kya usko farq padta hoga........

by wazida on August 19, 2010, 08:02:22 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1185 times)
wazida
Guest
ye kahani nhi meri zindagi ki haqiqat hai main ye nhi keh skti ki usko ab kuch farq padta hoga pr meri zindagi to ab khatm si hi hai..............meri zindagi ki kahani shuru hui thi ya yun kaho ki maine zindagi ko jeena hi 4 saal phle shuru kiya tha char saal phle meri zindagi me ek ladka aaya...... humare pyar ki shruwat baato se shuru hui....main uske liye kuch bhi karne ko tayaar thi shayd wo ye achche se janta hai.....is liye usne jo khawaish ki wo maine puri ki.........wo garib ghar se tha....main andar se ye jaanti thi ki wo mujhse pyar nhi krta  pr sochti thi ki main isse itna pyar karungi ye khud mujhse pyar ka izzhar karega....hum milte rhe aur meri zindagi ka wo din bhi aaya jb usne ye kabul kiya ki wo mujhse bohat pyaar karta hai..........aur meri zindagi ne ek prem kahani ka roop liya..........aaj wo mere pass nhi hai......pr mujhse dur bhi nhi  bohat kuch aisa hua jo nhi hona chiye tha main ............aaj mere ghar me mujhe comp. ph.  kuch bhi use krne ki izzazat nhi hai bohat hai jo likhna chahti hu......pr time nhi...yahan  me likh rhi hu kyuki maine yahan kahani padhi thi ek sachche shaksh ki sachchi prem kahani...jo mujhe kuch apni tarah lagi....jise padhke bohat roi...... aur socha yahan likh shayd kuch sukoon mile......baaqi kuch baad me likhungi shuqriya dil se shuqriya krti hun main is site ka.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khalal Padta Hai ..... !!! by Qutubuddin in Miscellaneous Shayri
ishq me muskurana padta hai.. by myloveosho in Shayri for Khumar -e- Ishq
tadapna is dil ko padta hai by noo1beautiful in Shayri for Dard -e- Judai
yaad dilana padta hai by nishita in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
Janta Ko Jagna Hoga Khud Apna Neta Bannna Hoga by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 20, 2010, 01:39:31 AM »
Wazida ji shukriya jo aapne apne dil ka dard humse share kiya.... yahaan hum me se jyaadatar log isliye likhte hain ki apne dil ka dard kuch kam kar saken... kuch aise hain jinhe padhna pasand hai... par achcha lagta hai kuch bhi likhna ya padhna yahaan.. main samajh sakta hoon aapka dard... aapne yahaan likha to kuch halka jarur hua hoga... yunhi aap yahaan kabhi kawaar jab mauka mile aate rahiye aur apne dil ka haal likh diya kijiye.... aapko aaraam aur sukoon hi milega..

apna khayaal rakhen
Khush rahen
ek dost
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 26, 2010, 01:43:54 AM »
hello Wazida ji,

bahut achcha laga dekh k ki aap wapas aayi yo pe aur apne dil ka haal humse share kiya... humein bahut achcha lagaa... pyaar ka koi matlab nahi hota... pyaar me sirf pyaar hota hai.... kisi se aap ye poochhe ki pyaar ka matlab kya hai, jaruri nahi ki usko matlab pata ho... par agar wo aapke ehsaason ko mehsus kar sake aapko samajh sake to isi ka naam pyaar hota hai....

aur bahut pyaare lines share kiye hain aapne.... shukriya....!!!

Yunhi jab mauka mile apne is diary pe kuch na kuch likhte raha kijiye. Hum bhi padh liya karenge aur aapka dil bhi halka hota rahega....!!!

Apna khayaal rakhen
Khush rahen
Ek dost
Logged
wazida
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2010, 08:55:36 AM »
mere wazood ko daman se jhaadne wale,
jo teri aakhri manzil hai main wo mitti hun............
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:50:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer