshewar muzrim ki tarah kaam karta tha usne jis tarah abtak tamaam kaam ko anjam diya aisa lagta nahi tha ki wo us dhandhe mein Naya tha wo khud rahasmayi tha, jo hamesha apne beete kal ko leke oose zazbati zyada dikhta tha, tabhi wo chowdhury ke khaas aadmi se takraya usne oose soch mein duba dekha toh pucha

"Mujhe ye adam kuch theek nahi lagta? Aisa lagta hai jaise ye kuch chupa Raha hai? Kahi ye waqayi wo to nahi jaisa ye dikhta hai"

"Tumhare kehne ka matlab kya hai Sam?".....ye baat wo aur chowdhury ache se jante they ki adam asal mein wohi taxi driver Asif tha jo us raat uske ghayal aadmi ko leke aaya tha

Sam ne oose bataya ki oose adam par shaq kyu tha? Jise sunkar wo khaas aadmi pehle to kuch na bola fhir usne aisi baat Sam ko batayi jiska raazdar sirf woh aur khud chowdhury sahab they,

"Darasal chowdhury sahab apun ko uska pura background nikaalne bola tha maine pata kiya bahut khoja bhoos mein se se suyi dhundhne ke mafik aur jo malum chala usne sirf mujhko nahi chowdhury sahab ko bhi hila dala ye aaya tha ladka kaam maangne ye wohi hai jo hamare pantar ko us raat Islam ke aadmiyo se bachakar laaya tha jo hamara maal lootne ki firaq mein they"

"Toh chowdhury sahab jante hai ye banda Asli mein kaun hai?"

"Unhone hi to mujhe mana kar rakha hai ki kabhi kisi ke aage ye sach na qabulu lekin tu toh apna khaas hai upar se boss ka daaya haath ye Raaz khud us ladke ne humara giroh mein shamil hone se pehle ye baat rakha tha"

"Background history kya nikali uski? Aur chowdhury Sahab usse itna mutassir kyu hai?"

Jo baat us aadmi ne Sam ko batayi oose sunte hi wo chaunk utha darasal chowdhury sahab adam ke baarein mein sabkuch jaan chuke they woh kaun tha? Kahan se aaya tha? Aur kin haalato mein wo bangaldesh pahucha tha? Sabkuch uska ateet unke aage khul chuka tha sabkuch sunne janne ke baad Sam lajawab huye bina na reh paya,  wo yun Asif ko tassavur kar raha tha jaise wo koi azooba ho,

"Itna gehra Raaz hai uska my god"

"Tabhi to kaha uske background ke wajah se wo yaha tika hua hai aur ye baat khaaskarke usne kisi pe zaahir hone saqt mana kiya hai"

Sam ne haami bhari fhir wo aadmi oose akela chodh waha se chala gaya, kya ye baat woh niha se batata? Ki uski asliyat kya thi? Nahi agar sachai malum bhi chal jaaye to wo khud uski humdard bani baithi thi sunkar aur uski taraf ho jati, sam Asif ki sacchai se puri tarike se waqif ho chuka tha lekin usne Mann banaya ki wo ye baat kabhi khud kisi pe zaahir hone nahi dega na khud Asif par,

                                 -----------

Islam apne aadmiyo ke sath us ghadi Dhaka ke us private ship lounge par mauzud tha saamne chowdhury sahab aur uske aadmi mauzud they jismein Sam chashma aur coat pehna Jeb ki Astin mein gun chupaaye tha jo kisi bhi hoshiyari mein Islam ke aadmiyo par tabadtod palak jhapakte goli chala sakta tha wohi dusri taraf maathe pe bandage aur kandhe pe Patti bandhi huyi Asif waise saja dhaja tayyar suit mein chashma pehna Islam ko ghurr raha tha lekin Islam ka dhyan uspar kattayi nahin tha wo chair par baitha toh chowdhury sofey pe dono kee beech ek sheeshe ki table thi jiske dono baazu gunde khade they, Islam ka wo khaas aadmi us ghari uske saath mauzud nahi tha jisne Asif par uske ghar par hamla kiya tha,

Chowdhury ne baat shuru ki usne pehle glass mein baraf aur soda daala fhir ek peg banate huye uske taraf kiya, Islam ne glass uthaya lekin chashme se hi chowdhury ko niharta raha mahoul garam tha waha jaise kuch bhi ghat sakta tha,

"Pehle meri beti ko fhir mere aadmi ko maarne ki koshish ki tere aadmiyo ne wo sab kya tha? Aur kal raat ko to chori chupe mere khaas aadmi ko toh tere aadmi ne maarne ka koi kasar nahi chodha"

"Isne mujhpe haath uthaya chowdhury main ise kya zinda jaane deta?"

