Hiii frnds, This is a true story of 2 childhood best friend. How they separate by the
entering of another friend & by misunderstanding.
Ye baat kuch saal purani hai jab 2 dost bahut ache dost hua karte the,
ek ka name "Rahul" or dusre ka "Ankur" tha. wo hamesha saath mein
rahte the, apas mein hamesha apni baatein share karte the, dono ek dusre se bahut pyar or ek dusre ke liye kuch bhi kar sakte the..
unki schooling or colleging sath-2 hui. Magar uske baad dono ki job ek hee company mein lagi wahan par unke kuch naye frnds bane, magar wahan par koi nahin janta tha ki dono apas mein best & best friends hain.
becuase wahan par kaam ki waje se wo aapas mein jyada time bhi nahin de paate the isliye logon ko bhi aise nahin laga ki ye itne ache dost hain......
Rahul thoda samjhdar or ankur thoda sidha tha. Rahul ankur par bahut jyada (apni jaan se bhi jyada trust karta tha ) toh rahul hamesha uski help karta rahta tha.
Magar ankur ke kuch company mein naye friends banae ke karan wo company mein rahul ke saath kam hee rah pata tha, magar uske liye rahul hee sab kuch tha, Magar zindagi mein misunderstanding ki baje se kuch aisa hua ki aaj dono alag ho gaye.
Hua ye tha ki ankur ke kuch naye friend bane unmein se ek Ashish tha, wo ashish ke saath he comapny mein work karta tha aur jyada time bhi usi ke sath rahta tha.. Magar company ke bahar wo he rahul ke saath hee ghoomta or rahta tha.
Lekin ek din rahul ne ankur se kaha ki chal aaj jaldi chalte hain company se, shopping karne ke liye to ankur chalne ke liye agree ho gaya magar is baat ka ashish ko bura lag gaya ki wo use chod kar ja rhe hain or wo akela rah jaayega toh kuch sochne ke baad ankur ne jane se mana diya toh rahul phir akela Shopping karne chala gaya, rahul ko kaafi bura laga ki wo ankur ke bager aajtak kahin nahin gaya or aaj usne uske saath jaane se mana kar diya.
Phir bhi rahul ye sab bhul kar usne phir se ankur ka saath dene laga, ek baar phir aisa hee mauka aaya toh rahul ne ankur se kahin chalne ko kaha magar ashish ki baje se ankur ne phir mana kar diya, Aur ashish ne rahul se kaha ki tu ankur ko jabardasti le jata hai jabki ankur ka mann nahin hota hai phir bhi. Us din rahul ko sach mein bahut bura laga usne ankur se
kahan ki aaj tu clear kar de ki mein tujhe kahin jabardasti le jata hun kya ye aaj ka dost
apne baare mein kya jaanta hai, magar ankur ne kuch na kaha, is baat ko lekar rahul rota
rota ghar wapas aa gaya, kyun ki aaj company ke saare workers ke saamane ankur ki baje se rahul ki kaafi insult ho gayi thi. Toh rahul ne ghar aa kar ankur se baat nahin ki magar ankur ko apni galti ka pachtawa nahin hua.
Rahul ko is baat ka itna bura laga because aaj bachpan ki dosti pal bar mein sarmsaar ho
gayi. Phir bhi 1 month baad dono mein is baat ko bhul kar phir baat suru hui, ek din aisa
aaya ki rahul ne ek nayi job ke liye try karne ki sochi toh usne ankur se kaha ki yaar mein
nayi job ke liye apply kar rha hun tu bhi kar de kaafi fyada hoga. Ankur ne kaha yar mein
isi mein kush hun. rahul ne dosti ke liye apni formality puri kar dhi thi..
Magar ek din ankur ki job kahin aur lag gayi aur use foreign jaane ka offer mila toh usne rahul ko bina bataye foreign chala gaya, ye baat rahul ko kisi aur ne batayi jab use ye baat pata chal toh ushe inta bura laga wo bilkul tut gaya, because usne jab job ka try kiya toh ankur ko bataya tha magar ankur ne use bina bataya foreign job ke liye chala gaya.Is baat ka rahul ko had se jyada bura laga.
Magar phir bhi rahul use aaj bhi apna sabse acha or best friend manta hai or manta rahega jab tak wo jinda hai. Aur hamesha uske liye acha sochta rahega even usne apne ghar par bhi nahin bataya ki uska ankur se jhagda ho gaya hai kewal isliye kyunki agar kabhi bhi ankur rahul ke ghar aaye toh uske gharwaalon ka behaviour alag na lage use baisa hee feel ho jaisa use pehale feel hota tha.
Toh doston ye 2 doston ki story he jo kuch problem ko lekar aaj bhi alag hain. Hum dua karte hain ki ek din aisa aaye ki wo phir se baise hee dost ban sakein jaise ki wo pehale the. Bhagwan in dono doston ko jaldi wapas milayein.