Pure din arifin jaise raat 11 baje ke intejaar mein tha...ki kab raat hogi kab 11 bajega? aur kab wo apni dil-e-mohabbat se pehli baar baat karega...sonal oos din ghar dairi se pahuchi thi toh ooski maa ne oosse fresh ho jaane ko kaha....jab fresh hokar wo dinner table pe pahuchi to maa-baba ke alawa waha arifin oose nahi dikha...
sonal ko ye khatka laga ki arre arifin kahan hai? oosne maa-baba se pucha...."beta wo kya hai ki laptop par koi zaruri kaam kar raha hai keh raha tha ki main wohi dinner kar lunga oose aadhe ghante pehle hi khaana de aayi".....sonal ko maa se ye sunkar hairani huyi...
jo ladka dair raat gaye dinner table pe aata tha wo ladka aaj itna jaldi dinner karke faarig ho gaya itne jaldi khaana khaa liya oosne aur aaj apni behan tak ka oosne intejaar kiya jabki wo hamesha kehta hai ki main bina apni sonal ke nahi khaana nahi khaunga oose ye azeeb sa arifin ke prati badlaav dekh waaqayi bahut hi azib laga....lekin sonal ne is baat ko zyada mind mein nahi liya agar oosne pehle dinner kar bhi liya to kya hua? lekin itne jaldi dinner karke ooski kya jaldbaazi thi aisa kya wo kaam laptop par kar raha tha? achanak ooske zehan mein oos subah ki wo ladki waali tasveer wo wallpaper yaad ayai jo oosne arifin ka phone bajne waqt ooske screen pe lagi dekhi thi..wo sawal wo abtak arifin se puch nahi paayi thi aur arifin ne jaise ooske haath se phone chune se pehle hi cheen liya yakeenan wo kuch baat thi...
wo ek personal tasveer thi kisi ladki ki isliye sonal janne ko betaab thi....udhar raat 11 bajte bajte arifin aaj jaldi dinner karke bina apne parivar ke sath ek waqt raat ko bitaaye apne kamre mein darwaje ki kundi lagaye baitha hua tha...laptop khula tha wo bahut dair se online tha aur abhi sana noor ki oosi profile page pe ooske tasveero ko dekh raha tha....waha itni tasveerein thi ki oose scroll down karte karte ungliyo mein thakaan hone lagi na jaane sana noor ki kitni waha tasveerein ooske fb profile page pe mauzud hoti....
"pls online ho jao pls online ho jao plss".........jaise mann hi mann arifin dua kar raha tha abtak oose sana online nahi dikhi thi oosne waada kiya tha fhir kaise bhul gayi?
sochte sochte achanak ek laal notification nishaan oose theek profile page ke upar dikha....oosne oospe click kiya to sana noor ki bheji ek message oose dikhi jispe likha tha "hi arifin".......matlab wo online ho chuki thi....arifin jaise khushi se jhoom utha
oosne turant jawab diya...."hi sana oh my god main bahut dair se tumhare intejaar mein tha?".............jawab sana ne padh liya tha oospar mark lag chuka tha...arifin ooske jawab ke intejaar mein tha
fhir message ki awaz huyi is baar sana ne oose reply diya tha....arifin oosse baat karne laga aur kareeban jaise ooske chehre pe muskurahat badhti chali gayi
"sorry meri wajah se tumne wait kiya kya karu? bahut busy thi"
"acha tum koi job wob karti ho?"
"nahi main ghar par hi rehti hoo"
"oh i see....anyway tumne apna wada nibhaya mujhe is baat ki behad khushi huyi sana"
sana ne oose ek ka symbol bheja.....arifin ko laga ki oose accha laga ooska ye kehna....arifin fhir jawab dene laga
"aur mujhe khushi huyi ki tumne mujhse baat karne ke liye pehel ki"
"hmmm ab pehel to mardo ko pehle hi karni hoti hai na"
"hahahaha"............sana hass padi ooski msg ko dekhke laga
"accha ye batao ki tum akele ho ya koi behan bhai bhi hai tumhara"....arifin ne sawal karte huye type kiya
"haan behan bhi thi par bhai hai mere close relatives mein"
"oh yaani bahut badi family hai tumhari"
"hmmm".......sana ne sirf itna jawab bheja
"accha toh tum apni profile update kyu nahi karti ho? itne waqt ho gaye tumhari itni khubsurat tasveerein hai ab to aur nikhar gayi ho gi tum hahaha"
"nahi arifin aur tasveer isliye nahi bhejti ki mujhe ab aur apni tasveerein kheechna pasand nahi"
"kyu? tum itni khubsurat ho toh fhir kaayi ki bandish...oh samjha samjha kisi ki nazar na lag jaaye hahaha...post karo lekin kam pics diya karo tum nahi janti tumhari tasveerein kitne logo ne apne apne profile pe daale rakhi hai aur to aur oonmein ladkiya shaamil hai"
"hahahahhaa".............sana jaise hass padi
"chalo hamare kehne se aap hassi to sahi"
"waaqayi arifin tum baatein bahut dilchasp karte ho? accha ab apne baarein mein bhi toh batao"
"hmmm mere baarein mein main toh iklauta beta hoo apni maa ka behan hai bari didi bahut maanti hai mujhe pata hai bachpan se meri maa se bhi zyada mujhe pyaar karti hai hamesha meri care karti rehti hai mera koi dost nahi hai jo koi hai bas wohi"
"hmmm
"............sana ka jawab paakar arifin jaise muskuraya
"accha tumhare to friend list mein bahut dost hai personally tumhare kitne friends hai?"
"hmmm bahut they kuch acche to kuch selfish"
"aisa kyu keh rahi ho?"
"bas jalte they mujhse meri khubsurati se isliye maine oonse dosti tod di"
"hmm accha hi kiya aise logo se dur rehna chahiye jo humse jale anyway"....ab arifin ko laga ki aage kya kahu?
tabhi sana ne jawab diya...."Accha tumne jab mujhe pehli baar dekha to kya feel kiya?"..........is sawaal se yakeenan koi bhi kunwara naujawan ladka kisi khubsurat ladki ke diye aise sawal se sharma zarur jaayega
"hmm ab kya kahu? tum ye sochogi ki main flat ho gaya lekin haan kuch aisa hi "
"ohh ho yaani main tumhein bahut pasand aayi"
"dil se kahu to sirf chehre se nahi antaraatma se tum mujhe bahut pasand aayi aur ab tumse jo ye baat kar raha hoo toh aur bhi zyada pasand aayi ho tum"
"okay i am really glad ki tum mere zindagi mein aaye"
"khushi to mujhe hone chahiye tumhein malum hai aajse pehle meri zindagi mein kabhi koi ladki nahi aayi i am pure hahaha jaane do"
"virgin kehna chahte ho na"..........sana ki is baat ko sunke arifin jaise khilkhilaake hass pada
x---------------------------x--------------------x---------------------
sana se baat karke jaise arifin ka dil baagh baagh ho gaya oose ye nahi malum tha ki sirf shakal surat se nahi wo baaton se bhi kitni acchi thi ooske baaton mein kitni mithaas thi...lekin aksar log ye bhul jaate hai ki zyada mithaas accha nahi hota
arifin jo oos raat oosse chat pe laga to ooske baad kareeban 2 ghante tak oosse baat karta raha....aakhir mein jab oose neend aane lagi to oose ascharya hua ki ye sana kaisi hai? kya iske aankho mein neend nahi?
oosne sana se pucha to sana ne hasskar kaha ki jab mujhse baat karne ko itne betaab huye they tohh kya ab hamara conversation end karna chahte ho.....ye baat sunke arifin chaunk utha oosne sawal kiya tumhein kaise pata?
sana ke reply mein arifin ne paaya ki wo hass padi thi...oosne fhir typing karte huye arifin ko likha....jab dil se tumne mujhe like kiya hai tohh mera bhi dil is baat ko samjhne laga hai...
"matlab tumne ek hi raat ke is conversation mein itna kuch"
"ab zyada socho mat arifin tum koshish karke dekho tum bhi utna jaan jaoge jitna mera dil tumhein jaan gaya hai"
arifin ne is baat ko seriously nahi liya oose laga shayad kahi na kahi arifin ne hi oose hint di thi ki wo oosse baat karne ko kitna bechain tha shayad ooski baaton se sana ko aisa laga....aur yakeenan arifin ko bhi sana dil hi dil mein chahne laga tha kyunki wo khud shayad ooski tasveer dekhkar hi sahi aur ooski baat sunkar hi sahi oose chah baithi thi...
"ab tum so jao arifin subah ho jayegi main fhir kal raat tumse baat karungi aur haan sona nahi jaldi okay hahahaa goodnight"............sana ka wo aakhri message tha ooske baad wo offline ho gayi...
arifin ke dil mein sana ki baatein jaise ghar kar gayi arifin ek hi raat ke oos chatt mein jaise oose apna dil hi de baitha...waaqayi kya azab ladki thi? aisi ki hi to oose talaash thi sach kaha tha ooski didi ne shayad ye khuda ko manzur tha jisne rishta upar se bankar oose diya tha...
agli subah sonal arifin ke kamre mein aayi wo oos waqt bathroom mein tha....ye accha mauka tha ooske liye....oosne arifin ke mobile ko thaam liya...aur oose on kiya achanak oospe wohi oos subah wali tasveer wallpaper pe dikhi....ek ladki thi kareeban ooske bhai ke umar ki jo kaatil adaao se dekh rahi thi oosne white t-shirt aur oospe muffler lapait rakha tha...kaafi gori aur khubsurat thi....sonal bhi oose dekhkar waahh kehte na reh paayi..
kya ye wohi ladki hai jo ooske bhai ke zindagi mein hai? kahi yahi sana to nahi?....achanak bathroom ka darwaja khulne ka jab sonal ko ahesas hua to oosne jhatpat mobile bed pe faikha aur khadi ye sochti rahi ki wo aage arifin se puchegi...
"arre didi tum?"...........arifin tauliye se apne baalon ko ponchte huye behan ko apne kamre mein mauzud dekhte huye kehta hai
"h..haan arifin wo maa nashta ke liye bula rahi hai accha ek baat bata tu dinner karne kyu nahi aaya table pe apni behan ke bina khaana khaa liya janta hai mom dad kaisa feel kar rahe honge"
"hahaha i am sorry di i am really sorry".........arifin sonal ke kandhe pe dono haath rakhke oose bistar pe bithata hai sonal fhir ooske chehre pe wohi khushi bhari muskurahat dekhti hai
"wo kya hai na? main soch raha hoo ki kabtak ghar par hi yun baitha rahunga bas job ki application tayyar kar raha tha"
"job ki application ya fhir koi ladki ka maamla hai hahaha"
"didi tum fhir taang khech rahi ho meri don't pull my leg please mujhe gussa aa jayega"........ariifin naak sikudte huye bola
"arre baba maanf kar main to mazak kar rahi thi"........sonal ne ooske kandhe pe haath rakhte huye kaha
"mujhe to pata hai ki mera bhai apne career ko leke kitna focused hai ? chal nashta karne chal main bhi nikal rahi hoo"
"okay di chalo"...........arifin waapis se muskurate huye kamre se nikal gaya lekin piche sonal ko sawalat ke ghere mein chodh gaya ooske bhai ne kabhi oosse kuch chupaya nahi tha bas yahi wo chahti thi ki ooska bhai oose is baar bhi oos ladki ke baarein mein oose bata de...
x------------------------------x------------------------x---------------------
wo ek raat ka chat nahi sisila banta gaya....arifin har roz raat dair dair raat gaye sana se baatein karta raha.....aur sana bhi....dono jaise ekdusre se kaafi gehre hote chale gaye they....ab to pusht ho gaya tha ki sana arifin ko chahne lagi hai aur arifin to pehle se hi oose chahta tha aur oose ikraar bhi kar chuka tha...despite ye na jaante huye ki kya wo reality mein oose bepanaah chahti thi kya ooske zindagi mein koi pehle se tha ya nahi? arifin ne is baat pe khaas tawajjoh nahi daali ek baar oosne sana se chat ke dauran baatcheet mein iska zikar bhi kiya....toh sana ne sirf itna oosse kaha jo ki oose imaandari bhara jawab laga..."har kisi ke zindagi mein koi na koi hota hai mera bhi tha lekin ab hum saath nahi"...........ye jawab sunkar oos din ke baad se arifin ko pura yakeen ho gaya ki sana akeli hai aur ab ooske zindagi mein ooske siwaah aur koi nahi...