Asif ke daant bheech gaye lekin wo waise hi patthar bana Islam ko ghurta raha, jabki Islam oose kha Jane wali nigah se dekh raha tha, "tune bhi toh mera maal pakadwaya ek nahi do baar police ko gumnam tip kaun diya tha?"

Islam pare dekhne laga, chowdhury oose gulabi nazaro se ghurrne laga....."baat yaha tak hoti to main samajhta lekin apni dushmani nikaalne ke liye tu mere aadmiyo ko maarega to main chup nahi baithunga"

"Tere aadmi ne bhi to mere aadmiyo ko maar giraya uska kya?"....Usne khanjar ki tarah ungli Asif ki taraf taante huye kahi

"Khoon bahayega to bahega hi aur had to tab Teri badh gayi jab tune meri beti ko maarne ki koshish ki main kya janta nahi tujhe? Ki tu kitna niche gir sakta hai?"

"Jo kiya us naadani ka mujhe bhul hai lekin tune meri chavi to international dealers ke aage kharab karne mein koi kasar nahi chodhi ab main dhandha kaise karunga?"

"Dealer to aaj nahi to kal mil hi jayenge tu janta hai ki ek hint milte hi police ke uche adhikari hamare khilaf kuch bada kar sakte hai humhe agar is dhandhe mein bane rehna hai to humhe ekdusre ka nuqsan karna chodhna hoga"

"Tu sauda karna chahta hai? Toh kya tune mujhe isi liye yaha bulaya hai jabki tu achi tarah janta hai ki hum ekdusre ke kattar dushman hai"

"Aur ekdusre ki shakal dekhna bhi humhe gawara nahi par kisi ko pehel karni hi hogi Dekh zahir miya main tere sath koi sauda nahi samjhauta karna chahta hu gangwar karke siwaay hum apna nuqsan khud ka  karenge behtar hoga ki tu bhi apna dhandha kare aur main bhi warna khoon bahane se mujhe bhi koi gurez nahi aur beti ka badla main abhi tak nahi liya hoo"

Islam soch mein dub gaya, chowdhury ne oose jo samjhauta karne ko raazi hone kaha usse uska bhi fayda tha wo narcotics ka dhandha aaram se kar sakta tha aur badle mein woh chowdhury ko apna karobar karne deta,

"Steamerboat par jis taxi driver ko tapkaane tere aadmi gaye they us waqt us steamerboat par Arif mauzud tha Shah Alam ka damad padosi state ka mayor ab tu khud soch agar tu mere sath double cross kare mere dhandhe ko expose karwaaye to main to sidha Shah Alam ko saaf bata sakta hu ki kiske kehne pe tere aadmiyo ne ooske daamad ko maara tha to fhir Zara samjh ki police tere khilaf kya action legi? Neta ki kursi to jayegi hi lekin usse zyada damage toh kanoon karegi usse pehle toh khud Shah Alam hi aur Shah Alam jaise powerful politician aur crime lord se bair lena sidha sidha aa bail mujhe maar jaisi haalat hogi teri"

Islam ne bechaini se kursi par kayi pehlu badla fhir wo sidha hua aur rumaal se apne maathe par aaye pasine ko ponchne laga wo waqayi bare fasaad mein fasaa tha uske aadmi ne ahmekana wala harqat kiya tha, steamerboat waali wardat uske dushman chowdhury jaiso ko pata hona uske gale ke liye khatre ki ghanti thi ab to har haal mein oose samjhauta karna tha

"Main sab bhulne ko tayyar hu aur tere sath samjhauta karne ko bhi lekin ye baat kisi teesre ke aage faash nahi honi chahiye"

"Hahaha dekha Zahir miya main janta tha tu aise samjhauta karne waali party nahi hai par mujhe tujhpe pura bharosa tha ki tu Maan jayega diya tujhe main apna shabd ye Raaz yahi reh jayega ab is naye samjhaute par ek ek jaam ho jaaye"

Islam zabran muskurata chowdhury ke sharab dhale jaam ke glass se apna glass takrata fauran ghut ghut kar peene laga, Asif ko yakeen nahin hua ki kaise chowdhury ne uske sach ko apne fayde ke liye istemal kiya tha, lekin kya waqayi Zahir islam chup baithne wala tha?

                               ----------

Jis Arif ka qatal Islam ke us khaas aadmi ne dhokhe se kiya tha uske haath mein aati tasveer ko dekh wo chaunk utha iska matlab Islam ka us ladke adam pe shaq wajib tha us ladke adam ko usne pehle kahi dekha tha aur pehle kahi nahi wo ladka wohi taxi driver tha jiski tasveer us khaas aadmi ne Islam ko khud dikhai thi, jise locate karte wo us steamerboat par pahucha tha usne khud oose goli daagi thi toh kya iska matlab wo Arif tha? Toh kya Asif ab bhi zinda tha? Aur woh ab Chowdhury ka dayaa haath adam bana ghum raha tha? Isliye chowdhury ko malum tha ki steamerboat par kaun aakhir mara tha? Yaani Asif hubahu Arif ki tarah dikhta tha lekin steamerboat par wo bhi to gaya tha usne khud steamerboat ko apne sathiyo ke saath aag lagayi thi toh fhir wo bacha kaise?

Ab chahkar bhi wo adam Shaikh urf Asif par haath nahi daal sakta tha wo I'd proof aur certificates jispar uski tasveer thi wo jaali ho sakte they shayad Islam se bachne ke liye wo adam bankar ghum raha tha, tabhi usne us I'd proof ki kheechi ek screenshot laptop par enquiry details mein daali wo screenshot usne apne boss Islam ko dikhane kheecha tha lekin waqt rehte Asif waha pahucha aur fhir oose waha se bhaagna pada tha,

Enquiry details se jo baat oose malum chali wo aur chauka dene wali thi, wo kisi asli adam Shaikh ki I'd thi aur wo tasveer bhi oosi ki thi lekin wo kayi maah pehle marr chuka tha wo padosi mulk ka tha jo visa basis par resident haasil kar waha reh Raha tha, matlab Arif ki tarah wo adam Shaikh bhi hubahu uski tarah dikhta tha achanak uske zehan mein ek baat aayi haal hi mein kuch maah pehle ek truck accident mein ek ladka mara tha usne apne aadmi ko us accident detail dete huye malum karne kaha uska naam kya tha aur wo kaisa dikhta tha? Kuch hi ghante mein jo report uske paas pahuchi usne oose saqte mein daal diya ab shaq ki gunzaish kahi nahi bachi thi,

Wo ladka Asif hi tha wohi taxi driver aur jis Arif ko asif samajhkar usne maara tha wo Shah Alam ka damad tha aur asif khud ab ek mare huye humshakal ki identity par jee raha tha, ye baat wo Islam ko bata sakta tha lekin wo ruka usne kuch socha wo is baat se kayi zyada fayda utha sakta tha, aur oose pata tha ki oose is baat ka kaise fayda uthana tha?

To be continued....

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 8 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #14 on: March 23, 2024, 07:48:47 AM »
Joseph ki phone ki ghanti baji usne jab phone uthaya toh us taraf Islam ke oosi khaas aadmi ki awaz thi,

"Kaun bol raha hai?"

"Jis sheher mein tum mere boss ke aadmiyo se ye pata karne ki koshish kar rahe ho ki us din steamerboat par aakhir kya hua tha? Wohi Islam ka aadmi hoo main ab bhala hamare baarein mein malumat karoge aur humhe malum bhi na chale ki koi humhari khabar le raha hai aise bhala kahi ho sakta hai?"

"Chahte kya ho?"

"Main janta hoo Shah Alam aur uski beti ne tumhe aur tumhare aadmiyo ko ye malum karne bheja hai ki qatil kaun hai? Lekin jo baat main janta hoo wo tumhare boss ke fayde ki hai"

"Humhe malum chal chuka hai ki Anika mam ke husband ko tum logo ne dhoke se maar diya tum jante bhi ho kitna bara gunah e Azeem kar baithe ho tum log? Mera boss chahe to tumhare boss aur uske aadmiyo ko aag mein jhok de tum shayad humhe achi tarah se nahi jante"

"Hamare sheher mein aake humhe dhamki dene ki kisi ki aajtak zurrat nahi huyi"

"Ye batao ki phone kisliye kiya?"

"Wohi to batana tha aur ye apne dimaag mein baitha lo ki tumhare boss ke daamad ko humne nahi khud uske humshakal Asif ne maara hai"

Joseph nahi samjh nahi paaya ki ye information oose kaise malum thi? Ki Arif ka koi hubahu us waqt ship par mauzud tha, unhone Arif ko wohi taxi driver Asif hi samjha tha, Islam ke aadmi ne usse milane ka irada kiya pehle toh Joseph maana nahi ho sakta tha shayad wo dhoke se uske aadmiyo ko aur oose maut ke ghaat utaar de lekin jo prastav Islam ke khaas aadmi ne bataya oose sun wo saqte mein aa gaya,


                              --------

Chowdhury sahab apni beti aur asif ke sath us waqt gadi mein they, Asif gaadi drive kar raha tha jabki unka ek hathyarband guard bagal wali seat mein baitha hua tha piche dono baap beti baithe huye baat kar rahe they, niha ki nigaah baar baar Asif se takrati to Asif pare dekhne lagta,

Wo log kisi party se aa rahe they Asif raste ki taraf dekhta driving kar raha tha, Mann hi Mann wo chowdhury se kafa tha ki usne zahir Islam jaise bure insaan se samjhauta kar liya tha aur karta bhi kyu na? Wo toh khud ek bura aadmi tha chahe wo jaisa bhi Asif ke sath pesh aaye, lekin is tarah wo uske sacchai ka istemal apne fayde ke liye karega usne socha nahi tha, kash koi zariya hota toh wo ye namurad dhandha chodhkar wapis kahi nikal jata lekin ab rah thi hi kahan? Islam dasla saanp tha kya pata kab mauka paakar wo oose bhi Dass leta?,

Tabhi chowdhury ke kahein mutabiq Asif ne gaadi roki, "Pani ki botal leke aana Zara maine dawai nahi khaayi"

"Daddy aap bhi na aapko pata hai aap itne gair zimmedar kaise ho sakte ho?"

"Hahaha ab Sharab ke sath to dawai nahi khayi ja sakti na? Asif jaldi se paani ki botal le aao"

Asif bina kuch kahein gaadi se utarkar bahar nikla fhir lambe dag bharta paas ke dukaan gaya paani kharidkar waapis aane laga, wo sadak paar kar mor ke dusri taraf gaadi ke paas aane hi wala tha ki tabhi ek beqabu truck oose saamne se aati dikhi oose driver ghabrata steering nakam sambhaalta dikhai Diya shayad truck ka break fail tha wo daaye to kabhi baaye mudta tej gati se aa raha tha aur kinaare khadi chowdhury sahab ki gaadi usse kuch faasle dur khadi thi,

Asif chillaya...."chowdhury sahab niha bahar niklo"...kehta wo daudta sadak paar kar gaadi ke paas abhi aaya hi tha ki itne mein truck kisi rakshas ki tarah uske aehen saamne aa mauzud huyi tabhi truck daayi taraf mudi aur uska Rukh chowdhury ki gaadi ki taraf hua, chowdhury aur niha ghabraye gaadi se abhi bahar nikalte ki ek tej takkar huyi aur asif ke aankho ke samne gaadi ko truck takkar maarta aage jaake ek paid ki ot se sidha jaa takraaya ek bheeshan awaz huyi aur truck ke aage se dhua nikalne laga, wo bhaagta ulat padi gaadi ke niche se niha ko ghasitkar bahar nikaalne laga jiske maathe se khoon beh raha tha aur wo dard se karha rahi thi, wo fhir gadi ke dusri taraf aakar jhuka aas paas bheedh lag chuki thi, usne bheedh mein chillaya ambulance bulaane ki guhaar lagayi,

Kuch hi dair mein siren bajaati ambulance aayi aur khoon se lathpath chowdhury sahab ko stretcher se bheetar ambulance mein rakhte huye fhir niha ke paas aaye Asif ne ek baah ko thaame niha ko goadi mein uthaaye sidha stretcher ke baayin taraf waali gaddi par laita diya, baap jitni uski halat gambhir nahi thi par chot to oose barabar lagi thi, guard ki haddi tut gayi thi aur uski haalat bhi gambhir thi ambulance waha se rawana huyi tab jab Asif truck ke paas Aya to usne paaya ki truck driver marr chuka tha, kya wo Islam ki fhir rachi sazish thi? Ya fhir mehez ek hadsa usne tatkal Sam aur baaki aadmiyo ko phone kar khabar ki,

