Na jaane kitni shikayten thin uparwale se.........sab ek saath door kar din usane prince ko mujhe de kar jhooth nahi kahte bujurg ki bachche bhagwan ka roop hote hain.....neend me sudh-budh khoye kisi bachche ke adhron par khelti masoom si muskrahat ko dekhna sach me ek adhyatmik anubhav hai...
ab prince kaafi kuch bolne bhi laga hai......subah mujhe bistar se uthane ka jimma unhi ka hai....papa....o.papa...nau bad dai..uytho...nau bad gai...o papa...paani pee lo...utho...ab ghadi me chahe 5 baje hon use to sirf yahi boplna aata hai.........aur sone ke samay..papa.....aa da....dodi me choo ja pinch ki(PAPA AAJA GODI ME SO JA PRINCE KI) fir mai thoda rone ka natak karta hun....to kahta hai papa tup ho dao...mummy daddy aayenge that thilone layenge..ek toooooooot daya......papa...looooooooth daya..........fir hanste hue kab wo so jaata hai aur kab mai pata nahi chalta.....
subah ki shuruaat to mai bata hi chuka hun usake baad jogging pe bhi saath hi hota hai....thoda chalne ke baad koi meetha sa bahana bana ke meri godi me sawar ho jaate hain janab..
to be continue.........
So sweet... mere chote bate ko yah adat thi ki wo mujhko apne gale laga kar sulata tha... yani uski choti se baju meri garden ke niche aor main dar ke maare aoni garden upper hawa main rakhne ki koshish karti thi aor wait karti thi ki yah jaladi soye... itani garden dukhati thi aor wo janab doori baju upper se dal kar poori tarah mujhe sulane ki koshish karta tha....
Bacho ki apni ek dunia hai aor hum ma-baap unki poori dunia hote hai is umar main... bahoot acha laga parr kar Sanjeev ji!!