qayda
Guest
|
bat un dino ki hai jab main 10th mein padhta tha, ek ladki se ishq hua, uska nam tha 'sahina'. bahoot khoobsurat thee, lekin wo U.P. ki rahne wali thee, aur isliye main usse bahoot kam bar mil paya, 5 years mein karif 4 time, main usse jab pehli bar mila to jane anjane mein maine use ek wachan de dala ki "aap humse kabhi bhi, kuch bhi mang lena, main de doonga, aur ye bhi nahi poochoonga ki kyon?"
usse ek bar milta tha aur usi yad ke sahare main usse agli bar milne tak ka time gujar diya karta tha. jab main usse 4th time milne gaya to. wo mere gale lipat kar rone lagi, meri samajh mein kuch nahi aaya, wo mere gale lagkar rone lagi aur mujhse sirf yahi kaha ki "aap hamein bhool jayeye, main aapka saath nahi de sakti". main bhi thehra bewakoof ladka, kuch samajh mein nahi aaya aur maine keh diya 'bas itna hi chahti ho, jao"
meri samajh mein us waqt to kuch nahi aur na hi aaj main jaanta hoon ki kya wajah thee jo wo hamein chhodkar chali gayee, main jaanta hoon isme uski koi galti nahi rahi hogi, lekin mujhe wajah to aaj tak maloom nahi hai, sochta hoon jab wo milegi to puchoonga ki kya bat thi, jisne use mujhse door jane ke liye bewas kiya,
main aaj bhi use usi shiddat ke saath pyar karta hoon, lekin iska kya fayda, sach to ye hai ki wo kahan hai main nahi jaanta, wo kaisi hai ye bhi nahi maloom, ab wo shayad mujhse zuda ho gayee hai,
"mera us pal mein kuch samajh na pana, use rok na pana hi qayamat hai" aur aisa isliye ki main hamesha socha karta tha ki qayamat kya hoti hai. bas yahi qayamat hai kyon judai dono mein hai.
|