Sab aanan fanan hospital pahuche waha Asif pehle hi khada tha uske kapro par khoon laga tha, Sam ne aate hi pehle i.c.u ward ke bahar jhankkar dekha fhir Asif pe bina nazar daudaaye wo doctor ke paas gaya, doctor ne bataya ki chowdhury ko gambhir chot lagi thi uske shareer ke kayi maanspeshiya fhat gayi thi aur sar par gehri chot lagne se wo lambe samay ke liye behosh rehne wala tha, jabki dusri taraf niha ki baayi baah mein chot aayi thi maatha phata tha lekin wo khatre se bahar thi, guard coma mein chala gaya tha,

Waha police aayi jo is haadse ko taftish kar rahi thi, unhone chand sawal Asif se puche jiska jawab sidha sidha Asif ne unko diya,

"Kisi pe koi shaq"

"Ji nahi"...Sam ne fauran beech mein kaha Asif oose ghurrne laga

"Ye mehez ek accident hai humne malum kiya truck driver nashedi tha usne truck chalaane se pehle taqneeqi kharabiyo ko check nahi Kiya tha jis wajah se truck ka break fail hua aur uske chapet mein kayi log raaste par aaye humne investigate kiya hai truck driver ki wohi maut ho chuki thi ek sidha sidha accident ka case hai waise abhi chowdhury sahab ki tabiyat kaisi hai?"

Sam ne doctor ki batayi baat dohraayi, sunkar police waalo ne zyada kuch nahi kaha aur fhir waha se chale gaye unke jaate hi Asif ne Sam ki taraf ghura,

"Sam ye Islam ki chaal bhi to ho sakti hai? Tum khud jante ho wo haath dhoke chowdhury sahab ke piche pada hai"

"Aisa kuch nahi hai samjhauta ke baad se wo chowdhury sahab ke against nahi kaam kar raha mere khabriyo ne mujhe bataya aur waise bhi tumse zyada chowdhury sahab aur niha ki mujhe fikar hai waise beech raaste mein gaadi chodhkar kyu nikle they?"

"Chowdhury sahab ko dawai ke liye paani ki zarurat thi wohi botal lene dukan ki taraf sadak paar gaya tha agar mauke par main na hota toh shayad haalat aur bhi bure hote"

"Lekin kismatwale to tum nikle warna driver ki seat par hote to yaha zinda khade nahi hote"

Koi saqt baat kehne ke liye Asif ne munh kholna chaha lekin wo fhir chup ho gaya, wo haalat aise nahi they ki jhagda kiya jaa sake,

                                  --------

Udhar Islam apne ghar mein baitha chowdhury ke accident ki khabar sun mand mand khush ho raha tha aisa lag raha tha jaise wo dua kar raha tha ki Aisa waqya kab ghate? Uska khaas aadmi bhi chupchaap khada sharab pee raha tha,

"Manna padega jisko maarne ki hamesha maine planning ki aaj wo khud jahannam raseed hone ki kagaar mein hai waise haalat kaise hai uske?"

Ek aadmi ne tamam kissa dohraya jise sun Islam muskuraya, "apne ko koi Vanda nahi pada pada bistar par sarh jaaye lekin dhandha na chala paaye"

"Uske khaas aadmi to honge"....us khas aadmi ne kaha

"Hahaha jab shatranj ka raja hi chal base to sipahi aur haathi utne taqatwar nahi reh jaate mujhse dhamki ke bina par samjhauta karwana chahta tha dekh aaj khud ka kya hashr hua? Khuda ki maar padi hain uspar"

Sab tahaka lagaane lage, Islam ne ek jaam aur banaya aur uska ghuntbhar peeta hua chatkara liye bola

"Ab jab kuch waqt ke liye chowdhury thanda pada hai to uska karobaar bhi thapp ho jayega aur agar diwar gir gayi to uske imarat ka wajud nahi bachega fhir hum sirf hum is sheher ke uche mafia honge dua karo ki wo saala bache na"

Islam daant peesta hua zeher ugal raha tha jabki uska khaas aadmi apni kisi dusri planning ko leke mand mand muskura raha tha, jisse Islam nawaqif tha,

                            ----------

Chowdhury ki halat ki wajah se waqayi uska dhandha chaupat hone laga tha aur tamaam clients Islam ko milane lage they, sam uska dhandha sambhaalta tha lekin bina apne boss ke faisle aur nirdesh dene se uska dhandha kamzor padta jaa raha tha jo Chowdhury ke aadmiyo ke liye fikar ki baat thi,