sana aur arifin ka rishta dosti se gehra hote chala gaya....is dair dair raat waali chat ko ek din khud sonal ne bhi dekha tha arifin ke aad huye darwaje se oos waqt oosne saaf oos tasveer waali ladki ko dekha jo ki ooska profile page tha waha ooske tasveero ko dekhte huye arifin oosse inbox mein chat kar raha tha...sonal ko yakeen ho gaya ki ooske bhai ke zindagi mein ek ladki aa chuki hai jiska naam hai sana...lekin ooske bhai ne oose ye tak batane ki zehmat nahi ki...
jabki wo khud apni behan se koi baat nahi chupata...sonal ko bura to laga lekin oose umeed naa thi ki ooska bhai oosse itna bada baat chupayega ki wo relationship mein hai? kyu? jabki wo janta hai ki ooski behan ooske kisi bhi maamle mein taang nahi adaane wali thi wo to khud chahti thi ki ooski zindagi dukeli ho koi ooske zindagi mein aaye..
khair is chat conversation ke dauran ek din arifin ne sana ko apna number de daala....oos number ke theek dusre hi shaam arifin ko whatsapp aaya number unknown lekin jab whatsapp pe jaake oosne wo hi ka message padha to oosmein oose sana ki tasveer dikhi wohi ek tasveer jo ooske fb pe post ki huyi thi....
fhir chatting ka daur whatsapp pe bhi shuru ho gaya...dheere dheere arifin sana ke pyaar mein dub gaya....ab to ooska koi bhi kaam se zyada phone pe hi apne nazar hota jo harwaqt wo leke apne sang chalta tha....ek din arifin ko kya sujha oosne pucha
"ki main tumse video chat karna chahta hoo hum to sirf aajtak chat hi kiye kabhi direct baat nahi main tumhari awaz sunna chahta hoo sana tumhein dekhna chahta hoo"
toh sana ne oosi raat jawab mein oose call kar diya....jab arifin ne phone uthaya toh ek bari hi meethi awaz ooske kaano mein aayi jo ooska naam keh rahi thi...
"Arifin hello kaise ho arifin? meri awaz sunaai de rahi hai tumhein?"
"haan sana"
"tum chahte they na toh maine tumhein khud hi call kar liya"
"sana sach mein tumhari awaz bahut mujhe acchi lagti hai kaash hum ek dusre ko dekh paate par tumhare izazat se koi jaldbaazi nahi agar tum insecure"
"kisne kaha insecure kya hum sirf anjaan hai arifin nahi itne dino se hum ekdusre se baat kar rahe hai main to khud chahti hoo ki main tumhare aur kareeb aau bas savr karo main tumse video chat bhi karungi aur ab tumse milungi bhi"
"kyu sana aakhir savr kaisa? kya tum apne parents se darrti ho?"
"nahi arifin wo toh mujhe bahut chahte hai wo toh chahe to tumhein yaha bulaa le agar kahu toh"
"nahi nahi main khud aake oonse milunga"
"zarur mil lena ab hum chat nahi karenge ab hum ekdusre ko dekhkar baat karenge haan arifin aaj hi ki raat"
"ok..okay chalo abhi rakhta hoo maa awaz de rahi hai"
"okay bye for now love you"
"bye sana love you too"
aaj tak kisi ladki ne arifin ko i love you tak nahi kaha tha sana ke munh se sunne ke baad jaise ooska dil dhak dhak kar baitha....
x----------------------x--------------------x-----------------------x------
sonal apne kamre mein chupchap baithi huyi thi aaj gumsum thi..apne bhai ke aise bartav se kitne khush they wo dono aur aaj ooske zindagi mein koi aaya to oosne apni behan se baat karna kitna kam kar diya harpal laptop ya phone par laga wo apne kamre mein ghusa rehta tha...aaj sonal ko apne bhai ki fikar thi aur andar hi andar oose jaise dukh tha...
achanak kamre pe dastak huyi to oosne paaya ki arifin waha khada tha....
mohabbat pyaar kheechav ye cheezein jab ek insaan ke zindagi mein aati hai to oose kisi gair se jitna kareeb kar deti hai utna hi oose apne apno se dur haalaki distance relationship mein aisa arifin fasaa ki oosne apni azeez dost apni bari behan ko ye tak na bataya ki wo kiske sath relationship mein tha? dheere dheere sana arifin ke aur kareeb aati jaa rahi thi aur arifin bhi ooski taraf chalte jaa raha tha....kya hua aage? kyu aaya tha arifin sonal ke kamre mein jaanenge agle episode mein...