Wohi dusri taraf giroh ke kamzor padhne se Asif ko waha rukna andhere mein jaisa lag raha tha, lekin kya chowdhury ke gair mauzudgi mein wo dhandha chodh sakta tha? Isi kashmakash mein wo uljha pada tha, Sam ka bartav bhi uske saath aur rukha hone laga tha pehle usne niha ko wajah maana lekin ab oose wajah sam ki khud ko napasandgi hi samajh aane lagi,

Chowdhury ke girne se ab fhir uspar khatra mandra sakta tha Islam ka oose ab bhi Darr sataa raha tha, chowdhury lambi behoshi mein tha jis wajah se usse baat kar pana namumkin tha, kya wo dhandha chodhkar kahi jaa sakta tha? Lekin isse sidha sidha wo Sam aur baakiyo ko apna dushman bana leta, jo yahi sochta ki wo kal ko kisi ke aage unke dhandhe ke tamam Raaz ko faash kar sakta tha,

                           -----------

Auto pe sawaar Asif waapis chowdhury bari aa raha tha, dopahari ka waqt tha aur auto sadak se uthti flyover bridge pe guzar rahi thi, achanak tej speed mein aati do gaadiya auto ke aazu baazu satkar chalne lagi, un gadiyo ko dekh jaise Asif ka kaleja dhadka wo bhul se apni banduk chodh aaya tha us waqt wo nihatta auto mein baitha tha, tabhi sheeshe khule aur kayi haatho mein banduk saamne tane, unhone auto driver par aazu bazu se gun taante huye gaadi rokne kaha,

Asif ne oose mana kiya lekin wo driver maarein khauff se auto wohi rokne laga wo gaadiya aise auto ke aazu bazu chal rahi thi ki Asif chahkar bhi auto se kud nahi sakta tha flyover kaafi upar tha niche kudna maut ke aagosh mein girna tha, aakhir mein auto ruki Asif ko wo log islam ke aadmi janne mein lage isse pehle wo phone kar paata kisi ko, ek ne ghuskar uske haath se phone Cheena ek ne uski gardan par banduk sata di, Asif ki halat pinjre mein fase panchi jaisi ho gayi thi,

Kuch hi dair mein samundra ke paas wali pier ke taraf wo gadiya utari wo aage piche chalte beech mein Asif par banduk taane ooske haath bandhkar oose pier ke aakhri sirhe par laa khade huye

"Kaun ho tum log?"

"Malum chal jayega itni jaldi bhi kya hai ladke?''....us aadmi ne shaitani muskurahat dete huye kaha

Ho na ho chowdhury ke empire girne se hi Islam ki taqat badhi thi, shayad wo log oose Islam ke paas le jaa rahe they uski maut ka saaman karne, Asif ko ab apna aakhirat mehsus hone laga, aaj nahi to kal aisa hona toh tha hi taqdeer mein, jab wo ya to police ke haatho encounter mein ya fhir mafia logo ke haatho ekdin marr hi jaata,

Pier par ek yacht khadi huyi uske thamte hi lakdi ka thakta faika gaya uspar chalte Pani ke upar se hote wo aadmi Asif ko liye yacht par sawar huye, takhta utha liya gaya yacht pure gati se samundra ko cheerti aage badhi, jab wo log kinaare se bahut dur nikal aaye tab wo Asif ko pakade saamne ki taraf le aaye unhone Asif ko wohi farsh par bitha diya, aur banduk uske charo taraf taan di,

Tabhi ek jaani pehchani Surat oose dikhi wohi chehre pe kapra lapaita hua Islam ka khaas aadmi us raat Asif ne oose theek dhang se dekha nahi tha lekin aaj uski nazare Asif ko dikh rahi thi, "Islam ke aadmi ho na tum sab"

Usne sehmati mein sar hilaaya fhir apna kapra utaarne laga jaise hi usne kheeckar chehre se wo kapra utaara Asif ke hosh ud gaye aur labo par ek hi naam aaya "sam!"

Islam sahab ka wo khaas aadmi tha Arif aur oose steamerboat par maarne wala, uske ghar mein ghuskar uspar hamla karne wala koi aur nahi sam tha, to iska matlab Sam Islam sahab ke liye kaam karta hai, aur chowdhury sahab ko dhoka de raha hai,

"Kya hua mr.adam? Shock laga ye Raaz to kabhi khulta nahi ki main asal mein kaun hoo? Lekin sach pucho to yahi sacchai hai"

"Ye sab karke kya mil Raha hai tumhe Sam? Chowdhury sahab tumhe kitna maante hai aur tum unke wishwas ke sath itna bara dhoka kar rahe ho, uske dushman ke sath milke tum unke hi khilaf kaam kar rahe ho?"

"Haan nahi toh kya? Chowdhury kaun sa Mera baap lagta hai? Main pehle Islam ke liye hi kaam karta tha Islam ne hi kaha tha ki chowdhury sahab ke saath saaye ki tarah rahu aur ye zaruri bhi tha tabhi to chowdhury kya chaal chalta hai? Ye mujhe malum chalta rehta aur main Islam ko batata rehta"

"Tumne hi mujhe us raat maarne ki koshish ki thi"

"Haan mere dost aur yahi nahi main ye bhi janta hu ki tumhari asliyat kya hai asif"....us naam ko sun Asif saqte mein aa gaya oose kaise malum tha?

"Chaukne ki zarurat nahi Asif main tera background check kar chuka bari lambi chaudi history hai teri, main janta hoo tu ek bhaaga hua Bharat desh se ek refugee hai ek Gunda hai jo yaha nayi zindagi jeene ki koshish kar raha hai west bengal ke ranibagh ka jaana maana dada bappa miya ka bhaanja hai tu, waha ek bangladeshi ladki ki tune madad karte huye oose bahifazat yaha laaya tha jisse yaha bhi kam lafda nahi hua lekin tune oose aakhir mein uske dushmano se bacha liya suna tha Tera Bhai tha woh anyway uske baad tu uski shaadi karwaake waha se chala gaya aur tab se thokre khaata tu Dhaka sheher mein ek taxi driver bankar jee raha hai tere paas koi I'd proof nahi hai maine malum kiya tu khud ek mare huye apne humshakal ke naam par ghum raha hai, oosi ka asli naam adam Shaikh tha"

"Mera dost tha woh jiski maut ka zimmedar wo Arif tha"

"Haan aur tu uska badla lene us steamerboat par pahucha jabki main Islam sahab ke hukam mutabik us taxi driver ko talash raha tha jisne Chowdhury sahab ke aadmi ko us raat bachaya tha aur maal lootne se bhi wo taxi driver tu tha Teri tasveer jab humhe mili toh apne oose bandargah mein dikhaya to motorboat Wale ne humhe bataya ki tune usse kiraaye pe motorboat liya tha aur steamerboat ki taraf gaya tha hum waha pahuche toh tujhe chat par dekha tune jawabi hamla kiya lekin wo gun taana tu nahi arif tha Shah Alam ka damad aur hubahu tere jaisa dikhta teesra aadmi aur galti se wo maara gaya par tu bacha kaise?"

Asif ne bataya fhir usne baat ka rukh gambhirta se modte pucha "ye baat Chowdhury sahab jaante they tujhe kaise malum chala?"

"Uska khaas aadmi mera dost hai us bechare ko kya pata tha? Ki sacchai wo kise bata raha hai lekin Darr mat ye mere aadmi hai Islam ke nahi aur tujhe maarne main yaha nahi laaya main toh yaha tujhe saude ke liye laaya hu"

"Sauda?"

"Haan sauda, tu Darr mat main tujhe maarunga nahi tujhe malum bhi hai ki Arif ki maut ki talash mein police aur Shah Alam ke aadmi is sheher mein ghum rahe hai aur wo kahi hadtak tujhse waqif bhi ho chuke hai aur maine unhe ye yakeen dila diya hai ki uska qatil main nahi tu hai hahaha"

Is baat ko sun Asif fhat pada lekin gundo ki Geraft aur haath rassiyo mein bandhe hone se wo chatpataye reh gaya, "jhoot maine Arif ko nahi maara wo tune kiya hai"

"Haan explain dena oose jo tujhe lene aa rahe hai ab tera faisla to wohi karenge"

"Ye sab karke tujhe kya milega?"

"Tere hone se chowdhury sahab ke aage meri image down ho rahi thi unhe tujhpe mujhse zyada bharosa hone laga tha aur tu tehra imaandar tu mere mansubo mein kabhi na kabhi paani phair sakta tha ab tere jaane ke baad sirf main bachunga niha aaj nahi to kal meri ho hi jayegi aur agar na bhi huyi to uske baap ka saara karobaar mere paas hoga main Raj karunga is sheher par aur rahi baat Islam ki toh agar in logo ko laga bhi ki tu innocent hai to marega to islam hi na hahahaha"

"Bara kameena hai re tu jis thaali mein khaaya oosi mein ched sach kehti thi niha ki tujhme koi na koi fault hai"

"Acha".....sam pagalo ki tarah hassta tehel raha tha wo baar baar ghadi ki taraf dekh raha tha ki tabhi uska intejar khatam hua,

Oose tej horn sunai di ek ship unke paas pahuchi yacht usse bilkul sat gayi ship ke cabin ka darwaja khula aur usmein se Joseph aur Anika bahar nikle saath mein kuch aadmi bhi they, Anika ke aankho mein chashma tha usne us waqt dhoop mein shawl odh rakha tha, Sam ne haath aage badhaya aur uska gora haath thaamte huye oose yacht par utaara, Anika ne Sam ko ek nazar ghura fhir uski nazar Asif par padi, Asif ko dekhte hi jaise wo teher gayi usne chashma utaara Asif ko ghura wo hubahu waqayi Arif jaisa dikhta tha, wo uske kareeb aayi sam uske paas aake khada hua

"Aapka aadmi aapke saamne hai ab ye aapke hawaale baaki sauda to aapko yaad hoga?"

"Hmm Joseph"...chutki bajati bina uspar nigah daudaaye Anika ne Joseph ko kaha

Joseph ne aage badhkar suitcase khole Paisa oose dikhaya aur fhir oose band kar sam ke hawale kar diya, Sam muskuraya fhir ek baar Asif ke paas chalta hua aaya usne jhukkar uski aankho mein dekha jaha oose apne liye umadti nafrat saaf dikh rahi thi, fhir usne dheeme dheeme kaha

"Maana ki tu kisi ke kahani ka hero tha, par is kahani ka hero sirf main hoo aur tu ek villain, aur Sam kabhi apne dushmano ko nahi bakashta adam urf Asif, agar tu bedard hai toh main berehem"

Anika ke aadmiyo ne aage badhkar Asif ko apne Geraft mein kar liya tha wo oose zabran thaame dusri ship par le aaye unke piche Anika apne aadmi ke sath pahuchi, fhir ship waha se dugni teji se dur chali gayi, sam ke ishare pe yacht bhi dobara kinaare ki taraf badh gaya,

                                --------

Niha theek hote hi pareshaan haal hospital mein apne baap ke sirhaane baithi huyi thi, abhi kuch bhi doctor ne theek dhang se jawab nahi Diya tha, oxygen mask chowdhury sahab ko lagi thi wo beshud aankhe munde pade huye they, khabar sunkar waha baaki parivar waale bhi pahuch rahe they, niha ne Sam ko apne paas paaya to na chahte huye bhi wo oose gale lagkar rone lagi, sam uske baalo mein hath phairta oose shaantana dene laga,

Itne mein usne Asif ka zikar kiya wo na hota to shayad wo log zinda bhi nahi hote waqt pe uske Abba hospital na pahuche hote usne Asif ke babat pucha toh Sam ne banawati mayusi se sar jhukaaye oose yakeen dilane ki koshish mein jhoot kaha

"Niha I am sorry but Asif chala gaya hai mujhe to lagta hai wo ye sheher chodhkar hi chala gaya hai"

"K..kyu?"

"Main nahi janta kyu? Par wo mujhe dhundhe kahi nahi mila uska phone bhi nahi lag raha aur wo ghar par bhi nahi hai"

"Kahi oose kuch ho to!"

"Enough niha yaha tumhare Abba zindagi maut se jhunjh rahe hai aage business ka kya hoga ye tumhari soch nahi aur tum us mamuli ladke ke baarein mein soch rahi ho"

"Tum to kahoge hi nafrat jo karte ho usse jalte ho oosse"

Mutthiya bheechta khud par kaabu karta sam nazare jhukaye khada raha....."ek baar baba theek ho jaaye uske baad malum karna hoga ki kahi wo koi musibat mein to nahi"

Na jaane kyu niha ko lagta tha ki kuch gadbad tha oose sam ki baat par yakeen nahi tha ki aise haadse ke baad wo kahan gayab ho gaya tha? Sam to yahi chahta tha ki niha uske gayab hone ko galat sirhe se samjhe lekin wo janta tha niha manne wali nahi thi, lekin ab farq kya padta tha? Tamam haalat uske taraf they aur ab uska rasta saaf tha,

To be continued
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 21, 2024, 03:13:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.308 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer